Best Sad Shayari | अध्याय 6


Best Sad Shayari

Kyo Yaad Aati Ho Dil Dukhane Ke Baad,
Kyo Dur Jati Ho Pass Aane Ke Baad,


Humne To Bahut Chaha Hai Dil Se Tumko,
Fir Kyu Aansu De Jati Ho Yaad Aane Ke Baad.


Najron Se Najar Mili Aur Unse Pyar Ho Gaya,
Bahut Roka Apne Dil Ko Magar Yeh Bekarar Ho Gaya,


Jab Se Kiya Pyar Tujhse Dil Ka Chain Hai Kho Gaya,
Ho Ke Juda Main Ji Na Saka Jeena Bhi Bhool Gaya.


डूबते हैं तो पानी को दोष देते हैं,
गिरते हैं तो पत्थर को दोष देते हैं,


इंशान भी क्या अजीब हैं दोस्तों..
कुछ कर नहीं पाता तो किस्मत को दोष देते है

Dubte Hain To Pani Ko Dosh Dete Hain,
Girte Hain To Pather Ko Dosh Dete Hain,


Insaan Bhi Kya Ajib Hain Dosto..
Kuchh Kar Nahi Pata To Kismat Ko Dosh Dete Hain!


Bahut Jee Chuke Hum Gairon Ke Liye,
Ab Apno Ke Liye Hi Bas Jiyenge Hum,

Bahut Le Liye Hain Dard Auron Ke Humne,
Ab Toh Apno Ke Ghamon Ko Seeyenge Hum.


उसके चले जाने के बाद..
हम महोबत नहीं करते किसी से..


छोटी सी जिन्दगी है..
किस किस को अजमाते रहेंगे|


Jitne Bhi Dena Chaho Gham De Do Mujhko Yaaro,
Ab Toh Do Char Lamhon Ka Bas Mehman Hun Main,

Main Apne Kiye Waade Nibha Paya Na Kabhi,
Bas Ek Isi Baat Se Ab Tak Pareshan Hun Main.


Dil Ki Duniya Khali Hai Tab Se Jab Se Tum Gaye Ho,
Sab Aane Se Darte Hain Yahan Jab Se Tum Gaye Ho,


Sheeshe Mein Dekhta Hoon Chehra Apna To Ro Deta Hoon,
Kissi Ne Na Poonche Aansoo Jab Se Tum Gaye Ho.


Kismat Kisi Ki Kisi Se Ruthe Na,
Yeh Saath Kisi Ka Bhi Kisi Se Chhute Na,


Jara Pyar Karna Soch Samajhkar,
Dekhna Dil Kahin Kisi Ka Tute Na.


Zindagi Meri Adhuri,
Raah Mein Tanhaiyan,

Sham Dhalte Aa Gayi Hain,
Fir Wohi Tanhaiyan,

Raat Humne Kaat Li,
Julmo Sitam Ko Jhelkar,

Waqt E Sahar Toh Ho Gaya,
Par Saath Thi Tanhaiyan,

Fir Tera Aanchal Jara Sar Se Mere Hatne Laga,

Jaise Jaise Woh Hta,
Badhti Gayi Tanhaiyan,

Yeh Tera Ahsaan Ke Tu Tanha Mujhko Kar Gaya,
Warna Kabhi Poori Bhi Na Hoti Meri Tanhaiyan,

Saaf Saaf Kah Rha Hai Rang Tere Rukhsaar Ka,
Tu Bhi Tanha Rah Gaya Dekar Mujhe Tanhaiyan.


Jisne Hamko Chaha,
Use Hum Chah Naa Sake.


Jisko Hamne Chaha,
Use Hum Paa Naa Sake.


Ye Soch Lo Ki,
Dil Tutne Ka Khel Hai,


Kisi Ka Toda Aur,
Apna Bacha Naa Sake.


Dil Todne Se Toh Achha Tha,
Pyar Ka Izhaar Hi Na Karte,

Khud Ko Bad Kismat Samajh Kar,
Hum Apni Kismat Par Hi Ro Lete.


Ab Tak Kisi Ne Na Samjha Hamein Apna,
Hamin Kyun Fir Sabko Apna Kahte Hain,

Tumne Kaisa Banaya Hai Humko Eh Khuda,
Sitam Kyu Sabke Hum Chup Chap Sahte Hain.


Kal Uski Yaad Poori Raat Aati Rahi,
Hum Jaage Paari Duniya Soti Rahi,


Aasman Main Bijali Paari Raat Hoti Rahi,
Bas Ek Barish Thi Jo Mere Saath Roti Rahi.

कल उसकी याद पूरी रात आती रही,
हम जागे पूरी दुनिया सोती रही,


आसमान में बिजली पूरी रात होती रही,
बस एक बारिश थी जो मेरे साथ रोती रही!


Dil Me Har Raaz Daba K Rakhte Hain,
Honto Pay Muskan Saja K Rakhtey Hain,


Ye Duniya Sirf Khushi Main Saath Deti Hay,
Is Liye Hum Apne Aanso Chupa K Rakhte Hain.

दिल मैं हर राज़ दबा कर रखते है,
होंटो पर मुस्कराहट सजाकर रखते है,


ये दुनिया सिर्फ़ खुशी मैं साथ देती है,
इसलिए हम अपने आँसुओ को छुपा कर रखते है।


Muskrana Chaha Muskra Na Sake,
Geet Bhi Khusiyo Ke Hum Ga Na Sake,


Paray To Kabhi Apne Bante Nahi,
Hum To Apno Ko Bhi Apna Bana Na Sake .


Kafi Arsa Beet Gaya Jane Ab Woh Kaisa Hoga,
Waqt Ki Sari Kerwi Batain Chup Chap Sehta Hoga,

Ab Bhi Bhegge Barish Mein Woh Ban K Chatri Chalta Hoga,
Mujhse Bichre Arsa Beeta Ab Wo Kis Se Larta Hoga,

Acha Tha Jo Sath Hi Rhete Baad Mein Os Ne Socha Hoga,
Apne Dil Ki Sari Baatain Khud Se Khud Hi Karta Hoga.


तन्हा रहना तो सीख लिया हमने,
लेकिन खुश कभी ना रह पाएंगे,


तेरी दूरी तो फिर भी सह लेता ये दिल,
लेकिन तेरी मोहब्बत के बिना ना जी पाएंगे.


Woh Kareeb Hi Na Aaye To Izhaar Kya Karte,
Khud Bane Nishana To Shikaar Kya Karte,


Mar Gaye Par Khuli Rakhi Aankhein,
Is Se Zyada Kisi Ka Intezar Kya Karte.

वो करीब ही न आये तो इज़हार क्या करते,
खुद बने निशाना तो शिकार क्या करते,


मर गए पर खुली रखी आँखें,
इससे ज्यादा किसी का इंतजार क्या करते!


न वो सपना देखो जो टूट जाये,
न वो हाथ थामो जो छूट जाये,


मत आने दो किसी को करीब इतना,
कि उसके दूर जाने से इंसान खुद से रूठ जाये।

Na Wo Sapna Dekho Jo Toot Jaye,
Na Wo Hath Thamo Jo Choot Jaye,


Mat Aane Do Kisiko Itna Karib Etna

Ke uske Dur Jane Se Insaan Khud Se Ruth Jaye.


मत सोच कि मैं तुझे भुला नहीं सकता,
तेरी यादों के पन्ने मैं जला नहीं सकता,


कश्मकश ये है कि खुद को मारना होगा,
और अपने सुकून की खातिर,
तुझे रुला नहीं सकता|


Aksar Gumsum Rehnewala Nagma Hu Main,
Aapki Yaado Me Rehnewala Lamha Hu Main,


Aap Meri Jaan Ho To Ek Baat Batao,
Aapke Hote Huye Bhi Kyu Tanha Hu Main.


Kam Nahi Hain Aansu..
Meri Ankhon Me Magar,


Rota Nahi K Unme..
Uski Tasveer Dikhti Hai.


Kya Ho Agar Aapka Pyar Aapse Door Chala Jaye,
Phir Naa Kabhi Wo Zindagi Me Paas Laut Kar Aaye,


Chhupke Sabse Chori Se Fir Dil Ye Bahut Rota Hai,
Sach Hai Dosto Kisi Ko Bhulana Aasan Nahi Hota Hai.


Jo Jakham De Gaye Aap Mujh Ko,
Na Jaane Kyun Woh Jakham Nahi Bharta,

Hum Toh Milna Chahte Hain Aapse Magar,
Kya Karein Hamara Naseeba Nahi Milta.


Har Raahi Ko Mann Chaha Mukaam Nahi Milta,
Jisko Jee Bhar Pyar Kar Sake Wo Insaan Nahi Milta,


Aasma Ke Sitaron Ki Tarah Hamare Armaan Bhi Bikharte Rehte Hain,
Jo Apne Dil Mein Hamein Jagah De Sake Wo Meharbaan Nahi Milta.


Aaj Tak Hai Uske Lout Aane Ki Umeed,
Aaj Tak Thehri Hai Jindagi Usi Jageh,


Laakh Ye Chaha Ki Usko Bhul Jaayun,
Hosla Apni Jageh Bebasi Apni Jageh.

आज तक है उसके लौट आने की उम्मीद,
आज तक ठहरी है ज़िंदगी अपनी जगह,


लाख ये चाहा कि उसे भूल जाये पर,
हौंसले अपनी जगह बेबसी अपनी जगह।


Pyar Karta Hun Main Jinko Khuda,
Khush Rakhna Unhe Yeh Fariyad Karta Hun,


Bhale Hi Bhool Gaye Hon Woh Mujhko,
Magar Main Har Pal Unko Yaad Karta Hun.


Woh Kehte Hai Dil Pe Bharosa Itna Nahi Karte,
Hum Kehte Hai Mohabbat Mein Socha Nahi Karte,

Woh Kehte Hai Nazro Se Door Par Dil Ke Paas Hoon,
Humne Kaha Sapno Se Dil Ko Behlaya Nahi Karte


Gham Ke Dariyaon Se Milkarbana Hai Yeh Sagar,
Aap Kyu Is Mein Samaane Kikoshish Karte Ho,


Kuchh Nahi Haiaur Is Jeevan Mein Gham Ke Shiwa,
Aap Kyu Is Zindagi Meinaane Ki Koshish Karte Ho.


Poochha Na Zindagi Mein,
Kisi Ne Bhi Dil Ka Haal,


Ab Shahar Bhar Mein Zikrr,
Meri Khudkushi Ka Hai.


जिस जिस ने मुहब्बत में,
अपने महबूब को खुदा कर दिया,


खुदा ने अपने वजूद को बचाने के लिए,
उनको जुदा कर दिया|


Har Sapna Khushi Pane Se Pura Nahi Hota,
Koi Kisi Ke Bina Adhora Nahi Hota,


Jo Chand Roshan Karta Hai Rat Bhar Sab Ko,
Har Raat Woh Bhi To Poora Nahi Hota.


Muhabbat Ka Dosto Sila Kuch Nahi,
Ek ‘Dard’ Ke Siva Mila Kuch Nahi,


Saare Armaan Jal Kar Khaak Ho Gaye,
Log Phir Bhi Kehte Hai Jala Kuch Nahi.


Bojh Ban Gaya Hun Dharti Par,
Mere Maula Tu Utha Le Mujhko,

Bhale Daal Dena Wahan Narka Mein,
Bas Apne Paas Bula Le Mujhko.


Kis Baat Ka Marham Denge Yaar,
Jab Haal Hamara Na Jaane Koi,


Sab Dekhte Hain Upri Dikhave Ko Hi,
Mere Dil Ka Dard Na Pahchane Koi.


हकीकत जान लो जुदा होने से पहले,
मेरी सुन लो अपनी सुनाने से पहले,


ये सोच लेना भूलने से पहले,
बहुत रोई हैं ये आँखें मुस्कुराने से पहले.

Haqikat Jaan Lo Juda Hone Se Pahle,
Meri Sun Lo Apni Sunane Se Pahle,


Ye Soch Lena Bhulane Se Pahle,
Bahut Royi Hain Ye Aankhen Muskurane Se Pahle.


Tujhe Chaha Bhi To Ijahaar Na Kar Sake,
Kat Gai Umar Kisi Se Pyaar Na Kar Sake,


Tune Maanga Bhi To Apani Judai Maangi,
Aur Ham The Ki Inkaar Na Kar Sake.

तुझे चाहा भी तो इजहार न कर सके,
कट गई उम्र किसी से प्यार न कर सके,


तुने माँगा भी तो अपनी जुदाई मांगी,
और हम थे की इंकार न कर सके।


Halat Hi Aisi Hai Ke Aansu Chhalak Aate Hain,
De Kar Ke Muhko Gham,
Sabhi Dil Ko Dukhate Hain,

Main Aaj Talak Na Samajh Paya Hun Mere Khuda,
Mere Kiye Ehsaano Ko Sab Kyu Bhool Jaate Hain.


Ye Keh Kar Mere Dushman,
Mujhe Hansta Chor Gaya,

K Tere Apne Hi Kafi Hai,
Tuhje Rulane K Liye.


Dil Se Tera Pyar Hoga Kam Nahi,
Tum Bewafa Huye To Kya,


Aur Ek Gham Sahi,
Aapka Faisla Aapke Karm Karenge,
Sab Kuchh Milega Tumhe Magar Honge Hum Nahi.


Dukh Ne Sukh Ki Saans Li Hai,
Kaash Koi Phir Yaad Na Aaye.

Phir Na Karna Meri Gustakh Nigahaon Ko Gila,
Daikhye Aap Ne Phir Pyar Se Daikha Hai Mujhe..


Hijar Ki Raaton Main,
Sisak Sisak K Ro Leti Hoon,

Tanhayi K Dinon Main Uss Ki Ek Jhalak Dekhne Ko Taras Jaati Hoon.
Chalte Chalte Raahon Main Uss Ka Rasta Takti Hoon,

Ek Din Insha’Allah Humara Hoga Millan,
Iss Umeed K Sahare Dil Behla Leti Hoon.

Mere Naseeb Ka Khel Niraala Ho Gaya,
Ghar Mera Jalaa Aur Kahin Aur Ujala Ho Gaya.

Nikle Jo Janaza Mera Do Phool Gira Dena,
Milne Ki Tamana Ho Toh Kafan Hata Dene.

Wo Toot Chuka Tha Mohabbat Main,
Mgar Us Ko Mohabbat Se Koi Shikayat Nahi Thi.

Mujhe Neend Ki Ijaazat Bhi Unki Yaadon Se Leni Parti Hai,
Jo Khud Aaram Se Soye Hain Mujhe Karwaton Mein Chhor Kar.

Ungliya Aaj Bhi Ise Soch Mein Gum Hain,
Kya Usne Naye Hath Ko Thama Hoga.

Tu Bhi Auro Ki Trah Mujh Se Kinara Kar Le,
Sari Dunia Se Bura Hun Tere Kis Kaam Ka Hun.


Hum Kaise Bataaye Ab Aapko Apni Bebasi,
Kyu Aapko Apne Dil Mein Basa Nahi Sakte,


Kyonki Jiski Yaadon Ke Sahaare Hum Zinda Hain,
Unki Yaadon Ko Hum Kabhi Bhula Nahi Sakte.


Kya Mila Aapko Sanam,
Mera Dil Todkar,

Hum Yahin Rah Gaye,
Aap Chal Diye Hamein Chhod Kar.


Na Tang Karo Hume,
Hum Sataye Huye Hai,
Mohabbat Ka Gum Dil Pe Uthaye Huye Hai,

Khilona Samajh Kar Yu Na Khelo Humse,
Hum Bhi Usi Khuda Ke Banaye Huye Hai.


Kehte Hai Gam Baatne Se Hota Hai Kam,
Aisa Hi Kabhi Pele Maante The Hum,

Tere Pyar Ki Nishani Tera Gam Hi To Hai Mere Paas,
Wo Bhi Baatdu To Rahega Kya Mere Paas,

Sochta Hoon In Sagar Ki Lehro Ko Dekh Kar,
Kyon Yeh Kinaro Se Takra Kar Palat Jati Hai,

Karti Hai Vo Kinare Se Bewafai Ya 

Fir Sagar Se Wafa Nibhati Hai.


Ehsaas Bohut Hoga Jab Chhod Ke Jayenge,
Royenge Bohut Magar Aansu Nahi Aayenge,

Jab Saath Na De Koi Toh Awaaz Humein Dena,
Aasmaan Per Bhi Honge Toh Laut Aayenge.


Salo Gujar Gaye Rokar Nahi Dekha,
Ankho Mein Neend Thi Sokar Nai Dekha,


Woh Kya Jane Dard Mohabbat Ka,
Jisne Kisi Ko Kabhi Khokar Nahi Dekha.


Shayad Khuda Ke Darbar Mein Bhi
Beimaani Chalti Hogi,

Isi Liye Toh Hamari Kismat Ko
Aisa Banaya Hoga,

Jab Diye Honge Auron Ko
Khusiyon Ke Khajaane,

Ghamon Ko Akele Mere Ghar Ka
Raasta Dikhaya Hoga.


खुशियाँ कम और अरमान बहुत हैं,
जिसे भी देखो परेशान बहुत है..


करीब से देखा तो निकला रेत का घर,
मगर दूर से इसकी शान बहुत है..


कहते हैं सच का कोई मुकाबला नहीं,
मगर आज झूठ की पहचान बहुत है..


मुश्किल से मिलता है शहर में आदमी,
यूं तो कहने को इन्सान बहुत हैं।।


तेरे दर्द पर रोता हूँ आज भी,
तू बेदर्द हो गयी ज़माने से,
क्या कमी रह गयी मेरी मुहब्बत मे,
ये जिन्दगी बीत न जाये सुलझाने मे|


Kabhi Laga Wo Mujhe Sata Rahe Hai,
Kabhi Laga Ke Wo Karib Aa Rahe Hai,
Kuchh Log Hote Hai Ansuon Ki Tarah,
Pata Hi Nahi Lagta Sath De Rahe Hain,
Ya Chhod Kar Jaa Rahe Hain !


Yeh Maana Ke Fursat Nahi Hai Aapko Magar,
Hamare Liye Do Pal Toh Nikaal Sakte The Tum,

Yeh Mana Ke Khusiyan Bantana Nahi Chahte The,
Magar Apne Ghamon Mein Toh Pukaar Sakte The Tum.


Dil Ka Har Dard Kho Gaya Jaise,
Main Toh Pathar Ka Ho Gaya Jaise,

Daag Baki Nahi Ke Nishan Kahun,
Koi Deevar Dho Gaya Jaise,

Jagta Jahan Gham Ki Dhoop Mein Tha,
Chhav Paate Hi So Gaya Jaise.


Jis Din Se Juda Woh Humse Hue,
Is Dil Ne Dhadkna Chhor Dia,

Hai Chand Ka Munh Bhi Utra Utra,
Taaron Ne Chamakna Chhor Diya.


खामोशी से बिखरना आ गया है,
हमें अब खुद उजड़ना आ गया है,


किसी को बेवफा कहते नहीं हम,
हमें भी अब बदलना आ गया है,


किसी की याद में रोते नहीं हम,
हमें चुपचाप जलना आ गया है,


गुलाबों को तुम अपने पास ही रखो,
हमें कांटों पे चलना आ गया है|

Khamoshi Se Bikharna Aa Gaya Hai,
Hamian Ab Khud Ujarna Aa Gaya Hai,


Kisi Ko Bewafa Kehte Nahi Hum,
Hamian B Ab Badlna Aa Gaya Hai,


Kisi Ki Yad Main Rote Nahi Hum,
Hamian Chup Chap Jalna Aa Gaya Hai,


Gulabun Ko Tm Apne Pass Rakho,
Hamian Kantun P Chalna Aa Gaya Hai.


Humein Izhaar Karna Nahi Aaya,
Unhe Pyaar Karna Nahi Aaya,


Hum Bas Dekhte Hi Reh Gaye,
Aur Waqt Ko Thamna Nahi Aaya,


Woh Chalte Chalte Itne Door Chale Gaye,
Humein Rokna Bhi Nahi Aaya.


Aisi Kardi Hai Tumne Meri Halat Yarab,
Haal E Dil Kisi Ko Suna Na Paaunga,


Tujhse Kiya Hai Wada Tabhi Majboor Hun,
Isi Liye Khud Ko Main Mita Na Paaunga.


Humara Dil Tab Nahi Rota,
Jab Hum Kisi Ko Kho Dete Hain…


Dil To Tab Rota Hainjab Hum Khud Ko 
Kho Kar Bhi Kisi K Ho Nahi Pate….


Na Jaane Eh Dost Kis Baat Ne Tujhko,
Zindagi Mein Apni Itna Magrur Kar Diya,


Yeh Bhi Aapka Julm Hai Jo Dekar Ke Kasam,
Hum Ko Jeene Ke Liye Majboor Kar Diya.


Ishq Tujh Se To Zehar Acha Hai,
Kambhkat Peene Ke Baad Maut To Gale Laga Leti Hai.


Kabhi Ro Ke Muskuraye Kabhi Muskura Ke Roye,
Jab Bhi Teri Yaad Aayi Tujhe Bhula Ke Roye,


Ek Tera Hi To Naam Tha Jise Hazaar Bar Likha,
Jitna Likh Ke Khush Hue Uss Se Jyada Mita Ke Roye.

कभी रो के मुस्कुराये कभी मुस्कुरा के रोये,
तेरी याद जब भी आयी तुझे भुला भुला के रोये,


एक तेरा ही नाम था जिसे हज़ार बार था लिखा,
जिसे खुश हुए थे लिख कर उसे मिटा मिटा के रोये।


दर्द ही सही मेरे इश्क का इनाम तो आया,
खाली ही सही हाथों में जाम तो आया,


मैं हूँ बेवफ़ा सबको बताया उसने,
यूँ ही सही,
उसके लबों पे मेरा नाम तो आया।

Dard Hi Sahi Mere Ishq Ka Inaam To Aaya,
Khali Hi Sahi Hathon Me Jaam To Aaya


main Hoon Bewafa Sabko Bataya Usne,
Yun Hi Sahi Uske Labon Pe Mera Naam To Aaya!


लगे है फोन जबसे​ ​तार भी नहीं आते​​,
​बूढी आँखों के अब मददगार भी नहीं आते​​,


​​गए है जबसे शहर में कमाने को लड़के​​,
​​हमारे गाँव में त्यौहार भी नहीं आते।


Kabhi Hum Tute Toh Kabhi Khwab Tute,
Jane Kitne Tukdo Me Armaan Tute,


Har Tukda Ek Aaina Hain Zindagi Ka,
Har Aaine Ke Sath Lakho Jazbat Tute.


तुम बिन ज़िंदगी सूनी सी लगती है,
हर पल अधूरी सी लगती है,


अब तो इन साँसों को अपनी साँसों से जोड़ दे,
क्योंकि अब यह ज़िंदगी कुछ पल की मेहमान सी लगती है।

Tum Bin Zindagi Suni Si Lagti Hai,
Har Pal Adhuri Si Lagti Hai,


Ab To In Saanson Ko Apni Saanson Se Jodde,
Warna Zindagi Kuch Pal Ki Mehmaan Lagti Hai


Aankhon Mein Meri Kai Logo Ne Padha Hai,
Pinjare Ke Panchhi Sa Dil Bebas Khada Hai,


Azaad Hokar Khule Aasamaan Mein Udhane Ko Bekaraar Hai,
Kisi Aur Ka Nahi Mujhe Sirf Tera Hi Intezaar Hai.

आँखों में मेरी कई लोगो ने पड़ा है,
पिंजरे के पंछी सा दिल बेबस खड़ा है,


आज़ाद होकर खुले आसमां में उड़ने को बेकरार है,
किसी और का नहीं मुझे सिर्फ तेरा ही इंतेज़ार है।


Saarey Waadon Ko Bhula Sakta Hun,
Lekin Rehne Do,
Main Tumhein Chor K Ja Sakta Hun,
Lekin Rehne Do,


Tum Jo Har Mord Pe Keh Daiti Ho Khuda Hafiz,
Faisla Mein Bhi Suna Sakta Hun,
Lekin Rehne Do,


Tum Ne Jo Baat Ki Dil Ko Dukhane Wali,
Us Per Main Muskura Bhi Sakta Hun,
Lekin Rehne Do,


Jee Bhar Ke Roye To Karar Paya,
Iss Daur Mein Kisne Sachha Pyaar Paya,


Zindagi Guzar Rahi Hai Imtihanon Ke Daur Se,
Ek Zakhm Bhara,
To Dusra Taiyaar Paya…


Jane Kitni Umeede Thi Tujhko Meri Yadon Se,
Ke Jab Bhi Ayengi Haal Suna Jaya Karengi.


Hum Bhi Tere Liye Ek Khilona Bhar The,
Ke Yaden Ayeni Or Dil Bahla Jaya Karengi.


Yeh Toh Vakt Vakt Ki Baat Hai Dost,
Kabhi Hum Bhi Isi Arsh Ke Taare The,

Aaj Aapki Najron Ko Nahi Bhaate,
Kabhi Hum Bhi In Najron Ke Pyare The.


Har Mulakat Par Waqt Ka Takaza Hua,
Jab Jab Use Dekha Dil Ka Dard Taza Hua,


Suni Thi Sirf Ghazal Mein Judai Ki Bate,
Ab Khud Par Biti To Haqiqat Ka Andza Hua.

हर मुलाकात पर वक्त का तकाज़ा हुआ..
हर याद पे दिल का दर्द ताजा हुआ..


सुनी थी सिर्फ हमने गज़लों मे जुदाई की बातें..
अब खुद पे बीती तो हकीकत का अंदाजा हुआ..


Tujhko Kiya Humse Juda Jisne,
Humne Woh Sara Hi Zamana Chhod Diya,


Jeene Ki Tamanna Bhi Na Rahi Baaki,
Humne Dil Apna Khud Hi Tod Diya.


Jaakar Maykhane Par Yaaro,
Peena Toh Ek Bahana Hai,

Sachh Toh Yeh Hai Tere Gham Ko,
Ismein Doob Kar Bhulana Hai.


Jab Humai Unse Muhabbat Thi..
Toh Unhai Hamari Muhabbat Pe Shak Tha..


Dosto..
Jab Unhai Hamari Muhabbat Ka Ehsaas Hua..
Toh Hum Par Kisi Aur Ka Haq Tha..


Mere Pehlu Mein Bhi Ek Shama Jala Karti Hai
Jiski Lou Se Teri Tasveer Bana Karti Hai,

Samne Tere Zuban Band Hi Rehti Hai Magar,
Dil Ki Jo Baat Hai Wo Aankh Bayan Karti Hai,

Chup Kyu Ho Humse Koi Baat Karo Ae-Dilwar,
Aise Khamoshi Se To Takleef Badaa Karti Hai,

Shamma Jalti Hai To Zamane Ko Pata Chalta Hai,
Dil K Jalne Ki Khabar Aakhir Kisko Hua Karti Hai.


Khusiyan Humko Koi Deta Nahi Hai Yahan,
Gham Apne Kisi Ko Dena Nahi Chahte,

Kahte Hain Paas Rahne Se Pyar Kam Hota Hai,
Isliye Kisi Ke Paas Bhi Rahna Nahi Chahte.


Is Pyar Bhare Dil Mein Kar Ke Paida Nafrat,
Kyu Mujhko Meri Hi Nazron Mein Gira Rahe Ho,

Kuchh Toh Aur Pal Kar Lo Intezaar Tum Yaaro,
Kyu Jeete Ji Humara Janaza Utha Rahe Ho.


Aap Bhi Ho Gaye Hum Se Bewafa,
Humko Yeh Aitbar Hi Nahi Hota,

Hum Toh Koste Hain Apne Aap Ko Hi,
Kaash Aapse Pyar Hi Nahi Hota.


Paane Ke Liye Jisko Chale The Ghar Se Hum,
Manzil Woh Hamari Raah Mein Kahin Chhut Gayi,


Ab Kis Ko Dosh Du Tu Hi Bata De Sagar,
Lagta Hai Meri Kismat Hi Mujh Se Rooth Gayi.


Anjaane Mein Hum Tum Se,
Dil Ko Laga Baithe,

Apni Khusiyon Ko Hum,
Khud Hi Ganva Baithe,

Tujh Se Shikayat Nahi Karenge,
Ki Khata Hamari Hi Hai,

Jo Bekadron Ko Pyar Ki,
Murat Hi Bana Baithe.


Toote Jo Dil To Dukh Hota Hai,
Karke Pyar Use Dil Ab Bhi Rota Hai,


‘Dard’ Ka Ehsas Hota Hai Sirf Usko,
Jo Muhabbat Ko Paane Ke Baad Khota Hai.


Hum To Hain Musafir,
Na Ghar Na Thikana,

Na Manzil Na Aashiyana,
Na Koi Apna Na Begana,

Thaam Ke Tanhaion Ka Haath,
Kar Ke Akelepan Se Baat,

Chalta Hun Gumnaam,
Main Shayar Badnaam.


Zaruri To Nahi Jine Ke Liye Sahara Ho,
Zaruri To Nahi Hum Jinke Hai Who Humara Ho,


Kuch Kashtiya Doob Bhi Jaya Karti Hai,
Zaruri To Nahi Har Kashti Ka Kinara Ho.


मत ज़िकर कीजिये मेरी अदा के बारे में,
मैं बहुत कुछ जानता हूँ वफ़ा के बारे में,


सुना है वो भी मोहब्बत का शोक़ रखते हैं,
जो जानते ही नहीं वफ़ा के बारे में।


Kuch Aise Haadse Bhi Zindagi Me Hote He Dost,
Insaan Bachh To Jata He ,
Magar Zinda Nahi Rahta.

Kitni Fikra He Kudrat Ko Meri Tanhai Ki,
Jagte Rahte He Raatbhar Sitare Mere Liye.

Uski Jeet Se Hoti He Khushi Mujhko,
Yahi Jawab Mere Paas Apni Haar Kaa Tha.

Uske Haatho Ka Khilona Hi Sahi Khush Hu Me,
Kuch Der Ke Liye Hi Sahi Mujhe Chahta To Hai.

Me Fanaa Ho Gaya Afsos Woh Badla Bhi Nahi,
Meri Chahto Se Bhi Sacchi Rahi Nafrat Uski.


Kyon Tujhi Ko Dekhna Chahati Hain Meri Aankhein,
Kyon Khamoshiyaan Karti Bas Hain Teri Baatein,


Kyon Itna Chahane Laga Hoon Tujhko Main,
Ki Taare Ginte Huye Kat-Ti Hain Meri Raatein,


Tu Hi Kuchh Bata De Kya Main Karoon Inka,
Har Pal Jo Mujhe Tadpaati Hain Teri Yaadein.


Aisa Nahi Hai Ki Ab Teri Mujhko Zaroorat Nahi Rahi,
Bas Toot Toot Kar Ab Bikhrne Ki Himmat Nahi Rahi;,


Aisa Nahi Hai Ki Tere Peeche Teri Yaad Aati Nahi,
Bas Ab Foot Foot Kar Rone Kee Himmat Nahi Rahi.


Log Mohabbat Ko Khuda Ka Naam Dete Hai,
Koi Karta Hain Toh Eljaam Dete Hain,


Kehte Hain Patthar Dil Roya Nahi Karte,
Or Patthar K Rone Ko Jharne Ka Naam Dete Hai.


Aisa Hua Aalaam Ke Apne Aap Ko Bhi,
Aajkal Yaaro Main Pahchan Nahi Pata Hun,

Hansne Par Bhi Nikal Aate Hain Aansu Mere,
Is Liye Mola Muskura Bhi Nahi Pata Hun.


ठोकर ना लगा मुझे पत्थर नही हूँ मैं,
हैरत से ना देख कोई मंज़र नही हूँ मैं,


उनकी नज़र में मेरी कदर कुछ भी नही,
मगर उनसे पूछो जिन्हें हासिल नही हूँ मैं|

Thokar Na Laga Mujhe Pathar Nahi Hu Main,
Hairat Se Na Dekh Mujhe Manzar Nahi Hu Main,


Mana Ki Unki Nazro Mein Meri Kader Kuch Bhi Nahi,
Mager Unse Poocho Jinhe Haasil Nahi Hu Main.


Saaye Ne Saath Chhod Diya Yaar Ne Dil Tod Diya,
Ab Toh Khuda Bhi Mere Khilaf Ho Gaya,

Jo Pyar Ka Chirag Jalaya Tha Maine,
Usi Chiraag Se Jalkar Main Khak Ho Gaya.


Hamare Sabr Ka Imtihaan Na Lijiye,
Hamari Khamoshi Ko Saza Na Dijiye,

Jo Aapke Bina Jee Na Sake,
Unhe Jeene Ki Duaa Na Dijiye.


Baad Unke Jeene Ki Tamanna Hi Nahi,
Mere Moula Tu Apne Paas Bula Le Mujhko,


Mujhse Sahi Nahi Jaati Unki Berukhi,
Tu Apni God Mein Ab Sula Le Humko.


Gum Ka Ehsaas Unko Hone Na Diya,
Hum Roye Unko Rone Na Diya,


Ab Use Khush Rakhna Ae Khuda,
Jisne Chain Se Hamko Sone Na Diya.


Sabhi Karte Hain Pyar Jeevan Mein,
Jo Humne Bhi Kiya Toh Kya Hua,

Sabhi Karte Hain Haasil Khusiyan Magar,
Jo Humne Gham Liya Toh Kya Hua.


Alfaazon Me Mohabbat Barsaane Ka Ab Naam Na Lo ..
Dost ..
Ye Mohabbat Ki Shohbat Hai,
Jo Kalam Dard Likhti Hai.


Aaj Ji Bharkar Hum Par Hans Lo Beraham,
Fir Tujhe Milne Waale Hain Mere Gham Sabhi,

Teri Bewafayi Ka Charcha Charon Dishaon Main Hai,
Mujhe Diye Jakhmon Ka Hisaab Chukana Hai Kabhi Na Kabhi.


Zindgi Hai Akeli Dil Ye Nadaan Hai,
Kya Safar Hai Aur Kya Samaan Hai,


Kisi Tanha Ke Gum Ko Samajh Kar To Dekho,
Tukura Dena Bahota Aasan Hai.


Jana Kaha Tha Aur Kaha Aa Gaye,
Duniya Me Bankar Mehman Aa Gaye,


Abhi To Pyaar Ki Kitaab Kholi Hi Thi,
Aur Na Jane Kitne Imtehaan Aa Gaye.

जाना कहा था और कहां आ गए,
दुनिया में बन कर मेहमान आ गए,


अभी तो प्यार की किताब खोली थी,
और न जाने कितने इम्तिहान आ गए।


Udas Hai Dil Aur Ankho Me Nami Hai,
Jaise Rutha Hai Asman Aur Khamosh Ye Zami Hai,


Yad Na Karne Ki Koi To Waja Batao,
Naraz Ho Ya Waqt Ki Kami Hai.

Khafa Bhi Rehte Hain,
Or Wafa Bhi Krte Hain,


Is Tarha Apne Pyar Ko Bayan Bhi Krte Hain,
Jane Kaisi Narazgi Hai Meri Unse,


Khona Bhi Chahte Hain,
Aur Pane Ki Dua Bhi Karte Hain.

Ye Kasmein Ye Rasmein Ye Zamane Ka Darr,
Rulayegi Mujhe Teri Narazgi Umar Bhar,


Bas Maangta Hun Tujhse Tujhpe Fannah Hone Ka Haq,
Chahe Dede Zehar Mujhe Ya Fir Kar Mera Qatl .

Koi Naraz Hai Humse Ke Hum Kuch Likhte Nahi,
Kahan Se Layen Lafz Jo Milte Hi Nahi.


Jaban Hoti To Bata Dete Sayad,
Wo Jakham Kaise Bataye Jo Dikhte Nahi.

Meri Har Khata Par Naraz Na Hona,
Apni Pyari Si Muskan Kabhi Na Khona,


Sukoon Milta He Dekhkar Apki Muskurahat Ko,
Mujhe Maut Bhi Aye To Bhi Mat Rona

Dil Se Teri Yad Ko Juda To Nahi Kia,
Rakha Jo Tujhe Yaad,
Bura To Nahi Kia,


Hum Se Log Hain Naraz Kis Liye,
Hum Ne Kabhi Kisi Ko Khafa To Nahi Kia.

Hum Nibhayenge Dosti Marte Dum Tak,
Hum Hasayenge Tumko Gham Se Khushi Tak,


Aye Dost Kabhi Humse Naraz Na Hona,
Saath Rehna Hamare Akhiri Dum Tak


Tag:
Sad Shayari, Shayari, Sad Shayari Status, Sad Shayari Whatsapp Status, Love Shayari, Tik Tok Sad Shayari, Hindi Shayari, Sad Poetry, Sad Shayari In Hindi, Heart Touching Shayari, New Shayari, Tik Tok Shayari, Sad Shadi Shayari, Sad Shayari Urdu, Urdu Sad Shayari, 2 Line Sad Shayari, Shayari Status, Sad Shayari On Love, Sad Shayari To Line, Tiktok Sad Shayari, Nepali Sad Shayari, Gf Shadi Shayari, Shayari Sad, Hindi Shayri