Sad Shayari in Hindi | अध्याय 14


Sad Shayari in Hindi

Kalam Uthayi Hai Lafj Nahi Milta,
Jisko Dhoond Rahe Hain Lafj Nahi Milta,

Firte Ho Tum Zamane Ki Talash Mein,
Bas Hamare Liye Tumhe Waqt Nahi Milta.


तेरी आरज़ू मेरा ख्वाब है,
जिसका रास्ता बहुत खराब है,

मेरे ज़ख्म का अंदाज़ा न लगा,
दिल का हर पन्ना दर्द की किताब है।

Teri Aarzoo Mera Khwab Hai,
Jiska Raasta Bahut Kharab Hai,


Mere Zakhm Ka Andaza Na Laga,
Dil Ka Haar Panna Dard Ki Kitaab Hai…


Mohabbat Ki Baat Na Karo, 
Mujhe Acha Nai Lagta,

Kisi Ki Pyar Par Etbaar Karna,
Ab Mujhe Acha Nai Lagta,

Gujar Gaye Jo Din Wo Wapas Laut Kar Nahi Aate,
Lekin Un Dino Ko Yaad Karna Ab Mujhe Acha Nai Lagta,

Mujhe Maloom Hain Ki Wo Shaqs Bewafa Tha,
Magar Mujhe Kisi Ko Bewafa Kahna Acha Nahi Lagta,

Zakhm Bahut Diye Hain Usne Es Dil-E-Nadan Ko,
Zakhm Hum Bhi Dete Per Hume Badla Lena Acha Nahi Lagta.


Mujhko Rulakar Woh Bhi Roya Toh Hoga Yaaro,
Muh Ashko Se Usne Bhi Dhoya Toh Hoga Yaaro,

Agar Na Kiya Hai Kuchh Hasil Hamne Pyar Mein,
Kuchh Na Kuchh Usne Bhi Khoya Toh Hoga Yaaro.


Talash Hai Ek Aise Shakhs Ki,
Jo Aankhon Mein Us Waqt Dard Dekh Sake,

Jab Sab Log Mujse Khete Hain,
Kya Yaar Hamesha Hansti Rehti Ho.


Meri Yaadon Ki Kashti ..
Uss Samundar Mein Tairti Hai,

Jiss Mein Paani ..
Meri Apni Hi Palkon Ka Hota Hai.


इश्क़ सभी को जीना सिखा देता है,
वफ़ा के नाम पर मरना सीखा देता है,

इश्क़ नहीं किया तो करके देखो,
ज़ालिम हर दर्द सहना सीखा देता है!

Ishq Sabhi Ko Jena Sikha Deta Hai,
Wafa Ke Naam Par Marna Sikha Deta Hai,


Ishq Nahi Kiya To Karke Dekho,
Zalim Har Dard Sehna Sikha Deta Hai!


Agar Wo Khush Hai Dekh Kar Aansu Meri Aankhon Mein,
To Rab Ki Kasam Hum Muskurana Chhod Denge,

Tadapte Rahenge Use Dekhne Ko,
Lekin Us Ki Taraf Nazrein Uthana Chhod Denge.


Mere Dil K Dard Ko Kisne Dekhaa Hain,
Mujhe Bus Khuda Ne Tadapte Dekha Hai,


Hum Tanhayi Mein Baithe Rote Hain,
Logo Ne Hume Mahfil Me Haste Dikha Hai.


Jinko Chaha Tha Humne Apna Banana,
Na Jaane Kyun Woh Humse Door Ho Gaye,

Hamne Socha Tha Bitaayenge Zindagi Hanskar,
Magar Ghamon Ko Apnaane Par Majboor Ho Gaye.


तेरी याद में आंसुओं का समंदर बना लिया,
तन्हाई के शहर में अपना घर बना लिया,


सुना है लोग पूजते हैं पत्थर को,
इसलिए तुझसे जुदा होने के बाद दिल को पत्थर बना लिया।


Yaad Mein Teri Kaise Din Gujaare Hain,
Puchho Na Hamse Aalam Woh Judai Ka,


Kaanto Ki Tarah Chubhta Raha Woh Lamha,
Ro-Rokar Gujara Hai Raasta Har Tanhai Ka.


Ab Ke Rut Badli To Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Koun !
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Koun !


Dekhna Sab Raqs-E-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge,
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Koun !


Zakham Jitnay Bhi The Sab Mansoob Qaatil Se Howay,
Teray Haathon Ke Nishaan Ay Chaarahgar Dekhay Ga Koun !


Aazad Kar Do Mujheduniya Ke Bandhano Se,
Itna Toota Hun Maininko Nibha Nahi Sakta,


Eh Moula Bula Le Jaldi Semujhko Tu,
Kamjor Hun Itnachalkar Aa Nahi Sakta.


Aaye Khuda Kiya Cheez Mohabbat Tu Ne Banai Hai,
Kisi Ko Yeh Mil Jati Hai Aur Koi Sehta Umar Bhar Ki Tanhai Hai,


Saath Chalne Ke Khawab Dekhte Hain Jo Log Mohabbat Main,
Koi Paa Leta Hai Apni Manzil Ko Aur Koi Sehta Umar Bhar Ki Judaai Hai.


Uske Naa Hone Se Kuch Bhi 
Nahi Badla Mujh Main,

E-Dostbas Jahan Pehle Dil Rehta Tha.

Wahan Ab Sirf ‘Dard’ Rehta Hai,


Meri Manzil Ka Koi Bhi Thikana Nahi,
Musafir Ki Tarah Jeena Hai Mujhko,

Koi Kuchh Nahi Kar Sakta Mere Liye,
Bas Judayi Ka Jahar Peena Hai Mujhko.


Jab Milne Laga Us Ki Mohabbat Mein Sukoon,
Phir Yun Hua Woh Mera Sath Chhor Gaya,


Abhi Bohat Baki Thi Hasratein Dil Mein,
Magar Woh Shakhs Adhuri Mulaqaat Chhor Gaya,

Fakhra To Yeh Hai Ke Woh Tha Mera Hamsafar Kbhi,
Dukh Yeh Hai Ke Beech Raah Mein Woh Mera Hath Chhor Gaya,


Bin Us Ke Rehna Ab Azab Sa Lagta Hai,
Na Jaane Zindagi Mein Woh Kaise Jazbaat Chhor Gaya,

Woh Shakhs To Chala Gaya Meri Zindgi Se,
Magar Aankhon Mein Meri Aansuon Ki Barsaat Chhor Gaya.


Raaste Khud Hi Tabahi Ke Nikale Humne,
Kar Diya Dil Kisi Patthar Ke Hawale Humne,


Hum Ko Maloom Kya Shaey Hai Mohabbat Logoon,
Khud Apna Ghar Phoonk Ke Dekhe Hain Ujale Humne.

रास्ते खुद ही तबाही के निकाले हम ने,
कर दिया दिल किसी पत्थर के हवाले हमने,


हाँ मालूम है क्या चीज़ हैं मोहब्बत यारो,
अपना ही घर जला कर देखें हैं उजाले हमने।


Lafz Ki Shakal Mein Ehsaas Likha Jata Hai,
Yahan Pani Ko Bhi Pyaas Likha Jata Hai,

Mere Jazbaat Se Waqif Hai Meri Kalam,
Main Pyar Likhun To Us Bewafa Ka Naam Likha Jata Hai


Aah Aur Dard Bas Tera Talabgaar Hua,
Aankh Patther Huyi,
Ashk Aabshaar Hua,

Ye Judayi Bhi Amavas Ka Ek Sitara Hain,
Chand K Bin Ye Falak Bhi Daagdaar Hua,

Meri Palko Ka Jhapakna Bada Muskil Hai,
Aisa Tab Se H,
Jab Se Tera Didaar Hua,

So Rahe H En Makano Ke Bashinde Sabhi,
Main Jaga Reh K Basti Ka Gunehgaar Hua.


Roti Hui Ankho Me Intzar Hota Hai,
Na Chahte Huye Bhi Pyar Hota Hai,


Kyo Dekhte Hai Hum Wo Sapne,
Jinke Tutne Per Bhi Unke Sach Hone Ka Intzar Hota Hai.


Tujhse Karke Pyar Sangdil
Khud Se Hi Nafrat Ho Gayi,

Raaton Ko Jagte Rahne Ki Ab
Mujhko Aadat Ho Gayi,

Teri Duniya Mein Kya Ho Raha Hai
Tu Bhi Aakar Dekh Jara,

Kisi Ke Bhi Seene Mein Dil Nahi
Saari Duniya Pathar Ho Gayi.


Kismat Ne Bar-Bar Bachaya Hun Main,
Maut Ke Muh Se Bhi Wapas Laut Aaya Hun Main,

Kyun Kari,
Ham Par Itani Rahmat Khuda,
Pahle Hi Unke Rahmat Ka Sataya Hun Mein.


Nibha Sakta Hun Main Tamam Umar Saath Tera,
Magar Aapni Zindagi Par Mujhe Yaqeen Nahi,


Mere Marne Par Bhi Rahogi Tum Pass Mere,
Magar Hunga Us Waqt Bhi Main Tumhare Saath Nahi.


Dil Mera Agar Roya Na Hota,
Hamne Bhi Aakho Ko Bhigoya Na Hota,


Do Pal Ki Hansi Me Chhupa Leta Gamo Ko,
Khwab Ko Hakikat Me Sanjoya Nahi Hota.

दिल मेरा अगर रोया न होता,
हमने भी आँखों को भिगोया न होता,


दो पल की हंसी में छुपा लेता गमो को,
ख्वाब को हकीकत में संजोया नहीं होता.


Pyaar Karne Ka Hunar Hamein Nahi Aata,
Isliye Pyaar Ki Baazi Hum Haar Gaye,


Hamari Zindagi Se Unhe Bahot Pyaar Tha,
Shayad Isiliye Wo Hamein Zinda Hi Maar Gaye..

प्यार करने का हुनर हमें नहीं आता,
इसलिए प्यार की बाज़ी हम हार गए,


हमारी ज़िन्दगी से उन्हें बहुत प्यार था,
सायद इसलिए हमे ज़िंदा ही मार गए!


सो जा ऐ दिल कि अब धुन्ध बहुत है तेरे शहर में,
अपने दिखते नहीं और जो दिखते है वो अपने नहीं…।


Bade Ajeeb Hai Ye Zindgi Ke Raste,
Anjane Mod Par Kuch Log Apne Ban Jate Hai,


Milne Ki Khushi De Ya Na De,
Bichadne Ka Gam Zaroor De Jate Hai.


Roka Unhe Bahut Baar,
Ab Nahi Rokenge Hum,


Thokar Kha Chuke Har Baar,
Ab Thak Se Gaye Hai Hum.


Aksar Sukhe Huye Honthon Se Hi Hoti Haimeethi Baatein,
Pyas Bujh Jaye To Alfaz Or Insan Donobadal Jaya Karte Hai.


Kuchh Aise Bhi Log Hain Duniya Mein,
Jinhe Pyar Ke Badle Hai Pyar Mila,

Magar Hamari Toh Aisi Kismat Hai,
Jisko Chaha,
Nahi Woh Yaar Mila.


Ret Pe Naam Kabhi Likhte Nahin,
Kyonki Ret Pe Naam Kabhi Tikte Nahin,

Aap Kahte Ho Tum Patthar Dil Ho,
Par Patthar Pe Likhe Naam Kabhi Mit Te Nahin.


Chand Utra Tha Hamare Aangan Mein,
Ye Sitaro Ko Gwara Na Huaa,


Hum Bhi Sitaro Se Kaise Gila Kare,
Jab Chand Hi Hamara Na Huaa.


Hum To Tere Dil Ki Mehfil Sajane Aye The,
Teri Kasam Tujhe Apna Banane Aye The.


Kis Baat Ki Saza Di Tune Hum Ko,
Bewafa Hum To Tere Dard Ko Apnane Aye The.


Uske Hone Ya Naa Hone Se,
Kuch Khaas Fark Nahi Pada,


Dostobaskal Jahan Dil Hua Karta Tha,
Aaj Wahan Dard Hota Hai !


मत सताओ हमे हम सताए हुए है,
अकेला रहने का ग़म उठाये हुए है,


खिलौना समज के ना खेलो हम से,
हम भी उसी खुदा के बनाये हुए है…।


Tanha Hu To Ab Main Khush Hu,
Na Bichad Jane Ka Gum Na Kisi Ka Intzar Hota Hai,


Chalta Hu To Lagta Hai K Koi Sath Hai Mere,
Palat Kr Dekhta Hu To Mera Saya He Bs Har Bar Hota Hai ..


Uske Intezar Ke Maare Hain Hum,
Bus Uski Yaadon Ke Sahaare Hain Hum,


Duniya Jeet Kar Kya Karna Hai Ab,
Jise Duniya Se Jeeta Tha,
Aaj Usi Se Haare Hain Hum.


Jab Bikhare Tut Kar Toh Ehsaas Hua,
Har Kisi Se Itna Dil Lagaya Nahi Karte,

Yaha Masum Chehre Bhi Loot Lete Hai,
Har Ek Pe Yuhi Etbaar Kiya Nahi Karte,

Koyi Aur Bhi Muntezir Hai Tera Kahi,
Ik Shakhs Ki Talab Hi Kiya Nahi Karte,

Pal Bhar Me Badal Jaate Hai Log Yaha,
Aise Logo Se Mohabbat Kiya Nahi Karte.


Na Neend Hai Aakhon Mein,
Na Dil Mein Hai Karar,

Bas Yahi Haal Hai Apna,
Jabse Hua Hai Pyar.


Kaise Bhulaya Jata Hai Dil Se Kisi Ko,
Kaash Yeh Ada Aap Hamein Bhi Sikha Dete,


Agar Yun Chhod Kar Jana Tha Toh Kah Toh Dete,
Hum Aapki Raahon Mein Palkein Bichha Dete.


वादा करके वो निभाना भूल जाते हैं,
लगा कर आग फिर वो बुझाना भूल जाते हैं,


ऐसी आदत हो गयी है अब तो उस हरजाई की,
रुलाते तो हैं मगर मनाना भूल जाते हैं।


Dil Ke Chhalon Ko Koi Shayari Kahe,
To Dard Nahi Hota.Takleef To Tab Hoti Hai,
Jab Log Wah-Wah Karte Hain.


Kahne Ko Roj Niklata Hai Suraj Lekin,
Mere Jeevan Mein Kyu Sada Se Andhera Hai,

Kya Kabhi Na Chhantegi Yeh Kali Raat Moula,
Kya Mere Naseeb Mein Na Likha Savera Hai.


Hum Jale To Chirag Samajh Baithe,
Mehke To Sab Gulab Samajh Baithe,


Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,
Shayri Padhi Aur Shayar Samajh Baithe.


Rasta Aisa Bhi Dushwar Na Tha,
Bus Tum Ko Hamari Chahat Pe Aitbar Na Tha,

Tum Hi Chal Na Sake Hamare Sath Warna,
Hamein To Jaan Dene Se Bhi Inkar Na Tha.

रास्ता ऐसा भी दुशवार न था,
बस उसको हमारी चाहत पे ऐतबार न था,

वो चल न सकी हमारे साथ वरना,
हमे तो जान देने से भी इनकार न था.


Sukr Hai Khariyat Se Hun Sahab,
Aapse Aur Kya Kahu Sahab,


Ab Samjhne Laga Hu Labh Hani,
Ab Kahan Woh Mujh Mein Junun Sahab,


Hum Tumhe Yaad Karte Ro Lete,
Do Khadi Milta Jo Sukun Sahab,


Sham Bhi Dhal Rahi Hai Ghar Bhi Door Hai,
Kitni Der Aur Main Ruku Sahab,


Ab Jhukunga Toh Toot Jaaunga,
Kaise Ab Aur Main Jhuku Sahab.


Main Tumko Bhool Bhi Sakta Hun Is Jahan Ke Liye,
Jara Sa Jhoot Jaruri Hai Daataa Ke Liye,

Mere Labon Par Koi Boond Tapki Aansu Ki,
Yeh Katra Kafi Tha Jalte Huye Makaan Ke Liye,

Main Kya Dikhaun Mere Taar Taar Daman Mein,
Na Kuchh Yahan Ke Liye Na Kuchh Vahan Ke Liye,

Ghazal Bhi Is Tarah Uske Saamne Laya Hun,
Ki Jaise Bachha Koi Aaye Imtehaan Ke Liye.


Dil Todne Ka Bahana Mil Gaya Usko,
Dil Tod Ke Begana Vo Muskuraye Bahut,


Toote Dil Me Jo Dekhi Apni Tasveer Usne,
Ankhon Se Ro Na Saka Pr Dil He Dil Mein Pachtaya Bahut.


Pyase Ko 4 Bund Pani Hi Kafi Hai,
Ishq Me 4 Din Ki Zindagani Hi Kafi Hai.


Marna Ho To Samandar Mein Kyu Jana,
Unki Palko Se Tapakta Hua Ek Ansu Hi Kafi Hai.


Uski Bate Bar Bar Yaad Karke Roye,
Uske Liye Rabb Se Faryaad Karke Roye,


Uski Khushi Ke Liye Choord Diya Use,
Phir Uski Hi Kami Ka Ehasas Karke Roye !


Dil Se Khelna Humein Aata Nahi,
Isiliye Ishq Ki Baji Hum Haar Gaye,

Sayad Meri Jindagi Se Unhe Baht Pyaar Tha,
Isiliye Jate Jate Humein Jinda Maar Gaye.

दिल से खेलना हमे आता नहीं,
इसलिये इश्क की बाजी हम हार गए,

शायद मेरी जिन्दगी से बहुत प्यार था उन्हें,
इसलिये मुझे जिंदा ही मार गए.


बिन बात के ही रूठने की आदत है,
किसी अपने का साथ पाने की चाहत है,


आप खुश रहें,
मेरा क्या है..
मैं तो आइना हूँ,
मुझे तो टूटने की आदत है।

Bin Baat Ke Hi Roothne Ki Aadat Hai,
Kisi Apne Ka Saath Paane Ki Chahat Hai,


Aap Khush Rahe,
Mera Kya Hai..
Mai To Aaina Hu,
Mujhe Tootne Ki Aadat Hai..


Hath Pakad Kar Rok Lete Agar,
Tujh Par Jara Bhi Zor Hota Mera,


Na Rote Hum Yu Tere Liye..
Agar Hamari Zindagi Me Tere Siwa Koi Aur Hota!

हाथ पकड़ कर रोक लेते अगर,
तुझ पर ज़रा भी ज़ोर होता मेरा,


ना रोते हम यूँ तेरे लिये..
अगर हमारी ज़िन्दगी में तेरे सिवा कोई ओर होता..


Gujarta Waqt Hame Ehsaas Kara Deta Hai,
Jise Chate Hai Hum Dil Se Wo Hi Dil Dukha Deta Hai,


Waqt Marham Laga Deta Hai Jin Zakhmo Pe,
Koi Apna Uske Dard Ko Fir Se Jaga Deta Hai.


Baat Umar Bhar Ki Thi Do Pal Ki Nahi,
Baat Saath Ki Thi Halaat Ki Nahi,


Jahan Ke Mele Mein Haath Chhod Diya Tune,
Baat Zubaan Ki Thi Kismat Ki Nahi.


Usne Aakhri Mulaqat Karke Meri Zindagi Ki Raat Kardi..
Abhi Theek Se Usko Jaana Bhi Nahi Tha Ki Usne Jaane Ki Baat Kardi..

Jise Naaz Tha Gurbat Pe Meri ..
Usne Shaan Paiso Ki Dikha Kar Zahir Meri Aukaat Kardi ..

Jiske Lehje Me Sirf Hum Tum Hua Karte The ..
Aaj Usne Sharminda Mujhe Punch Kar Meri Zaat Kardi ..

Jiski Chahat Me Maine Zamana Chhoda ..
Aaj Usne Mujhe Chhod Kar Wahi Siyasat Mere Sath Kardi.


Us Ne Kaha Tum Main Pehli Si Baat Nahi,
Main Ne Kaha Zindgi Mein Tera Saath Nahi,


Us Ne Kaha Ab Bhi Kisi Ki Aankhon Mein Doob Jatey Ho,
Main Ne Kaha Ab Kisi Aankh Mein Wo Baat Nahi,


Us Ne Kaha Kyu Itna Toot Ke Chaha Mujhe,
Main Ne Kaha Insaan Hoon Pathar Zaat Nahi.


Sab Honge Yaha Magar Hum Na Honge,
Humare Na Hone Se Log Kam Na Honge,


Aise To Bahut Milenge Pyar Karne Wale,
Hum Jaise Bhi Milenge Magar Wo Hum Na Honge..


Tujhe Yaad Kar K Rota Hu,
Raat Bhar Jag Kar Bas Khuch Hi Pal Sota Hu,


Jab Tum Najar Aati Ho Sapno Me To,
Khushi Ka Thikana Nahi Rehta,
Aurdard Tab Hota He Jab Sapno Me Bhi Tumhe Khota Hu.


Jakham Dil Mein Jahan Mahkata Hai,
Isi Kyari Mein Tha Gulab Koi,

Rat Bajti Thi Door Sahnayi,
Roya Pikar Bahut Sharab Koi,

Dil Ko Ghere Hain Rojgar Ke Gham,
Raddi Mein Kho Gayi Kitab Koi,

Kon Sa Jakham Kis Ne Diya Hai,
Iska Rakhe Kahan Hisaab Koi,

Fir Main Sunane Laga Hu Is Dil Ki,
Aane Wali Hai Fir Musibat Koi.


तेरे दिल के करीब आना चाहता हूँ मैं,
तुझको नहीं और अब खोना चाहता हूँ मैं,


अकेले इस तनहाई का दर्द बर्दाश्त नहीं होता,
तू एक बार आजा तुझसे लिपट कर रोना चाहता हूँ मैं..

Tere Dil Ke Kareeb Aana Chahta Hoon Main,
Tujhko Nahi Aur Ab Khona Chahta Hoon Main,


Akele Iss Tanhayi Ka Dard Bardast Nahi Hota,
Tu Ek Bar Aaja Tujhse Lipat Kar Rona Chahta Hoon Main.


दुनिया में तेरे इश्क़ का चर्चा ना करेंगे,
मर जायेंगे लेकिन तुझे रुस्वा ना करेंगे,


गुस्ताख़ निगाहों से अगर तुमको गिला है,
हम दूर से भी अब तुम्हें देखा ना करेंगे।

Duniya Mein Tere Ishq Ka Charcha Na Karenge,
Mar Jayenge Lekin Tujhe Ruswa Na Karenge,


Qurban Karenge Kabhi Dil,
Jaan Kabhi Sadqe,
Tum Apna Bana Logi To Kya Kya Na Karenge,


Gustakh Nigaahon Se Agar Tumko Gila Hai,
Hum Door Se Bhi Ab Tumhe Dekha Na Karenge.


Woh Bhool Gaye Unhe Hasaya Kisne Tha,
Jab Woh Ruthte The To Unhe Manaya Kisne Tha,


Woh Kehte Hain Ke Woh Bahut Achhe Hain,
Lekin Woh Bhool Gaye Ke,
Unhe Yeh Bataya Kisne Tha.


टूटा हो दिल तो दुःख होता है,
करके मोहब्बत किसी से ये दिल रोता है,


दर्द का एहसास तो तब होता है,
जब किसी से मोहब्बत हो और उसके दिल में कोई और होता है।

Toota Ho Dil To Dukh Hota Hai,
Karke Mohabbat Kisi Se Ye Dil Rota Hai,
Dard Ka Ehsaas To Tab Hota Hai,
Jab Kisi Se Mohabbat Ho Aur Uske Dil Mei Koi Aur Hota Hai.


Aisi Koi Raat Nahi Aayi Jeevan Mein,
Teri Yaad Jab Seene Se Lagaata Nahi,


Bas Itni Khud Se Hai Sikayat Mujhko,
Kyu Duniya Ko Chhod Main Jata Nahi.


Her Raah Ek Nayi Manzill Hai,
Kaddmo Ko Shambhalna Zara Musqil Hai,

Dost Ager Saath Naa Dey Toh,
Dhoop Toh Kyaa Chhaanv Mein Bhee Challna Musqil Hai.


Kyun Pyaar Karne Ki Hadein Hoti Hein,
Kyun Dil Dene Ki Waje Hoti Hein,

Kyun Jazbaaton Ko Dabana Padta Hai,
Kyun Iss Dil Ko Samjana Padta Hai,

Kyun Har Dil Ko Ye Mehsoos Nahin Hota,
Kyun Sabko Ye Manzoor Nahin Hota,

Kyun Dil Se Dil Nahin Milta,
Kyun Pyaar Ka Phool Nahin Khilta,

Kyun Dil Ke Naghme Dil Nahin Gaata,
Dil Mein Kya Hai Ye Keh Nahin Pata,

Kya Dil Dene Ki Yahi Saza Hai,
Kya Pyaar Karne Mein Yahi Mazaa Hai.


सब कुछ मिला सुकून की दौलत न मिली,
एक तुझको भूल जाने की मोहलत न मिली,


करने को बहुत काम थे अपने लिए मगर,
हमको तेरे ख्याल से कभी फुर्सत न मिली।


Mayush To Hun Vaade Se Tere
khuch Aas Nahi Aur Aas Bhi Hai

Main Apne Khayalon Ke Sadke

tu Paas Nahi Aur Paas Bhi Hai

Dil Ne To Khushi Mangi Thi

magar Jo Tune Diya Achha Hi Diya

Jis Dil Ko Talluq Ho Tujhse

wo Raas Nahi Aur Raas Bhi Hai

Palkon Se Girte Ashkon Me
tasveer Jhlakti Hai Teri

Deedar Ki Pyassi Aakhon Me
ab Pyass Nhi Aur Pyass Bhi Hai.


Zindagi Ko So Baar Aajmaya Hai Humne,
Har Baar Mout Ko Hi Kareeb Paya Hai Humne,


Chot Khane Se Kab Baaj Aate Hain Hum Bhi,
Toote Dil Ko Aaj Fir Lagaya Hai Hamne.


Dard Ka Ehsaas Tb Huya,
Jab Zakham Nasoor Ho Gaya,


Ek Sawal Kiya Khuda Se,
Ki Mujhse Kya Kasoor Ho Gaya,


Kyun Takdeer Me Likh Diya Rona Khuda Tune,
Kyun Har Pyar Karne Wala Mujhse Door Ho Gaya.


Dard Saho Magar Aahein Na Bharo,
Yeh Jamane Ka Kaisa Dastoor Hai,

Na Mile Woh Hamse Na Mile Hum Unse,
Main Bhi Majboor Woh Bhi Majboor Hain.


ये बेवफा वफा की कीमत क्या जाने !
है बेवफा गम-ऐ मोहब्बत क्या जाने !


जिन्हे मिलता है हर मोड पर नया हमसफर !
वो भला प्यार की कीमत क्या जाने !


दिल में प्यार का आगाज हुआ करता है,
बातें करने का अंदाज हुआ करता है,


जब तक दिल को ठोकर नहीं लगती,
सबको अपने प्यार पर नाज हुआ करता है!


Meelon Door Jaakar Bhi Hum Tumse Door Na Jaa Sake,
Dil Mein Kitni Bechaini Hai Yeh Bata Na Sake,

Dard Is Baat Ka Nahi Ke Hum Ab Mil Na Sake,
Dard Is Baat Ka Hai Ke Yaadon Mein Hum Tadpate Rahe,

Kyon Yaad Humein Karte Ho Itna,
Kyon Pyar Humein Karte Ho Itna,

Door Rahkar Ab Tumse Or Jee Na Sakenge,
Gham Se In Aankhon Ke Ashq Ko Ab Bahne Denge,

Kya Pata Kal Tumhe Hum Par Taras Aa Jaaye,
Umarbhar Is Aash Mein Hum Jee Hi Lenge.


Akela Hun,
Tanha Hun,
Zindagi Bhar Rahunga Shayad,
Eh Khuda Kaash Mere Bhi Koi Paas Hota,

Mere Askon Ko Hota Jo Koi Ponjhane Wala,
Toh Main Tanha Yun Na Sari Sari Rat Rota.


Kaash Tu Samaj Pata K Pyar Kitna Hai,
Use Jatane Me Dard Kitna Hai,


Log Ikrar Karke Bhi Aasu Bahaya Karte Hai,
Hum Izhaar Kiye Bina Khoon Se Nahaaya Karte Hai.


Itni Pilaao Aaj Tum Humko Yaaro,
Ki Kabhi Hosh Mein Hum Na Aane Paayein,

Ya Fir Mila Do Is Mein Jahar Jara Sa,
Ki Hosh Mein Aane Se Pahle Hi Mar Jaayein Hum.


Zindgi Ham Tujhe Thokar Maar Dete,
Agar Main Akela Hi Tera Hakdar Hota,

Ham Khushi Ko Gale Laga Lete,
Agar Nai Hume Ghamon Se Pyar Hota.


Dard Jo Tune Diya Wo Gehra Diya,
Karke Wada Tune Humko Bhula Diya


Zakham Dene Wale Tera Bhi Shukriya,
Jo Zindagi Ka Tune Matlab Sikha Diya.


Raat Hogi To Chand Duhai Dega,
Khawabon Mein Aapko Woh Chehra Dikhai Dega,


Ye Mohabbat Hai Zara Sochke Karna,
Ek Aansoo Bhi Gira To Sunai Dega.

रात होगी तो चाँद दुहाई देगा,
ख्वाबों में आपको वह चेहरा दिखाई देगा,


ये मोहब्बत है,
ज़रा सोचकर करना,
एक आंसू भी गिरा तो सुनाई देगा!


Rone De Tu Aaj Hamako Tu Aankhe Sujane De,
Bahon Me Lele Aur Khud Ko Bheeg Jane De.


Hai Jo Seene Me Qaid Dariya Woh Chhut Jayega,
Hai Itana Dard Ki Tera Daman Bheeg Jayega.


Aansu Hai Ankho Mein Par Beh Nahi Sakte,
Duniawalo Se Darte Hain Islie Kuch Keh Nahi Sakte,

Par Ye To Aap Bhi Samajhte Honge Ki,
Hum Aapke Bina Reh Nahi Sakte.


Ehsaan Kiya Usne Mujhe Pyaar Sikha Kar,
Kya Hoti Hai Chahat Ye Mujh Ko Bata Kar,


Judai Hi Hota Hai Pyaar Ka Asli Matlab,
Chhod Diya Mera Saath Bas Itna Bata Kar.


Socha Nahi Tha Kabhi Ke Aise Ho Tum,
Sapne Mein The Jaise Nahi Vaise Ho Tum,

Agar Jaante,
Na Tumko Apna Banate,
Kya Maalum Tha Auron Jaise Ho Tum.


Chhot Gaya Jo Sath Tera Mujh Se,
Rooth Gaya Hai Apna Hi Dil Mujha Se,


Kitani Taklif Kitna Dard Hai Tere Jaane Ka,
Ek Baar Mudh Ke Dekh Kya Haal Ho Gaya Hai Tere Deewane Ka.

छूट गया जो साथ तेरा मुझसे,
रूठ गया है अपना ही दिल मुझसे,


कितनी तकलीफ कितना दर्द है तेरे जाने का,
एक बार मुड़ के देख क्या हल हो गया है तेरे दीवाने।


Aankhen Kholu To Chehra Tumhara Ho,
Band Karoo To Sapna Tumhara Ho,


Mar Bhi Jaao To Gam Nahi,
Agar Kafan Ke Badle Aanchal Tumhara Ho.

आँखे खोलू तो चेहरा सामने तुम्हारा हो,
बंद करू तो सपना तुम्हारा हो,


मर जाऊ तो भी कोई गम नही,
अगर खफन के बदले आँचल तुम्हारा हो!


हम रूठे तो किसके भरोसे,
कौन आएगा हमें मनाने के लिए,
हो सकता है,


तरस आ भी जाए आपको..
पर दिल कहाँ से लाये..
आप से रूठ जाने के लिए!

Hum Ruthe To Kiske Bharose,
Kaun Hai Jo Aayega Hume Manane Ke Liye,


Ho Sakta Hai Taras Aa Bhi Jaye Aapko..
Par Dil Kaha Se Laau..
Aapse Ruth Jane K Liye.


Aapki Nashili Yaadon Mein Dubkar
humne Ishq Ki Gehrai Ko Samjha,

Aap Toh De Rahe The Dhokha Aur

humne Jaanke Bhi Kabhi Aapko Bewafa Na Samjha!

आपकी नशीली यादों में डूबकर,
हमने इश्क की गहराई को समझा,


आप तो दे रहे थे धोखा और,
हमने जानकर भी कभी आपको बेवफा न समझा।


Dastan Soon Lo Jara Ghame Zindgi,
Bewafa Samajh Baithe Tumhe Dilagi,

Gairon Ki Baahon Main Machlati Ho Tum,
Behad Mehesoos Hoti Hai Hame Shermindagi.


हर बात में आंसू बहाया नहीं करते,
दिल की बात हर किसी को बताया नहीं करते,


लोग मुट्ठी में नमक लेके घूमते है..
दिल के जख्म हर किसी को दिखाया नहीं करते।

Har Bat Pe Aansu Bahaya Nahi Karte,
Dil Ki Bad Har Kisi Ko Bataya Nahi Karte,


Log Muthi Me Namak Leke Ghumte Hain..
Dil Ke Jakham Har Kisi Ko Dkhaya Nahi Karte!


Huyi Toh Hai Yeh Khata Humse Bahut Bhari Sanam,
Na Chahte Huye Bhi Hum Aapse Pyar Kar Baithe,


Roka Tha Humein Sab Ne Ki Na Kar Tu Pyar,
Na Jaane Fir Bhi Kyu Tera Aitbaar Kar Baithe.


Is Kadar Tujh Se Pyar Hua,
Ki Hum Ban Baithe Aashiq,

Tum Hi Bata Do Eh Bewafa,
Kya Kami Thi Mere Pyar Mein Aakhir.


Suna Hai Aaj Kal Wo Pareshan Rehta Hai,
Usse Kehna Be-Fikar Main Bhi Nahi Hu.!

Suna Hai Wo Raaton Ko Jaga Karta Hai
Usse Kehna Soti Main Bhi Nahi Hu….!

Suna Hai Wo Chhup Chhup Ke Rota Hai
Usse Kehna Hansti Main Bhi Nahi Hoon.!

Suna Hai Wo Mujhe Yaad Bahut Karta Hai,
Usse Kehna Bhooli Main Bhi Nahi Hoon.!

Suna Hai Usne Wafa Ka Daawa Kiya Hain,
Usse Kehna Bewafa Main Bhi Nahi Hoon..


Main Toh Jhonka Hun Hawaon Ka Uda Le Jaaunga,
Jagti Rahna Tujhe Tujhse Chura Le Jaaunga,

Ho Ke Kadmon Pe Nichhavar Phool Ne But Se Kaha,
Khak Mein Milkar Bhi Main Khusboo Bacha Le Jaaunga,

Koun Si Shayy Mujhko Pahuchayegi Tere Sahar Tak,
Yeh Pata Toh Tab Chalega Jab Pat Ale Jaaunga,

Koshishe Mujhko Mitane Ki Bhale Ho Kamyab,
Mitate Mitate Bhi Main Mitne K Amaja Le Jaaunga,

Shohratein Jinki Vajah Se Dost Dushman Ho Gaye,
Sabh Yahin Rah Jaayengi Main Sath Kya Le Jaaunga.


Khuda Ki Razaa Mein Sada Raazi Rahna Seekh Lo,
Mera Duniya Waalon Ko Sada Yehi Paigam Hoga,

Usne Di Zindagi Tab Bhi Kiya Sazda Humne,
Jab Mout Woh Dega Tab Bhi Mera Salaam Hoga.


Kyu Ye Duniya Hume Kisika Hone Nahi Deti,
Kyu Kisiki Kasme Hume Rone Nahi Deti,


Itni Gehri Raat Hone Par Bhi,
Kyu Kisiki Yaade Hume Sone Nahi Deti.


इस दिल को किसी की आहट की आस रहती है,
निगाह को किसी सूरत की प्यास रहती है,


तेरे बिना जिन्दगी में कोई कमी तो नही,
फिर भी तेरे बिना जिन्दगी उदास रहती है॥

Iss Dil Ko Kisi Ki Aahat Ki Aas Rehti Hai,
Nigaah Kokisi Soorat Ki Pyaas Rehti Hai,


Tere Bina Zindagi Mein Kami Toh Nahi,
Phir Bhi Tere Bina Zindagi Udhaas Rehti Hai.


Tag:
Sad Shayari, Shayari, Sad Shayari Status, Sad Shayari Whatsapp Status, Love Shayari, Tik Tok Sad Shayari, Hindi Shayari, Sad Poetry, Sad Shayari In Hindi, Heart Touching Shayari, New Shayari, Tik Tok Shayari, Sad Shadi Shayari, Sad Shayari Urdu, Urdu Sad Shayari, 2 Line Sad Shayari, Shayari Status, Sad Shayari On Love, Sad Shayari To Line, Tiktok Sad Shayari, Nepali Sad Shayari, Gf Shadi Shayari, Shayari Sad, Hindi Shayri