Best Dard Shayari in Hindi | अध्याय 12

Best Dard Shayari in Hindi


Pyar Ka Dard Shayari Urdu, Pyar Mein Dard Shayari, Romantic Dard Shayari, Sad Dard Shayari In Hindi, Santa Banta Dard Shayari, Two Line Dard Shayari On Facebook, Zindagi Ka Dard Shayari In Hindi, Zindagi Me Dard Shayari, 2 Line Dard Shayari Collection, 2 Line Dard Shayari In Hindi

Dil Lagi Thi Use Hum Se Mohabbat Kab Thi,
Mehfil-E-Gair Se Un Ko Fursat Kab Thi,


Hum The Mohabbat Main Lot Jane K Qabil,
Us K Wadoon Main Wo Haqiqat Kab Thi.



सिलसिला उल्फत का चलता ही रह गया,
दिल चाह में दिलबर के मचलता ही रह गया,


कुछ देर को जल के शमां खामोश हो गई,
परवाना मगर सदियों तक जलता ही रह गया.


Silasila Ulphat Ka Chalata Hee Rah Gaya,
Dil Chaah Mein Dilabar Ke Machalata Hee Rah Gaya,


Kuchh Der Ko Jal Ke Shamaan Khaamosh Ho Gaee,
Paravaana Magar Sadiyon Tak Jalata Hee Rah Gaya.



Kabhi Mom Ban Ke Pighal Gaya,
Kabhi Girte Girte Sambhal Gaya,


Use Rokta Bhi To Kis Tarah,
Ke Woh Shakhs Kitna Ajeeb Tha,


Kabhi Tadap Gaya Meri Aah Se,
Kabhi Aansu Se Bhi Na Pighal Saka,


Jo Mila Woh Kbhi Sar E Raah,
Woh To Najar Chura Ke Gujar Gaya,


Woh Utar Gaya Meri Aankh Se,
Meri Rooh Se Kyu Na Utar Saka,


Woh Sambhal Gaya Mujhe Chodkar,
Main Bikhar Ke Phir Na Sambhal Saka,


Use Rokta Bhi Toh Kis Tarah Ke 

Woh Shaks Kitna Ajeeb Tha.



Ishq Ki Taqat Ko Kam Na Samajh Naasamajh,
Ishq Ko Gaali Dekar Kamjor Na Kar,


Ishq To Vo Toofaan Hai,
Jo Kisi Anpadh Ko Bhi Bana De Shayar.



Ismein Aapki Khata Bhi Kya Bataun Main,
Hamare Naseeb Mein Hi Aapka Saath Nahi Hai,


Varna Sagar Ki Dosti Ko Yun Thukraate,
Aisi Toh Yahan Par Koi Bhi Baat Nahi Hai.



Husn Waale Toh Hote Hain Sangdil Hamesha,
Inki Adalat Mein Na Sunwayi Hoti Hai,


Aap Apna Na Banana Kabhi Inko Dosto,
Kyunki Dil Tuta Toh Jag Hansayi Hoti Hai.



Koi Achchi Si Saja Do Mujhko..
Chalo Bhula Do Mujhko..


Tumse Dosti Tute Us Din Maut Aa Jaye Mujhko..
Dil Ki Gahraiyon Se Dua Do Mujhko.


कोई अच्छी सी सज़ा दो मुझको,
चलो ऐसा करो भूला दो मुझको,


तुमसे बिछडु तो मौत आ जाये,
दिल की गहराई से ऐसी दुआ दो मुझको!



Har Basti Hai Meri,
Yeh Nagar Mera Hai,

Yeh Baat Alag Rahne Ko Na Ghar Mera Hai,

Hai Toh Sisha Ise Pathar Se Bhi Takrata Hun,
Chot Khakar Bhi Na Tuta Aisa Jigar Mera Hai,


Mujhe Har Sakal Mein Woh Sakal Najar Aati Hai,
Manzile Khuda Kahte Jise Bih Dagar Mera Hai,


Mubarak Ho Tujhe Aab E Hayat Ke Jharne,
Pi Gaya Sukraat Jise Aisa Zahar Mera Hai.



In Dooriyon Ko Judai Mat Kehna,
In Khamoshio Ko Ruswai Mat Kehna,


Har Mod Pe Yaad Karenge Aapko,
Zindgi Ne Saath Na Diya To Bewafayi Mat Kehna 



Ab Na Janengey Kabhi Hum Ki Zindagi Kya Hoti,
Tum Hote Agar Sang To Tum Zindagi Hote,


Saath Hote Hum To Kisi Rang Mein Yeh Rangi Hoti,
Tum Khushi Hote To Zindagi Kitni Khush Hoti,


Dil Ko Nahi Koi Aur Phir Aaarzoo Hoti,
Tum Hote Mere Sab Kuch To Tum Sabhi Kuch Hote.



Is Zamane Ki Baat Mat Karna Humse,
Is Zamane Ke Saath Toh Hum Chal Nahi Sakte,


Yeh Toh Badlata Hai Rang Girgit Ki Tarah,
Magar Hum Iski Tarah Rang Badal Nahi Sakte.



Bewafa Jahan Ki Bewafayi Raat Aayi,
Mere Pyar Ki Wafayi Na Raas Aayi,


Eh Sanam Kyamat Tak Hamein Yaad Rakhoge,
Ke Tum Bhi Kabhi Pyar Ko Tadpoge.



इतनी बेचैनी से तुमको किसकी तलाश है,
वो कौन है जो तेरी आंखों की प्यास है,


जबसे मिला हूं तुमसे यही सोचता हूं मैं,
क्यों मेरे दिल को हो रहा तेरा एहसास है,


जिंदगी के इस मोड़ पे तुम आके यूं मिले,
जैसे कि कोई मंजिल मेरे इतने पास है,


एक नजर की आस में तकता हूं मैं तुझे,
अब देख तेरे खातिर एक आशिक उदास
है|


Itni Bechaini Se Tumko Kiski Talaash Hai,
Wo Kaun Hai Jo Teri Aankhon Ki Pyaas Hai,


Jabse Mila Hun Tumse Yahi Sochtaa Hun Main,
Kyon Mere Dil Ko Ho Raha Tera Ehsaas Hai,


Zindgi Ke Is Mod Pe Tum Aake Yun Mile,
Jaise Ki Koi Manzil Mere Itne Paas Hai,


Ek Nazar Ki Aas Me Dekhta Hun Main Tujhe,
Ab Dekh Tere Khatir Ek Aashiq Udaas Hai.



Raat Ki Tanhai Dasti Hai,
Yaar Ki Bewafayi Hasti Hai,


Pyar Mein Mila Jo Tohfa,
Humko Ko Woh Ruswayi Dasti Hai.



Ishq Karna To Lagta He Jaise,
Mout Se Bhi Badi Ek Saza He,


Kya Kisi Se Shikayat Kare Hum,
Jab Apni Taqdir Hi Bewafaa He.



Tamannayein Hamari Bhi Bahut Thi Sanam,
Magar,
Tum Hi Socho Tumne Humse Hai Kiya Kya,


Humne Toh Kiye Shikwe Aapse Laakh Magar,
Sach Kaho Tumne Hamein Koun Sa Hai Sukh Diya.



Woh Khwabo Mein Aakar Rulate Hain,
Hakikat Mein Na Aakar Tadpaate Hain,


Jinko Hum Samjhaya Karte The Kabhi,
Woh Log Aaj Humko Samjhate Hain.



Nafrat Kabhi Na Karna Hum Se,
Ye Hum Kabhi Na Seh Payein Ge,


Ek Bar Keh Dena Hum Se K Zaroorat Nahi Ab Tumhari,
Hum Tumhari Duniya Se Hans K Chale Jayege.



Zindgi Se Apna Har Dard Chupa Lena,
Khushi Na Sahi Gam Gale Laga Lena,


Koi Agar Kahe Mohabbat Aasan Hai,
To Use Mera Toota Hua Dil Dikha Dena.


ज़िंदगी से अपना हर दर्द छुपा लेना,
ख़ुशी न सही गम गले लगा लेना,


कोई अगर कहे मोहब्बत आसान है,
तो उसे मेरा टूटा हुआ दिल दिखा देना.



उनसे मिलने को जो सोचों अब वो ज़माना नहीं,
घर भी कैसे जाऊं अब तो कोई बहाना नहीं,


मुझे याद रखना कहीं तुम भुला न देना,
माना के बरसों से तेरी गली में आना-जाना नहीं।


Unse Milne Ko Jo Socho Ab Wo Zamana Nahi,
Ghar Bhi Kaise Jaun Ab To Koi Bahana Nahi,


Mujhe Yaad Rakhna Kahi Tum Bhula Na Dena,
Mana Ke Barson Se Teri Gali Me Aana-Jana Nahi.



Aap Bhi Ho Gaye Hum Se Bewafa,
Humko Yeh Aitbar Hi Nahi Hota,


Hum Toh Koste Hain Apne Aap Ko Hi,
Kaash Aapse Pyar Hi Nahi Hota.



सो जा ऐ दिल कि अब धुन्ध बहुत है तेरे शहर में,
अपने दिखते नहीं और जो दिखते है वो अपने नहीं…।


So Ja Ai Dil Ki Ab Dhundh Bahut Hai Tere Shahar Mein,
Apane Dikhate Nahin Aur Jo Dikhate Hai Vo Apane Nahin…।



Jis Din Se Juda Woh Humse Hue,
Is Dil Ne Dhadkna Chhor Dia,


Hai Chand Ka Munh Bhi Utra Utra,
Taaron Ne Chamakna Chhor Diya.



Main Is Liye Chhod Aaya Tha Woh Tera Sahar,
Ki Shayad Teri Yaad Na Fir Aayengi Mujh Ko,


Magar Kya Maalum Tha Ki Aisa Bhi Hoga Kabhi,
Pahle Se Bhi Jyada Yeh Tadpayengi Mujhko.



Dukh De Kar Sawaal Karte Ho,
Tum Bhi Ghaalib !
Kamaal Karte Ho..


Daikh Kar Pooch Liyaa Haal Meraa,
Chalo Kuch Tou Khayaal Karte Ho..


Shehar-E-Dil May Ye Udaasiyaan Kaisi

ye Bhe Mujh Say Sawaal Karte Ho

Marnaa Chaahain Tou Mar Nahe Sakte,
Tum Bhe Jeenaa Muhaal Karte Ho..


Ab Kiss Kiss Ki Misaal Doon Tum Ko

her Sitam Bay-Misaal Karte Ho

दुःख देकर सवाल करते हो;
तुम भी जानम!
कमाल करते हो;


देख कर पूछ लिया हाल मेरा;

चलो कुछ तो ख्याल करते हो;

शहर-ए दिल में ये उदासियाँ कैसी;

ये भी मुझसे सवाल करते हो;

मरना चाहें तो मर नहीं सकते;

तुम भी जीना मुहाल करते हो;

अब किस-किस की मिसाल दूँ तुम को;

हर सितम बे-मिसाल करते हो।



तूने नफ़रत से जो देखा है तो याद आया,
कितने रिश्ते तेरी ख़ातिर यूँ ही तोड़ आया हूँ,


कितने धुंधले हैं ये चेहरे जिन्हें अपनाया है,
कितनी उजली थी वो आँखें जिन्हें छोड़ आया हूँ।


Tune Nafrat Se Jo Dekha Hai To Yaad Aya,
Kitne Rishte Teri Khaatir Yunhi Tod Aayi Hu..


Kitne Dhundhle Hain Ye Chehre Jinhe Apnaaya Hai,
Kitni Ujli Thi Wo Aankhen Jinhe Chod Aaya Hu.



देख कर मेरा नसीब मेरी तक़दीर रोने लगी,
लहू के अल्फाज़ देख कर तहरीर रोने लगी,


हिज्र में दीवाने की हालत कुछ ऐसी हुई,
सूरत को देख कर खुद तस्वीर रोने लगी।


Dekh Mera Naseeb Meri Taqdeer Rone Lagi,
Lahu Ke Alfaaz Dekh Tehreer Rone Lagi,


Tere Hijar Me Meri Halt Aisi Huyee,
Surat Dekh Kar Khud Tasveer Rone Lagi.



Yaad Toh Har Koi Karega Jaane Ke Baad,
Sache Pyar Ka Pata Chal Jaayega Waqt Aane Ke Baad,


Kaun Kitni Mohabbat Karta Hai,
Nazar Aajayega Mere Marr Jaane Ke Baad.



Poochha Na Zindagi Mein,
Kisi Ne Bhi Dil Ka Haal,


Ab Shahar Bhar Mein Zikrr,
Meri Khudkushi Ka Hai.



Eh Khuda Bata Too Mujhe Itna,
Kya Ki Hai Aaj Talak Khata Humne,


Yeh Jo Mile Hain Itne Gham Humko,
Kis Baat Ki Di Hai Saja Tumne.



Sab Kuchh Milta Hai Duniya Mein,
Magar Ek Pyar Nahi Milta,


Dushman Toh Laakhon Milte Hain,
Magar Sachha Yaar Nahi Milta,


Humne Toh Bas Itna Hi Sikha Hai Dosto,
Raah E Mohabbat Mein Kabhi Kinara Nahi Milta,


Jo Mil Jaaye Is Raah Par Kabhi Yaar Se,
Woh Jakham Fir Kabhi Bhi Dubara Nahi Silta.



Chor Di Hum Ne Duniya Bas Teri Khushi Ke Liye..
Jee Sakenge Na Ab Hum Kisi Ke Liye..


Tera Milna Bicherna Ek Khwab Sa Tha..
Teri Kasam Traste Rahe Bas Ek Hansi Ke Liye..


Teri Judai Se Badh Kar Kya Gham Hoga..
Zakham Kafi Hain Yeh Hi Meri Zindgi Ke Liye.



Hoton Par Mohabbat Ke Fasane Nahi Aate
sahil Par Samander Ke Khajane Nahi Aate,

Palkein Bhi Chamak Udhati Hain Sote Mein Hamari

aankhon Ko Abhi Khwab Chhupane Nahin Aate,

Dil Ujadi Huyi Ek Saray Ki Tarah Hai

ab Log Yahan Raat Bitane Nahi Aate.



Ttum Savyam Ko Sajaati Raho Raat Din,
Raat Din Main Savyam Ko Jalata Rahu,


Tum Mujhe Dekhkar Mud Ke Chalti Raho,
Main Virah Mein Madhur Geet Gata Rahun,


Main Jamaane Ki Thokar Hi Khata Rahun,
Tum Jamaane Ko Thokar Lagaati Hi Raho,


Zindagi Ke Kamal Par Girun Oss Sa,
Rosh Ki Dhoop Ban Tum Sukhaati Raho,


Kaanto Ki Sajaati Raho Raah Tum,
Main Usi Raah Par Roj Jaata Rahun,


Tum Savyam Ko Sajaati Raho Raat Din,
Raat Din Main Savyam Ko Jalata Rahu.



Kabhi Teri Baahon Mein Har Gham Bhula Diya Karte The Hum,
Magar Aaj Yeh Baahein Gairon Ke Naam Ho Gayi,


Kya Dein Hum Yaar Tujhe Duayen,
Ab To Dua Ke Liya Bhi Tu Naakam Ho Gayi.



Main Khatavaar Hun Tera Eh Mere Sanam,
Tujhse Wada Tha Kiya Magar Nibha Nahi Saka,


Bhool Jaane Ki Tujhko Khai Toh Thi Kasam,
Laakh Koshish Bhi Kari Lekin Bhula Na Saka.



Aakar Hamari Kabar Par Phool Chdhaye Sabhi Ne,
Na Laya Saath Kante Koi Jinka Hamein Sahara Tha,


Yeh Mante Hain Hum Ki Yeh Dil Tha Hamara Magar,
Is Mein Sanbhala Tha Jo Woh Dard Tumhara Tha.



Us Ne Kaha Tum Main Pehli Si Baat Nahi,
Main Ne Kaha Zindgi Mein Tera Saath Nahi,


Us Ne Kaha Ab Bhi Kisi Ki Aankhon Mein Doob Jatey Ho,
Main Ne Kaha Ab Kisi Aankh Mein Wo Baat Nahi,


Us Ne Kaha Kyu Itna Toot Ke Chaha Mujhe,
Main Ne Kaha Insaan Hoon Pathar Zaat Nahi.



Hamare Jeene Ke Liye
Yahi Bahut Hai Eh Dost,


Ki Aapke Hoton Par
Hamara Naam Aaya Toh Tha,


Bhale Hi Woh Khusi Thi
Kuchh Lamhon Ki Magar,


Aapki Vajah Se
Yeh Dil Muskaraya Toh Tha.



Muskurate Palko Pe Sanam Chale Aate Hein,
Aap Kya Jaano Kahan Se Hamare Ghum Aate Hain,


Aaj Bhi Us Mod Par Khade Hain,
Jaha Kisi Ne Kaha Tha Ke Theron Hum Abhi Aate Hain.


मुस्कुराते पलको पे सनम चले आते हैं,
आप क्या जानो कहाँ से हमारे गम आते हैं,


आज भी उस मोड़ पर खड़े हैं,
जहाँ किसी ने कहा था कि ठहरो हम अभी आते है।



Khuda Ne Jab Ishq Banaya Hoga,
To Khud Ajmaya Hoga,


Hamari To Aukaat Hi Kya Hai,
Is Ishq Ne Khuda Ko Bhi Rulaya Hoga.


खुदा ने जब इश्क़ बनाया होगा,
तो खुद आज़माया होगा,


हमारी तो औकात ही क्या है,
इस इश्क़ ने खुदा को भी रुलाया होगा !



Kore Kagaj Ki Tarah,
Meri Zindagi Veeran Hai,


Gham Ki Duniya Mein Yaaro,
Gham Hi Meri Pahchan Hai,


Khud Gham Sada Hoke Bhi,
Karta Hai,
Khush Logon Ko,


Sach Toh Yeh Hai Sanam,
Ki Dard Hi Jaan Ha.



Jaate Jaate Vo Mujhe Achchhii Nishaani De Gaya,
Umr Bhar Doharaauunga Aisii Kahani De Gayaa,


Us Se Main Kuchh Paa Sakuun Aisii Kahaan Ummeed Thi,
Gam Bhi Vo Shaayad Bara-E-Meharabanii De Gaya,


Sab Havayen Le Gayaa Mere Samandar Kii Koi,
Aur Mujh Ko Ek Karatii Badabanii De Gaya,


Khair Main Pyaasa Rahaa Par Us Ne Itana To Kiya,
Meri Palakon Ki Kataron Ko Vo Paanii De Gaya.



Subah Juda Hai Raat Juda Hai,
Apni To Her Baat Juda Hai,


Tumse Bichar Ker Aisa Laga,
Jaise Dua Main Haath Juda Hai,


Sab To Aate Rahte Hai,
Tum Aao To Baat Juda Hai.



Gam Nahi Ke Tum Bewafa Nikli,
Magar Afsos Iss Baat Ka Hai,


Wo Sab Log Sach Nikle,
Jinse Main Tere Liye Lada Karta Tha.


गम इस बात का नही कि तुम बेवफा निकली,
मगर अफ़सोस ये है कि,


वो सब लोग सच निकले,
जिनसे मैं तेरे लिए लड़ा करता था!



Milna-Bichadna To Waqt Ka Dastur Hota Hai,
Judaa Hokar Bhi Koi Yaado Se Naa Door Hota Hai,


Koi Nahi Chahta Judaa Hona Apno Se,
Wo To Waqt Ko Shayad Ye Hi Manjoor Hota Hai.



Pyase Ko 4 Bund Pani Hi Kafi Hai,
Ishq Me 4 Din Ki Zindagani Hi Kafi Hai.


Marna Ho To Samandar Mein Kyu Jana,
Unki Palko Se Tapakta Hua Ek Ansu Hi Kafi Hai.



Laakh Kahta Hun Bhula Diya Maine Tujhko,
Magar Dil Se Mita Na Saka Tasveer Teri,
Magar Aisi Kahan Thi Mere Yaar Takdeer Meri.



Main Jeeta Raha Hun Ghut Ghut Ke Yaaro,
Mujhe Ab Jeene Ki Tamanna Nahi Hai,


Yeh Jo Humne Kiya Hai Pyar Tumse,
Yeh Dil Ki Lagi Hai Dilaagi Nahi Hai.



Jab Bhi Tujhe Meri Yaad Aayegi,
Pyar Ki Har Baat Tujhe Tadpayegi,


Main Na Aaya Agar Kabhi Tere Darwaje Par,
Mohabbat Ka Shola Tere Dil Mein Bhadkayegi.



Woh Aur Honge Log,
Zindagi Jinhe Raas Aayi,


Apna To Woh Haal Hai Gaalib,
Har Aas Tooti,


Har Ummeed Charmarayi,
Hum Pe Aake Sab Haari,


Kya Neki,
Kya Badi Aur Kya Khudayi.



Ek Apni Hi Baat Kya Main Karu,
Tune Kitno Ke Jaane Dil Tode Hain,


Magar Humse Nahi Hoga Sahan Kabhi,
Humare Din Ab Toh Thode Hain.


Woh Humsafar Ishq Ke,
Uss Dariya Mein Chhod Gaya,


Jis Ka Koi Kinara Nahi,
Ab Kya Bataun,
Kaise Batayein Apna Hal E Dil,


Ab Toh Us Ishq Mein Fana Ho Gaya Hu,
Jis Mein Rooh Toh Rahi Par Dil Na Raha.


Tag:

Pyar Ka Dard Shayari Urdu, Pyar Mein Dard Shayari, Romantic Dard Shayari, Sad Dard Shayari In Hindi, Santa Banta Dard Shayari, Two Line Dard Shayari On Facebook, Zindagi Ka Dard Shayari In Hindi, Zindagi Me Dard Shayari, 2 Line Dard Shayari Collection, 2 Line Dard Shayari In Hindi