Best Miss You Shayari | अध्याय 4


Related image
सारी उम्र आँखों में एक सपना,
याद रहा,
सदियां बीत गयीं वह लम्हा,
याद रहा,
जाने क्या बात है आप में,
सारी महफ़िल भूल गये बस वह पल,
याद रहा

Saari Umar Aankho Mein Ek Sapna,
Yaad Raha,
Sadiyaan Beet Gayin Woh Lamha,
Yaad Raha,
Jaane Kya Baat Hai Aap Mein,
Saari Mahfil Bhool Gaye Bas Woh Pal,
Yaad Raha.



Main Jise Mudat Mein Kahta Tha Woh Pal Ki Baat Thi,
Aapko Bhi Yaad Hoga Aaj Kal Ki Baat Thi,
Roj Mela Jodte The Woh Samasya Ke Liye,
Aur Unki Jeb Mein Hi Band Hal Ki Baat Thi,
Us Sabha Mein Sabhyta Ke Naam Par Jo Mon Tha,
Bas Usi Ke Kathya Mein Moujad Tal Ki Baat Thi,
Nitiyan Jhuti Padi Ghabra Gaye Sab Saster Bhi,
Jhopadi Ke Saamne Jab Bhi Mahal Ki Baat Thi.



In aankho me aansoo aaye na hote,
Woh jo mud kar muskuraye na hote,
Unke jane ke baad ye gam hota hai,
Kash woh jindgi me aaye na hote!


इन आंखो मे आंसू आये न होते,
अगर वो पीछे मुडकर मुस्कुराये न होते,
उनके जाने के बाद बस यही गम रहेगा,
कि काश वो हमारी ज़िन्दगी मे आये न होते।



Kya-Kya Na Saha Tere Pyar Ke Liye,
Tu Bhul Gayee Mujhe Begaane Yaar Ke Liye,


Bitaaye The Lamhe Saath Milkar Kabhi,
Tarsate Hain Aaj Tere Deedar Ke Liye.



Tu Yaad Kare Na Kare Teri Khushi,
Hum To Tujhe Yaad Karte Rehte Hai,
Tujhe Dekhne Ko Dil Tarsata Hai,
Hum To Intezaar Karte Rehte Hai.

तू मुझे याद करे न करे तेरी ख़ुशी,
हम तो तुझे याद करते रहते हैं,
तुझे देखने को दिल तरसता रहता है,
और हम इंतज़ार करते रहते हैं।



Har Pal,
Mujhe Tumhari Yaad Aati Hai,
Baarish Ki Har Boond,
Tumhari Yaad Dilaati Hai,
Meri Parchayi Mein,
Tu Nazar Aati Hai,
Jab Bhi Dakhna Chahun Tumhe,
Tum To Nahi,
Meri Tanhai Nazar Aati Hai.



Aye khat ja unke haathon ko chum le,
Jab wo padhe to unke hothon ko chum le,
Khuda na kare we faad bhi daale,
To girte girte unke kadmo ko chumle.

ऐ खत जा उनके हाथों को चूम ले,
जब वो पढ़े तो उनके होंठों को चूम ले,
खुदा ना करे वो फाड़ भी डाले..
तो गिरते गिरते उनके कदमों को चूम ले।



Har Baat Samjhayi Nahi Jaati,
Har Yaad Bhulayi Nahi Jaati,
Muskurana Bhi Hoti Hai Majburi Kabhi,
Har Wakt Toh Aankh Rulayi Nahi Jaati.



Dil Mein Ho Aap To Koi Aur Khaas Kaise Hoga,
Yaadon Mein Aapke Siva Koi Pass Kaise Hoga,
Hichkiyan Kehti Hain Aap Yaad Karte Ho,
Par Bologe Nahi To Humein Ehsas Kaise Hoga.

दिल में आप हो और कोई खास कैसे होगा,
यादों में आपके सिवा कोई पास कैसे होगा,
हिचकियॉं कहती हैं आप याद करते हो,
पर बोलोगे नहीं तो मुझे एहसास कैसे होगा।



Aapki Yaad Ne Mujko Beqrar Kar Diya,
Tanha Jeena Mera Dushwar Kar Diya,
Socha Aaj Apko Hum Yaad Na Kare,
Kambakht Dil Ne Dhadkne Se Inkar Kar Diya,



Kaif Mein Duba Hua Hoon Aalam E Tanhayi Hai,
Phir Teri Yaad Dabe Paanv Chali Aayi Hai,
Shab E Taarik Pe Chhayi Huyi Ranayi Hai,
Yeh Teri Zulf Ke Saaye Hain Ke Parchhayi Hai,
Tere Deevane Ko Itna Bhi Ab Hosh Nahi,
Yeh Tera Aaghosh Hai Ya Ghausha E Tanhayi Hai.



Yaadon ko teri hamne khone na diya,
Ghamo ne bhi chup hone na diya,
Aankhein to aaj bhi bhar aayi teri yaad mein,
Par teri di hui kasam ne hamein rone na diya



Tum Banke Dost Aise Aaye Zindagi Mein,
Ki Hum Yeh Zamana Hi Bhool Gaye,
Tumhen Yaad Aaye Na Aaye Hamari Kabhi,
Par Hum To Tumhe Bhulana Hi Bhool Gaye.

तुम बनके दोस्त ऐसे आए ज़िंदगी मे,
के हम ये ज़माना ही भूल गये,
तुम्हे याद आए ना आए हमारी कभी,
पर हम तो तुम्हे भूलना ही भूल गये!



Mera Chain Chheen Liya Hai Tere Nain Ne,
Tadpu Bepanah Rahu Bechain Main,
Har Pal Main Tujh Par Jaan Nishar Karta Hun,
Tujhe Pata Nahi Kitna Main Pyar Karta Hun.


Jab khamosh aankho se baat hoti hai.
Aise hi mohabbat ki shurwat hoti hai.
Tumhare hi khayalo mein khoye rehte hai.
Pata nahi kab din kab raat hoti hai ?

जब खामोश आँखो से बात होती है

ऐसे ही मोहब्बत की शुरुआत होती है
तुम्हारे ही ख़यालो में खोए रहते हैं
पता नही कब दिन और कब रात होती है



Bahut udas hai koi shakhs tere jane se,
ho sake to lout ke aaja kisi bahane se,
tu lakh khafaa ho par ek bar to dekh le,
koyi bikhar gaya hai tere rooth jane se.

बहुत उदास है कोई शख्स तेरे जाने से,
हो सके तो लौट के आजा किसी बहाने से,
तू लाख खफा हो पर एक बार तो देख ले,
कोई बिखर गया है तेरे रूठ जाने से।



Yaad karte hai tumhe tanhai mein,
Dil dooba hai ghamo ki gehrai mein,
Hume mat dhoodna duniya ki bhid mein,
Hum milenge tumhe tumhari parchaai mein.

याद करते है तुम्हे तनहाई में,
दिल डूबा है गमो की गहराई में,
हमें मत ढूंढना दुनिया की भीड़ में,
हम मिलेंगे में तुम्हे तुम्हारी परछाई में।