Best Dard Shayari | अध्याय 11


Good Night Dard Shayari, Gujarati Dard Shayari, Gujarati Dard Shayari Image, Hindi Dard Shayari Free Download, Ishq Ka Dard Shayari, Judai Ka Dard Shayari, Khwaja Meer Dard Shayari, Love Dard Shayari Image, Matlabi Dost Dard Shayari, Mere Dil Ka Dard Shayari, Mirza Ghalib Dard Shayari In Hindi, Mohabbat Ka Dard Shayari, Motivational Dard Shayari, Pyar Ka Dard Shayari Facebook, Pyar Ka Dard Shayari In English,
Aap Kya Jaano
Kya Hota Hai Dard Judai Ka,


Humse Yeh Puchho
Kaisa Haal Hota Hai Tanhai Ka,


Mout Ko Laga Lete Hain
Majboor Hokar Gale Yaaro,


Aisa Hota Hai
Jab Bhi Hota Hai Hashar Rushwai Ka.



Zindagi Ke Safar Ki Manzil Hai Maut,
Milti Hai Zindagi Toh Aati Hain Maut,


Hasna Hai Zindagi Toh Rona Hain Maut,
Chalna H Zindagi To Rukna Hain Maut,
Har Aashiq Ki Zindagi Ki Manzil Hain Maut.



Kabhi Mom Ban Ke Pighal Gaya,
Kabhi Girte Girte Sambhal Gaya,


Use Rokta Bhi To Kis Tarah,
Ke Woh Shakhs Kitna Ajeeb Tha,


Kabhi Tadap Gaya Meri Aah Se,
Kabhi Aansu Se Bhi Na Pighal Saka,


Jo Mila Woh Kbhi Sar E Raah,
Woh To Najar Chura Ke Gujar Gaya,


Woh Utar Gaya Meri Aankh Se,
Meri Rooh Se Kyu Na Utar Saka,


Woh Sambhal Gaya Mujhe Chodkar,
Main Bikhar Ke Phir Na Sambhal Saka,


Use Rokta Bhi Toh Kis Tarah Ke 

Woh Shaks Kitna Ajeeb Tha.



Na Ji Bhar Ke Dekha Na Koi Baat Ki
badi Aarju Thi Unse Mulakat Ki,

Ujalon Ki Patiya Nahane Lagi

nadi Gun Gunayi Khayalat Ki,

Main Chup Tha Toh Chalti Hawa Ruk Gayi

jubaa Sab Samjhate Hain Jajbat Ki.



Hamaare Toh Kuchh Hi Din Baaki Hain Zindagi Ke,
Aapki Yaadon Ke Sahaare Yeh Kat Hi Jaayenge,


Magar Itna Yaad Rakhna Eh Dagaa Karne Waalon,
Ki Aap Bhi Kisi Se Dhoka Jarur Khayenge.



Pasand Karta Hun Har Haseeno Ko,
Magar Dil Mein Basane Ke Liye Jagah Nahi,


Thukra Dete Hain Begane Samajhkar,
Uski Hoti Koi Thukraane Ki Vajah Nahi.



Kuch Cheeze Hum Purani Chhod Aaye Hain,
Aate Aate Uski Ankho Me Pani Chod Aaye Hai,


Ye Aisa Dard Hain Jo Bayaa Ho Nahi Sakta,
Dil To Sath Le Aaye Par Dhadkan Chod Aaye Hai.



Patjhad Mein Sukhe Patte Ki Tarah,
Meri Yeh Zindagi Bhi Dagmagati Hai,


Hain Raahe Hi Raahein Main Dekhun Jidhar,
Kahin Manzil Najar Na Humko Aati Hai.



Ek Din Humari Aankhon Ne Bhi,
Thak Kar Humse Keh Diya,


Khawab Vo Dekha Karo Jo Pure Ho,
Roz Roz Humse Roya Nahi Jata.



Jaane Kya Mujhse Zamana Chahta Hai,
Mera Dil Todkar Mujhe Hi Hansana Chahta Hai,


Jaane Kya Baat Jhalakti Hai Mere Chahre Se,
Har Shaks Mujhe Aajmana Chahta Hai.



Mohabbat Woh Haseen
Gunaah Hain,



Jise Har Insaan Khushi
Khushi Karta Hain . .


Par
Mohabbat Mein
Intezaar Wo Saza Hai.
Jo Sirf Wohi Karta Hai . .


Jo Such Mein
Mohabbat Karta Hai.



Bhul Ke Mujhko Agar Tum Ho Salamat..
To Bhul Ke Tujhko Sambhalna Muze Bhi Aata Hai..


Nahi Hai Meri Fitrat Main Yeh Aadat..
Warna Teri Tarha Badalna Muze Bhi Aata Hai..



Woh Pyar Bhari Baatein Teri,
Yaad Kabhi Bhi Na Aaye,


Woh Mahki Mahki Yaadein Teri,
Yaad Kabhi Bhi Na Aaye,


Dil Se Bhula Dena Chahta Hun,
In Yaadon Ko Is Kadar,


Ki Markar Bhi Phir Kabhi,
Yaad Kabhi Bhi Na Aaye.



Fursat Kise Hai Jakhamon Ko Sahlaane Ki,
Nigaahein Badal Gayi Hain Apne Begano Ki,


Humsafar Hi Saath Chhod Gaya Mera,
Ab Tamanna Na Rahi Aashiya Banane Ki,


Raakh Ho Gaya Chaman Armano Ka,
Naamon Nishaa Na Bacha Mere Afsane Ka,


Barbaadi Par Ranjo Gham Kaise Yaaro,
Hashar Yahi Toh Hota Hai Deewano Ka.



भले ही किसी गैर की जागीर थीं वो,
पर मेरे ख्वाबों की भी तस्वीर थीं वो,


मुझे मिलती तो कैसे मिलती,
किसी और की हिस्से की तक़दीर थीं वो|


Bhale Hi Kisi Gair Ki Jaagir Thi Wo,
Par Mere Khwabon Ki Tasveer Thi Wo,


Mujhe Milti To Kaise Milti,
Kisi Aur Ke Hisse Ki Taqdeer Thi Wo.



Teri Rahmat Ne Mere Daata,
Mujhko Jeena Sikha Diya,


Na Raha Kisi Se Bhi Sikwa,
Jakhmon Ko Seena Sikha Diya.



Dard Ka Ehsas Janna Hai To Pyar Kar Ke Dekho,
Apni Aankho Me Kisi Ko Utar Kar Dekho,


Chot Unko Lagegi Aansu Tumhe Aa Jayenge,
Ye Ehsas Janna Ho To Dil Haar Kar Dekho.



न पूछो हालत मेरी रूसवाई के बाद,
मंजिल खो गयी है मेरी,

जुदाई के बाद,

नजर को घेरती है हरपल घटा यादों की,

गुमनाम हो गया हूँ गम-ए-तन्हाई के बाद!

Na Pucho Haalat Meri Ruswaai Ke Baad,
Majil Kho Gai Hai Meri,
Judaai Ke Baad,


Najar Ko Gherti Hai Har Pal Ghata Yaado Ki..
Gumnaam Ho Gaya Hu Gam-E-Tanhai Ke Baad.



Nazren Mila Ke Kiya Dil Ko Zakhmi,
Adayen Dikha Kar Sitam Dha Rahe Ho,


Meri Wafao Ka Kya Khub Sila Diya Hain,
Tadapta Hua Chod Kar Jaa Rahe Ho.



Roye Hai Sabhi Toh Aakar Lash Par Hamari,
Magar Unhone Do Aansu Bhi Na Bahaaye Hain,


Hamein Kiya Barbad Loota Hai Jis Jaalim Ne,
Door Khade Hokar Dekho Woh Muskaraye Hain.



Gham Hi Mile Itne Jeevan Mein,
Ki Khusiyon Ko Bulana Bhool Gaye,


Huya Teri Judai Mein Aisa Aalam,
Ki Hum Apna Hi Thikana Bhool Gaye.



Koi Toh Inteha Hogi Mere Pyar Ki Khuda,
Kab Tak Dega Tu Is Kadar Hamein Saja,


Nikal Le Tu Is Jism Se Jaan Meri,
Yah Mila De Mujhko Meri Dilruba.



Nikal Aate Hain Aansu Rone Se Pahle,
Toot Jate Hain Sare Sapne Sone Se Pehle,


Kahte Hain K Pyar Ik Saza Hai,
Kash Koi Rookleta Hone Se Pehle.



Hamne Dhunde Bhi Toh Dhubde Hain Sahare Kaise,
In Sharabo Par Koi Umar Gujare Kaise,


Hath Ko Hath Nahi Sujhe Woh Andhkar Thi,
Aa Gaye Haath Mein Na Jaane Sitare Kaise,


Har Taraf Shor Usi Naam Ka Hai Duniya Mein,
Koi Usko Jo Pukare Toh Pukare Kaise.



बिछड़ के तुम से ज़िंदगी सज़ा लगती है,
यह साँस भी जैसे मुझ से ख़फ़ा लगती है ।


तड़प उठता हूँ दर्द के मारे,
ज़ख्मों को जब तेरे शहर की हवा लगती है ।


अगर उम्मीद-ए-वफ़ा करूँ तो किस से करूँ,
मुझ को तो मेरी ज़िंदगी भी बेवफ़ा लगती है।


Bichad Ke Tum Se Zindagi Saza Lagti Hai,
Yeh Saans Bhi Jaise Mujh Se Khafa Lagti Hai,


Tadap Uthte Hain Dard Ke Maare,
Zakhmon Ko Jab Tere Sheher Ki Hawa Lagti Hai,


Agar Ummeed E Wafa Karun To Kis Se Karun,
Mujh Kotoh Meri Zindagi Bhi Bewafa Lagti Hai.



Mere Pehlu Mein Bhi Ek Shama Jala Karti Hai
jiski Lou Se Teri Tasveer Bana Karti Hai,

Samne Tere Zuban Band Hi Rehti Hai Magar,
Dil Ki Jo Baat Hai Wo Aankh Bayan Karti Hai,


Chup Kyu Ho Humse Koi Baat Karo Ae-Dilwar,
Aise Khamoshi Se To Takleef Badaa Karti Hai,


Shamma Jalti Hai To Zamane Ko Pata Chalta Hai,
Dil K Jalne Ki Khabar Aakhir Kisko Hua Karti Hai.



Rone Ki Saza Na Rulane Ki Saza Hai,
Ye Dard Mohabbat Ko Nibhane Ki Saza Hai,


Haste Hai To Aankho Se Nikal Aate Hai Aansu,
Ye Us Shaks Se Dil Lagane Ki Saza Hai.



Daulat Ko Lekar Main Kya Karun,
Mila Na Mujhko Pyar Kabhi,


Bas Itna Hi Jana Humne,
Bewafa Hain Yahan Toh Yaar Sabhi.



परछाई आपकी हमारे दिल में है,
यादे आपकी हमारी आँखों में है,


कैसे भुलाये हम आपको,
प्यार आपका हमारी साँसों में है.


Parchaee Aapki Humare Dil Me Hai,
Yaade Aapki Humari Aankhon Me Hai,


Kaise Bhulaye Hum Aapko,
Pyar Aapka Humari Saanson Me Hai.



खुद को कुछ इस तरह तबाह किया,
इश्क़ किया क्या ख़ूबसूरत गुनाह किया,


जब मुहब्बत में न थे तब खुश थे हम,
दिल का सौदा किया बेवजह किया|


Khudh Ko Kuch Is Tarah Tabah Kiya,
Ishq Kiya Kya Khubsoorat Gunaah Kiya,


Jab Mohobbat Me Na The Tab Kush The Ham,
Dil Ka Soda Kiya Bewajah Kiya.



Kisko Farebi Hum Kahein Kisko Kahein Hum Bewafa,
Kismat Hi Shayad Aisi Likha Kar Laaye Hain Hum,


Aaj Wakif Hai Yaaro Hamse Sahar Ka Har Ek Aadmi,
Magar Apno Ke Liye Hi Dekhiye Paraye Hain Hum.



Dil Dhadakne Ka Sabab Yaad Aaya,
Woh Teri Yaad The Ab Yaad Aaya,


Badi Mushkil Se Din Guzara Tha,
Phir Tere Wada-E-Shab Yaad Aaya,


Baith Kar Saya-E-Gul Main Nasir,
Hum Bohat Roye Woh Jab Yaad Aaya.



Is Kadar Tujh Se Pyar Hua,
Ki Hum Ban Baithe Aashiq,


Tum Hi Bata Do Eh Bewafa,
Kya Kami Thi Mere Pyar Mein Aakhir.



Ek Yeh Bhi Bharam Toota,
Milne Ko Woh Na Aaya,


Kya Kya Na Mujhpe Gujri,
Kya Kya Na Dil Mein Aaya,


Pahle Bhi Yun Toh Usne,
Tode Hain Kayi Waade,


Hum Toh Na Bura Maane,
Humko Na Malaal Aaya.



Kitna Chaahata Hun Tujhe Yeh Mujhko Pata Nahi,
Magar Tumhare Siwa Koi Aur Dil Mein Basa Nahi,


Zamana Dusman Ho Gaya Chaahat Ka Hamari,
Juda Ho Gaye Phir Se Hum Yeh Meri Khata Nahi.



Kuchh Aise Bhi Log Hain Duniya Mein,
Jinhe Pyar Ke Badle Hai Pyar Mila,


Magar Hamari Toh Aisi Kismat Hai,
Jisko Chaha,
Nahi Woh Yaar Mila.



Na Neend Hai Aakhon Mein,
Na Dil Mein Hai Karar,


Bas Yahi Haal Hai Apna,
Jabse Hua Hai Pyar.



Kitna Alag Hai Unki Fitrat Mein ..
Andaaz-E-Mohobbat”


Roz Ek Jakham De Ker Kahte Hai ..
Apna Khayal Rakhna.



Na Chalta Hai Dil Par Jor Koi,
Yeh Khud Ki Hi Marji Chalata Hai,


Karta Hai Khatayein Kaisi Kaisi,
Aur Badle Mein Hamein Rulata Hai.



Unki Yaadon Ko Abhi Bhi Seene Mein Chhupaye Baitha Hun,
Haye Main Kis Zalim Se Dil Ko Lagaye Baitha Hun,


Inhi Raahon Se Aayenge Bhale He Baad Mere Marne Ke,
Kitna Nadan Hun Abhi Bhi Dil Ko Samjhaye Baitha Hun!



Mere Marne Ke Baad Meri Kahani Likhna,
Kaise Barbaad Huwi Meri Jawani Likhna,


Aur Likhna Ki Mere Honth Khushi Ko Tarse,
Kaise Barsa Meri Aankhoon Se Paani Likhna,


Aur Likhna Ki Uska Intezaar To Bahut Tha,
Aakhri Saansoon Mein Woh Hichkiyoun Ki Rawaani Likhna,


Likhna Ke Marte Waqt Bhi Deta Tha Dua Tujhko,
Haath Bahar Tha Qafan Se Yehi Nishaani Likhna.



Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hai,
Par Zindagi Kisi Ki Mohabbat Nahi Banti,


Tamanna Le Kar Jeete Hai Sab Log,
Magar Har Tamanna Taqdeer Nahi Banti.



Sanam Teri Nafrat Mein Wo Dam Nahi,
Jo Meri Chahat Ko Mita De,


Ye Mohabbat Hai Koi Khel Nahi,
Jo Aaj Hans Ke Khela Aur Kal Ro Ke Bhula De.



Kismat Ne Bar-Bar Bachaya Hun Main,
Maut Ke Muh Se Bhi Wapas Laut Aaya Hun Main,


Kyun Kari,
Ham Par Itani Rahmat Khuda,
Pahle Hi Unke Rahmat Ka Sataya Hun Mein.



Meri Zindagi Mujhe Yeh Bata,
Mujhe Bhul Kar Tujhe Kya Mila.?


Meri Hasrato Ka Hisaab De,
Dil Tor Kar Tujhe Kya Mila….?


Tere Chaar Din Ke Pyaar Se,
Mujhe Umar Bhar Ka Gum Mila


Main Toot Kar Bikhar Gayi,
Mujhe Tor Kar Tujhe Kya Mila..



Aaj Teri Yaad Ko Seene Se Laga Kar Roye,
Apne Khwabon Mein Tujhe Paas Bulake Roye,


Hazaron Baar Pukara Tujhe Tanhaiyon Mein,
Aur Har Baar Tujhe Paas Na Paa Kar Roye.


आज तेरी याद सीने से लगा कर हम रोये,
तन्हाई में तुझे पास बुला कर हम रोये,


कई बार पुकारा इस दिल ने तुम्हें,
हर बार तुम्हें ना पाकर हम रोये।



Laakh Bandisen Laga Le Duniya Hum Par,
Magar Dil Par Kaabu Nahi Kar Payenge,


Woh Lamha Aakhiri Hoga Zeevan Ka Hamara,
Jis Din Hum Yaar Tujhe Bhul Jayenge.



Ae Mout Jara Thahar Ja,
Jara Sa Ruk Ja Tu,
Intezaar Hai Unka,


Jinki Amanat Hai Zindagi,
Jara Unse Rukhsat Le Lene De,


Fir Le Chalna,
Yeh Jaruri Hai,
Unhi Ki Badolat Hai Zindagi.



Rasta Aisa Bhi Dushwar Na Tha,
Bus Tum Ko Hamari Chahat Pe Aitbar Na Tha,


Tum Hi Chal Na Sake Hamare Sath Warna,
Hamein To Jaan Dene Se Bhi Inkar Na Tha.


रास्ता ऐसा भी दुशवार न था,
बस उसको हमारी चाहत पे ऐतबार न था,


वो चल न सकी हमारे साथ वरना,
हमे तो जान देने से भी इनकार न था.



Usne Kaha Pyar Ek Dard Hai..
Humne Kaha Dard Qabul Hai..


Usne Kaha Dard Ke Saath Ji Na Paoge..
Humne Kaha Teri Pyar Ke Saath Marna Qabul Hai.



Sab Kuchh Apna Ganvakar Socha,
Kya Humne Yahan Paya Hai,


Meri Wajah Se Woh Toh Khush Hai,
Yeh Soch Kar Dil Bahlaya Hai.



Yaad Aaoon To Bas Itni Si Inayat Karna,
Apne Badle Hue Lehje Ki Wazahat Karna,


Tum Jo Chahat Ka Shahkar Hua Karte The,
Kis Se Seekha Hai Yeh Ulfat Mein Milawat Karna,


Hum Sazaaon Ke Haqdaar Bane Hain Kab Se,
Tum Hi Keh Do Kya Jurm Hai Mohabbat Karna,


Teri Furqat Mein Yeh Aankhein Abhi Tak Num Hain,
Kabhi Aana Mere Ashkon Ki Ziyarat Karna,


Dil Mein Ab Bhi Mohabbat Ke Diye Hain Roshan,
Dekh,
Bhoole Nahi Teri Hasti Ki Sajawat Karna.



Rona Bhi Hum Jo Chahte Hain Toh Ro Nahi Paate,
Dil Ke Jakhmon Ko Aansuon Se Dho Nahi Paate,


Is Zindagi Ke Khel Bhi Ajeeb Hain Yaaro,
Hona Hum Jinke Chahte Hain Ho Nahi Paate Hain.



Wo Keh Gaye Mera Intezar Mat Krna,
Me Kahu To Bhi Mera Aitabar Mat Krna,


Ye Bhi Kaha Unhe Pyar Nahi Mujhse,
Aur Ye Bhi Keh Gye Kisi Aur Se Pyar Mat Karna.



Yeh Ashq Paani Ke Is Tarah Na Ganva,
Ki Yeh Anmol Moti Hain,


Yeh Hayat Nahak Hi Na Ganva,
Ki Yeh Zindagi Bahut Chhoti Hai.



Dekh Kar Tanha Mujhse Pucha Baharo Ne..
Kaha Gaya Tera Wo Humsafar..

Tujhe To Bada Naaz Tha Us Par..
Ye Dekh Kar Mein Chup Rahi..


Magar Mere Aansuon Ne Jawab Diya..
Milna Kismat Me Tha,
Bichadna Naseeb Tha,


Wo Mujse Itna Dur Ho Gaya..
Jitna Wo Mere Karib Tha.



Is Pyar Bhare Dil Mein Kar Ke Paida Nafrat,
Kyu Mujhko Meri Hi Nazron Mein Gira Rahe Ho,


Kuchh Toh Aur Pal Kar Lo Intezaar Tum Yaaro,
Kyu Jeete Ji Humara Janaza Utha Rahe Ho.



Taqdeer Ne Jaisa Chaha Vaise Dhal Gye Hum,
Bahut Sambhal K Chale Fir Bhi Fisal Gye Hum,


Kisi Ne Viswas Toda Toh Kabhi Kisi Ne Dil,
Aur Logon Ko Lagta Hain Ki Badal Gaye Hum.



Sare Riste Toot Ke Chur Chur Ho Gaye,
Wo Dhire Dhire Humse Dur Ho Gaye,


Meri Khamosi Meri Gunah Ban Gayi,
Aur
Wo Gunah Karke B Bekasur Ho Gaye.



तुमको देखा एक नजर हमने होश पा लिया,
अपनी पलकों में तेरा आगोश पा लिया,


हम दर्द को पीते हैं तेरा दर्द समझकर,
आंखो ने छलकने का जोश पा लिया|


Tumko Dekha Ek Nazar Hamne Hosh Pa Liya,
Apni Palkon Me Tera Aagosh Pa Liya,


Ham Dard Ko Pite Hain Tera Dard Samajh Kar,
Aankhon Ne Chhalakne Ka Josh Pa Liya.



मौहब्बत की मिसाल में,
बस इतना ही कहूँगा ।


बेमिसाल सज़ा है,
किसी बेगुनाह के लिए ।


Mohabbat Ki Misal Main..
Bus Itna Hi Kahun Ga,


Be-Misaal Saza Hai..
Kisi Be-Gunahon K Liye.



वफ़ा का दरिया कभी रुकता नही,
इश्क़ में प्रेमी कभी झुकता नही,


खामोश हैं हम किसी के खुशी के लिए,
ना सोचो के हमारा दिल दुःखता नहीं|


Vafa Ka Dariya Kabhee Rukata Nahee,
Ishq Mein Premee Kabhee Jhukata Nahee,


Khaamosh Hain Ham Kisee Ke Khushee Ke Lie,
Na Socho Ke Hamaara Dil Duhkhata Nahin|



Ansuo Ki Likhawat Ko Padh Na Sakoge,
Gile Kagaz Pe Kuch Likh Na Sakoge,


Yaad Aayegi Tumko Hamari Baate,
Khokar Jab Tum Hume Pa Na Sakoge.



Dil Ka Dard Dil Me Rakha,
Koi Na Mila Jis Pe Duniya Luta Dete,


Sab Ne Diya Dhoka Humien,
Kis Kis Ko Hum Saza Sunate.



Woh Zamane Hi Aur The Yaaro,
Jab Khusiyan Hamare Paas Thi,


Hamare Bhi Jeevan Mein Aayega Koi,
Humko Ko Bhi Iski Aas Thi.



Kyo Koi Chah Kar Dosti Nibha Nahi Pata,
Kyo Koi Chah Kar Rishta Bana Nahi Pata,


Kyo Leti Hai Zindagi Aisi Karwat,
Ki Koi Chahkar Bhi Pyar Jata Nahi Pata.



मिट्टी मेरी कब्र से चुरा रहा है कोई,
मर कर मेरे दिल बहुत याद आ रहा है कोई,


एक पल की ज़िन्दगी और देदे ऐ खुदा,
मायूस मेरी कब्र से जा रहा है कोई|


Mitti Meri Kabar Se Chura Raha Hai Koi,
Markar Bhi Dil Ko Bahut Yaad Aa Raha Hai Koi,


Ik Pal Ki Jindgi Or Dede Ae Khuda,
Maayuse Meri Kabar Se Ja Rahi Hai Koi.



वफ़ा की तलाश करते रहे हम
बेबफाई में अकेले मरते रहे हम,

नहीं मिला दिल से चाहने वाला

खुद से ही बेबजह डरते रहे हम,

लुटाने को हम सब कुछ लुटा देते

मुहब्बत में उन पर मिटते रहे हम,

खुद दुखी हो कर खुश उन को रखा

तन्हाईयों में सांसे भरते रहे हम,

वो बेवफाई हम से करते ही रहे

दिल से उन पर मरते रहे हम|



Aap Ab Aaye Ho Zindagi Mein Hamari,
Jab Hum Sabko Aajma Chuke Hain,


Aap Ab Kahte Hain Ki Pyar Karein,
Jab Hasino Se Dokha Kha Chuke Hain.



किस्मत ने जैसा चाहा वैसे ढल गए हम,
बहुत संभल के चले फिर भी फिसल गए हम,


किसी ने विश्वास तोडा तो किसी ने दिल,
और लोगो को लगा की बदल गए हम.


Kismat Ne Jaise Chaha Waise Dhal Gaye Hum,
Bahut Sambhal Kar Chaley Phir Bhi Phisal Gaye Hum!


Kisi Ne Yakeen Thoda To Kabhi Kisi Ne Dil,
Aur Logon Ko Lagata Ki Badal Gaye Hum.



Dard-E-Dil Mein Unka Ehsaas Nahin Hota,
Rota Hai Dil Mera Jab Koi Pass Nahi Hota,


Barbaad Ho Gye Hum Unki Mohabbat Mein,
Aur Wo Kehte Hai Es Tarah Pyar Nahi Hota.



Kabhi Dard Isne Diya
Kabhi Dard Usne Diya,


Jakhmon Ko Magar
Kisi Ne Bhi Seene Nahi Diya,


Aaj Farista Kahte Hain
Sabhi Mere Yaar Mujhko,


Magar Insano Ki Tarah
Kabhi Jeene Nahi Diya.



Badi Mushkil Se Bani Hu Toot Jane Ke Baad,
Main Aaj Bhi Ro Deti Hu Muskurane Ke Baad,


Tujh Se Mohabbat Thi Mujhe Beintiha,
Lekin Aksar Ye Mehsus Hua Tere Jane Ke Baad,


Ab Tak Dhundh Rahi Hu Apne Andar K Us Shaks Ko,
Jo Nazar Se Kho Gaya Hain Nazar Aane Ke Baad.



Woh Ghamon Ko Mujhse Milane Ko Mila Tha,
Yaar Mere Dard Badhanae Ko Mila Tha,


Main Dosh Bhala Kya Usko Du,
Toh Kaise Du,
Woh Zindagi Se Nijaat Dilane Ko Mila Tha.



Yeh Mujhse Puchhate Hain Doctor Kyu,
Ki Tu Zinda To Hai Ab Tak,


Magar Kyu,
Jo Rasta Chhod Ke Main Ja Raha Hun,

Usi Raste Par Jati Hai Najar Kyu,

Sunayenge Kabhi Fursat Mein Tumko,

Ki Hum Barson Rahe Hai Darbadar Kyu,

Yahan Bhi Sab Hai Begana Hi Mujhse

kahun Main Kya Ki Yaad Aaya Hai Ghar Kyu,

Main Khus Rahta Gar Samjha Na Hota,
Ye Duniya Hai To Main Deedavar Kyu.



Aisi Kardi Hai Tumne Meri Halat Yarab,
Haal E Dil Kisi Ko Suna Na Paaunga,


Tujhse Kiya Hai Wada Tabhi Majboor Hun,
Isi Liye Khud Ko Main Mita Na Paaunga.



Aapne Toh Ki Thi Dillagi Magar,
Hum Toh Dil Apna Tod Baithe,


Aapne Samjha Pyar Ko Khel Magar,
Hum Toh Ghamon Se Nata Jod Baithe.



एक बात पूछें तुमसे..
जरा दिल पर हाथ रखकर फरमायें..


जो इश्क़ हमसे शीखा था..
अब वो किससे करते हो|


Ek Baat Poochhen Tumase..
Jara Dil Par Haath Rakhakar Pharamaayen..


Jo Ishq Hamase Sheekha Tha..
Ab Vo Kisase Karate Ho|



Koi Chupata Hai,
Koi Batata Hai..


Koi Rulata Hai To Koi Hasata Hai..
Pyar To Har Kisiko Hai Kisi Na Kisi Se..


Fark Itna Hai..
Koi Azmaata Hai Aur Koi Nibhaata Hai!


कोई छुपाता है,
कोई बताता है,


कोई रुलाता है,
तो कोई हंसाता है,


प्यार तो हर किसी को ही किसी न किसी से हो जाता है,
फर्क तो इतना है कि कोई अजमाता है और कोई निभाता है!



Kalam Uthayi Hai Lafj Nahi Milta,
Jisko Dhoond Rahe Hain Lafj Nahi Milta,


Firte Ho Tum Zamane Ki Talash Mein,
Bas Hamare Liye Tumhe Waqt Nahi Milta



Do Kadam To Sab Chal Lete Hain Par,
Zindagi Bhar Ka Saath Koi Nahi Nibhata,


Agar Ro Kar Bhulai Jaati Yaadein,
To Hans Kar Koi Gam Na Chupata.



जिस जिस ने मुहब्बत में,
अपने महबूब को खुदा कर दिया,


खुदा ने अपने वजूद को बचाने के लिए,
उनको जुदा कर दिया|


Jis Jis Ne Muhabbat Mein,
Apane Mahaboob Ko Khuda Kar Diya,


Khuda Ne Apane Vajood Ko Bachaane Ke Lie,
Unako Juda Kar Diya|



Unhe Muskurana Nahi Aata,
Paas Aakar Dur Jana Nhi Aata,


Hume Pyar Jatana Nahi Aata,
Aur Unhe Pyar Nibhana Nahi Aata.



इस तरह मिली वो मुझे सालों के बाद,
जैसे हक़ीक़त मिली हो ख़यालों के बाद,


मैं पूछता रहा उस से ख़तायें अपनी,
वो बहुत रोई मेरे सवालों के बाद|


Is Tarah Milee Vo Mujhe Saalon Ke Baad,
Jaise Haqeeqat Milee Ho Khayaalon Ke Baad,


Main Poochhata Raha Us Se Khataayen Apanee,
Vo Bahut Roee Mere Savaalon Ke Baad|



Jinhe Hum Pyar Karte Hain,
Unko Bata Bhi Nahi Sakte,


Dekhiye Majboori Humari Ki,
Unhe Hum Paa Bhi Nahi Sakte.



Kitaabon Mein Kehte Hai Phool Todna Mana Hai,
Baagon Mein Kehte Hai Phool Todna Mana Hai,


Phoolon Se Keemti Cheez Hai Dil,
Koi Nahi Kehta Dil Todna Mana Hai.



Chand Ki Tarah Chamkate Husn Humne Dekhe Hain,
Ishq Mein Kayi Dil Tadpate Dekhe Hain,


Jo Noor Apni Aankhon Ka,
Mahboob Ko Bata Dete Hain,
Woh Aasiq Humne Benoor Tadpate Dekhe Hain.



Kaghaj Par Nahi Likhte Kuch Raaz Mohabbat Ke,
Pal Bhar Mein Bikhar Jaate Hain Alfaaz Mohabbat Ke,


Use Toot Kar Chaha Toh Hum Khud Hi Bikhar Gaye,
Aise Badal Jaate Hain Andaaj Mohabbat Ke,


Un Ki Saheliyo Se Zara Kahna,
Unhe Sath Hi Laaye,
Mujhe Phir Se Sajaane Hain Kuch Khwab Mohabbat Ke,


Apni To Saase Dost Usi Waqt Mein Thee Shaamil,
Kyun Baithe Huye Chor Gaye Kuch Haath Mohabbat Ke.



Chaand Sitare Bhar Deta
Main Teri Maang Mein,


Magar Kya Aapko Mujh Par
Yakeen Nahi Hota,


Agar Aap Kar Paate

Kabhi Waade Wafa Apne,

Toh Is Kadar Humara
Mukaddar Nahi Hota.



Har Pal Usey Sochna,
Har Pal Usey Khojna,


Kabhi Use Paa Lena,
Kabhi Use Kho Dena,


Main Ajeeb,
Meri Mohabbat Us Se Bhi Ajeeb,


Use Yaad Karna,
Aur Phir Ro Dena.



Toote Jo Dil To Dukh Hota Hai,
Karke Pyar Use Dil Ab Bhi Rota Hai,


‘Dard’ Ka Ehsas Hota Hai Sirf Usko,
Jo Muhabbat Ko Paane Ke Baad Khota Hai.



Meri Zindagi Bhi Meri Nahi Yeh
hajar Khano Mein Banti Gayi,

Mujhe Ek Muthi Jamin De

yeh Jamin Kitni Simat Gayi,

Teri Yaad Aaye Toh Chup Rahu

jara Chup Rahu Toh Gajal Kahu,

Yeh Ajib Aag Ki Bel Thi

mere Tan Badan Se Lipat Gayi,

Mukhe Likhne Wala Likhe Bhi Kya

mujhe Padhne Wala Padhe Bhi Kya,

Jahan Mera Naam Likha Gaya

wahin Par Roshnayi Ulat Gayi.



Tum Hi Tum Tadpo Na Hamein Tadpaao,
Do Roohein Milne Do Ek Jaan Ban Jaao,


Deti Ho Meri Bhool Ki Itni Badi Saja,
Thukra Ke Mera Pyar Na Ban Jaao Bewafa.



Jo Jakham De Gaye Aap Mujh Ko,
Na Jaane Kyun Woh Jakham Nahi Bharta,


Hum Toh Milna Chahte Hain Aapse Magar,
Kya Karein Hamara Naseeba Nahi Milta.



Samandar Pir Ka Andar Hai Lekin Ro Nahin Sakta,
Yeh Ansoon Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahin Sakta,


Meri Chahat Ko Dulhan Tu Bana Lena,
Magar Sun Le,


Jo Mera Ho Nahin Paya,
Woh Tera Ho Nahin Sakta.



Woh Sangdil Hain,
Harjaai Hain,

Yeh Hum Bhi Jaante Hain,

Woh Duniya Mein Sab Se Bura Hai

yeh Hum Bhi Jaante Hain,

In Buraiyon Ke Baavjood Bhi 
,
Poojate Hain Unko,

Kya Karein Majbur Hain,
Dil Se Use Khuda Mante Hain.



ठोकर ना लगा मुझे पत्थर नही हूँ मैं,
हैरत से ना देख कोई मंज़र नही हूँ मैं,


उनकी नज़र में मेरी कदर कुछ भी नही,
मगर उनसे पूछो जिन्हें हासिल नही हूँ मैं|


Thokar Na Laga Mujhe Pathar Nahi Hu Main,
Hairat Se Na Dekh Mujhe Manzar Nahi Hu Main,


Mana Ki Unki Nazro Mein Meri Kader Kuch Bhi Nahi,
Mager Unse Poocho Jinhe Haasil Nahi Hu Main.



मुझे कुछ अफ़सोस नहीं के मेरे पास
सब कुछ होना चाहिए था,

मै उस वक़्त भी मुस्कुराता था..
जब मुझे रोना चाहिए था|


Mujhe Kuch Afsos Nahi Ke Mere Paas

sab Kuch Hona Chahiye Tha,

Main Us Waqt Bhi Muskurata Tha

jab Mujhe Rona Chahiye Tha.



Baadal Barasne Ka Mausam Hota Hai,
Aankhe Barasne Ka Mausam Koi Nahi,


Hum Tere Pyar Mein Gham E Zaher Peete Rahe,
Phir Bhi Ek Boond Aansu Tu Royi Nahi.



हसीनो ने हसीन बनकर गुनाह किया,
औरों को तो क्या हमको भी तबाह किया,


पेश किया जब ग़ज़लों में हमने उनकी बेवफ़ाई को,
औरों ने तो क्या उन्होने भी वाह-वाह किया.


Hasino Ne Haseen Bankar Gunaah Kiya,
Auro Ko To Kya Humko Bhi Tabah Kiya,


Pesh Kiya Jab Shayari Mein Humne Unki Bewafai Ko,
Auro Ne To Kya Unhone Bhi Wah-Wah Kiya.



Tag:
Good Night Dard Shayari, Gujarati Dard Shayari, Gujarati Dard Shayari Image, Hindi Dard Shayari Free Download, Ishq Ka Dard Shayari, Judai Ka Dard Shayari, Khwaja Meer Dard Shayari, Love Dard Shayari Image, Matlabi Dost Dard Shayari, Mere Dil Ka Dard Shayari, Mirza Ghalib Dard Shayari In Hindi, Mohabbat Ka Dard Shayari, Motivational Dard Shayari, Pyar Ka Dard Shayari Facebook, Pyar Ka Dard Shayari In English,