Best Sad Shayari - सैड शायरी - गम भरी शायरी | अध्याय 11

Best Sad Shayari - सैड शायरी - गम भरी शायरी

Sad Shayari, Shayari, Sad Shayari Status, Sad Shayari Whatsapp Status, Love Shayari, Tik Tok Sad Shayari, Hindi Shayari, Sad Poetry, Sad Shayari In Hindi, Heart Touching Shayari, New Shayari, Tik Tok Shayari, Sad Shadi Shayari, Sad Shayari Urdu, Urdu Sad Shayari, 2 Line Sad Shayari, Shayari Status, Sad Shayari On Love, Sad Shayari To Line, Tiktok Sad Shayari, Nepali Sad Shayari, Gf Shadi Shayari, Shayari Sad, Hindi Shayri

Mere Armano Ko Yun Kuchalo Na Tum,
Ki Zindagi Adhuri Rah Jaaye Meri,


Dikha De Khuda Is Kadar Karisma,
Ki Har Tamanna Poori Ho Jaaye Meri.


Wo Keh Gaye Mera Intezar Mat Krna,
Me Kahu To Bhi Mera Aitabar Mat Krna,


Ye Bhi Kaha Unhe Pyar Nahi Mujhse,
Aur Ye Bhi Keh Gye Kisi Aur Se Pyar Mat Karna.


Raaton Ko Aansu Bahate Hain,
Din Mein Aahein Bharte Hain,

Kya Kahun Eh Sanam Hum,
Tere Bina Kaise Tanha Rahte Hain.


Maut Ka Kya Kasur Gar Zindagi Bewafa Nikle,
Kuch Pal Ruk Kar Fir Chal Nikle,

Unse Kya Kahe Wo To Sache Hai,
Jab Meri Taqdir Hi Mujse Khafa Nikle.


Meri Mohabbat Ka Is Tarah..
Mazak Na Bna Dena K,


Teri Aankhain Hi Taras Jaye..
Mujah Dekhnay K Liye.


उदास हूँ पर तुझसे नाराज़ नहीं,
तेरे दिल में हूँ पर तेरे पास नहीं,


झूठ कहूँ तो सब कुछ है मेरे पास,
और सच कहूँ तो तेरे सिवा कुछ नहीं।


Agar Wo Khush Hai Dekh Kar Aansu Meri Aankhon Mein,
To Rab Ki Kasam Hum Muskurana Chhod Denge,


Tadapte Rahenge Use Dekhne Ko,
Lekin Us Ki Taraf Nazrein Uthana Chhod Denge.

Aansu Hai Ankho Mein Par Beh Nahi Sakte,
Duniawalo Se Darte Hain Islie Kuch Keh Nahi Sakte,


Par Ye To Aap Bhi Samajhte Honge Ki,
Hum Aapke Bina Reh Nahi Sakte.

Jo Aansu Dil Me Girte Hai Wo Ankho Me Nahi Rehte,
Bahut Se Harf Aise Hain Jo Lafzo Mein Nahi Rehte,


Kitabo Mein Likhe Jate Hai Duniya Bhar Ke Afsane,
Magar Jin Mein Hakikat Ho Kitabo Me Nahi Rehte.

Ankho Me Aansu,
Chehre Par Hansi Hai,
Saanso Me Aahein,
Dil Me Bebasi Hai,
Pehle Kyun Nahi Bataya Ki,
Darwaje Mein Ungli Fansi Hai.

Aaj Socha Toh Aansu Bhar Aaye,
Mudatein Ho Gayi Muskuraye,


Har Kadam Par Udhar Mud Ke Dekha

unki Mahfil Se Hum Uthh Toh Aaye,

Dil Ki Naajuk Ragein Tootati Hain

yaad Itna Bhi Koi Na Aaye,

Rah Gayi Zindagi Dard Ban Ke

dard Dil Mein Chhupaye Chhupaye.

Raaton Ko Aansu Bahate Hain,
Din Mein Aahein Bharte Hain,


Kya Kahun Eh Sanam Hum,
Tere Bina Kaise Tanha Rahte Hain.

Aaj Tum Pe Aansuo Ki Barsat Hogi,
Fir Wahi Kadkti Kali Raat Hogi,


Sms Na Kar Ke Tune Dil Dukhaya Hai Mera,
Ja Tere Badan Mein Khujli Sari Raati Hogi.

Jo Na Hoti Mohabbat Ye Aansu Na Hote,
Dil Bhi Na Khota Aaj Tanha Na Rota,
Diwano Si Apni Ye Halat Na Hoti,
Agar Jahan Mein Kambakhat,
Kaash Ye Mohabbat Na Hoti

Nikalte Hain Jab Tumhare Aansu,
Dil Karta Hai Saari Duniya Jalla Du,
Phir Sochti Hu ,
Honge Tumhare Bhi Apne Kahi,
Tumhe Phir Se Rula Na Du.



Raat Kee Gehrai Aankhon Mein Utar Aai,
Kuchh Khwab The Aur Kuchh Mere Tanhai,


Ye Jo Palkon Se Bah Rahe Hain Halke-Halke,
Kuchh To Majbure Thi Kuchh Tere Bewafai.

रात की गहराई आँखों में उतर आई,
कुछ ख्वाब थे और कुछ मेरी तन्हाई,


ये जो पलकों से बह रहे हैं हल्के हल्के,
कुछ तो मजबूरी थी कुछ तेरी बेवफाई।


Lekar Hum Dusro Ki Hansi Kya Karein,
Jo Apni Nahi Wo Khushi Kya Karein,


Tanha Jeene Se Behtar Hai Mar Jayein Hum,
Jab Saath Tum Nahi To Zindagi Jee Kar Kya Karein.


Bahut Dino Baad Yeh Khayal Aaya,
Ki Humne Zindagi Ko Jiya Hi Nahi,


Abhi Bhi Uthati Hai Tees Seene Mein,
Shayad Yaar Ka Diya Jakham Siya Nahi.


Apni Yaadein Apni Baate Lekar Jana Bhul Gaye,
Jane Wale Jaldi Mai Milkar Jana Bhul Gaye,

Mur-Mur Kar Dekha Tha Jaate Raste Mai Usne,
Jese Use Kuch Kehna Tha Jo Wo Kehna Bhul Gaye,

Waqt-E-Rukhsat Poch Raha Tha Mere Aansu Apne Aanchal Se,
Usko Gham Tha Itna K Wo Khud Rona Bhul Gaye!


गम में हसने वालो को रुलाया नहीं जाता,
लहरों को पानी से मिलाय नहीं जाता,


होने वाले खुद ही अपने हो जाते हैं,
किसी को कहकर अपना बनाया नहीं जाता.

Gum Mei Hasne Walo Ko Rulaya Nahi Jata,
Lehron Ko Pani Se Milaya Nahi Jata,


Hone Wale Khud Hi Apne Ho Jate Hain,
Kisi Ko Kehkar Apna Banaya Nahi Jata.


Kuchh Majburiyon Ne Humko Rok Rakha Hai,
Varna Hum Toh Kya Se Kya Kar Jaate,

Ek Naseeb Bhi Abhi Nahi Hai Saath Hamaare,
Varna Kya Hum Is Jamaane Se Dar Jaate.


Hamari Zindagi To Kab Ki Bikhar Gayi,
Har Ek Hasrat Dil Mein Hi Mar Gayi,


Wo Jab Se Chal Di Baith Ke Doli Mein,
Humari To Jeene Ki Tamana Hi Mar Gayi.

हमारी ज़िंदगी तो कब की बिखर गयी,
हसरते सारी दिल में ही मर गयी,


चल पड़ी वो जब से बैठ के डोली में,
हमारी तो जीने की तमन्ना ही मर गयी।


Unhe Muskurana Nahi Aata,
Paas Aakar Dur Jana Nhi Aata,


Hume Pyar Jatana Nahi Aata,
Aur Unhe Pyar Nibhana Nahi Aata.


Aag Dil Me Lagi Jab Wo Khafa Hue,
Mehsoos Hua Tab,
Jab Wo Juda Hue,


Kar Ke Wafa Kuch De Na Sake Wo,
Per Bahut Kuch De Gaye Jab Wo Bewafa Hue.

आग दिल में लगी जब वो खफ़ा हुए,
महसूस हुआ तब,
जब वो जुदा हुए,


करके वफ़ा कुछ दे ना सके वो,
पर बहुत कुछ दे गए जब वो बेवफ़ा हुए।


Talash Hai Us Manzil Ki,
Jise Main Pana Nahi Chahti,


Dekh Raha Hai Wo Mujhe,
Par Mai Uski Nazron Mai Aana Nahi Chahati….



Ek Yeh Bhi Bharam Toota,
Milne Ko Woh Na Aaya,

Kya Kya Na Mujhpe Gujri,
Kya Kya Na Dil Mein Aaya,

Pahle Bhi Yun Toh Usne,
Tode Hain Kayi Waade,

Hum Toh Na Bura Maane,
Humko Na Malaal Aaya.



Yaad Aa Gayi Fir Humko,
Kuchh Bhuli Huyi Baatein Yaaro,


Royenge Jinmein Kuredkar Jakham,
Aa Gayi Fir Woh Baatein Yaaro.



Dukh De Kar Sawaal Karte Ho,
Tum Bhi Ghaalib !
Kamaal Karte Ho..

Daikh Kar Pooch Liyaa Haal Meraa,
Chalo Kuch Tou Khayaal Karte Ho..

Shehar-E-Dil May Ye Udaasiyaan Kaisi

ye Bhe Mujh Say Sawaal Karte Ho

Marnaa Chaahain Tou Mar Nahe Sakte,
Tum Bhe Jeenaa Muhaal Karte Ho..

Ab Kiss Kiss Ki Misaal Doon Tum Ko

her Sitam Bay-Misaal Karte Ho

दुःख देकर सवाल करते हो;

तुम भी जानम!
कमाल करते हो;

देख कर पूछ लिया हाल मेरा;

चलो कुछ तो ख्याल करते हो;

शहर-ए दिल में ये उदासियाँ कैसी;

ये भी मुझसे सवाल करते हो;

मरना चाहें तो मर नहीं सकते;

तुम भी जीना मुहाल करते हो;

अब किस-किस की मिसाल दूँ तुम को;

हर सितम बे-मिसाल करते हो।



Paas Aakar Sabhi Door Chaley Jate Hain,
Akeley They Hum,
Akeley Hi Reh Jate Hai,


Hum Apney Dil Ka Dard Kisey Dikhaye,
Marhum Lagane Wale Hi Zakhm De Jate Hai.



Manzil Nahi Hai Thikana Nahi Hai,
Kahi Par Bhi Mera Ashiyana Nahi Hai,


Maine Teer Chalana Sikhaya Ushe,
Ab Mere Siva Uska Koi Nishana Nahi Hai.



Har Sakhas Ka Aaj Ajab Haal Hai,
Shaad Hote Huye Bhi Haal Behaal Hai,

Hoton Par Dekho Toh Jhooti Muskaan Hai,
Chehre Par Kisi Ke Gham Ke Nishaan Hain.



Hum Kyun Kisi Se Aankhe Chaar Kake Dekhein,
Hum Kyu Apne Dil Ko Bekarar Karke Dekhein,

Jab Pyar Ka Apne Izhaar Kar Nahi Sakte,
Fir Kyu Hum Kisi Se Pyar Karke Dekhein.



Dard Kuchh Din Toh Mehmaan Thahre,
Hum Hathi Hain Ke Mejbaan Thahre,

Sirf Tanhai Sirf Virani,
Yeh Najar Jab Uthe Jahan Thahre,

Koun Se Jakham Par Padav Kiya,
Dard Ke Kaafile Kahan Thahre,

Kaise Dil Mein Khusi Basa Loo Main,
Kaise Muthi Mein Yeh Dhuan Thahre,

Thi Kahin Niyat Kahi Sahas,
Hum Kahin Inke Darmiyan Thahre.



Shayad Issi Ko Kehte Hain ..
Majbori-E-Hayat ….!


Ruk Si Gayi Hai ..
Umar-E-Gurezaan Tere Baghair.



Mohabbat Humne Bhi Ki Thi,
Magar Tumko Batayein Kya,

Mile Hain Gham Hamein Ismein,
Magar Tumko Sunayein Kya.



Dard Hota Nahin Duniya Ko Dikhane K Liye,
Har Koi Rota Nahin Ansu Bahane Kliye,

Rutne Ka Maza To Tab Aata Hai,
Jab Koi Apna Ho Manane K Liye.



भले ही किसी गैर की जागीर थीं वो,
पर मेरे ख्वाबों की भी तस्वीर थीं वो,


मुझे मिलती तो कैसे मिलती,
किसी और की हिस्से की तक़दीर थीं वो|

Bhale Hi Kisi Gair Ki Jaagir Thi Wo,
Par Mere Khwabon Ki Tasveer Thi Wo,


Mujhe Milti To Kaise Milti,
Kisi Aur Ke Hisse Ki Taqdeer Thi Wo.



Din Toh Yeh Kat Jata Hai Magar,
Raaton Ko Musibat Hoti Hai,


Jab Yaad Tumhaari Aa Jaaye,
Bas Fir Toh Kyamat Hoti Hai,


Badi Bedard Duniya Hai,
Yeh Dil Ko Tod Deti Hai,


Kadar Isko Nahi Hai Koi,
Yeh Muh Ko Mod Leti Hai.



Ess Kadar Aapko Joh Itna Hasa Raha Hoon Main,
Naa Samajna Koyi Rishta Bana Raha Hoon Main,

Swaarth Hain Mera Aur Swaarthi Hoon Main,
Arthi K Piche Chale Walo Ki Tadad Bda Rha Hu Main.



Sahi Par Ruk Gaye The Jara Der Ke Liye,
Aankhon Se Dil Mein Kitne Samander Utar Gaye,

Jin Par Likhi Huyi Thi Mohabbat Ki Dastaa,
Woh Chak Chak Purje Hawa Mein Bikhar Gaye,

Paya Jo Muskarate Huye Kah Uthi Bahar,
Jo Jakham Pichhle Sal Lagaye Gaye The Bhar Gaye.



Na Karta Shikayat Zamane Se Koi,
Agar Maan Jaata Manane Se Koi,


Kisi Ko Kyun Hamesha Yaad Karta Koi,
Agar Bhul Jaata Bhulane Se Koi!



Maine Pucha Kahan Ho Tum?
Usne Kaha Teri Sanso Main,


Tere Dil Mai,
Tere Khayalo Main,


Teri Nas-Nas Main,
Maine Pucha Kahan Nahi Ho?
Usne Kaha Sirf Teri Kismat Main.



Main Is Liye Rahta Hun Din Raat Tanha Yaaro,
Mujhko Kisi Ki Jarurat Mahsoos Hi Nahi Hoti,


Itna Ro Chuka Hun Main Apne Ghamon Par Moula,
Aaj Kal Toh Meri Kabhi Aankh Bhi Nahi Roti.



Mar Jayen Hum To Fariyad Mat Karna,
Aaj Yaad Nahi Karte To Kal Bhi Yaad Mat Karna,


Mana K Aaj Waqt Nahi Humare Liye Apke Paas,
Zindagi Me Kabhi Waqt Mile To Hum Pe Barbad Mat Karna. .



Hamari Zindagi Ek Shishe Ki Tarah Hai,
Hamesha Log Dekh Kar Chale Jate Hai,


Gusse Me Tukde Hamare Karte Hai,
Aur Ek Hum Hai Jo Tukdo Me Bhi Unko Dikhate Hai.



Humare Zakhmo Ki Wajah Bhi Woh Hain,
Humare Zakhamo Ki Dava Bhi Woh Hain,


Woh Namak Zakhamo Pe Lagaye Bhi To Kya Hua,
Mohabbat Karne Ki Wajah Bhi To Woh Hain.



Tere Liye Khudko Majboor Kar Liya,
Zakhmo Ko Apne Nasoor Kar Liya,


Mere Dil Mein Kya Tha Ye Jaane Bina,
Kune Khudko Humse Kitna Door Liya.

तेरे लिए खुद को मजबूर कर लिया,
ज़ख्मो को अपने नासूर कर लिया,


मेरे दिल में क्या था ये जाने बिना,
तुने खुद को हमसे कितना दूर कर लिया!



Tu Jab Mujh Se Juda Ho Gayi,
Zindagi Meri Mujhko Saja Ho Gayi,

Teri Wafayi Par Mujhko Bada Naaj Tha,
Sandil Aaj Tu Bhi Bewafa Ho Gayi.



Aaj Unhe Fursat Nahi Humse Baat Karne Ki,

Ye Zindagi Gujar Gayi Unki Fariyaad Kar K,

Wo Aaye Humari Mout Pe,
To Keh Dena,

Abhi Soye Hai Aapko Yaad Kar K.

आज उन्हे फुर्सत नही हमसे बात करने की,
ये जिन्दगी गुजर गई उनकी फरियाद करके,

वो आए हमारी मौत पे,
तो कह देना अभी सोया है आपको याद करके.



Chot Jigar Par Apne Khayi Hai Humne,
Kya Jaanenge Dard Mera Yeh Log Paraye,


Mout Se Achhi Ho Sakti Hai Zindagi Kaise,
Mujhe Itna Hi Bas Aakar Koi Samjhaye.



सुकून अपने दिलका मैंने खो दिया,
खुद को तन्हाई के समंदर मे डुबो दिया,


जो थी मेरे कभी मुस्कराने की वजह,
आज उसकी कमी ने मेरी पलकों को भिगो दिया.

Sukun Apne Dilka Maine Kho Diya,
Khud Ko Tanhai Ke Samandar Mai Dubo Diya,


Jo Thi Mere Kabhi Muskrane Ki Wajah,
Aaj Uski Kami Ne Meri Palko Ko Bhigo Diya.



Koi Hal Na Koi Jawab Hai
yeh Sawal Kaisa Sawal Hai,

Jise Bhool Jaane Ka Hukam Hai

use Bhool Pana Muhaal Hai,

Huyi Jard Phoolon Ki Bastiya

magar Usmein Teri Khata Kahan.



Kaise Hai Ye Duniya Hum Samjh Nahi Paaye,
Bhikare Huye Sapne Hum Jod Nahi Paaye,


Sayad Honge Hum Hi Itne Bure,
Jo Kisi Ke Dil Main Hum Utar Nahi Paaye.



Log Jee Lete Hai Yaaro Tadbeero Se,
Hum Takdeeron Se Jhagdate Rahe,


Sab Ji Gaye Zindagi Apni,
Hum Bemaut Hi Sada Marte Rahe.



Jab Jana Hi Tha Tumhe To Aaye Kyon Hamari Zindigi Mein,
Yu Rulana Tha Fir Kyon Hasna Sikhaya Humein,


Ab To Tadapne Ke Liye Chod Diya Saari Umar,
Pal Pal Yu Marna Hi Tha To Zina Kyon Bataya Humein !



चलो हम गलत थे ये मान लेते है..
ऎ जिंदगी..
पर एक बात बता..


क्या वो शख्स सही था

जो बदल गया इतना..
करीब आने के बाद!

Chalo Ham Galat The Ye Maan Lete Hain.

E-Zindagi
par Ek Baat Bata Kya..

Wo Shaks Sahi Tha.

Jo Badal Gaya Itna..
Kareeb Aane Ke Baad.



Hum To Samjhe The Ki Zakham Hai Bhar Jayega,
Kya Khabar Thi Ki Rog Dil Me Utar Jayega,


Theek Likha Tha Mere Hath Ki Lakero Me,
Tu Agar Pyar Karega To Bikhar Jayega.



Main Kab Se Kitna Hu Tanha Mujhe Pata Bhi Nahi,
Tera Toh Koi Khuda Hai Mera Khuda Bhi Nahi,

Kabhi Yeh Lagta Hai Ab Khatm Ho Gaya Hai Sab Kuchh,
Kabhi Yeh Lagta Hai Ab Tak Toh Kuchh Hua Bhi Nahi,

Kabhi Toh Baat Ki Usne Kabhi Raha Khamosh,
Kabhi Toh Hanske Mila Aur Kabhi Mila Bhi Nahi,

Kabhi Jo Kadwi Baat Thi Woh Bhi Khatm Huyi,
Kabhi Gila Tha Hamein Unse Ab Gila Bhi Nahi,

Woh Cheekh Ubhri,
Badi Der Gunji,
Doob Gayi,
Har Ek Sunta Tha Lekin Koi Hila Bhi Nahi.



Bedaag Or Begunah Meri Sarkar Hain,
Humse Unki Bewafai Se Waqt Ki Maar Hain,

Woh Bhale Hain Kitne Sitam Karein Hum Par,
Phir Bhi Mere Liye Wo Jaane Bahar Hain.



Har Bejuban Gull Mein Mahkane Lage Hain Hum,
Pise Gaye Toh Aur Mahkane Lage Hain Hum,

Garibi Bura Nasha Hai Isi Ka Asar Na Ho,
Ab Baat Baat Par Jo Bahkane Lage Hain Hum,

Mitti Ki Baas Apne Sarir Ki Badan Ki Bandi Thi,
Yeh Tera Paas Aana Hai Ki Mahkane Lage Hain Hum.



क्यूँ करते हो मुझसेइतनी ख़ामोश मुहब्बत..
लोग समझते हैइस बदनसीब का कोई नहीँ..



Wasta Nahi Rakhna To..
Phir Mujh Pe..
Nazar Kyu Rakhta Hai.


Main Kis Haal Me Jinda Hu..
Tu Ye Sab Kahabr Kyu Rakhta Hai

वास्ता नही रखना तो..
फिर मुझपे..
नजर क्यूं रखता है?


मैं किस हाल में जिंदा हूँ…तू ये सब..
खबर क्यूं रखता है..


Ye Mat Kahna Ki Teri Yaad Se Rishta Nahi Rakha,
Mai Khud Tanha Raha Dil Ko Magar Tanha Nahi Rakha,


Tumhari Chahton Ke Phool To Mehfooz Rakhe Hai,
Tumhari Nafrato Ki Peedh Ko Zinda Nahi Rakha!

ये मत कहना कि तेरी याद से रिश्ता नहीं रखा,
मैं खुद तन्हा रहा पर दिल को तन्हा नहीं रखा,


तुम्हारी चाहतों के फूल तो महफूज रखे हैं,
तुम्हारी नफरतों की पीड़ को जिंदा नहीं रखा!


Dard Aankho Me Jhalak Jata Hai Par Hotho Tak Nahi Aata,
Ye Majburi Hai Mere Ishq Ki Jo Milta Hai Kho Jata Hain,


Use Bhulne Ka Jajba To Har Roz Dil Me Aata Hain,
Par Kaise Bhula De Dil,
Har Jarre Me Jisko Pata Hain.


उनकी मोहब्बत का अभी निशान बाकी हैं,
नाम लब पर हैं मगर जान अभी बाकी हैं,


क्या हुआ अगर देख कर मूंह फेर लेते हैं वो..
तसल्ली हैं कि अभी तक शक्ल कि पहचान बाकी हैं!

Unki Mohabbat Ka Abhi Nishan Baki Hai,
Naam Hothon Par Hai,
Jaan Abhi Baki Hai


kya Hua Agar Dekh Kar Muh Pher Leti Hai Wo..
Tasalli Toh Hai Ki Chehre Ki Pehchaan Abhi Baki Hai!


Jane Kya Khata He Meri Aye Khuda,
Ke Har Mood Per Ajama Leta Hai Tu,


Chahat Rakhta Hu Jis Chiz Ki,
Use Kisi Aur Ka Bana Deta Hai Tu.


Badi Mushkil Se Bani Hu Toot Jane Ke Baad,
Main Aaj Bhi Ro Deti Hu Muskurane Ke Baad,


Tujh Se Mohabbat Thi Mujhe Beintiha,
Lekin Aksar Ye Mehsus Hua Tere Jane Ke Baad,


Ab Tak Dhundh Rahi Hu Apne Andar K Us Shaks Ko,
Jo Nazar Se Kho Gaya Hain Nazar Aane Ke Baad.


Kyun Khayalon Mein Mere Chali Aati Ho,
Soye Armano Ko Mere Phir Jagati Ho,

Tum Ko Bhoola Hoon Badi Mushkil Se,
Kyun Zinda Laash Ko Yun Tadpati Ho,

Beshumar Mohabbat Liye Baitha Hun,
Bar-Bar Kyun Imtehaan Liye Jaati Ho,

Ek Wada Tha Kiya,
Na Ruswa Karne Ka,
Jan Le Meri,
Kyun Ruswa Huyi Jaati Ho,

Na Aayega Sagar Kabhi Teri Rahon Mein,
Kyun Garib Pe Be-Eitbaar Kiye Jaati Ho


Woh Jamana Gujar Gaya Kab Ka,
Tha Jo Deevana Mar Gaya Kab Ka,

Dhundhta Tha Jo Ek Nayi Duniya,
Lotke Apne Ghar Gaya Kab Ka,

Woh Jo Laya Tha Humko Dariya Tak,
Par Akele Utar Gaya Kab Ka,

Uska Jo Haal Hai Wohi Jaane,
Apna Toh Jakham Bhar Gaya Kab Ka,

Khwab Dar Khwab Tha Jo Tana Bana,
Ab Kahan Hai Bikhar Gaya Kab Ka.


Roti Hui Aankho Me Intezar Hota Hai,
Na Chahte Hue Hai Bhi Pyar Hota Hai,


Kyun Dekhte Hai Hum Wo Sapne..
Jinke Tutne Par Bhi Unke Such Hone Ka Intezar Hota Hai.

रोती हुई आँखो मे इंतेज़ार होता है,
ना चाहते हुए भी प्यार होता है,


क्यू देखते है हम वो सपने..
जिनके टूटने पर भी उनके सच होने का इंतेज़ार होता है।


Kitne Sapne Dil Mein Sajaye Tere Liye,
Raahon Me Phool Bichhaye Tere Liye,

Aati Hai Koi Yaad Teri Chupke Se,
Har Dastak Pe Bah’R Aaye Tere Liye,

Jhooti Lagti Hai Har Kahaani Duniya Ki,
Mohabbat Sacchi Nazar Aaye Tere Liye,

Likhe Rakhe Hai Jo Khat Haath Ke,
Harf-Dar-Harf Dard Badhaye Tere Liye,

Intezar Ki Ab Toh Intahaa Ho Gai Hai,
Kitna Aankhon Ko Ruulaye Tere Liye,

Mitti Ka Khilona Ban Gaya Hai,
Bas Tuut Ke Judhna Aa Jaye Tere Liye.


वो रोए तो बहुत..
पर मुहं मोड़कर रोए..
कोई तो मजबूरी होगी..
जो दिल तोड़कर रोए..


मेरे सामने कर दिए मेरी तस्वीर के टुकडे़..
पता चला मेरे पीछे वो उन्हें जोड़कर रोए..


पास आ जरा दिल की बात सुनाऊ तुझको,
कैसे धरकता है दिल आवाज़ सुनाऊ तुझको,

आ के तू देख ले दिल पे लिखा है नाम तेरा,
अगर कहता है तो दिल चीर के दिखाऊ तुझको..

जितना जलाया है तुमने प्यार में मुझको,
दिल तो करता है की मै भी जलाऊ तुझको,

अजनबी होता तो ऐसा भी कर लेता शायद ,
मगर तू तो अपना है कैसे सताऊ तुझको..

Paas Aa Zara Dil Ki Baat Btaun Tujhko,
Kese Dharkta Ha Dil Awaz Sunao Tujhko,

Aakar Tu Dekh Le Dil Pe Likha H Naam Tera

agr Kahe To Dil Cheer Ke Dikhaun Tujko.

Jitna Jalaya Hai Tune Pyar Me Mujhko,
Dil To Krta Hai Mein B Jalaun Tujhko

Ajnabi Hota Toh Aisa Kar Bhi Lete,
Magar Tu To Apne Hai Kaise Sataun Tujhko.


Pyar Woh Hum Ko Bepanah Kar Gaye
phir Zindgi Mein Hum Ko Tanha Kar Gaye

chahat Thi Unke Ishq Mein Fanaah Hone Ki

par Woh Laut Kar Aane Ko Bhi Mana Kar Gaye.

प्यार वो हम को बेपनाह कर गये,
फिर ज़िन्दगी में हम को तन्नहा कर गये,


चाहत थी उनके इश्क में फ़नाह होने की,
पर वो लौट कर आने को भी मना कर गये।


Khud Se Unhe Dur Karke Dekha,
Na Reh Sake Khud Ko Majbur Karke Dekha,


Meri Har Khata Ko Vo Undekha Akrta Raha,
Gunhegar Hone Ko Maine Har Kasoor Karke Dekha.


Khulte Hain Mujh Pe ..
Raaz Kaai Is Jahan Ke,


Us Ki Haseen Aankhon ..
Main Jab Jhankta Hoon.


Ajab Apna Haal Hota,
Jo Vishaale Yaar Hota,


Kabhi Jaan Sadke Hoti,
Kabhi Dil Nishaar Hota,

Na Maja Hai Dushmani Mein 

Na Lutf Hai Dosti Mein,

Koi Gair Gair Hota,
Koi Yaar Yaar Hota,

Yeh Maja Tha Dillagi Ka,
Ke Barabar Aag Lagti,


Na Tumhe Karar Hota,
Na Hamein Karar Hota,

Tere Waade Par Sitamgar,
Abhi Aur Sabr Karte,


Agar Apni Zindagi Ka Hamein,
Eitbaar Hota.


Uth-Uth Ke Kisi Ka Intzaar Kar Ke Dekhna,
Kabhi Tum Kisi Se Pyaar Kar Ke Dekhna !

Kaise Toot Jaate Hain Mohabbat Ke Rishte,
Galtiyan Kabhi Do-Chaar Kar Ke Dekhna !


Nafrat Kabhi Na Karna Hum Se,
Ye Hum Kabhi Na Seh Payein Ge,

Ek Bar Keh Dena Hum Se K Zaroorat Nahi Ab Tumhari,
Hum Tumhari Duniya Se Hans K Chale Jayege.


Dard Mujhko Dhhoond Leta Hai Roz,
Naye Bahane Se,
Ae Yaaro,


Woh Ho Gya Hai Waqif Mere Har,
Thikane Se.


Kis Tarah Byan Karun Seene Mein Unke Raaz Hain,
Muskurakar Jalaate Hain Woh Kitna Ghatiya Yeh Andaaz Hai,

Kyun Pasand Kiya Maine Us Bedardi Bewafa Ko,
Yeh Hi Soch Sochkar Zindagi Udaas Meri Aaj Hai.


Woh Pal Aakhri Hoga Meri Zindagi Ka,
Jis Din Tu Mujhse Juda Hoga,


Karar Tujhe Bhi Na Aane Dunga Main,
Agar Is Daur Mein Tu Bewafa Hoga.


Fir Aaj Zindagi Se Vishwas Uth Gaya Hai,
Kanta Sa Koi Seene Me Ghus Gaya Hai,


Meri Badnasibi Aaj Fir Mere Samne Aa Gayi,
Meri Zindagi Ka Har Roshan Diya Bujh Gaya Hai,


Ab To Meri Saanse Bhi Meri Ruh Ke Saath Nahi Hai,
Mera To Sara Jaha Ek Saath Lut Gaya Hai.


Aap Se Door Ho Kar Hum Jayenge Kaha,
Aap Jaisa Dost Hum Payenge Kaha,


Dil Ko Kaise Bhi Sambhal Lenge,
Par Aankho Ke Aansu Hum Chupayege Kaha.

आप से दूर हो कर हम जायेंगे कहा,
आप जैसा दोस्त हम पाएंगे कहा,


दिल को कैसे भी संभाल लेंगे,
पर आँखों के आंसू हम छुपायेंगे कहा.


Aapke Tevar Kyu Badle Najar Aate Hain,
Kahin Aap Mujhse Khafa Toh Nahi Hain,

Hamne Toh Umeed Ki Thi Wafa Ki Aapse,
Kahin Aap Bhi Sanam Bewafa Toh Nahi Hain.


Hum Apni Maut Khud Mar Jaayenge Sanam,
Aap Apne Sar Kyu Iljaam Lete Ho,

Jaalim Hai Duniya Na Jeene Degi Aap Ko,
Aap Kyu Apni Jubaa Se Mera Naam Lete Ho.


Haskar Jeena Dastoor Hai Jindagi Ka,
Ek Yai Kissa Mashoor Hai Jindagi Ka,

Beete Hue Pal Kabhi Laut Kar Nhai Aate,
Yahi Sabse Bada Kasoor Hai Jindagi Ka.


Milna-Bichadna To Waqt Ka Dastur Hota Hai,
Judaa Hokar Bhi Koi Yaado Se Naa Door Hota Hai,


Koi Nahi Chahta Judaa Hona Apno Se,
Wo To Waqt Ko Shayad Ye Hi Manjoor Hota Hai.


Kaash Tum Mujhe Ek Khat Likh Dete,
Mujhme Kya Kya Thi Kami Yeh To Bata Dete,


Tadapte Dil Se Mere Tumne Nafrat Kyu Ki,
Nafrat Ki Hi Mujhe Koi Vajah To Bata Dete.


Zindagi Ki Aandhi Mein Jahan Ka Ped Tanha,
Tumse Kuchh Sahar Tha Aaj Hu Magar Tanha,

Tum Fijul Baaton Ka Dil Par Bojh Mat Lena,
Hum Toh Khair Kar Lenge Zindagi Basar Tanha,

Ek Khilona Jogi Se Kho Gaya Tha Bachpan Mein,
Dhundhata Fir Ausko Woh Nagar Nagar Tanha,

Jhutpute Ka Aalam Hai Jaane Koun Aadam Hai,
Ik Kabr Par Rota Hai Muh Ko Dhanpkar Tanha,

Jakham Ghayal Lamhon Ko Niti Sambhale Hai,
Anginat Marijon Mein Ek Doctor Tanha.


Sukoon Apne Dil Ka Maine Kho Diya,
Khud Ko ‘Dard’ Ke Samandar Main Dubo Diya,


Jo Thi Kabhi Mere Muskurane Ki Wajah,
Aaj Uski Kami Ne Meri Palko Ko Bhigo Diya.


Mat Intezaar Karwao Humein Itna,
Ke Waqt Ke Faasle Pe Afsos Ho Jaye,

Kya Pata Kal Lout Ke Ao Tum,
Aur Hum Sada Ke Liye Khaamosh Ho Jaye.

मत इंतज़ार कराओ हमे इतना,
कि वक़्त के फैसले पर अफ़सोस हो जाये,

क्या पता कल तुम लौटकर आओ,
और हम खामोश हो जाएँ


Na Jeene Ki Khusi Na Marne Ka Gham,
Pal Pal Unhe Yaad Karke Tadapte Hain Hum,


Aap Rokar Bhi Apna Dard Kam Na Kar Sake,
Aur Humne Muskura Kar Apna Har Gham Chhupa Liya.


Phoolon Se To Wafa Mil Nahi Saki Aao
kaanton Se Dosti Kar Lein.

Suna Hai Yeh Daaman Pakad Lein Fir..
Aasaani Se Chhoda Nahi Karte!


Jo Gujaare Hain Pal Humne Saath Unke,
Hum Un Palon Ko Hi Dil Mein Utar Lenge,

Bas Aap Khus Raho Yeh Dua Hai Meri,
Hamara Kya Hai Hum Zindagi Yun Hi Gujar Lenge.


Ab To Kuch Apni Tabiyat Bhi Juda Lagti Hai,
Saans Leta Hun To Zakhmo Ko Hawa Lagti Hai,


Kabhi Razi To Kabhi Mujse Kafa Lagti Hai,
Zindgi Tu Hi Bata Tu Meri Kiya Lagti Hai.


Woh Pyar Bhari Baatein Teri,
Yaad Kabhi Bhi Na Aaye,

Woh Mahki Mahki Yaadein Teri,
Yaad Kabhi Bhi Na Aaye,

Dil Se Bhula Dena Chahta Hun,
In Yaadon Ko Is Kadar,

Ki Markar Bhi Phir Kabhi,
Yaad Kabhi Bhi Na Aaye.


Aaj Hum Unhe Bewafa Bata Kar Aaye Hai,
Unke Khaton Ko Pani Mein Bahakar Aaye Hai,


Koi Nikal Kar Paadh Na Le Unhe,
Isliye Pani Mein Bhi Aag Lagake Aaye Hai.

आज हम उनको बेवफा बताकर आए है,
उनके खतो को पानी में बहाकर आए है,


कोई निकाल न ले उन्हें पानी से..
इस लिए पानी में भी आग लगा कर आए है।


Udas Aankhon Mein Apani Karaar Dekha Hai,
Pahali Baar Use Beqaraar Dekha Hai,


Jise Khabar Na Hoti Thi Mere Aane Jaane Ki,
Uski Aankhon Mein Ab Intazaar Dekha Hai.

उदास आँखों में अपनी करार देखा है,
पहली बार उसे बेक़रार देखा है,


जिसे खबर ना होती थी मेरे आने जाने की,
उसकी आँखों में अब इंतज़ार देखा है।


Kitne Ghuroor Me Hai Wo,
Mujhe Tanha Chod Kar..


**Ae Dost**Kyun Ki Use Maloom Hai,
Mere Paas Koi Aur Nahi Hai Us K Siwa..


Teri Yaadon Ne Bakhse The,
Jo Aansu Meri Aankhon Ko,

Mohabbat Se Unhein,
Hai Maine Palkon Pe Saja Rakha,

Jara Socho,
Mera Kaatil,
Tumhe Har Sakhas Kahta Hai,

Hai Apna Jurm Peshani Pe,
Kyu Toone Laga Rakha,

Mere Liye Jeena Yeh Saja Ho Gaya,
Yaar Mera Mujhse Juda Ho Gaya.


Ab Kise Chahein Kise Dhunda Karein
woh Bhi Aakhir Mil Gaya Ab Kya Karein,

Halki Halki Baaris Hoti Rahe

hum Bhi Phoolon Ki Tarah Bhiga Karein,

Aankhein Munde Is Gulabi Dhoop Mein

der Tak Baithe Use Socha Karein,

Dil,
Mohabbat,
Deen Duniya,
Shayarihar Dariche Se Tujhe Dekha Karein,

Ghar Naya Bartan Naye Kapde Nayein Purane Kagjon Ka Kya Karein.


Maine Usko Chaha Dil Se,
Mere Dil Ko Woh Jaan Na Paayi,

Maine Khud Ko Uska Banaya,
Fir Bhi Meri Woh Ban Na Payi,

Usne Mujhko Apna Kar Bhi,
Begana Hi Toh Bana Diya,

Pahle Mujhko Woh Jaan Na Paayi,
Ab Mujhko Pahchan Na Paayi,

Jo Pal Mere Saath Bitaaye,
Un Palon Ko Bhi Usne Bhula Diya,

Mujh Ko Na Pahchan Kar Usne,
Mere Dil Ko Bhii Rula Diya,

Main Jab Us Se Milne Pahuncha,
Woh Boli Tum Kon Ho Bhai,

Pahle Mujhko Woh Jaan Na Paayi,
Ab Mujhko Pahchan Na Paayi.


Rabba Tu V Kise Naal Ishq Kita Hovega,
J Nahi Kita Te Kadi Kri V Na,


Pachtavenga,
Asi Taan Marr K Tere Kol Aa Javaange.

Das Tu Marr K Kithe Javenga.


Jo Likha Meri Takdeer Mein Hai,
Woh Yahan Mujhe Mil Hi Jaayega,

Varna Rone Se Ya Mangne Se,
Koi Kya Haasil Kar Paayega.


देख कर मेरा नसीब मेरी तक़दीर रोने लगी,
लहू के अल्फाज़ देख कर तहरीर रोने लगी,


हिज्र में दीवाने की हालत कुछ ऐसी हुई,
सूरत को देख कर खुद तस्वीर रोने लगी।

Dekh Mera Naseeb Meri Taqdeer Rone Lagi,
Lahu Ke Alfaaz Dekh Tehreer Rone Lagi,


Tere Hijar Me Meri Halt Aisi Huyee,
Surat Dekh Kar Khud Tasveer Rone Lagi.


Hamain Na Muhabbat Mili Na Pyar Mila,
Humko Jo Bhi Mila Bewafa Yaar Mila,


Apni To Ban Gaye Tamasha Zindagi Ka,
Har Koi Apne Maqsad Ka Talabgar Mila.

हमें न मोहब्बत मिली न प्यार मिला,
हम को जो भी मिला बेवफा यार मिला,


अपनी तो बन गई तमाशा ज़िन्दगी,
हर कोई अपने मकसद का तलबगार मिला!


Aap Raho Khus Sadayeh Tamanna Hai Hamari,
Chalo Khud Par Humneyeh Iljaam Le Liya,


Jakham Gham Ruswaiyanyaar Ne Di Humko,
Aaj Wafa Ka Yaaroyeh Ilzaam Le Liya.


Tag:
Sad Shayari, Shayari, Sad Shayari Status, Sad Shayari Whatsapp Status, Love Shayari, Tik Tok Sad Shayari, Hindi Shayari, Sad Poetry, Sad Shayari In Hindi, Heart Touching Shayari, New Shayari, Tik Tok Shayari, Sad Shadi Shayari, Sad Shayari Urdu, Urdu Sad Shayari, 2 Line Sad Shayari, Shayari Status, Sad Shayari On Love, Sad Shayari To Line, Tiktok Sad Shayari, Nepali Sad Shayari, Gf Shadi Shayari, Shayari Sad, Hindi Shayri