Best Dard Shayari in Hindi | अध्याय 10

Best Dard Shayari in Hindi 


Image result for cute splitsvilla girl
Har Bejuban Gull Mein Mahkane Lage Hain Hum,
Pise Gaye Toh Aur Mahkane Lage Hain Hum,


Garibi Bura Nasha Hai Isi Ka Asar Na Ho,
Ab Baat Baat Par Jo Bahkane Lage Hain Hum,


Mitti Ki Baas Apne Sarir Ki Badan Ki Bandi Thi,
Yeh Tera Paas Aana Hai Ki Mahkane Lage Hain Hum.



Aksar Sukhe Huye Honthon Se Hi Hoti Hai
Meethi Baatein,


Pyas Bujh Jaye To Alfaz Or Insan Dono
Badal Jaya Karte Hai.



Shayad Na Rahi Ab Aapko Jarurat Hamari,
Isiliye Ab Aapne Humko Chhod Diya,


Jab Tha Jee Chaha,
Toh Khele Is Dil Se,
Aur Ab Jab Jee Bhar Gaya Toh Ise Tod Diya.



Doli Unki Uthi Par Hum Kuch Kar Na Sake,
Hum Wahi Par Khade Unhe Dekhte Rah Gye,


Na Unki Doli Aage Badhi Na Hum Kuch Kah Sake,
Kyu Ki Doli Uthane Walo Me Ek Hum Bhi The Jo Khade Rah Gye.



Kya Karein Hamari Fitrat Hi Aisi Hai,
Jo Har Kisi Se Pyar Kar Lete Hain,


Tabhi Toh Dokha Khate Hain Hum Yahan Par,
Jo Har Kisi Par Aitbaar Kar Lete Hain.



Baad Aapke Samjhata Hai Kon Mujhe,
Mera Dard Badhane Lage Hain Yeh Log,


Kiske Kandhe Rakhkar Sar Main Roun,
Har Pal Hi Rulane Lage Hain Yeh Log.



Kaash Unhen Chahane Ka Aramaan Na Hota,
Main Hosh Mein Hote Hue Anajaan Na Hota,


Ye Pyaar Na Hota,
Patthar Dil Se Hamen,
Ya Vo Patthar Dil Inasaan Na Hota!


काश उन्हें चाहने का अरमान नही होता,
में होश में होकर भी अंजान नही होता,


ये प्यार ना होता,
किसी पत्थर दिल से,
या फिर कोई पत्थर दिल इंसान ना होता!



Baar Baar Dil Par Jakham Kab Tak Sahun Main,
Sah Sahkar Yeh Sitam Kab Tak Chup Rahu Main,


Jaante Hain Zamane Waale Mere Halat Sabhi,
Chahiye Jakhmon Ki Dawa Yeh Kis Se Kahun Main.



Kamzor Nahi Hoon Main,
Shayad Hoon Majboor,


Dil Pe Pathar Rakhoon Main,
Nahi Mujhe Ghuroor,


Par Voh Dard Nahi Seh Paungi Main,
Agar Hogaye Tum Mujhse Door.



Kabhi Dard Isne Diya
Kabhi Dard Usne Diya,


Jakhmon Ko Magar
Kisi Ne Bhi Seene Nahi Diya,


Aaj Farista Kahte Hain
Sabhi Mere Yaar Mujhko,


Magar Insano Ki Tarah
Kabhi Jeene Nahi Diya.



Bojh Ban Gaya Hun Dharti Par,
Mere Maula Tu Utha Le Mujhko,


Bhale Daal Dena Wahan Narka Mein,
Bas Apne Paas Bula Le Mujhko.



Dil Se Naa Pucho Ki Ander Dard Kitna Hain
Dhadkan Se Na Pucho Ki Baki Khel Kitna Hain,


Puchna Hi Hai Toh Jalti Huyi Laash Se Pucho,
Zindagi Me Gum Or Kafan Me Chain Kitna Hain.



एक पल का एहसास बनकर आते हो तुम,
दुसरे ही पल ख्वाब बनकर उड़ जाते हो तुम,


जानते हो की लगता है डर तन्हाइयों से,
फिर भी बार बार तनहा छोड़ जाते हो तुम..


Ek Pal Ka Ehsaas Bankar Aate Ho Tum,
Dusre Hi Pal Khwab Bankar Udd Jate Ho,


Tum Jaante Ho Ki Lagta Hai Dar Tanhaiyon Se,
Phir Bhi Baar Baar Tanha Chhor Jate Ho Tum..



Sukoon Apne Dil Ka Maine Kho Diya,
Khud Ko ‘Dard’ Ke Samandar Main Dubo Diya,


Jo Thi Kabhi Mere Muskurane Ki Wajah,
Aaj Uski Kami Ne Meri Palko Ko Bhigo Diya.



Din Toh Yeh Kat Jata Hai Magar,
Raaton Ko Musibat Hoti Hai,


Jab Yaad Tumhaari Aa Jaaye,
Bas Fir Toh Kyamat Hoti Hai,


Badi Bedard Duniya Hai,
Yeh Dil Ko Tod Deti Hai,


Kadar Isko Nahi Hai Koi,
Yeh Muh Ko Mod Leti Hai.



Bebas Hai Dil Beraham Hain Niganein,
Marne Se Pahle Thaam Lena Meri Baahein,


Fir Maalum Nahi Manzil Mile Na Mile,
Sambhal Kar Chalna Kanton Bhari Hain Raahein.



Khuda Ka Sukr Karta Main,
Ki Usne Aapko Hum Se Mila Diya,


Yeh Alag Baat Hai Eh Mere Dost,
Aapne Darde Dil Hamara Badha Diya.



Fikr Ki Jisne Mere,
Dushmani Ki Muhse Chhipkar,


Hum Se Fira Kar Aankhein,
Jisne Gairon Se Ki Baatein Hanskar,


Gila Na Humne Kabhi,
Sahte Rahe Bas Nadan Samajhkar.



Chhod Do Tanhai Mein Mujhko Yaaro,
Saath Mere Rahkar Kya Paaoge,


Agar Ho Gayi Aapko Bhi Mohabbat Kabhi,
Meri Tarah Tum Bhi Pachhtaoge.



Chhod Aayi Thi Main Tera Voh Shaher,
Soch Ke Yeh Ki Bhul Jaungi Tujhe Main,


Par Itni Door Aakar Bhi Na Bhul Payi Main Tujhe,
Soch Ke Yeh Ki Tadpaungi Tujhe Main…


Par Tadapati Rahi Main Khud Itni,
Jaise Shama Jalti Hai Parvane Ke Liye,


Kash Samja Hota Tune Pyar Ko Mere,
Na Aaj Hum Tum Dono Is Halat Me Hote.



Ishq Paane Ki Tamanna Mein Sanam,
Zindagi Barbad Banker Reh Gayi,


Jis Surat Ko Dil Mein Basaya Tha Kabhi,
Aaj Woh Surat Ek Yaad Bankar Rah Gayi.



Hum Samajhate The Bhool Chuke Hain Unko,
Fir Yeh Kis Baat Par Aaj Rona Aaya,


Unhone Hamare Saath Ki Kyu Bewafayi,
Lagta Hai Hamein Is Baat Par Rona Aaya.



Apni Yaadein Apni Baate Lekar Jana Bhul Gaye,
Jane Wale Jaldi Mai Milkar Jana Bhul Gaye,


Mur-Mur Kar Dekha Tha Jaate Raste Mai Usne,
Jese Use Kuch Kehna Tha Jo Wo Kehna Bhul Gaye,


Waqt-E-Rukhsat Poch Raha Tha Mere Aansu Apne Aanchal Se,
Usko Gham Tha Itna K Wo Khud Rona Bhul Gaye!



Zindagi Se Hume Koi Shikayat Nahi,
Jee Toh Rahe Hai Par Khusi Se Nahi,


Har Shakhs Ne Dukh Bhi Bahut Diye,
Par Hum Kisi Se Naraj Bhi Nahi.



उसे उड़ने का शौक था..
और हमें उसके प्यार की कैद पसंद थी..


वो शौक पूरा करने उड़ गयी जो..
आखिरी सांस तक साथ देने को रजामंद थी|


Use Udane Ka Shauk Tha..
Aur Hamen Usake Pyaar Kee Kaid Pasand Thee..


Vo Shauk Poora Karane Ud Gayee Jo..
Aakhiree Saans Tak Saath Dene Ko Rajaamand Thee|



इस दिल को किसी की आहट की आस रहती है,
निगाह को किसी सूरत की प्यास रहती है,


तेरे बिना जिन्दगी में कोई कमी तो नही,
फिर भी तेरे बिना जिन्दगी उदास रहती है॥


Iss Dil Ko Kisi Ki Aahat Ki Aas Rehti Hai,
Nigaah Kokisi Soorat Ki Pyaas Rehti Hai,


Tere Bina Zindagi Mein Kami Toh Nahi,
Phir Bhi Tere Bina Zindagi Udhaas Rehti Hai.



उस मोड़ से शुरू करेंचलो फिर से जिंदगी
हर शय हो जहाँ नई सीऔर हम हो अज़नबी

Us Mod Se Shuroo Karenchalo Phir Se Jindagee

har Shay Ho Jahaan Naee Seeaur Ham Ho Azanabee



Gham Ke Dariyaon Se Milkar
Bana Hai Yeh Sagar,


Aap Kyu Is Mein Samaane Ki
Koshish Karte Ho,


Kuchh Nahi Hai
Aur Is Jeevan Mein Gham Ke Shiwa,


Aap Kyu Is Zindagi Mein
Aane Ki Koshish Karte Ho.



Ek Kahani Si Dil Par Likhi Reh Gayi,
Wo Nazar Jo Mujhe Dekhti Reh Gayi,


Log Aakar Bazaar Mein Bik Bhi Gaye,
Meri Keemat Lagi Ki Lagi Reh Gayi.



Unki Chahat Mein Dil Majbur Ho Gaya,
Bewafayi Karna Unka Dastur Ho Gaya,


Kasur Unka Nahi Tha Mera Tha,
Humne Chaha Hi Itna Ki Shayad Unko Gurur Ho Gaya.



Kahte Hain Ke,
Pyaar Or Zahar Mein Koi Fark Nahi Hota,


Zahar Pine Ke Baad Log Marr Jate Hain,
Orpyar Karne Ke Baad Log Jee Nahi Pate Hai.



Ess Kadar Aapko Joh Itna Hasa Raha Hoon Main,
Naa Samajna Koyi Rishta Bana Raha Hoon Main,


Swaarth Hain Mera Aur Swaarthi Hoon Main,
Arthi K Piche Chale Walo Ki Tadad Bda Rha Hu Main.



Nakhuda Ne Chhoda Manjhdar Jinhe,
Bachayi Doobne Se Kastiyan Humne,


Sajayi Tasveer Marne Ke Baad,
Jeete Ji Kasi Fabtiyan Humne,


Khokhli Hansi Degi Sukun Kaise,
Suni Hai Sune Dil Ki Siskiyan Humne,


Raah Bhatkenge Toofan Woh Kaise,
Jinki Haathon Mein Di Ungliyan Humne.



रहते हैं आस-पास ही
लेकिन साथ नहीं होते…

कुछ लोग जलते हैं मुझसे
बस खाक नहीं होते|

Rehte Hain Aas-Pass Hi,
Lekin Sath Nahi Hote,


Kuchh Log Jalte Hain Mujhse,
Bas Khaak Nahi Hote.



Junun E Iahq,
Nahi Raas Aaya Hamein,


Jab Bhi Dekha Aaina,
Aks Unka Hi Najar Aaya Hamein,


Tadpate Dil Ke Byaan Karein Kaise ?
Jab Bhi Kureda Ghavo Ko,
Dard Unka Hi Ubhar Aaya.



Salo Gujar Gaye Rokar Nahi Dekha,
Ankho Mein Nind Thi Sokar Nai Dekha,


Woh Kya Jane Dard Mohabbat Ka,
Jisne Kisi Ko Kabhi Khokar Nahi Dekha.



Saari Saari Raat Naa Soye Hum,
Raaton Ko Uth Uth Ke Kitna Roye Hum,


Bas Ek Baar Mera Kasur Bata De Rabba,
Itna Pyar Karke Bhi Kyu Na Kisi Ke Hue Hum.



Har Sapna Khushi Pane Se Pura Nahi Hota,
Koi Kisi Ke Bina Adhora Nahi Hota,


Jo Chand Roshan Karta Hai Rat Bhar Sab Ko,
Har Raat Woh Bhi To Poora Nahi Hota.



तेरी आरज़ू मेरा ख्वाब है,
जिसका रास्ता बहुत खराब है,


मेरे ज़ख्म का अंदाज़ा न लगा,
दिल का हर पन्ना दर्द की किताब है।


Teri Aarzoo Mera Khwab Hai,
Jiska Raasta Bahut Kharab Hai,


Mere Zakhm Ka Andaza Na Laga,
Dil Ka Haar Panna Dard Ki Kitaab Hai.



Aasuon Ki Bunde Hai Ya Ankhon Ki Nami Hain,
Na Upar Aasma Hai Na Niche Zamee Hain,


Ye Kaisa Mod Hai Zindagi Ka,
Uski Hi Zarurat Hai Aur Uski Hi Kami Hain!



Hansane Ke Ilzaam Ki Mili Yeh Saja Mujhe,
Ro Lene Do Ji Bharkar Mujhe,


Paas Nahi Aa Sakte The Woh,
Diya Chhod Magar Akela Pakar Mujhe.



ना मिलता गम तो बर्बादी के अफसाने कहाँ जाते,
दुनिया अगर होती चमन तो वीराने कहाँ जाते,


चलो अच्छा हुआ अपनों में कोई ग़ैर तो निकला,
सभी अगर अपने होते तो बेगाने कहाँ जाते।


Na Milataa Gam To Barabaadi Ke Afasaane Kahaan Jaate,
Agar Duniyaa Hoti Chaman To Viraane Kahaan Jaate,


Chalo Achchhaa Huaa Apano Me Koi Gair To Nikalaa,
Sabhi Agar Apane Hote To Begaane Kahaan Jaate!



Hath Pakad Kar Rok Lete Agar,
Tujh Par Jara Bhi Zor Hota Mera,


Na Rote Hum Yu Tere Liye..
Agar Hamari Zindagi Me Tere Siwa Koi Aur Hota!


हाथ पकड़ कर रोक लेते अगर,
तुझ पर ज़रा भी ज़ोर होता मेरा,


ना रोते हम यूँ तेरे लिये..
अगर हमारी ज़िन्दगी में तेरे सिवा कोई ओर होता
.



Bar Baadiyon Ka Silsila Abhi Aur Chalne Do,
Chand Lamhe Fursat Se Abhi Aur Jeena Chahta Hun Main,


Agar Milegi Khusiayn Toh Na Jee Paunga Main Kabhi,
Isi Liye Ghamon Ka Zahar Peeta Hun Main.



Tum Daga Karo Tab Bhi Gaddar Nahi,
Hum Wafa Karein To Bhi Gunahgar Hain,


Khata Teri Nahi O Sanam Mere,
Yeh To Waqt Waqt Ki Maar Hai.



Humko Na Mili Khusiyan Kisko Dosh Dein Yaaro,
Bad Naseebon Ki List Mein Naam Hamara Bhi Ahi,


Dekar Jakham Rulakar Hamein Khush Na Hona Tum,
Dagabaajon Ki Kitab Mein Naam Tumhara Bhi Hai.



Kisi Ki Yaad Ko Dil Mein Basa Ke Roye,
Kisi Ki Tasveer Ko Seeney Se Laga Ke Roye,


Jo Wada Kiya Tha Hum Ne Kisi Se,
Hum Us Wade Ko Nibha Ke Roye,


Jis Shakhs Ko Hamari Zaroorat Nahi Thi,
Hum Us Shakhs Ko Apni Aarzu Bana Ke Roye,


Jis Ne Hamein Apne Qadmon Tale Bhi Jaga Na Di,
Hum Use Apni Palko Par Bitha Ke Roye.



Main Kab Se Kitna Hu Tanha Mujhe Pata Bhi Nahi,
Tera Toh Koi Khuda Hai Mera Khuda Bhi Nahi,


Kabhi Yeh Lagta Hai Ab Khatm Ho Gaya Hai Sab Kuchh,
Kabhi Yeh Lagta Hai Ab Tak Toh Kuchh Hua Bhi Nahi,


Kabhi Toh Baat Ki Usne Kabhi Raha Khamosh,
Kabhi Toh Hanske Mila Aur Kabhi Mila Bhi Nahi,


Kabhi Jo Kadwi Baat Thi Woh Bhi Khatm Huyi,
Kabhi Gila Tha Hamein Unse Ab Gila Bhi Nahi,


Woh Cheekh Ubhri,
Badi Der Gunji,
Doob Gayi,
Har Ek Sunta Tha Lekin Koi Hila Bhi Nahi.



Ishq Chhupta Hai Chhupane Se Kahan,
Yeh Khud Be Khud Samne Aata Hai,


Nahi Bachta Is Se Koi Bhi Kabhi,
Yeh Sab Ko Hi Bada Tadpata Hai.



इस उम्मीद से मत फिसलो,
कि तुम्हें कोई उठा लेगा,


सोच कर मत डूबो दरिया में,
कि तुम्हें कोई बचा लेगा…


ये दुनिया तो एक अड्डा है,
तमाशबीनों का दोस्तों…


गर देखा तुम्हें मुसीबत में तो,
यहां हर कोई मज़ा लेगा


Is Ummeed Se Mat Phisalo,
Ki Tumhen Koee Utha Lega,


Soch Kar Mat Doobo Dariya Mein,
Ki Tumhen Koee Bacha Lega…


Ye Duniya To Ek Adda Hai,
Tamaashabeenon Ka Doston…


Gar Dekha Tumhen Museebat Mein To,
Yahaan Har Koee Maza Lega



Itni Shiddat Se Chaha Use Ki Khud Ko Bhi Bhula Diya,
Unke Liye Apne Dil Ko Kitni Hi Baar Rula Diya,


Ek Baar Hi Thukraya Unhone,
Aur Humne Khud Ko Maut Ki Neend Sula Diya.



प्यार किया बदनाम हो गए,
चर्चे हमारे सरेआम हो गए,


ज़ालिम ने दिल उस वक़्त तोडा,
जब हम उसके गुलाम हो गए|


Pyar Kiya To Badnaam Hogaye,
Charche Hamare Sar E Aamho Gaye,


Zaalim Ne Dil Bhi Usi Waqttoda,
Jab Hum Uske Pyar K Gulamho Gaye.



Gilas Par Gilas Tutate Rahe,
Ghamon Ne Khusi Ka Pyala Bharne Na Diya,


Masalon Ki Tarah Dil Jalte Rahe,
Badkismati Ne Ujala Karne Na Diya.



Maine Kaha Unse Chhod Do Ya Tod Do Mujhe,
Muskura Kar Sitam Dhaya Unhone,


Chhod To Diya Hi Hai Tumko,
Toot Tum Khud-Ba-Khud Jaoge.



Phir Se Woh Sapna Sajane Chala Hun,
Umeedon Ke Sahare Dil Lagane Chala Hun,


Anzaam To Mera Bura Hi Hoga,
Phir Bhi Tumhe Apna Banane Chala Hun.



Yahan Karna Na Chahiye Pyar Kabhi Bhi,
Jo Karta Hai Pyar Pachhtata Hai,


Na Milta Hai Chain Kabhi Bhi Jeevan Mein,
Bas Yun Hi Ro Rokar Woh Mar Jata Hai.



Wo Hum Se Door Hokar Bhi,
Hamare Dil Ke Paas Rahta Hai,


Jise Woh Sabse Pyara Hai,
Use Begana Kahta Hai,


Jo Chaha Tha Woh Kar Dala,
Mujhe Khud Se Juda Karke,


Meri Yeh Jaan Bhi Le Lo,
Bas Yahi Karne Ko Rahta Hai.



Suraj Ko Diya Dikhane Se Kya Fayeda,
Laash Ko Aag Lagane Se Kya Fayeda,


Aye Shahjahaan Mumtaz To Jaa Chuki,
Ab Laash Pe Taj Banane Se Kya Fayeda.



घुट घुट कर जीना तो ज़िन्दग़ी नहीं होती,
नफरत से सर झुकाना बन्दग़ी नहीं होती,


वो ग़ुनाह माफ़ी के लायक नहीं है,
जिसमें शामिल कोई शर्मिन्दग़ी नहीं होती ।


Ghut Ghut Kar Jeena To zindagee Nahin Hotee,
Napharat Se Sar Jhukaana bandagee Nahin Hotee,


Vo Gunaah Maafee Kel aayak Nahin Hai,
Jisamen Shaamil Koee sharmindagee Nahin Hotee .



Sari-Sari Raat Naa Soye Hum,
Raato Ko Uth-Uth Ke Khub Roye Hum,


Bas Ik Baar Mera Kasoor Bata De,
Itna Pyar Kar K B Kyu Na Tere Huye Hum.



Tere Gam Ko Apni Ruh Me Utar Lu,
Jindagi Teri Chahat Me Sabar Lu,


Mulakat Ho Tujhse Es Tarah,
Tamam Umar Bas Ek Mulakat Me Gujar Lu.


तेरे गम को अपनी रूह में उतार लूँ,
जिन्दगी तेरी चाहत में सवार लूँ,


मुलाकात हो तुझ से कुछ इस तरह,
तमाम उमर बस इक मुलाकात में गुजार लूँ।



Mohabbat Humne Bhi Ki Thi,
Magar Tumko Batayein Kya,


Mile Hain Gham Hamein Ismein,
Magar Tumko Sunayein Kya.



Ab Bhi Taaza Hain Zakhm Seene Mein,
Bin Tere Kya Rakha Hain Jeene Mein,


Hum To Zinda Hain Tera Sath Paane Ko,
Warna Der Kitni Lgti Hai Zaher Peene Mein.



Gham Dekar Tumne Khata Ki,
Eh Sanam Tum Yun Na Samjhna,


Tera Diya Hua Gham Bhi,
Hamein Dava Hi Lagti Hai.



Din Me Yaad Usko Ek Baar Nahi Baar Karte The,
Ye Jante Hue Ki Uski Yaad Hi Aayegi Phir Bhi Intezar Karte The,


Par Jab Us Bekadar Garoori Se Hi Chot Khai Hamne Tab Hosh Aya Ki,
Hum To Kisi Pathar Se Pyar Karte The.



Gahraai Ka Shok Kise Hai,
Hum To Kinaare Par Hi Rahte Hain,


Kisi Galti Ka Aham Nahi Mujhe,
Kisi Ke Sahaare Hi Rahte Hain,


Teri Qaaynaat Mein Thodi Jagah De Ah Khuda,
Intezaar,
Tere Ishaare Par Hi Rahte Hai.



उसकी यादों को किसी कोने में छुपा नहीं सकता,
उसके चेहरे की मुस्कान कभी भुला नहीं सकता,


मेरा बस चलता तो उसकी हर याद को भूल जाता,
लेकिन इस टूटे दिल को मैं समझा नहीं सकता|


Uski Yaadon Ko Kisi Kone Mein Chupa Nahi Sakti,
Uske Chehre Ki Muskaan Kabhi Bhula Nahi Sakti,


Mera Bas Chalta To Uski Har Yaad Ko Bhul Jaati,
Lekin Is Tute Dil Ko Main Samjha Nahi Sakti.



Sukr Hai Khariyat Se Hun Sahab,
Aapse Aur Kya Kahu Sahab,


Ab Samjhne Laga Hu Labh Hani,
Ab Kahan Woh Mujh Mein Junun Sahab,


Hum Tumhe Yaad Karte Ro Lete,
Do Khadi Milta Jo Sukun Sahab,


Sham Bhi Dhal Rahi Hai Ghar Bhi Door Hai,
Kitni Der Aur Main Ruku Sahab,


Ab Jhukunga Toh Toot Jaaunga,
Kaise Ab Aur Main Jhuku Sahab.



Insaan Ke Kandhe Pe Insaan Jaa Raha Hai,
Kafan Me Lipta Kuch Armaan Jaa Raha Hai,



Jise Naa Mili Ho Mohabbat Es Jahan Mein,
Shayad Use Pane Wo Kabristaan Ja Raha Hai.



Aapne Diye The Jo Pyar Ke Lamhe,
Un Lamhon Ka Karz Chuka Na Paayenge,


Aapne Bhale Bhula Diya Hi Hamein,
Magar Hum Kabhi Bhi Bhula Na Paayenge.



Sab Kuchh Mil Jata Hai Duniya Mein Magar,
Yaad Rakhna Ki Bas Maa Baap Nahi Milte,

       
Murjha Kar Gir Jaaye Ek Baar Dali Se,
Yeh Aise Phool Hain Jo Dobara Nahi Khilte.



Teri Rahmat Ne Mere Daata,
Mujhko Jeena Sikha Diya,


Na Raha Kisi Se Bhi Sikwa,
Jakhmon Ko Seena Sikha Diya.



चलो हम गलत थे ये मान लेते है..
ऎ जिंदगी..

पर एक बात बता..

क्या वो शख्स सही थाजो बदल गया इतना..
करीब आने के बाद!


Chalo Ham Galat The Ye Maan Lete Hain.

E-Zindagi
par Ek Baat Bata Kya..

Wo Shaks Sahi Tha.Jo Badal Gaya Itna..
Kareeb Aane Ke Baad.



Ret Pe Naam Kabhi Likhte Nahin,
Kyonki Ret Pe Naam Kabhi Tikte Nahin,


Aap Kahte Ho Tum Patthar Dil Ho,
Par Patthar Pe Likhe Naam Kabhi Mit Te Nahin.



Jab Jana Hi Tha Tumhe To Aaye Kyon Hamari Zindigi Mein,
Yu Rulana Tha Fir Kyon Hasna Sikhaya Humein,


Ab To Tadapne Ke Liye Chod Diya Saari Umar,
Pal Pal Yu Marna Hi Tha To Zina Kyon Bataya Humein



Din Ho Bhale Hi Raat Ho,
Bas Yaad Teri Hi Aati Hai,


Kaise Kahu Ke Main Theek Hu,
Yeh Hardam Mujhko Rulati Hai,


Ab Toh Yaaro Khud Se Bhi,
Mujhko Wafa Ki Umeed Nahi,


Mohabbat Aisi Shaii Hai Yaaro,
Jise Sakte Kabhi Kharid Nahi.



Yahi Halat Aarambh Se Rahe,
Log Hamse Khafa Khafa Se Raha,


In Chiragon Mein Tel Hi Kam Tha,
Kyu Gila Humko Fir Fir Hawa Se Raha,


Bahas Satranj Sher Sangeet,
Tum Nahi The Toh Yeh Dilase Rahe.



Bahot Ajib Hoti Hai Ye Yaade Bhi Mohabbat Ki,
Jin Palo Me Hum Roye The,


Unhein Yaad Karke Hume Hansi Aati Hai,
Or Jin Palo Me Hanse The,
Unhe Yaad Karke Rona Aata Hai.



Jindagi Dene Waale Marta Chhod Gaye,
Sath Dene Waale Tanhaa Chhod Gaye,


Jab Jrurat Padi Hme Apne Hamsafar Kii,
Vo Sath Chalne Waale Bhi Apna Rasta Mod Gaye.



Jiss Dil Pe Na Aayi Chot Kabhi Woh Dard Kisi Ka Kya Jane,
Khud Shamma Ko Maloom Nahi Kyon Jal Jate Hain Parwaane,


Matt Poochoo Kya Guzarti Hai Juda Jab Yaar Hote Hain,
Aansoo Teer Ban Ke Jigar Ke Paar Hote Hain.



Ye Jaruri Nahi Ki Meri Har Khawaish Puri Ho Jaye,
Aap Mere Muqdar Ke Haqikat Ho Jaye,


Kayamat Tak Intzaar Karenge Apka,
Ager Aap Kisi Aur K Ho Jaye.



Yeh Mana Ke Mohabbat Karna Hai Jurm Magar,
Yeh Jurm Yaaro Baar Baar Karte Hain Hum,


Woh Bewafa Hai Sangdil Hain Jaante Hai Magar,
Unpar Yaaro Aaj Bhi Aitbaar Karte Hain Hum.



Kasam Khai Thi Na Bichhudane Ki,
Na Jaane Tumne Kyu Fir Tod Di,


Dil,
Rooh,
Zindagi Sab Toh Le Liya,
Aakhiri Sans Fir Kyu Chhod Di.



Zindagi Yun Hui Basar Tanha
Kaafila Saath Tha Aur Safar Tanha!


Apne Saaye Se Chaunk Jaate Hain
Umra Gujri Hai Is Kadar Tanha!


Raat Bhar Bolte Hain Sannaate
Raat Kaate Koi Kidhar Tanha!


Din Guzarta Nahi Hai Logon Mein
Raat Hoti Nahi Basar Tanha!


Hamne Darwaaze Tak To Dekha Tha
Phir Na Jaane Gaye Kidhar Tanha!



इंसानों के कंधे पर इंसान जा रहे हैं,
कफ़न में लिपट कर कुछ अरमान जा रहे हैं,


जिन्हें मिली मोहब्बत में बेवफ़ाई,
वफ़ा की तलाश में वो कब्रिस्तान जा रहे हैं।


Insan Ke Kandhe Par Insan Jaraha Hai,
Kafan Me Lipta Kar Kuch Arman Ja Rahe Hai,


Jinhe Mili Ho Mohabbat Me Bewafaai,
Wafa Ki Talash Me Wo Kabristan Ja Rahe Hai.



Shayad Issi Ko Kehte Hain ..
Majbori-E-Hayat ….!


Ruk Si Gayi Hai ..
Umar-E-Gurezaan Tere Baghair.



Darte The Is Jaalim Jamane Se,
Is Liye Pyar Karte Nahi The Hum,


Aap Se Bichhdane Ka Gham Hoga Hamein,
Is Liye Ikrar Karte Nahi The Hum.



Ab Uska Jikr Kya Karein Dosto,
Jo Chhod Gaya Humko Majhdar Mein,


Woh Kya Karega Kadar Kisi Ke Pyar Ki,
Jisne Tukde Kiye Dil Ke Pahli Baar Mein.



Woh Jamana Gujar Gaya Kab Ka,
Tha Jo Deevana Mar Gaya Kab Ka,


Dhundhta Tha Jo Ek Nayi Duniya,
Lotke Apne Ghar Gaya Kab Ka,


Woh Jo Laya Tha Humko Dariya Tak,
Par Akele Utar Gaya Kab Ka,


Uska Jo Haal Hai Wohi Jaane,
Apna Toh Jakham Bhar Gaya Kab Ka,


Khwab Dar Khwab Tha Jo Tana Bana,
Ab Kahan Hai Bikhar Gaya Kab Ka.



न वो आ सके न हम कभी जा सके,
न दर्द दिल का किसी को सुना सके,


बस बैठे है यादों में उनकी,
न उन्होंने याद किया और न हम उनको भुला सके !


Na Wo Aa Sake Na Hum Kabhi Ja Sake,
Na Dard Dil Ka,
Kisi Ko Suna Sake,


Bus Baithe Hai Yadon Me Unki..
Na Unhone Yaad Kiya Or Na Hum Unko Bhula Sake.



Band Aankhon Mein Woh,
Khuli Aankhon Mein Woh,


Har Taraf Dekhi Jhalkiyan Humne,
Raahen Hayat Par Kaante,
Manjaar Par Phool,


Sadiyon Se Ki Yeh Galtiyan Humne,
Paane Ko Fakiri Aalam,
Mita Li Hastiyan Humne,


Chiaragon Ko Jalane Mein,
Jala Li Bastiyan Humne.



Seene Se Laga Kar Apni Wafa Mein,
Thikana Chhod Hum Chale Hain,


Na Manzil Ki Na Raahon Ki Khabar,
Fir Bhi Hum Musafir Bane Hain.



Bahut Samajhaya Khud Ko Magar Samajha Nahi Paye,
Bahut Manaya Khud Ko Magar Mana Nahi Paye,


Jana Wo Kya Jajaba Tha Wo Aahsaas Tha,
Khubh Bhulana Chaha Use Humne Magar Bhula Nahi Paye.


बहुत समझाया ख़ुद को मगर समझा नही पाये,
बहुत मनाया ख़ुद को मगर मना नही पाये,


जाने वो क्या जज्बा था वो एहसास था,
खूब भुलाना चाहा उसे हमने मगर भुला नही पाये.



Dil Todne Se Toh Achha Tha,
Pyar Ka Izhaar Hi Na Karte,


Khud Ko Bad Kismat Samajh Kar,
Hum Apni Kismat Par Hi Ro Lete.



Auron Ko Bhi Du Main Kya Dosh Bhala Yahan Sagar,
Shayad Gham Sahne Ki Mujhko Hi Aadat Ho Gayi,


Jab Thi Tamannayein Mere Dil Mein Woh Zamane Aur The,
Jisko Khusiyan Chahiye Thi Woh Aatma Toh So Gayi.



Kambakht Ye Pyar Kyu Hota Hai,
Kis Vajah Se Dil Ye Rota Hai,


Na Jane Kya Chahta He Uper Wala Humse,
Jiski Chahat Hoti He Mujhe Dil Us Hi Ko Khota Hai.



Royi Kuch Is Tarha Se Mere Jism Se Lagke Wo,
Aisa Laga Jaise Kabhi Be-Wafa Na Thi Wo,


Humne Dard Uska Samjha,
Magar Wo Mera Dard Samjh Nahi Payi.



Hamein Chhodkar Akela Kyun Ja Rahe Ho,
Kya Baat Hai Aakhir Jo Ghabra Rahe Ho,


Do Hi Baatein Ho Sakti Hain Sanam,
Yakin Nahi Humpar Ya Sharma Rahe Ho.



Har Ek Rista,
Dil Se,
Nibhata Hu Main,
Kisi Ka Kiya Ehsaan,


Nahi Bhool Pata Hu Main,
Shayad,
Yahi Rahi Hai Vajah
Jo Gham Mile Mujhko,


Har Kadam Par,
Tabhi Toh,
Thokar Kha Raha Hu Main.



Woh Bhool Gaye Unhe Hasaya Kisne Tha,
Jab Woh Ruthte The To Unhe Manaya Kisne Tha,


Woh Kehte Hain Ke Woh Bahut Achhe Hain,
Lekin Woh Bhool Gaye Ke,
Unhe Yeh Bataya Kisne Tha.



TAG:
dard shayari in english, dard shayari in hindi for love facebook, dard shayari in hindi with images, dard shayari in punjabi language, dard shayari in urdu pictures, dard shayari photo download, dard shayari photo hd, dard shayari punjabi, dard shayari ringtone download, dard shayari sad shayari, dard shayari two line, dard shayari urdu sms, dard shayari video, dard shayari wallpaper, dil ka dard shayari image, dil ka dard shayari in hindi, dil tutne ka dard shayari, door jane ka dard shayari, funny dard shayari, ghalib dard shayari, good morning dard shayari,