Best Sad Shayari | अध्याय 7


Raaste Chalna Hamein Hain Sikhate,
Hum Hain Ke Raaste Hain Bhool Jaate,

Humko Manzil Tak Hain Pahunchate,
Aur Hum Unhe Pichhe Hai Chhod Aate.


Sabhi Rahte Hain Tabhi Door Mujhse,
Mera Gham Kahin Unko Lag Na Jaaye,

Mere Apne Bhi Yahi Sochte Hain,
Yeh Duniya Se Kab Jaaye.


Wo Juda Ho K Bhi Meetha Dard De Rahe Hai,
Dur Reh Ker Fir Se Pass Aane Lage Hai,


Fir Se Kyu Wo Yaad Aa Rahe Hai,
Jin Ko Bhulane Me Hame Jamane Lage Hai.


Aansu Jante Hain Kaun Apna Hai,
Tabhi Apno Ke Aage Nikalate Hain,


Muskuraahat Ka Kya Hai,
Gairon Se Bhi Wafa Kar Leti Hai!

आँसू जानते हैं कौन अपना है,
तभी अपनों के आगे निकलते हैं,


मुस्कुराहट का क्या है,
ग़ैरों से भी वफ़ा कर लेती है!


Kasam Khai Thi Na Bichhudane Ki,
Na Jaane Tumne Kyu Fir Tod Di,

Dil,
Rooh,
Zindagi Sab Toh Le Liya,
Aakhiri Sans Fir Kyu Chhod Di.

Aata Nahi Tha Humein Ikraar Karna,
Na Jane Kaise Seekh Gaye Pyar Karna.


Rukte Naa The Do Pal Kabhi Kisi Ke Liye.
Naa Jane Kaise Seekh Gaye Intezaar Karna..


वफ़ा की तलाश करते रहे हम
बेबफाई में अकेले मरते रहे हम,

नहीं मिला दिल से चाहने वाला

खुद से ही बेबजह डरते रहे हम,

लुटाने को हम सब कुछ लुटा देते

मुहब्बत में उन पर मिटते रहे हम,

खुद दुखी हो कर खुश उन को रखा

तन्हाईयों में सांसे भरते रहे हम,

वो बेवफाई हम से करते ही रहे

दिल से उन पर मरते रहे हम|


Bahut Udas Hai Koi Shakhs Tere Jane Se,
Ho Sake To Lout Ke Aaja Kisi Bahane Se,


Tu Lakh Khafaa Ho Par Ek Bar To Dekh Le,
Koyi Bikhar Gaya Hai Tere Rooth Jane Se.

बहुत उदास है कोई शख्स तेरे जाने से,
हो सके तो लौट के आजा किसी बहाने से,


तू लाख खफा हो पर एक बार तो देख ले,
कोई बिखर गया है तेरे रूठ जाने से।


Inkar Ko Ikrarr Kehte Hai,
Khamosi Ko Izhar Kehte Hai,


Kya Dastur Hai Is Duniya Ka,
Ek Khubsurat Sa Dhoka Hai,
Jise Log Pyar Kehte Hai


Kabhi Use Bhulana Chaha,
Kabhi Use Manana Chaha,
Maine Jab Bhi Chaha Use Chaha,


Na Jane Kya Baat Thi Mere Asuon Me,
Jo Usne Mujhe Sirf Rulana Chaha.


Sabhi Taareef Karte Hai,
Mere Tahreer Ki Lekin,


Kabhi Koi Nahi Sunta,
Mere Alfaaz Ki Siskiyan..


ताबीर जो मिल जाती तो एक ख्वाब बहुत था
जो शख्स गँवा बैठे है नायाब बहुत था

मै कैसे बचा लेता भला कश्ती-ए-दिल को
दरिया-ए-मुहब्बत मे सैलाब बहुत था….


Kabhi-Kabhi Ye Dil Jaroor Rota Hai,
Jab Koi Apna Mil Kar Nazron Se Door Hota Hai,


Kyun Roti Hai Kambkht Ye Ankhen..
Kya Dil Se Zyada Inka Kasoor Hota Hai…


Tere Liye Khudko Majboor Kar Liya,
Zakhmo Ko Apne Nasoor Kar Liya,

Mere Dil Mein Kya Tha Ye Jaane Bina,
Tune Khudko Humse Kitna Door Kar Liya.


Wo To Baarish Ki Boondai Dekh Kar..

Khush Hota Hai,
Us Ko Kya Maloom K..

Har Girne Wala Qatra
Paani Nahi Hota.


Raat Kya Hui Roshni Ko Bhool Gaye,
Chand Kya Nikla Suraj Ko Bhool Gaye,


Maana Kuch Der Hum Ne Aap Ko Sms Nahi Kiya,
To Kya Aap Hamein Yaad Karna Bhool Gaye.Good Night


Mohabbat Chiz Wo Hai Jo Dukano Par Nahi Milti,
Aisa Hota To Taj Mahal Jaisi Imarat Nahi Milti,


Ab Es Duniya Mein Sachi Mohabbat Kaha Hoti Hai,
Hoti Hai Mohabbat Par Ab Yahan Wafa Nahi Milti.


Waqt Ke Mod Pe Ye Kaisa Waqt Aaya Hai,
Zakhm Dil Ka Zuban Par Aaya Hai,


Na Rote The Kabhi Kanton Ki Chubhan Se,
Par Aaj Na Jane Kyun Phulon Ki Khushbu Se Rona Aaya Hai.

वक़्त के मोड़ पे ये कैसा वक़्त आया है,
ज़ख़्म दिल का ज़ुबाँ पर आया है,


न रोते थे कभी काँटों की चुभन से,
आज न जाने क्यों फूलों की खुशबू से रोना आया है।


Zindagi Badi Hi Bedard Hoti Hai,
Yaaro…

Kise Ko Itna De Dete H Ki Sambhale Nahi Sambhalta,
Kise Ko Kuch Dete He Nahi.


Mom Ki Tarah Pighalti Ja Rahi Hai Zindagi,
Kyu Es Tarah Hath Se Fisal Rahi Hai Zindagi


hum Tumhe Pana Chahte Hain,
Apne Dil Mein Chupana Chahte Hain,


Per Kyu Unchahe Sadmo Se Gujar Rahi Hai Zindagi,
Har Pal Dekhna Chahti Hai Ye Nigahe Tumhe,


Taras Rahi Hai Ujalo Me Machalne Ko Zindagi,
Na Jane Kyu Beet Rahi Hai Andhero Me Ye Zindagi.


Ghamon Se Usne Mujhko Navaja,
Us Khuda Ki Hai Meharbaani Hai,


Insan Bankar Main Hun Aaya,
Itni Toh Hai Huyi Mujhse Nadani.


Katal Kar K Aye Khuda Kissa He Tamam Kar De,
Yun Roz Roz Marne Se Main Pareshan Ho Gaya Hu,


Dekh Kr Mujhko Sb Zinda Lash Kehne Lage Hain,
Tu Soch Main Kaisa Insaan Ho Gaya Hu !


Jaane Kya Mujhse Zamana Chahta Hai,
Mere Dil Tod Kar Mujhe Hasana Chahta Hai,


Jaane Kya Baat Jhalakti He Mere Chehre Se,
Har Saks Mujhe Aazmana Chahta Hai.

जाने क्या मुझसे ज़माना चाहता है,
मेरा दिल तोड़कर मुझे ही हसाना चाहता है,


जाने क्या बात झलकती है मेरे इस चेहरे से,
हर शख्स मुझे आज़माना चाहता है!


Shayad Na Rahi Ab Aapko Jarurat Hamari,
Isiliye Ab Aapne Humko Chhod Diya,

Jab Tha Jee Chaha,
Toh Khele Is Dil Se,

Aur Ab Jab Jee Bhar Gaya Toh Ise Tod Diya.


Apne Gham Chhupana Chahta Hu Main,
Isliye Sada Muskarata Hun Main,

Aakhir Ko Bhi Toh Jal Hai Jana,
Is Liye Khud Ko Tadpata Hun Main.


Pyar Me Dhokha Khaye Hueinsaan Ne Khuda Se Kaha!
Ya Khuda Tu Ishq Na Karna..


Varna Khub Pachtaygahum To Mar K Tere Pas Aayenge..
Tu Kiske Paas Jayega..


Zindagi Hamari Sitam Ho Gayi,
Khushi Na Jane Kaha Dafan Ho Gayi,


Bahut Likha Khuda Ne Logoe Ki Kishmat,
Par Hamari Bari Aayi To,
Sihayi Hi Khatam Ho Gayi..


Taqdeer Ne Jaisa Chaha Vaise Dhal Gye Hum,
Bahut Sambhal K Chale Fir Bhi Fisal Gye Hum,

Kisi Ne Viswas Toda Toh Kabhi Kisi Ne Dil,
Aur Logon Ko Lagta Hain Ki Badal Gaye Hum.


Kabhi Mom Ban Ke Pighal Gaya,
Kabhi Girte Girte Sambhal Gaya,


Use Rokta Bhi To Kis Tarah,
Ke Woh Shakhs Kitna Ajeeb Tha,

Kabhi Tadap Gaya Meri Aah Se,
Kabhi Aansu Se Bhi Na Pighal Saka,


Jo Mila Woh Kbhi Sar E Raah,
Woh To Najar Chura Ke Gujar Gaya,

Woh Utar Gaya Meri Aankh Se,
Meri Rooh Se Kyu Na Utar Saka,

Woh Sambhal Gaya Mujhe Chodkar,
Main Bikhar Ke Phir Na Sambhal Saka,


Use Rokta Bhi Toh Kis Tarah Ke 

Woh Shaks Kitna Ajeeb Tha.


Mujhe Shikwa Nahi Hai Zindagi Se Koi,
Magar Lagta Hai Ise Mujh Se Shikayat Hai,


Main Toh Gujaar Leta Ghamon Ke Saath Zinadagi,
Magar Lagta Hai Ise Khusiyon Ko Farmaish Hai.


Sab Kuchh Mila Mujh Ko Zindagi Mein,
Magar Ek Pyar Na Mila Kisi Ka,

Sab Mujhko Samajhte Hain Apna Humdard,
Magar Ek Aitbaar Na Mila Kisi Ka.


Raaste Mein Pattharo Ki Kami Nahi Hai,
Mann Mein Toote Sapno Ki Kami Nahi Hai,


Chaahat Hai Unko Apna Banana Ki,
Magar Unke Paas Apno Ki Kami Nahi Hai.


Dill Kahi Lagtaa Nahi Hai Ab Tumhaare Binaa,
Khaamosh Se Rehne Lage Hum Tumhaare Binaa,

Zaldi Laaut Aao Yehi Chaah Hai Hamaari,
Ji Naa Saakenge Hum Tumhaare Binaa.


Najane Kyu Waqt Is Trah Chala Jata Hai,
Jo Waqt Bura Hai Wo Palat K Samne Ata Hai,

Aur Jis Waqt Ko Hum Chate Hai,
Wo Waqt Ek Lamha Bankar Beet Jata Hai.


कशिश तोह बहुत है मेरे प्यार मैं,
लेकिन कोई है पत्थर दिल जो पिघलाता नहीं,


अगर मिले खुद तो माँगूंगी उसको,
सुना है ख़ुदा मरने से पहले मिलते नहीं.

Kashish Toh Bahut Hai Mere Pyar Mai,
Lekin Koi Hai Pathar Dil Jo Pigalta Nahi,


Agar Mile Khuda To Mangungi Usko,
Suna Hai Khuda Marne Se Pehle Milte Nahi.


Pyar Aankho Se Jataya To Bura Maan Gaye,
Haal-E-Dil Humne Sunaya To Bura Maan Gaye,

Woh To Har Roz Rulaya Karte They,
Ek Roz Humne Rulaya To Bura Maan Gaye.


Kya Bhala Dhundhate Ho Seene Me,
Jaan Se Bhi Guzar Gaya Hain Dil,

Ab Wo Pagalpan Hai Na Wo Wehshat Hai

chot Kha Kar Sudhar Gaya Hain Dil.


Tadap Ke Dekh Kisi Ki Chahat Me,
To Pata Chale Intzaar Kya Hota Hai,


Yu Mil Jaaye Agar Koi Bina Tadap Ke,
To Kaise Pata Chale Pyar Kya Hota Hai..


Kasam Khuda Ki Hamein Tum Se Pyar Aaj Bhi Hai,
Wo Pyar Ki Taraf Bekarar Aaj Bhi Hai,


Meri Wafa Ka Aitbar Tumhe Ho Ya Na Ho,
Teri Wafa Ka Aitbar Hamein Aaj Bhi Hai


Mere Zakhamo Ko Hawa De Rahe Ho,
Kis Baat Ki Yeh Saja De Rahe Ho,


Humne Toh Yaar Koi Gustaakhi Nahi Ki,
Phir Kyon Marne Ki Baddua De Rahi Ho.


Mit Mit Ke Musafir Ne Basaya Hai Tujhe,
Sabse Munh Pher Kar Munh Dikhaya Hai Tujhe,


Tujhse Kyun Na Main Lipat Kar Soun E-Kabar

maine Bhi To Aakhir Jaan De Kar Paaya Hai Tujhe.


Jivan Ka Har Panna Rangin Nahi Hota,
Har Rone Wala To Gamgin Nahi Hota,


Ek Hi Dil Ko Koi Kab Tak Todega,
Ab To Koi Jaalta Bhi He To Yakin Nahi Hota.


ना शौक दीदार का,
ना फिक्र जुदाई की,

बड़े खुश नसीब हैँ वो लोग जो,
मोहब्बत नहीँ करतेँ!


Tanha Rehna To Sikh Liya Humne,
Per Khush Na Kabhi Reh Payenge


teri Duri To Pir Bhi Seh Leta Hai Ye Dil
per Teri Mohabbat Ke Bin Na Jee Payenge.


Woh Ghamon Ko Mujhse Milane Ko Mila Tha,
Yaar Mere Dard Badhanae Ko Mila Tha,

Main Dosh Bhala Kya Usko Du,
Toh Kaise Du,
Woh Zindagi Se Nijaat Dilane Ko Mila Tha.


Dil Me Hai Jo Dard Wo Dard Kaise Bataye,
Haste Hue Ye Zakhm Kaise Dikhaye,


Kehti Hai Ye Duniya Hame Khush Naseeb,
Magar Is Naseeb Ki Dastan Kaise Bataye!

दिल में है जो दर्द वो दर्द किसे बताएं,
हंसते हुए ये ज़ख्म किसे दिखाएँ,


कहती है ये दुनिया हमे खुश नसीब,
मगर इस नसीब की दास्ताँ किसे बताएं!


Tere Jaane Ke Baad Sanam Mere,
Sochta Hun Ke Kaise Jiyunga Main,


Tujhse Kiya Hai Isi Liye Wada,
Yeh Judai Ka Zahar Bhi Piyunga Main.


Baar Baar Dil Par Jakham Kab Tak Sahun Main,
Sah Sahkar Yeh Sitam Kab Tak Chup Rahu Main,

Jaante Hain Zamane Waale Mere Halat Sabhi,
Chahiye Jakhmon Ki Dawa Yeh Kis Se Kahun Main.


Jisne Bhi Ki Mohabbat Wo Roya Jarur Hoga,
Wo Yaad Me Kisi Ki Khoya Jarur Hoga..

Deewar Me Sahare,
Ghutne Me Sir Dabakar..

Wo Khayalon Me Kisi Ke Khoya Jarur Hoga..
Aankhon Me Aanshu Aane Ke Baad,

Usne
Dheere Se Unko,
Usne Poncha Jarur Hoga..

Jisne Bhi Ki Mohabbat,
Wo Roya Jarur Hoga..


Logon Ki Bheed Mein Toh Maalun Nahi Hota,
Magar Tanhai Mujhe Bahut Sata Jaati Hai,

Aap Toh Aate Nahi Ho Bulaane Par Bhi,
Aapki Yaad Na Jaane Kyu Chali Aati Hai.


Ek Ajeeb Sa Manzar Nazar Aata Hai,
Har Ek Pal Samandar Nazara Aata Hai,


Kahan Banau Main Ghar Sheeshe Se,
Har Kisi Ke Hath Mein Patthar Nazar Aata Hai…!


Dekh Kar Tanha Mujhse Pucha Baharo Ne..
Kaha Gaya Tera Wo Humsafar..

Tujhe To Bada Naaz Tha Us Par..
Ye Dekh Kar Mein Chup Rahi..


Magar Mere Aansuon Ne Jawab Diya..
Milna Kismat Me Tha,
Bichadna Naseeb Tha,


Wo Mujse Itna Dur Ho Gaya..
Jitna Wo Mere Karib Tha.


Palko Pe Aake Ruk Jaate Hai Ye Aansu,
Tanhaa Paakar Beh Jaate Hai Aaansu,


Dill To Bahot Karta Hai Gum Batlaaun Aap Se,
Par Aap Ko Hastaa Dekh Shukh Jaate Hai Ye Aansu !


Guzar Jayege Aapke Pas Se Hawa Bankar,
Beh Jayege Ankho Se Aansu Bankar,


Aaj To Aapke Pass Fursat Nahi,
Yaad Karoge Jab Reh Jayege Dil Ki Yaad Bankar.


Wada Koi Bhi Kabhi Poora Nahi Kiya,
Har Kadam Par Hamein Thukraya Aapne,

Baad Marne Ke Jalne Ka Dar Na Raha,
Jite Ji Itna Hai Itna Jalaya Aapne.


Ek Tum Hi Se Umeed Ki Hai Mere Khuda,
Der Na Kar Jara Unse Zaldi Mila,


Yeh Rokar Karte Hain Gujaris Upar Wale,
Kahin Ho Na Jaaye Meri Yeh Zindagi Tabaah.


Har Lamha Apni Palkon Par Bithaya Tujhe,
Phir Bhi Yeh Ishq Mera Na Raas Aaya Tujhe,


Kismat Ki Bhi Hai Yeh Ajib Dastan,
Kabhi Hasaya To Kabhi Rulaya Mujhe.


Hamne Toh Apni Mohabbat Ka Izhaar Kiya,
Magar Usne Fir Bhi Na Hamara Eitbaar Kiya,

Main Toh Jahan Se Lada,
Ek Uski Khatir,
Us Bewafa Ne Sikwa Fir Bhi Hazaar Kiya.


Dilki Dahleej Par Yaadon Ke Deeye Rakhe Hain,
Aaj Tak Hamne Yeh Darwaaje Khule Rakhe Hain,

Is Kahani Ke Woh Kirdar Kahan Se Laaun,
Wohi Dariya Hai Wohi Kache Ghade Rakhe Hain,

Hum Par Jo Gujri Bataya Na Batayenge Kabhi,
Kitne Khat Ab Bhi Tere Likhe Huye Rakhe Hain,

Aapke Paas Kharidari Ki Kuvvat Hai Agar,
Aaj Sab Log Dukaano Mein Saje Rakhe Hain.


Sab Log Rah Guzar Nahi Hote,
Sath Chalne Wale Hamsafar Nahi Hote,


Kitna Dard Hota Haio Un Logo Ke Dilo Main,
Pucho Un Logo Se Jinke Apne Bhi Apne Nahi Hote….


तेरे रोने से उन्हें कोई
फर्क नहीं पड़ता ऐ दिल

जिनके चाहने वाले ज्यादा हो
वो अक्सर बे दर्द हुआ करते हैं

Tere Rone Se Unhe Koi

fark Nhi Padta Aye Dil

jinke Chahne Wale Zayada Ho
wo Aksar Be-Dard Hua Karte Hai


Jab Tak Na Mile Mujhe Jakham Kisi Se,
Tab Taj Yah Dil Mera Rahta Pareshan Hai,

Khusiyon Ko Dekar Gham Le Leta Hun Main,
Yahi Toh Yaaro Meri Pahchan Hai.


Tera Pyar Pane Ke Liye,
Kya Kya Na Bana Main,


Kabhi Tujhse Hara,
Kabhi Her Bet Per Jita Main,


Main Har Kar Bhi Hara,
Jeet Ker Bhi Hara,


Tere Pyar Ka Hu Main Mara,
Mila Main Tujh Se Bar Bar,
Magar Mil Na Saka Khud Se Dobara.


Rona Meri Fitrat Hai Bas Mujhko Bahana Chahiye,
Jahan Na Ho Sang Mere Koi Woh Aashiyana Chahiye,

Pagal Mujhko Kahte Hain Pagal Hi Karke Chhodenge,
Baad Na Jiske Koi Gham Ho Woh Thikana Chahiye.


Main Ja Raha Hun Is Duniya Se,
Wada Karo Ke Tum Rounge Nahi,

Tum Jiyoge Zindagi Hansate Huye,
Mere Liye Kuchh Bhi Khounge Nahi.


Kaash Yeh Zalim Judaai Na Hoti,
Ae Khuda Tune Yeh Cheez Banayi Na Hoti,


It Na Hum Unse Milte Na Pyar Hoti,
A Zindigi Jo Apni Thi Woh Parayi Na Hoti.


Nasha Hum Karte Hain,
Ilzaam Sharaab Ko Diya Jaata Hai,


Magar Ilzaam Sharab Ka Nahi Unka Hai,
Jinka Chehra Hume Har Jaam Me Nazar Aata Hai.

नशा हम करते हैं,
इलज़ाम शराब को दिया जाता है,


मगर इल्ज़ाम शराब का नहीं उनका है,
जिनका चेहरा हमें हर जाम में नज़र आता है!


Yeh Meri Thi Tamanna Koi Mera Bhi Yaar Hota,
Jisko Mere Har Ek Gham Ka Ehsaas Hota,

Jo Rahta Hamesha Mere Sukh Dukh Ka Saathi,
Kaash Mere Bhi Koi Itna Paas Hota.


Aap Jaise Hi The Sabhi,
Aur Bhi Jo Mile Mujhko,
Fir Kaise Unmein Sekisi Ko Apna Bana Lete,


Ek Aap Hi Ka Pyarna Raas Aaya Hai Humko,
Fir Un Se Kaiseeh Dost Aur Jakham Kha Lete.


Kya Gham Hai,
Kya Khushi Malum Nahi,
Apna Hai Ki Ajnabi Malum Nahi,


Jiske Bina Ek Pal Nahi Guzarta,
Kaise Guzregi Ye Zindagi Malum Nahi.


Yun To Sadmo Mein Bhi Hans Leta Tha Main,
Aaj Kyu Bewajah Rone Laga Hun Main,


Barson Se Hatheliyan Khali Hi Rahi Meri,
Phir Aaj Kyu Lagaa Sab Khone Laga Hun Main.


Pyar Kiya Jise Hazar Khusiyon Ke Liye,
Wahan Behisab Gham Nikle,
Bewafa Tum Nahi,
Bad Naseeb Hum Nikle.


In Dooriyon Ko Judai Mat Kehna,
In Khamoshio Ko Ruswai Mat Kehna,


Har Mod Pe Yaad Karenge Aapko,
Zindgi Ne Saath Na Diya To Bewafayi Mat Kehna !


Jab Maalum Hai Tujhko Ki Yeh Duniya Matlabi Hain,
Toh Fir Bata Kyu Tu Inse Dil Apna Lagata Hai,


Jab Auron Ke Dil Mein Nahi Hota Tere Liye Dard Kabhi,
Fir Tu Kyu Auron Ke Liye Apna Dil Tadpata Hai.


Koi Achchi Si Saja Do Mujhko..
Chalo Bhula Do Mujhko..


Tumse Dosti Tute Us Din Maut Aa Jaye Mujhko..
Dil Ki Gahraiyon Se Dua Do Mujhko.

कोई अच्छी सी सज़ा दो मुझको,
चलो ऐसा करो भूला दो मुझको,


तुमसे बिछडु तो मौत आ जाये,
दिल की गहराई से ऐसी दुआ दो मुझको!


Apne Dil Ke Gham Ab Kisko Sunayein Hum,
Aapke Baad Ab Paas Kisko Bithayein Hum,

Bin Aapke Toh Ab Ek Bhi Pal Nahi Katata,
Padi Hai Saari Umar Bataao Kaise Bitayein Hum.


Chand Ki Tarah Chamkate Husn Humne Dekhe Hain,
Ishq Mein Kayi Dil Tadpate Dekhe Hain,


Jo Noor Apni Aankhon Ka,
Mahboob Ko Bata Dete Hain,
Woh Aasiq Humne Benoor Tadpate Dekhe Hain.


Nadan Inaki Baato Ka Etabaar Na Kar,
Bhoolkar Bhi In Zaalim Se Pyaar Na Kar


wo Qayaamat Talak Tere Paas Na Aayenge,
Inake Aane Ka Nadan Tu Intajaar Na Kar!

नादान इनकी बातो का एतबार ना कर,
भूलकर भी इन जालिमो से प्यार ना कर,


वो क़यामत तलक तेरे पास ना आयेंगे,
इनके आने का नादान तू इन्तजार ना कर!


Vishwas Ban Ke Log Zindagi Me Aate Hai,
Khwab Ban Ke Aankho Me Samaa Jaate Hai,


Pehle Yakeen Dilate Hai Ki Wo Hamare Hai,
Fir Na Jaane Kyu Badal Jaate Hai.


Ham Juda Hue The Phir Milane Ke Liye,
Zindagi Ki Raahon Mein Sang Chalane Ke Liye,


Tere Pyaar Ki Kashish Dil Mein Basi Hai Kuchh Is Qadar,
Dua Hai Tera Sath Mile Zara Sambhalane Ke Liye

हम जुदा हुए थे फिर मिलने के लिये,
ज़िंदगी की राहों में संग चलने के लिये,


तेरे प्यार की कशिश दिल में बसी है कुछ ईस क़दर,
दुआ है तेरा साथ मिले ज़रा संभलने के लिये।


Jo Kho Diya Is Dil Ne Phir Rona Kaisa,
Yaad-E-Maazi Se Aashon Ko Pirona Kaisa,


Logon Ka Kehna Hum Tum Juda Ho Gaye Laikin,
Jab Dil Mein Mohabbat Hai Tu Juda Hona Kaisa,


Teri Ulfat Ko Faramosh Kiya Hi Nahi Jab,
Tu Kisi Aur Ki Mohabbat Mein Khona Kaisa,
Woh Tu Teri Zindgi Ka Maqsad Hai.


Waqt Nur Ko Benur Kar Deta Hai,
Thode Se Jakhm Ko Nasur Kar Deta Hai,


Kaun Chahta Hai Aapno Se Door Hona,
Per Waqt Sabko Majboor Kar Deta Hai.


Alfaaz To Bahut Hai Mere Dard Bayaan Karne K Liye..
Mere Dostpar Jo Meri Khaamoshi Ko Nahi Samajh Saka..
Wo Mere Alfaaz Ko Kya Samjhega..


Murradon Ki Manzil Ke Sapno Main Khoye,
Mohabbat Ki Raho Pe Hum Chal Pade The.


Zara Dur Chal Ke Jab Aankh Khuli To,
Kadi Dhoop Mein Hum Akele Khade The.


जब भी उनकी गली से गुज़रते है,
मेरी आँखें एक दस्तक दे देती है,


दुःख ये नहीं वो दरवाजा बंद कर देते है,
ख़ुशी ये है की मुझे पहचान लेते है।

Jab Bhi Unki Gali Se Guzarta Hoon,
Meri Ankhein Ek Dastak De Deti Hai,


Dukh Ye Nahi,
Wo Darwaja Band Kar Dete Hai,
Khusi Ye Hai,
Wo Mujhe Ab Bhi Pahchan Lete Hai.


Yaadoan Ki Kasak,
Sansoon Ki Tapash,
Aahoon Ki Nami,


December Tere Andar Sab Kuch Hai,
Hai Bas Uski Kami…


Humne Puchha Yaar Se Itna,
Kaise Woh Bewafa Ho Gaye,


Bole Woh Ki Tumse Kya,
Teri Jeb Se Sikke Kho Gaye.


Aag Roshni Deti Hain,
Aur Jalna Jameen Ko Padta,

Mohabbat Nigahe Karti Hai,
Aur Tadpna Dil Ko Padta Hai.


Main Ne Us Se Bas Itna Hi Puchha Tha Ki,
Ek Pal Mein Kisi Ki Jaan Kaise Nikal Jati Hai,

Us Ne Chalte Chalte Apna Haath,
Mere Haath Se Chhura Liya.


Nazar Aur Naseeb Ke Milne Kaittifaq Kuchh Aisa He,
Ki Nazar Ko Pasand Hamesha Wahi Chiz Aati He Jo,
Naseeb Me Nahi Hoti..

Ik Umer Ki Judai Mera Naseeb Kr Ke,
Woh To Chala Gya He Baatein Ajeeb Kr Ke,


Tarz-E-Wafa Ko Uski Kya Naam Un Me Ab,
Khud Door Ho Gya He Mujh Ko Qareeb Kr Ke

Nazar Aur Naseeb Ke Milne Ka Ittefaq Kuch Aisa Hai,
Ki Nazar Ko Aksar Wahi Cheez Pasand Aati Hai Jo Naseeb Main Nahi Hoti..

Naseeb Mera Kyu Mujse Khafa Ho Jata Hai,
Apna Jisko B Mano Bewafa Ho Jata Hai,


Kyu Na Ho Shikayat Meri Nazaro Ko Raat Se,
Khwaab Pura Hota Nahi Or Sawera Ho Jata Hai..

Naseeb Mera Kyu Mujhse Khafa Ho Jata Hai,
Apna Jisko B Mano Bewafa Ho Jata Hai,


Kyu Na Ho Shikayat Meri Nazaro Ko Raat Se,
Khwab Pura Hota Nahi Or Sawera Ho Jata Hai..

Mujh Sa Badnaseeb Kon Hoga ..
Mery Khandhey Pe Sir Rakh Kar Wo Roya Bhi To Kisi Or Ke Liye!

Mujhe Tujhse Koi Shikwa Ya Shikayat Nahi,
Shayad Mere Naseeb Me Teri Chahat Nahi,


Meri Takdir Likh Kar Khuda Bhi Muqar Gaya,
Maine Pucha To Bola Ye Meri Likhawat Nahi.

Boond Se Moti Maang Lenge,
Chand Se Chandni Mang Lenge,


Agar Teri Dosti Naseeb Huyi A Dost,
To Khuda Se Ek Aur Zindagi Mang Lenge.

Zaroori Nahi Ki Jeene Ka Koi Sahara Ho,
Zaroori Nahi Ki Jiske Hum Ho Woh Bhi Humara Ho,


Kuch Kashtiyan Doob Jaya Karti Hai,
Zaroori Nahi Ke Har Kashti Ke Naseeb Mein Kinara Ho.

Dil Ameer Tha Muqadar Gareeb Tha..
Mill Kar Becharna Humara Naseeb Tha..


Hum Chah Kar Bhi Kuch Kar Na Sakey..
Ghar Bhi Jalta Raha Aur Samundar Bhi Qareeb Tha.


Din Ke Sath Raat Nahi Hoti,
Sitaron Se Dil Ki Baat Nahi Hoti,


Jis Dost Ko Jaan Se Ziyada Chahate Hain Hum,
Khuda Jaane Kyu Unhi Se Mulakaat Nahi Hot.


Upar Waale Ne Shayad Galti Se,
Khusiyon Ki Jagah Bhi Likh Diye Hain Gham,

Lagta Hai Mout Se Hogi Mulakat Jaldi,
Shayad Zindagi Ke Din Rah Gaye Hain Kam.


Kya Karoge Jaankar Hamaare Baare Mein,
Hum Toh Bas Yun Hi Jiye Jaate Hain,


Log Dete Ja Rahe Hain Gham Humko,
Hum Toh Bas Unko Siye Jaate Hain.


Dil Ka Dard Ek Raaz Banke Reh Gaya,
Mera Bharosa Mazak Banke Reh Gaya,


Dilo Ke Saudagar Se Dillagi Kar Bethe,
Shayad Is Liye Mera Pyaar Mazak Ban Ke Reh Gaya.

दिल का दर्द एक राज बनकर रह गया,
मेरा भरोसा मजाक बनकर रह गया,


दिल के सोदागरो से दिललगी कर बैठे,
शायद इसीलिए मेरा प्यार इक अल्फाज बनकर रह गया।


Na Muskurane Ko Jee Chahta Hai,
Na Aansoo Bahane Ko Jee Chahta Hai,


Likhun To Kya Likhun Teri Yaad Mein,
Bas Tere Pass Laut Aane Ko Jee Chahta Hai.


Raat Ko Sapno Mein Dhundta Raha,
Na Mile Tum,
Magar Jab Dil Mein Dekha Toh Laga Paas Ho Tum,

Meri Aankhon Se Yeh Aansu Kyu Chhalak Rahe Hain,
Lagta Hai Aaj Fir Se Udaas Ho Tum.


Hamari Mohabbaat Ki Baat Kuchh Is Tarah Se Faili,
Ki Har Ek Ki Labon Par Yeh Jubaani Ho Gayi,


Hum Ne Toh Kiya Tha Aapse Sacha Pyar Magar,
Is Ki Mohabbat Ki Aaj Dekho Kahani Ho Gayi.


Aata He Nahi..
Us Nadan K Bagair Jeena,


Kash Us Shakhs Ne..
Marna Bhi Sikha Deya Hota.


Kab Tak Reh Paoge Aakhir Yun Door Hum Se,
Milna Padega Aakhir Kabhi Zaroor Hum Se,


Nazrein Churane Wale Ye Berukhi Hai Kaisi,
Keh Do Agar Hua Hai Koi Kasoor Hum Se.


Mana Ki Poojati Hai Duniyachadte Sooraj Ko,
Kya Hua Hai Yaarojo Aaj Hamari Sham Hai,


Magar Yeh Bhi Wada Rahaaapse Hamara Dosto,
Dekhna Kal Ki Subahhumare Hi Naam Hai.


Tag:
Sad Shayari, Shayari, Sad Shayari Status, Sad Shayari Whatsapp Status, Love Shayari, Tik Tok Sad Shayari, Hindi Shayari, Sad Poetry, Sad Shayari In Hindi, Heart Touching Shayari, New Shayari, Tik Tok Shayari, Sad Shadi Shayari, Sad Shayari Urdu, Urdu Sad Shayari, 2 Line Sad Shayari, Shayari Status, Sad Shayari On Love, Sad Shayari To Line, Tiktok Sad Shayari, Nepali Sad Shayari, Gf Shadi Shayari, Shayari Sad, Hindi Shayri