Best Sad Shayari - गम भरी शायरी | अध्याय 10


Gham Dekar Tumne Khata Ki,
Eh Sanam Tum Yun Na Samjhna,

Tera Diya Hua Gham Bhi,
Hamein Dava Hi Lagti Hai.



Mere Paas Mein Padi Hai Gham Ki Bedi,
Tumhein Kaise Main Apni Dastaa Sunaun,

Ab Uthi Hai Meri Takdeer Mujh Se,
Jo Mile Hain Jis Ko Jakham,
Unhe Kaise Mitaun.



हर सितम सह कर कितने ग़म छिपाये हमने,
तेरी खातिर हर दिन आँसू बहाये हमने,

तू छोड़ गया जहाँ हमें राहों में अकेला,
बस तेरे दिए ज़ख्म हर एक से छिपाए हमने|

Har Sitam Seh Kar Kitne Gham Chipaye Humne,
Teri Khatir Har Din Aansu Bahaye Humne,


Tu Chhod Geya Jaha Humein Raahon Mein Akela,
Bas Tere Diye Zakhm Har Ek Se Chipaye Humne!



दर्द से दोस्ती हो गई यारों,
जिंदगी बे दर्द हो गई यारों,

क्या हुआ जो जल गया आशियाना हमारा,

दूर तक रोशनी तो हो गई यारो।

Dard Se Dosti Ho Gayi Yaaro,
Zindagi Bedard Ho Gayi Yaaro.


Kya Hua Jo Jal Gaya Aashiyana Hamara,
Duur Tak Roshni To Ho Gayi Yaaro..



नया दर्द एक और दिल में जगा कर चला गया,
कल फिर वो मेरे शहर में आकर चला गया,

जिसे ढूंढ़ता रहा मैं लोगों की भीड़ में,
मुझसे वो अपने आप को छुपा कर चला गया।

Naya Dard Ek Aur Dil Mein Jaga Kar Chala Gaya,
Kal Phir Woh Mere Shehar Mein Aakar Chala Gaya,


Jise Dhoondta Raha Main Logon Ki Bheed Mein,
Mujh Se Woh Apna Aap Chhupa Kar Chala Gaya,


Main Uski Khamoshi Ka Sabab Poochti Rahi,

Woh Kisse Idhar Udhar Ke Suna Kar Chala Gaya,

Yeh Sochti Hoon Kaise Bhulaungi Ab Usse,
Ek Shaks Woh Jo Mujh Ko Bhula Kar Chala Gaya.



Dekho Yaaro Hamein Aawaz Na Dena,
Hum Na Wapas Kabhi Aa Paayenge,

Us Din Manana Yaaro Id Tum,
Jab Hum Duniya Se Chale Jaayenge.



अपनी तो ज़िन्दगी है अजीब कहानी है,
जिस चीज़ की चाह है वो ही बेगानी है,

हँसते भी है तो दुनिया को हँसाने के लिए,
वरना दुनिया डूब जाये इन आखों में इतना पानी है।

Apni To Zindagi Ki Ajeeb Kahani Hai.

Jis Cheez Ko Chaha Wo Hi Begani Hai

Haste Hain Dunia Ko Hasane K Liye Warna

Dunia Doob Jaye In Ankhon Main Itna Pani Hai..



Bhool Jana Yaaro Itna Aasan Nahi Hota,
Jakhmon Ke Nishan Mitana Itna Aasan Nahi Hota,

Jisne Mana Ho Yaar Ko Barabar Rab Ke,
Usko Yun Chhod Jana Aasan Nahi Hota.



Sath Mein Guzari Har Wo,
Shaam Bhul Gaye,

Mohabbat Wali Baatein,
Tammam Bhul Gaye,
Kainat Mein Kayam,


Bahut Kam Hi Rehte Hai Aapne Wade Per,
Pher Bhi Gila Yahi Hai Ki Tum Mera Naam Bhul Gaye.


साथ में गुजारी हर वो,
शाम भूल गए,
मोहब्बत वाली बातें,
तमाम भूल गए,
कायनात में कायम,
बहुत कम ही रहते हैं अपने वादे पे,
फिर भी,
गिला यही है कि तुम मेरा,
नाम भूल गए.



Ek Pal Ka Ehsaas Bankar Aate Ho Tum,
Dosre Hi Pal Khuwab Bankar Udh Jate Ho Tum,

Jante Ho Ki Lagta Hai Dar Tanhaiyo Se,
Phir Bhi Bar Bar Tanha Chodh Jate Ho Tum.


एक पल का एहसास बनकर आते हो तुम,
दूसरे ही पल ख्वाब बनकर उड़ जाते हो तुम,


जानते हो की लगता है डर तन्हाइयों से हमें,
फिर भी बारबार तन्हा छोड़ जाते हो तुम!

Aisa Nahi Ke Mujh Ko Aarju Nahi Hai Khusiyo Ki,
Magar Ise In Dard Mein Bhi Ek Ajib Sa Maja Aata Hai,

Yeh Isliye Bhi Badhana Chahta Hai Apne Dard Ko Dosto,
Kyunki Kahte Hain Badh Jaane Par Dard Dava Ban Jata Hai.



Aap Hamare Dil Ko Bahlane Ki Koshish Mat Kijiye,
Hum Na Jaane Isko Kis Kadar Samjhaye Baithe Hain,

Aap Hamare Dil Ke Paas Mat Aana Jal Jaaoge,
Kyunki Hum Ismein Na Jaane Kitni Aag Chhupaye Baithe Hain.



Thodi Si Toh Akal Seekh Le Tu Bhi Pagal,
Jaane Waale Ko Peechhe Se Bulaya Nahi Karte,

Ban Jaate Hai Naasur Ek Vakt Ke Baad,
Dil Ke Jakhmon Ko Yu Sahlaya Nahi Karte.



Kabhi Koi Apna Anjan Ho Jata Hai
Kabhi Kisi Anjan Se Pyar Ho Jata Hai

Ye Jaruri Nahi Ki Jo Khushi De Usi Se Pyar Ho

Dil Todne Walo Pe Bi Dil Nisar Ho Jata Hai..



Kitab Likh Du Agar Padhe Koi,
Main Bhi Kahu Apni Agar Sune Koi,

Meri Khamoshi Ki Zuban Koi Samajhta He Nahi,
Aur Koi Samjhe Na To Kya Kahe Koi..!



Tere Hote Huye Bhi Tanhai Mili Hai,
Wafa Karke Bhi Dekho Buraai Mili Hai,
Jitni Dua Ki Tumhe Pane Ki,
Us Se Jayada Teri Judai Mili Hai.



Jara Si Roshni Ke Waste Hum Yaaro,
Dekhiye Apna Hi Ghar Jalaye Baithe Hain,

Shayad Khuda Ne Bhi Fer Li Aankhein Humse,
Sunta Nahi Muddato Se Haath Uthaye Baithe Hain.



Doli Unki Uthi Par Hum Kuch Kar Na Sake,
Hum Wahi Par Khade Unhe Dekhte Rah Gye,

Na Unki Doli Aage Badhi Na Hum Kuch Kah Sake,
Kyu Ki Doli Uthane Walo Me Ek Hum Bhi The Jo Khade Rah Gye.



Khafa Hone Se Pehle Khata Bata Dena,
Rulaane Se Pehle Hansna Sikha Dena,

Agar Jana Ho Kabhi Hum Se Door Aap Ko,
Toh Pehle Bina Saans Liye Jeena Sikha Dena.


खफा होने से पहले खता बता देना,
रुलाने से पहले हँसना सिखा देना,


अगर जाना हो कभी हम से दूर आप को,
तो पहले बिना सांस लिए जीना सिखा देना।



Khuda Ek Bar Use Ye Ehsas Dila De,
Kitna Intjar Hai Zara Use Bata De,

Har Pal Dehkte Hai Rasta Usi Ka,
Na Intjar Karna Pade Mujhe Aisi Neend Sula De.



Hamein Toh Rog Laga Diya Ishq Ka,
Magar Door Khade Woh Muskurate Hain,

Paas Aane Ke Liye Bhi Kah Diya,
Aur Khud Hi Ab Door Huye Jaate Hain.



Zindagi Mujhse Kehti Hai,
Har Dam Udaas Mat Raha Kar …!!

Main Kehta Hoon Mujhe

ik Wajah To De Hansne Ke Liye…!!



Din Me Yaad Usko Ek Baar Nahi Baar Karte The,
Ye Jante Hue Ki Uski Yaad Hi Aayegi Phir Bhi Intezar Karte The,

Par Jab Us Bekadar Garoori Se Hi Chot Khai Hamne Tab Hosh Aya Ki,
Hum To Kisi Pathar Se Pyar Karte The.



Aitbaar Tum Par Kya Karte,
Pyar Tumse Kya Karte,

Kadar Nahi Tumhe Pyar Ki,
Ikrar Tumse Kya Karte.



Khamoshiyon Ke Rishte Nibhana Mujhe Aata Hai,
Har Dard Se Is Dil Ko Lagana Mujhe Aata Hai,

Jo Tum Hanso Hansta Hun,
Agar Ro Do To Rata Hun,


Jo Jaisa Hai Sang Uske Jeena Mujhe Aata Hai,
Banjar Si Jamin Par Hi Kabse Jee Raha Hun Main,


Ret Se Apna Ghar Banana Mujhe Aata Hai,
Dunia Mein Mohabbat Ka Katra Na Mila Mujhko,


Ab Dukh Bhare Geeton Ko Gana Mujhe Aata Hai.



Jab Kuch Sapne Adhoore Reh Jate Hain,
Tab Dil Ke Dard Aansu Banker Beh Jate Hain,

Jo Kehte Hain Ki Hum Sirf Apke Hain,
Pata Nhi Wo Kaise Alvida Keh Jate Hain…



Kyon Waqt Ke Saath Rangat Kho Jati Hai,
Hasti Khelti Jindgi Bhi Aam Ho Jati Hai,

Ek Savera Tha Jab Haskar Utha Karte The Hum,
Aaj Bina Muskuraye Hi Shaam Ho Jaati Hai.



Log Mohabbat Ko Khuda Ka Naam Dete Hai,
Koi Karta Hai Ilzaam Dete Hai,

Kehte Hai Pathr Dil Roya Nahi Karte Hai,
Aur Pathr K Rone Ko Jharne Ka Naam Dete Hai
.

लोग मोहब्बत को खुदा का नाम देते है,
कोई करता है तो इल्जाम देते है।


कहते है पत्थर दिल रोया नही करते,
और पत्थर के रोने को झरने का नाम देते है।



उसकी बातों को बार बार याद करके रोये,
उसके लिये दर पे फरियाद करके रोये,

उसकी खुशी के लिये उसको छोड दिया फिर,
उसे किसी ओर के साथ आबाद करके रोये.



Yun Toh Bahut Hain Dost Mere,
Koi Apna Najar Nahi Aata,

Mujhe Is Jeevan Mein Sach Hota,
Koi Sapna Najar Nahi Aata,

Apno Ka Humko Dagaa Dena,
Yeh Toh Bas Ek Bahana Hai,

Sach Toh Yeh Hai Ke Har Gham Ko,
Mere Ke Paas Hi Aana Hai.



Woh Zamane Hi Aur The Yaaro,
Jab Khusiyan Hamare Paas Thi,

Hamare Bhi Jeevan Mein Aayega Koi,
Humko Ko Bhi Iski Aas Thi.



Jab Tere Shaher Me Raha Karte The,
Hum Bhi Chup Chaap Jiya Karte The,

Aankho Me Pyas Hua Karti Thi,
Dil Me Toofaan Utha Karte The,


Log Aate The Shayeri Sunne Hamse,
Hum To Faqat Teri Baat Kiya Karte The,


Ghar Ki Deewaar Sajaane Ki Khaatir,
Hum Tera Naam Likha Karte The,


Aaj Teri Tasveer Dekhi To Yaad Aaya,
Kabhi Hum Bhi Mohabbat Kiya Karte The.



Insaan Ke Kandhe Pe Insaan Jaa Raha Hai,
Kafan Me Lipta Kuch Armaan Jaa Raha Hai,

Jise Naa Mili Ho Mohabbat Es Jahan Mein,
Shayad Use Pane Wo Kabristaan Ja Raha Hai.



Sab Kuchh Bhulaya Uski Yaad Mein,
Khud Ko Bhi Mitaya Uski Yaad Mein,

Agar Hai Kuchh Baki Toh Sirf Yaad Uski,
Khud Ko Kabar Mein Sulaya Uski Yaad Mein.



Woh Mehandi Wale Hath Mujhe Dikha Kar Royi,
Ab Main Hoon Kisi Aur Ki,
Yeh Mujhe Bata Ka Royi,

Pehle Kehti Thi Ki Nahi Jee Sakti Tere Bin,
Aaj Phir Se Woh Baat Dohra Kar Royi,

Kaise Kar Loon Uski Mohabbat Pe Shak Yaaron,
Woh Bhari Mehfil Mein Mujhe Gale Laga Kar Royi.



Ankhe Kyon Hui Meri Num Kabhi Sochna,
Kyon Hua Hum Pe Itna Sitam Kabhi Sochna,

Pyar To Hum Dono Ne Kiya Tha,
Lekin Sirf Mujhe He Kyon Mila Itna Gum Kabhi Sochna.



Ek Din Sapne Mein Aakar
Humse Kaha Khuda Ne Yeh,

Tune Kiya Bharosa Sabhi Par
Tujhe Iski Saja Milegi,

Main Kya Karun Teri Kismat Hi Aisi Hai
Mere Ajij,

Jiske Saath Bhi Tu Wafa Karega
Usi Se Tujhko Jafa Milegi.



Koi Kisi Ka Nahi Hai Jag Mein,
Yeh Riste Naate Yaaro Sab Jhute Hain,

Jab Girte Hain Badal Ghamon Mein Tab,
Sab Bandhan Ek Pal Mein Toote Hain.



Wo Kehte Hain Hum Badal Gaye Hain
Koi Jakar Samjhaye Unhe K Rang
Sookhe Hue Patton Ka Aksar Badal Jata Hai.



Samandar Pir Ka Andar Hai Lekin Ro Nahin Sakta,
Yeh Ansoon Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahin Sakta,

Meri Chahat Ko Dulhan Tu Bana Lena,
Magar Sun Le,
Jo Mera Ho Nahin Paya,
Woh Tera Ho Nahin Sakta.



Baadal Barasne Ka Mausam Hota Hai,
Aankhe Barasne Ka Mausam Koi Nahi,

Hum Tere Pyar Mein Gham E Zaher Peete Rahe,
Phir Bhi Ek Boond Aansu Tu Royi Nahi.



Waade Wafa Karke Kyu Mukar Jaate Hain Yeh Log,
Kisi Ke Dil Ko Kyu Tadpaate Hain Yeh Log,

Agar Dil Lagakar Nibha Nahi Sakte,
Toh Fir Kyu Dil Ko Dil Se Lagaate Hain Yeh Log.



बादलों से कह दो,
जरा सोच समझ के बरसे,

अगर हमें उसकी याद आ गई,
तो मुकाबला बराबरी का होगा|

Badalon Se Keh Do,
Jara Soch Samjh Kar Barse,


Agar Mujhe Unki Yaad Aa Gayi,
To Mukabla Barabari Ka Hoga.



Sapna Kabhi Sakaar Nahi Hota,
Mohabbat Ka Koi Aakar Nahi Hota.

Sab Kuchh Ho Jata Hai Duniya Mein,
Magar Dobara Kisi Se Sachcha Pyaar Nahi Hota.



Rona Bhi Hum Jo Chahte Hain Toh Ro Nahi Paate,
Dil Ke Jakhmon Ko Aansuon Se Dho Nahi Paate,

Is Zindagi Ke Khel Bhi Ajeeb Hain Yaaro,
Hona Hum Jinke Chahte Hain Ho Nahi Paate Hain.



Har Roz Mujhe Yeh Khayal Aata Hai,
Ghamon Se Mera Bahut Purana Nata Hai,

Har Roz Teenka-Teenka Marte Hain Hum,
Chah Kar Bhi Tera Chehra Nahi Bhulaya Jata Hai.



मेरी वफ़ा की कदर ना की,
अपनी पसंद पे तो ऐतबार किया होता,

सुना है वो उसकी भी ना हुई,
मुझे छोड दिया था उसे तो अपना लिया होता|



Sapna Kabhi Sakar Nahi Hota
Mohabbat Ka Koi Aakar Nahi Hota

Sub Kuch Hojata Hai Is Dunya Mein Magar

Dubara Kisi Se Sacha Pyaar Nahi Hota.

सपना कभी साकार नहीं होता,
मोहब्बत का कोई आकार नहीं होता,


सब कुछ हो जाता है इस दुनियां में,
मगर दोबारा किसी से प्यार नहीं होता।.



Taqdeer Ne Jese Chaha Vaise Dhal Gye Hum,
Bahut Sambhal K Chale Fir Bhi Fisal Gye Hum,

Kisi Ne Viswas Toda Toh Kabhi Kisi Ne Dil,
Aur Logon Ko Lagta Hain Ki Badal Gaye Hum.



Jane Kitne Aansu Bahate Hain…
Hum Ishq Mein Har Roz,

Itne Aansu Peekar Bhi…

Ye Ishq Pyasa Kyun Hai Khuda..!



वो कह कर गई थी कि लौटकर आऊँगी,
मैं इंतजार ना करता तो क्या करता,

वो झूठ भी बोल रही थी बड़े सलीके से,
मैं एतबार ना करता तो क्या क्या करता।



प्यार क्या होता है हम नहीं जानते,
ज़िन्दगी को हम अपना नहीं मानते,

गम इतने मील के एहसास नहीं होता,
कोई हमें प्यार करे अब विश्वास नहीं होता.

Pyar Kya Hota Hai Hum Nahi Jante,
Zindagi Ko Hum Apna Nahi Mante,


Gum Itne Mile Ke Ehsaas Nahi Hota,
Koi Hume Pyar Kare Ab Vishwas Nahi Hota.



Pta Hi Nahi Chla Kab Woh Dost Se Hamara Pyar Ban Gye,
Saath Gujare Hue Kuchh Pal Aaj Yaadgar Ban Gye,

Kar Na Sake Unse Izhaar Hum Is Baat Ka,
Aur Dekhte Hi Dekhte Woh Kisi Aur K Dildar Ban Gye.



Roothe Huye Hain Jo Humse,
Hum Unko Khud Hi Mana Lenge,

Soyi Huyi Apni Kismat Ko,
Hum Fir Se Yaaron Jaga Lenge.



Mein Khud Ko Tumse Dur Karna Chahti Hu,
Ya Yu Kaho Ki Khud Ko Khud Se Durr Karna Chahti Hu,

Meri Shayri Mein Pehle Se Jyada Dard Bhar Gaya Hai,
Shayad Mein Iss Tarha Hi Apna Dard Bayan Karna Chahti Hu !!



Dekhna Wafa Ka Jab Bhi Sawal Aayega,
Tab Usko Mera Hi Khyal Aayega,

Magar Zindagi Ki Kabhi Woh Sham Hogi,
Tab Mujhko Us Khuda Par Malal Aayega.



हमने भी किसी से प्यार किया था,
हाथो मे फूल लेकर इंतेज़ार किया था,

भूल उनकी नही भूल तो हमारी थी,
क्यों की उन्हो ने नही,
हमने उनसे प्यार किया था..!

Humne Bhi Kisi Se Pyar Kiya Tha,
Hatho Me Phool Lekar Intezarr Kiya Tha,


Bhul Unki Nahi Bhul Toh Humari Thi..
Kyon Ki Unho Ne Nahi,
Humne Unse Pyar Kiya Tha..!



Zakham Jab Mere Seene Ke Bahar Jayenge,
Aansu Bhi Moti Bankar Bikhar Jayenge,

Ye Mat Puchhna Ki Kis Ne Dard Diya,
Warna Kuchh Apno Ke Chehre Bhi Utar Jayenge.

ज़ख़्म जब मेरे सीने के भर जाएँगे,
आँसू भी मोती बनकर बिखर जाएँगे,


ये मत पूछना किस किस ने धोखा दिया,
वरना कुछ अपनो के चेहरे उतर जाएँगे।



Yu Na Barbad Kar Mujhe,
Baaz Aaja Mera Dil Dukhane Se,

Main Toh Insan Hu,
Patthar Bhi Tut Jata Hai Itna Azmane Se.



Gilas Par Gilas Tutate Rahe,
Ghamon Ne Khusi Ka Pyala Bharne Na Diya,

Masalon Ki Tarah Dil Jalte Rahe,
Badkismati Ne Ujala Karne Na Diya.



Tere Intejar Me Kab Se Udaas Bethe Hain,
Tere Deedar Me Aankhe Bichaaye Bethe Hain,

Tu Ek Najar Hum Ko Dekh Le Bas,
Es Aas Me Kab Se Bekarar Bethe Hain.


तेरे इंतजार में कब से उदास बैठे हैं,
तेरे दीदार में आँखे बिछाये बैठे हैं,


तू एक नज़र हम को देख ले बस,
इस आस में कब से बेकरार बैठे हैं।



Hamaare Toh Kuchh Hi Din Baaki Hain Zindagi Ke,
Aapki Yaadon Ke Sahaare Yeh Kat Hi Jaayenge,

Magar Itna Yaad Rakhna Eh Dagaa Karne Waalon,
Ki Aap Bhi Kisi Se Dhoka Jarur Khayenge.



Musafir Hoon Yahan Se Kal Chala Jaunga Main,
Jaane Kis Kis Rahguzar Ki Thokren Khaunga Main,

Chalte Chalte Thak Gaya Hoon Khoob Sone Do Mujhe,
Aansuon Se Zindaghi Ke Daagh Dhone Do Mujhe,

Aish O Isharat Apna Khota Hoon Toh Khone Do Mujhe,
Zindaghi Ki Khoj Mein Paagal Hone Do Mujhe,

Kyunki,
Musafir Hoon Yahan Se Kal Chal Jaunga Main.



Dil Ka Dard Ek Raaz Banke Reh Gaya,
Mera Bharosa Mazak Banke Reh Gaya,

Dilo Ke Saudagar Se Dillagi Kar Bethe,
Shayad Is Liye Mera Pyaar Mazak Ban Ke Reh Gaya.

दिल का दर्द एक राज बनकर रह गया,
मेरा भरोसा मजाक बनकर रह गया,


दिल के सोदागरो से दिललगी कर बैठे,
शायद इसीलिए मेरा प्यार इक अल्फाज बनकर रह गया।



Yahi Halat Aarambh Se Rahe,
Log Hamse Khafa Khafa Se Raha,

In Chiragon Mein Tel Hi Kam Tha,
Kyu Gila Humko Fir Fir Hawa Se Raha,

Bahas Satranj Sher Sangeet,
Tum Nahi The Toh Yeh Dilase Rahe.



Kitna Dur Nikal Gaye Riste Nibhate Nibate,
Khud Ko Kho Diya Humne Apno Ko Pate Pate,

Log Kahte Hai Dard Hai Mere Dil Me,
Aur Hum Thak Gye Muskurate Muskurate.


कितना दूर निकल गए रिश्ते निभाते निभाते,
खुद को खो दिया हमने अपनों को पाते पाते,


लोग कहते है दर्द है मेरे दिल में,
और हम थक गये मुस्कुराते मुस्कुराते.



Dil Ki Aawaz Se Nagmein Badal Jate Hai,
Sath Na De To Apne Badal Jate Hai,

Palke Bhi Jara Samhal Ke Jhapkana Kyunki,
Palke Jhapkane Se Sapne Badal Jate Hai.



बहुत आसान है जमाने में जनम लेना,
बड़ी मुश्किल है एक उम्र तक जीवन जीना,

हम तो खामोश हैं तेरी ही खामोशी से,
तुमसे ही सीखा है हमने आंसू पीना..



Har Mulakaat Par Waqt Ka Takaza Hua,
Har Yaad Par Dil Ka ‘Dard’ Taaza Hua,

Suni Thi Sirf Logo Se Judai Ki Baate,
Ab Khud Par Beeti To Hakeekat Ka Andaza Hua.



Agar Jaate,
Tum Se Dil Na Lagate,
Ki Majhdar Mein Chhod Jaoge Hamein,

Yeh Dil Aaj Tak Bhi Nahi Manta,
Ki Auron Ki Tarah Rulaoge Hamein.



Kitna Alag Hai Unki Fitrat Mein ..
Andaaz-E-Mohobbat”Roz

Ek Jakham De Ker Kahte Hai ..
Apna Khayal Rakhna.



Tujhe Kaise Bataun Ke Bin Tere,
Main Kitna Tanha Ho Jata Hun,

Dil Har Pal Rota Rahta Hai,
Main Samjha Isko Nahi Pata Hun.



Hami Ne Kiye..
Ham Pe Jo Sitam Huye,
Uske Sitam To Sare Marham Huye,
Apni Hi Zid Thi Jo Ham-Ham Huye,
Bas Kher..
Thodhe Kam Huye!


हमीं ने किये..
हम पे जो सितम हुये,
उनके सितम तो सारे मरहम हुये,
अपनी ही ज़िद थी जो हम-हम हुये,
बस ख़ैर है..
थोड़े कम हुये!



Jo Pal Gujare Saath Unke,
Woh Pal Bahut Yaad Aate Hain,

Jab Bhi Hum Tanha Hote Hain,
Yeh Humko Bahut Rulate Hain.



Laakh Kahta Hun Bhula Diya Maine Tujhko,
Magar Dil Se Mita Na Saka Tasveer Teri,
Magar Aisi Kahan Thi Mere Yaar Takdeer Meri.



Koi Rasta Nahi Dua Ke Siva,
Koi Sunta Bhi Nahi Khuda Ke Siva,

Maine Zindagi Koi Kareeb Se Dekha Hai Dost,
Muskil Mein Koi Sath Nahi Deta Aansu Ke Siva.


कोई रास्ता नही दुआ के सिवा,
कोई सुनता नही खुदा के सिवा,


मैने भी ज़िंदगी को करीब से देखा है मेरे दोस्त,
मुस्किल मे कोई साथ नही देता आँसू के सिवा.



मेरी यादें मेरा चेहरा मेरी बातें रुलायेंगी,
हिज़्र के दौर में गुज़री मुलाकातें रुलायेंगी,

दिनों को तो चलो तुम काट भी लोगे फसानों मे,
जहाँ तन्हा मिलोगे तुम तुम्हे रातें रुलायेंगी|



हमें कोई ग़म नहीं था ग़म-ए-आशिक़ी से पहले,
न थी दुश्मनी किसी से तेरी दोस्ती से पहले,

है ये मेरी बदनसीबी तेरा क्या कुसूर इसमें,
तेरे ग़म ने मार डाला मुझे ज़िन्दग़ी से पहले।



Hamne Bahut Dekhi Hai Yeh Duniya,
Yeh Kisi Ko Jeene Bhi Nahi Deti Hai,

Aap Khule Aam Kahte Hain Karenge Mohabbat,
Yeh Toh Jakhamon Ko Seene Bhi Nahi Deti Hai.



Tum Daga Karo Tab Bhi Gaddar Nahi,
Hum Wafa Karein To Bhi Gunahgar Hain,

Khata Teri Nahi O Sanam Mere,
Yeh To Waqt Waqt Ki Maar Hai.



Tujhe Kya Pata Kya Guzaratee Hai Mujh Per,
Tu To Mujhe Dariya Mein Chod Ke Kinare Se Dekhtee Hain,

Sahil Bhi Tera Gulam Hai Aur Lehrein Bhi,
Dono Bhi Mujhe Bachane Se Pehle Tujh-Se Poochtee Hain.



Nikalta Chand Sabko Pasand Aata Hai,
Doobta Suraj Kaun Dekhna Chahta Hai,

Tootta Hua Taara Sabki Dua Isliye Poori Karta Hai,
Kyuki Use Tootne Ka Dard Maalum Hota Hai.



Char Dino Ki Thi Zindagijaane Kaise Beet Gayi,
Thukara Ke Yahan Sab Humkobewafa Hi Kahte Rahe,

Magar Na Kisi Se Hamneaaj Talak Kiya Shikwa,
Hum Bhi Na Jaane Kaise Thechup Chap Sitam Sahte Rahe.



वो साथ थे तोएक लफ़्ज़ ना निकलालबों से,
दूर क्या हुएकलम ने क़हर मचा दिया..!

Wo Sath The Toek Lafj Na Nilkalalaboo Se,
Dur Kya Huyekalam Ne Keher Macha Diya..!



Door Se Aaye The Saki Sun Ke May Khane Ko Hum,
Bas Taraste Hi Chale Afsos Paimane Ko Hum,

May Bhi Hai,
Meena Bhi Hai,
Sagar Bhi Hai,
Saki Nahi,

Dil Mein Aata Hai Laga Dein Aag Maykhane Ko Hum,
Humko Fansna Tha Kafas Mein Kya Gila Sayyad Ka,

Bas Tarsate Hi Rahe Hain Aab Aur Daane Ko Hum,
Baag Mein Lagta Nahi Sahra Mein Ghabrata Hai Dil,
Ab Kahan Le Jaake Baithe Aise Deewane Ko Hum,

Kya Huyi Bhool Humse Tu Bata De Eh Naajir,
Taaki Saahi Mout Samajhe Aise Mar Jaane Ko Hum.



Unki Kami Se Dil Mera Udas Hai,
Par Hame To Aaj Bhi Unke Milne Ki Aas Hai,

Zakham Nahi Hai Par Dard Ka Ehsas Hai,
Aisa Lagta Hai Dil Ka Ek Tukda Aaj Bhi Unke Pass Hai.



Wo Roye To Bohat Par Mujhse Monh Morr Kar Roye,
Koi Majburi Hogi Jo Dil Torr Kr Roye,

Mere Samne Kar Diye Meri Tasveer K Tukray,
Pata Laga Mere Peeche Wo Unhe Jorr Kar Roye.



Doulat Se Hi Hote Hain Agar Haasil Sabhi Riste,
To Kyu Na Tu Bhi Ise Pa Ke Dikha De,

Agar Tujh Mein Nahi Himaat Aisa Karne Ki Toh Sun,
Kam Se Kam Yeh Toh Kar Apni Yeh Zindagi Gavan De.



मेरी रूह में न समाती तो भूल जाता तुम्हे,
तुम इतना पास न आती तो भूल जाता तुम्हे,

यह कहते हुए मेरा ताल्लुक नहीं तुमसे कोई,
आँखों में आंसू न आते तो भूल जाता तुम्हे|

Meri Rooh Mein Na Samatey To Bhool Jaate Tujhe,
Tum Itna Pass Na Aate To Bhool Jaate Tujhe,


Ye Kehte Hue Mera Tum Se Koi Talauq Nahi,
Ankhon Mein Ansoo Na Aate To Bhool Jaate Tujhe.



Raat Ko Aksr Taron Se Baaten Karta Hu,
Main Tanha Baith Kr Hazaron Se Baten Karta Hu,

Patjhad Ka Mausam Hai Barson Se Zindgi Me Meri,
Aur Main Hu Ki Bs Baharon Se Baten Karta Hu.



Ehsaas-E-Mohabbat K Liye..
Bus Itna Hi Kafi Hai..
Tere Baghair Bhi Hum..
Tere Hi Rehty Hain !!



Wo Sagar Nahi Aansu The Mere,
Jis Par Wo Kashti Chalate Rahe,

Manzil Mile Unhe Yeh Aarzu Thi Meri,
Is Liye Hum Aansu Bahate Rahe.



हद से ज्यादा खुशी और हद से ज्यादा गम
कभी किसी कौ मत बताऔ!

जिंदिगी मे लोग हद से ज्यादा खुशी पर“नजर”

और हद से ज्यादा गम पर “नमक” जरुर लगाते है!



रात गुमसुम हैं मगर चाँद खामोश नहीं,
कैसे कह दूँ फिर आज मुझे होश नहीं,

ऐसे डूबा तेरी आँखों के गहराई में आज,
हाथ में जाम हैं,
मगर पिने का होश नहीं|

Raat Gumsum Hai Magar Chand Khamosh Nahi,
Kaise Keh Du Aaj Fir Hosh Nahi.


Aisa Duba Teri Aakhon Ki Gehrai Main,
Haath Mein Jaam Hai,
Magar Pine Ka Hosh Nahi.



Kadmo Ki Duri Se Dilo Ke Fasle Nahi Badhte,
Dur Hone Se Ehsas Nhi Marte,

Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamare Beech,
Lekin Aisa Koi Pal Nahi Jab Hum Apko Yaad Nhi Karte.



Is Daur Me Ki Thi ..
Jisse Wafao Ki Umeedein ..

Aakar Usi K Haath Ka ..
Patthar Lga Mujhe ..



Bohat Udaas Hai Koi Shakhs Tere Jaane Se,
Ho Sake To Laut Aa Kisi Bahaane Se,

Tu Laakh Khafa Sahi Magr Ik Baar To Dekh,
Koi Toot Gaya Hai Tere Door Jaane Se!!



Agar Yakin Hota Ki Kahne Se Ruk Jaayenge,
Toh Hum Bhi Hanskar Unko Pukaar Lete,

Magar Naseeb Ko Yeh Manjoor Nahi Tha,
Ki Hum Bhi Do Pal Khusi Se Gujar Lete.



Mujhe Maloom Hai Tum Bahot Khush Ho Is Judai Se,
Ab Khayal Rakhna Apna,
Tumhe Tum Jaisa Koi Na Mil Jaaye….



Talash Uski Karo Jo Kisi Ke Paas Na Ho,
Bhula Do Use Jis Par Bharosa Na Ho,

Hum To Apne Gamo Par Bhi Hass Padte Hain,
Wo Isliye Ki Samne Wala Udas Na Ho.