Best Dard Shayari - दर्द भरी शायरी | अध्याय 4


dard bhari shayari, shayari, hindi shayari, dard shayari, sad shayari, bewafa shayari, breakup shayari, heart touching shayari, sad shayari in hindi, love shayari, urdu shayari, sad love shayari, dard, hindi sad shayari, romantic shayari, rula dene wali shayari, shayari hindi, shayari video, sad shayari video, daily shayari, pyar bhari shayari, shayari sad, dukh dard shayari, broken heart shayari, heart broken shayari, dard e tanhai
Hum Apni Maut Khud Mar Jaayenge Sanam,
Aap Apne Sar Kyu Ilzaam Lete Ho,


Zalim Hai Duniya Na Jine Degi Aap Ko,

Aap Kyu Apni Jubaa Se Mera Naam Lete Ho.



Jab Aayega Kabhi Mera Waqt Aakhri,
Aap Ki Dua Bhi Kaam Nahi Aayegi,


Us Din Manaunga Main Eid Yaaro,

Meri Mahbooba Maut Jab Mujhe Le Jaayegi.


रात गुमसुम हैं मगर चाँद खामोश नहीं,
कैसे कह दूँ फिर आज मुझे होश नहीं,


ऐसे डूबा तेरी आँखों के गहराई में आज,
हाथ में जाम हैं,
मगर पिने का होश नहीं|


Raat Gumsum Hai Magar Chand Khamosh Nahi,
Kaise Keh Du Aaj Fir Hosh Nahi.


Aisa Duba Teri Aakhon Ki Gehrai Main,
Haath Mein Jaam Hai,
Magar Pine Ka Hosh Nahi.


Chal Mere Humnashi Aaj Kahi Aur Chal,
Iss Chaman Mein Ab Apna Kahi Guzara Nahi,


Baat Hoti Gulon Tak To Seh Lete Hum Bhi,
Ab To Kaanton Pe Bhi Haq Hamara Nahi.


कौन कहता है की दिल..
सिर्फ लफ्जों से दुखाया जाता है,


तेरी ख़ामोशी भी कभी कभी..
आँखें नाम कर देती है.


Kaun Kehta Hai Ki Dil

Sirf Lafzo Se Dukhaya Jaata Hai

Teri Khaamoshi Bhi Kabhi Kabhi..
Aankhein Nam Kar Deti Hai.


Mujhe Rahne Do Eh Dost Paas Apne,
Najron Se Yun Apni Tum Door Na Karo,


Bas Ek Zindagi Hi Baaki Hai Paas Mere,
Isko Bhi Ganvaane Pe Majboor Na Karo.


Bhale Kitna Hi Door Ho Woh Humse,
Magar Dil Ke Kareeb Lagta Hai,


Woh Saath Tha Toh Har Shay Suhati Thi,
Bina Uske Sab Bhi Ajib Lagta Hai.


Jo Dekhe The Unke Saath Humne,
Saakaar Na Kabhi Woh Sapne Huye,
Jinka Tha Bahut Sahara Humko,
Woh Gham Bhi Haay Apne Na Huye.


Din Ke Sath Raat Nahi Hoti,
Sitaron Se Dil Ki Baat Nahi Hoti,


Jis Dost Ko Jaan Se Ziyada Chahate Hain Hum,
Khuda Jaane Kyu Unhi Se Mulakaat Nahi Hot.


Hamein Toh Rog Laga Diya Ishq Ka,
Magar Door Khade Woh Muskurate Hain,
Paas Aane Ke Liye Bhi Kah Diya,
Aur Khud Hi Ab Door Huye Jaate Hain.


Jaan Kar Bhi Wo Mujhe Jaan Na Paye,
Aaj Tak Wo Mujhe Pehchaan Na Paye,


Khud He Kar Li Bewafai Humne,
Taaki Unpar Koi Ilzaam Na Aaye !


Kabhi Hum Tute Toh Kabhi Khwab Tute,
Jane Kitne Tukdo Me Armaan Tute,


Har Tukda Ek Aaina Hain Zindagi Ka,
Har Aaine Ke Sath Lakho Jazbat Tute.


Jise Tum Sacche Dil Se Pyar Karo Use
Kabhi Mat Aazmana…!

Kyo Ki

Agar Woh Gunehgar&Nbsp;Bhi Hua

Toh Dil Tumhara Hi Tutega.


तेरे दिल के करीब आना चाहता हूँ मैं,
तुझको नहीं और अब खोना चाहता हूँ मैं,


अकेले इस तनहाई का दर्द बर्दाश्त नहीं होता,
तू एक बार आजा तुझसे लिपट कर रोना चाहता हूँ मैं..


Tere Dil Ke Kareeb Aana Chahta Hoon Main,
Tujhko Nahi Aur Ab Khona Chahta Hoon Main,


Akele Iss Tanhayi Ka Dard Bardast Nahi Hota,
Tu Ek Bar Aaja Tujhse Lipat Kar Rona Chahta Hoon Main.


हमारे दरमियाँ ये दूरियां ना होती,
गर कुछ मेरी मजबूरियाँ ना होती,


रहते ना यूं मेरे हाथ खाली,
गर रस्मों की ये बेड़ियाँ ना होती।


Hamare Darmiyan Ye Dooriyan Na Hotee,
Gar Kuchh Meree Majabooriyaan Na Hotee,

Rahate Na Yoon Mere Haath Khaalee,
Gar Rasmon Kee Ye Bediyaan Na Hotee.


Hum Pyar Aapse Karte Hain Dil O Jaan Se Sanam,
Is Baat Ka Aapko Aitbaar Kyu Nahi Aata,


Na Jaane Kaisa Pather Hai Yeh Dil Bhi Aapka,
Aap Ko Hum Par Kabhi Bhi Pyar Kyu Nahi Hota.


Gehri Thi Raat,
Lakin Hum Khoye Nahi,
Dard Bahoot Tha Dil Mein,
Lakin Hum Roye Nahi,


Koi Nahi Hamara Jo Puche Humse,
Jag Rahe Ho Kisi Ke Liye,
Ya Kisi Ke Liye Soye Hi Nahi.


आज भीगी है पलके किसी की याद में
आकाश भी सिमट गया हैं अपने आप में

ओस की बूँद ऐसी गिरी है ज़मीन पर
मानो चाँद भी रोया हो उनकी याद में.…

Aaj Bhigi Hai Palke Kisi Ki Yaad Mein,
Aakash Bhi Simat Gaya Hai Apne Aap Mein,


Oas Ki Boonde Aisi Giri Hai Jameen Per,
Maano Chand Bhi Roya Ho Uski Yaad Mein.


Jo Gujaare Hain Pal Humne Saath Unke,
Hum Un Palon Ko Hi Dil Mein Utar Lenge,


Bas Aap Khus Raho Yeh Dua Hai Meri,
Hamara Kya Hai Hum Zindagi Yun Hi Gujar Lenge.


Jane Kya Khata He Meri Aye Khuda,
Ke Har Mood Per Ajama Leta Hai Tu,


Chahat Rakhta Hu Jis Chiz Ki,
Use Kisi Aur Ka Bana Deta Hai Tu.


Woh Bholi Bhali Si Surat Unki,
Hum Bhool Bhi To Nahi Paaate Hain,


Jab Bhi Yaad Aa Jaaye Unki Kabhi,
Hame Jaante Hain Dil Ko Kaise Samjhate Hain.


Aap Toh Ban Na Sake Hamare Magar,
Hum Bhi Kisi Aur Ke Ho Na Sake,


Khusiyan Toh Kya Milti Mujhko,
Ek Pal Bhi Kabhi Chain Se So Na Sake.


उल्फत का यह दस्तूर होता है,
जिसे चाहो वही हमसे दूर होता है,


दिल टूट कर बिखरता है इस क़द्र जैसे,
कांच का खिलौना गिरके चूर-चूर होता है!


Ulfat Ka Yeh Dastoor Hota Hai,
Jisse Chaho Wahi Hamse Door Hota Hai,


Dil Toot Kar Bikharta Hai Iss Kadar Jaise,
Kanch Ka Khilona Girke Choor Choor Hota Hai.


Aapko Bhi Apnakar Dekh Liya,
Aap Se Bhi Dhokha Khakar Dekh Liya,


Barbaad Bhi Hum Huye Jo, Toh Kya,
Aapne Toh Dil Parcha Kar Dekh Liya.


अपना होगा तो सता के मरहम देगा,
जालिम होगा अपना बना के जख्म देगा,


समय से पहले पकती नहीं फसल,
अरे बहुत बरबादियां अभी मौसम देगा|


Apna Hoga To Sata K Marham Dega,
Zalim Hoga To Apna Bna K Zakhm Dega,


Samay Se Pehle Pakti Nahi Fasal Are..
Boht Barbadiyan Abhi Mousam Dega.


Aaj Ji Bharkar Hum Par Hans Lo Beraham,
Fir Tujhe Milne Waale Hain Mere Gham Sabhi,


Teri Bewafayi Ka Charcha Charon Dishaon Main Hai,
Mujhe Diye Jakhmon Ka Hisaab Chukana Hai Kabhi Na Kabhi.


Ab Aansoonon Ko Aankhon Me Sajana Hoga,
Charaag Bujh Gaye Khud Ko Jalana Hoga,


Na Samajhna Ki Tumse Bichadke Khush Hain Hum,
Hamein Logon Ki Khatir Muskurana Hoga..


Mere Dil Mein Na Aao Varna Doob Jaaoge,
Gham E Ashkon Ke Shiwa Kuchh Bhi Nahi Andar,


Agar Ek Bar Risne Laga Jo Paani,
Toh Kam Pad Jaayega Bharne Ke Liye Samander.


Ek Bewafa Se Wafa Ki Ummeed Rakhi Hai,
Is Dil Me Saja Kar Unki Ek Tasveer Rakhi Hai,


Na De Sake Wo Insaaf Hamari Wafa Ko,
Fir Bhi Kadmo Mein Unke Hamne 


Hamari Takdeer Rakhi Hai.
Nadani Pyar Mein Hamne Esi Kar Rakhi Hai,
Ke Ik Bewafa Se Wafa Ki Ummeed Rakhi Hai.


Mayus To Hun Vaade Se Tere
khuch Aas Nahi Aur Aas Bhi Hai

Main Apne Khayalon Ke Sad

ketu Paas Nahi Aur Paas Bhi Hai

Dil Ne To Khushi Mangi Thi

magar Jo Tune Diya Achha Hi Diya

Jis Dil Ko Talluq Ho Tujhse

wo Raas Nahi Aur Raas Bhi Hai

Palkon Se Girte Ashkon Me

tasveer Jhlakti Hai Teri

Deedar Ki Pyassi Aakhon Me

ab Pyass Nhi Aur Pyass Bhi Hai.


Pyar Toh Hum Bhi Karte Hain Aapse,
Magar Kya Karein Hamari Nigaahein Juda Hain,


Chahte Toh Hain Hum Bhi Aapke Saath Chalna,
Magar Kya Karin Hamari Raaheein Juda Hain.


Zindgi Ke Safar Ko Lafzo Mein Piroya Hai,
Apni Har Gazal Ko Dard Mein Bhigoya Hai,


Plz Aaj Wah Wah Na Kehna,
Kyun Ki Aaj Fir Ye Dil Kisi Ki Yaad Mein Roya Hai.


Sanam Tujhse Ki Thi Mohabbat Humne,
Tum Samjhe Nahi Yeh Alag Baat Hai,


Magar Kaise Main Kahun Ke Hun Tanha,
Teri Yaadon Ka Kaafila Aaj Bhi Saath Hai.


Yeh Rog Ishq Ka Bahut Bura Hai Dosto,
Aap Is Rog Se Khud Ko Bacha Lena,


Agar Hansi Koi Nazrein Milana Bhi Chahe,

Toh Aap Najron Ko Apni Hata Lena.


Wafaa Ke Badle Bewafai Naa Diya Karo,
Meri Umeed Thukra Ke Inkaar Naa Kiya Karo,


Teri Mohabbat Me Hum Sab Kuch Kho Bethe,

Jaan Chali Jayegi Yu Imtihaan Naa Liya Karo.


Kis Baat Ka Marham Denge Yaar,
Jab Haal Hamara Na Jaane Koi,


Sab Dekhte Hain Upri Dikhave Ko Hi,
Mere Dil Ka Dard Na Pahchane Koi.


Mera Iljam He Tere Par Ke Tu Bewafa Tha,
Dosh To Tera Tha Par Tu Hamse Hi Khafa Tha,


Ek Kitab Main Bayan He Teri Meri Kahani,
Yaddon Se Sarabor Uska Ek Ek Saffa Tha.


Dil Ke Dariya Me Dhadkan Ki Kasti Hai,
Khawabo Ki Duniya Me Yado Ki Basti Hai,


Mohabbat Ke Bazar Me Chahat Ka Sauda,
Wafa Ki Kimat Se To Bewafai Sasti Hai..


Kaise Gujharti Hai Meri..
Har Ek Shaam Tere Bagair,


Agar Tu Dekhle To..
Kabhi Tanhaa Na Chhodte Mujhe..!


Itni Pilaao Aaj Tum Humko Yaaro,
Ki Kabhi Hosh Mein Hum Na Aane Paayein,


Ya Fir Mila Do Is Mein Jahar Jara Sa,
Ki Hosh Mein Aane Se Pahle Hi Mar Jaayein Hum.


Dukh Dete Ho Aur Khud Hi Sawal Karte Ho,
Tum Bhi O Sanam Kamaal Karte Ho,


Dekh Kar Puch Liya Hai Haal Mera,
Chalo Shukr Hai Kuch To Khyaal Karte Ho.


Dost Aapko Humse Bhi Achhe Mil Jaayenge,
Aap Humko Dost Banakar Kya Karoge,


Aapka Toh Intezaar Kar Rahi Hain Khusiyan,
Aap Humare Ghamon Ko Apnakar Kya Karoge.


ना शौक दीदार का,
ना फिक्र जुदाई की,


बड़े खुश नसीब हैँ वो लोग जो,
मोहब्बत नहीँ करतेँ!



Mujhe Shikwa Nahi Hai Zindagi Se Koi,
Magar Lagta Hai Ise Mujh Se Shikayat Hai,


Main Toh Gujaar Leta Ghamon Ke Saath Zinadagi,
Magar Lagta Hai Ise Khusiyon Ko Farmaish Hai.


Jaisa Karoge Aap Vaisa Hi Paaoge Sada,
Aaj Sabke Hoton Par Yeh Sachhayi Mili,


Magar Kaise Maan Lun Main Is Baat Ko Sach,
Mujhko Toh Wafa Ke Badle Bewafayi Mili.


Jo Aansu Dil Me Girte Hai Wo Ankho Me Nahi Rehte,
Bahut Se Harf Aise Hain Jo Lafzo Mein Nahi Rehte,


Kitabo Mein Likhe Jate Hai Duniya Bhar Ke Afsane,
Magar Jin Mein Hakikat Ho Kitabo Me Nahi Rehte.


गुजारिश हमारी वह मान न सके,
मज़बूरी हमारी वह जान न सके,


कहते हैं मरने के बाद भी याद रखेंगे,
जीते जी जो हमें पहचान न सके.


Gujarish Hamari Woh Maan Na Sake,
Majburi Hamari Woh Jaan Na Sake,


Kehte Hain Marne Ke Baad Bhi Yaad Rakhenge,
Jeete Ji Jo Hame Pehchan Na Sake.


Ek Tum Hi Se Umeed Ki Hai Mere Khuda,
Der Na Kar Jara Unse Zaldi Mila,


Yeh Rokar Karte Hain Gujaris Upar Wale,

Kahin Ho Na Jaaye Meri Yeh Zindagi Tabah.


Mujhe Bhool Jana Koi Gham Na Karna,
Mere Baad Aankhon Ko Tum Nam Na Karna,


Kisi Aur Ka Thaam Lena Tu Daman,
Mere Baad Jholi Ko Phoolon Se Bharna.


Agar Wo Khush Hai Dekh Kar Aansu Meri Aankhon Mein,
To Rab Ki Kasam Hum Muskurana Chhod Denge,


Tadapte Rahenge Use Dekhne Ko,
Lekin Us Ki Taraf Nazrein Uthana Chhod Denge.


Duniya Ko Humse Shikayat Yahi Hai,
Ki Uske Usulon Ko Hum Nahi Jaante,


Are Inhi Par Toh Chal Rahe Hain,
Dosto,
Tabhi Kisi Ko Apna Hum Nahi Maante.


Dard Apnate Hain Paraye Kon,
Kon Sunta Hai Aur Sunaye Kon,


Kon Dohraye Fir Wohi Baatein,
Dard Abhi Soya Hai Jagaye Kon,


Ab Sukun Hai Toh Bhulne Mein,
Lekin Us Shakhs Ko Bhulaye Kon.


Door Se Aaye The Saki Sun Ke May Khane Ko Hum,
Bas Taraste Hi Chale Afsos Paimane Ko Hum,


May Bhi Hai,
Meena Bhi Hai,
Sagar Bhi Hai,
Saki Nahi,


Dil Mein Aata Hai Laga Dein Aag Maykhane Ko Hum,
Humko Fansna Tha Kafas Mein Kya Gila Sayyad Ka,


Bas Tarsate Hi Rahe Hain Aab Aur Daane Ko Hum,
Baag Mein Lagta Nahi Sahra Mein Ghabrata Hai Dil,


Ab Kahan Le Jaake Baithe Aise Deewane Ko Hum,
Kya Huyi Bhool Humse Tu Bata De Eh Naajir,
Taaki Saahi Mout Samajhe Aise Mar Jaane Ko Hum.


Talash Hai Us Manzil Ki,
Jise Main Pana Nahi Chahti,


Dekh Raha Hai Wo Mujhe,
Par Mai Uski Nazron Mai Aana Nahi Chahati.


Pyaar Karne Ka Hunar Hamein Nahi Aata,
Isliye Pyaar Ki Baazi Hum Haar Gaye,


Hamari Zindagi Se Unhe Bahot Pyaar Tha,
Shayad Isiliye Wo Hamein Zinda Hi Maar Gaye..


प्यार करने का हुनर हमें नहीं आता,
इसलिए प्यार की बाज़ी हम हार गए,


हमारी ज़िन्दगी से उन्हें बहुत प्यार था,
सायद इसलिए हमे ज़िंदा ही मार गए!




वो हमें भूल भी जायें तो कोई गम नहीं,
जाना उनका जान जाने से भी कम नहीं,


जाने कैसे ज़ख़्म दिए हैं उसने इस दिल को,
कि हर कोई कहता है कि इस दर्द की कोई मरहम नहीं।


Vo Hamen Bhool Bhee Jaayen To Koee Gam Nahin,
Jaana Unaka Jaan Jaane Se Bhee Kam Nahin,
Jaane Kaise Zakhm Die Hain Usane Is Dil Ko,
Ki Har Koee Kahata Hai Ki Is Dard Kee Koee Maraham Nahin।


Mere Dil K Dard Ko Kisne Dekhaa Hain,
Mujhe Bus Khuda Ne Tadapte Dekha Hai,


Hum Tanhayi Mein Baithe Rote Hain,
Logo Ne Hume Mahfil Me Haste Dikha Hai.


Aata Hai Yaad Mujhko Gujra Hua Jamana,
Woh Baag Ki Baharein Woh Hawa Ka Chah Chahana,


Aajadiyan Kahan Ab Woh Apne Ghonsale Ki,
Apni Khusi Se Aana Spni Khusi Se Jana,


Lagti Hai Chot Dil Par Aatha Hai Yaad Jis Dam,
Shabnam Ke Aansuon Par Kaliyon Ak Muskarana,


Woh Pyari Pyari Surat Woh Kamini Ki Murat,
Aabad Jiske Dam Se Tha Mera Aasiyana,


Kya Badnseeb Hu Main Ghar Ko Taaras Raha Hun,
Sathi Toh Hai Vatan Mein Main Kaid Mein Pada Hun,


Aayi Bahar Kaliyan Phulon Ki Hans Rahi Thi,
Main Is Andhere Ghar Mein Kismat Ko Ro Raha Hun.


Jo Diya Hai Logon Ne Humko,
Woh Hi Toh Louta Rahe Hain Hum,


Raas Na Aayi Humko Zindagi,
Tabhi Toh Duniya Se Ja Rahe Hain.


Unke Hontho Pe Mera Naam Jab Aya Hoga..
Khudko Ruswayi Se Phir Kaise Bachaya Hoga..


Sunke Fasana Auro Se Merii Barbadi Ka..
Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aya Hoga


Mohabbat Laakh Chupayi Zamaane Se Maine,
Magar Aankhon Me Tere Aks Ko Chupa Na Saka.


Chaha Ke Ye Aasma Humara Hota,
Khwaisho Ka Koi Kinara Hota,


Ye Soch Kar Na Roka Us Musafir Ko Humne,
Dur Jata Hi Kyu Agar Wo Hamara Hota.


Gujarte Hai Meri Saanso Me Tera Naam Aaj Bhi,
Dhalti Hai Tere Intezar Me Meri Shaam Aaj Bhi


Tujko Mujh Se Bichde Zamana Ho Gaya,
Magar Hoti Hao Tere Naam Se Meri Pahchan Aaj Bhi.


Aapko Dekhkar Aaj Kahin,
Hamara Dil Bekarar Na Ho Jaaye,


Lag Raha Hai Aaj Dar Humko,
Kahin Aapse Pyar Na Ho Jaaye,


Khush Rahein Bas Aap Hamesha,
Dil Se Hum Fariyaad Karte Hain,


Aap Humko Bhale Bhol Chuke Ho,
Magar Hum Aapko Yaad Karte Hain.


Haal E Dil Apna Kya Sunaayen Aapko,
Gham Se Baatein Karna Aadat Hai Hamari,


Log Marte Hain Sirf Ek Baar Dost,
Pal Pal Roj Marna Aadat Hai Hamari.


Koi Kisi Ka Nahi Hai Jag Mein,
Yeh Riste Naate Yaaro Sab Jhute Hain,


Jab Girte Hain Badal Ghamon Mein Tab,
Sab Bandhan Ek Pal Mein Toote Hain.


Uski Aankhon Main Koi ‘Dard’ Basa Hai Shayad,
Ya Mujhe Khud Hi Veham Sa Hua Hai Shayad,


Maine Punchha Ke Bhool Gaye Ho Tum Bhi,
Ponchh Kar Aansu Mujhe Usne Kaha..
‘Shayad’.


Mujh Se Yeh Loog Kehte Hain,
Kahan Dil Chor Aaye Ho,


Bhut Chup Chaap Rehti Ho,
Na Banti Ho Na Sanwarti Ho,


Na Koi Baat Karti Ho,
Bhari Mehfil Mian Aksar,


Hamesha Khoye Khoye Rehti Ho,
Uddasi Aankhon Main Le Kar,


Har K Chehre Ko Takti Ho,
Koi Jab Yaad Aata Hai,
To Thandi Aah Bharti Ho.


Hamari Wafa Ki Kasmein Khata Tha Zamana,
Bewafayi Ki Bhi,
Aap Hi Misaal Banoge,


Har Rag Se Aashikon Ki Ho Wakif,
Dil Todne Mein Aap Kamaal Banoge.


जब भी उनकी गली से गुज़रते है,
मेरी आँखें एक दस्तक दे देती है,


दुःख ये नहीं वो दरवाजा बंद कर देते है,
ख़ुशी ये है की मुझे पहचान लेते है।


Jab Bhi Unki Gali Se Guzarta Hoon,
Meri Ankhein Ek Dastak De Deti Hai,


Dukh Ye Nahi,
Wo Darwaja Band Kar Dete Hai,
Khusi Ye Hai,
Wo Mujhe Ab Bhi Pahchan Lete Hai.


Humtoh Pukarte Hi Rahenge Aapko Hamesha,
Marzi Aapki Aap Aayein Ya Na Aayein,


Hum Toh Maan Chuke Hain Apna Aapko,
Marzi Aapki Apnaaye Ya Na Apnaaye.


Jo Diya Hai Logon Ne Humko,
Woh Hi Toh Louta Rahe Hain Hum,


Raas Na Aayi Humko Zindagi,
Tabhi Toh Duniya Se Ja Rahe Hain.


Phool Barse Kahin Sabnam Kahi Moti Barse
aur Is Dil Ki Taraf Barse Toh Pathar Barse,

Barishein Chhat Par Khuli Jagah Par Hoti Hai Magar

gham Woh Sawan Hai Jo In Band Kamron Mein Barse,

Koun Kahta Hai Ke Rango Ke Fariste Utrein

koi Bhi Barse Magar Is Bar Toh Ghar Ghar Barse,

Hum Jaise Majbur Ka Gussa Bhi Ajib Badal Hai

apne Hi Dil Se Uthe Apne Hi Dil Pae Barse.


Hum Jale To Chirag Samajh Baithe,
Mehke To Sab Gulaab Samajh Baithe,


Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,
Shayri Padhi Aur Shayar Samajh Baithe.


Mana Ke Pyar Kisi Ka Mere Paas Nahi,
Magar Tunhein Meri Mohabbat Ka Ehsaas Nahi,


Jaane Pee Gaye Hum Kitne Gham E Aansu,
Ab Kuchh Aur Peene Ki Pyaas Nahi.


Hasrat Sirf Tumhe Paane Ki,
Aur Koi Khwahish Nahi Is Parwane Ki,


Gham Ki Aandhi Aisi Chali,
Hum Tum Bichhud Gaye,


Aansu Bhi Apne Puchhne Lage,
Aapke Saathi Kidhar Gaye.


दो कदम तो सब चल लेते हैं पर ,
ज़िन्दगी भर साथ कोई नहीं निभाता ,


अगर रो कर भूल जाती यादें ,
तो हस कर कोई गम न छुपाता .


Do Kadam To Sab Chal Lete Hain Par,
Zindagi Bhar Saath Koi Nahi Nibhata ,


Agar Ro Kar Bhool Jaati Yaadein,
To Has Kar Koi Gum Na Chhupaata .


Woh Ruthte Rahe Hum Manate Rahe,
Unki Raahon Me Palkein Bichate Rahe,


Unhone Kabhi Palat Ke Bhi Na Dekha,
Hum Ankh Jhapkane Se Bhi Katrate Rahe.


Sab Log Rah Guzar Nahi Hote,
Sath Chalne Wale Hamsafar Nahi Hote,


Kitna Dard Hota Haio Un Logo Ke Dilo Main,
Pucho Un Logo Se Jinke Apne Bhi Apne Nahi Hote.


Bichar Ke Tum Se Zindagi Saza Lagti Hai,
Yeh Saans Bhi Jaise Mujh Se Khafa Lagti Hai,


Tarap Uthta Hoon Dard Ke Maare Zakhmon Ko,
Jab Tere Sheher Ki Hawa Lagti Hai,


Agar Ummeed-E-Wafa Karu To Kis Se Karu,
Mujh Ko To Meri Zindagi Bhi Be-Wafa Lagti Hai


Aaj Hum Unhe Bewafa Bata Kar Aaye Hai,
Unke Khaton Ko Pani Mein Baha Kar Aaye Hai,


Koi Nikal Kar Paadh Na Le Unhe,
Isliye Pani Mein Bhi Aag Lagake Aaye Hai.


आज हम उनको बेवफा बताकर आए है,
उनके खतो को पानी में बहाकर आए है,


कोई निकाल न ले उन्हें पानी से..
इस लिए पानी में भी आग लगा कर आए है।




कदम कदम पर बहारो ने साथ छोडा,
जरुरत पडने पर यारो ने साथ छोडा,


बादा किया सितारोँ ने साथ निभाने का,
सुबह होने सितारो ने साथ छोडा.


Kadam Kadam Pe Baharon Ne Saath Chhoda,
Zaroorat Padne Par Yaaron Ne Saath Chhoda,


Vaada Kiya Sitaron Ne Saath Dene Ka,
Subah Hone Par Sitaron Ne Bhi Saath Chhoda.


Tarsegi Tu Pyar Ke Liye Tamam Umar,
Ab Yaar Tujhe Main Aisi Saja Dunga,


Yaad Karegi Jab Tu Mere Pyar Ko,
Magar Us Din Main Tujhe Bhula Dunga.


Dard Kuchh Din Toh Mehmaan Thahre,
Hum Hathi Hain Ke Mejbaan Thahre,


Sirf Tanhai Sirf Virani,
Yeh Najar Jab Uthe Jahan Thahre,


Koun Se Jakham Par Padav Kiya,
Dard Ke Kaafile Kahan Thahre,


Kaise Dil Mein Khusi Basa Loo Main,
Kaise Muthi Mein Yeh Dhuan Thahre,


Thi Kahin Niyat Kahi Sahas,
Hum Kahin Inke Darmiyan Thahre.


Pyar Aankho Se Jataya To Bura Maan Gaye,
Haal-E-Dil Humne Sunaya To Bura Maan Gaye,


Woh To Har Roz Rulaya Karte They,
Ek Roz Humne Rulaya To Bura Maan Gaye.


Humne Tere Pyar Ki Khatir,
Duniya Ko Thukraya Tha,


Saare Jag Ko Chhod Ke Humne 

Tumko Meet Banaya Tha,
Fir Bhio Sangdil Chhod Ke Tanha,


Tune Apne Khan Ko,
Gair Ki Sej Sajayi Tune,


Gair Ka Saath Nibhaya Tha,
Tujh Se Hai Na Shikwa,


Na Gila Hai Rakibon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se,


Tera Who Pyar Mujhe,
Raaton Ko Jagayega,


Tone Mujhe Thukraya Toh,
Chain Nahi Aayega,


Hoga Na Ilaaj Mera,
Kabhi Bhi Tabijon Se,


Duniya Mein Milta Hai 

Pyar Toh Naseebon Se.


Dukh Ne Sukh Ki Saans Li Hai,
Kaash Koi Phir Yaad Na Aaye.


Phir Na Karna Meri Gustakh Nigahon Ko Gila,
Dekhiye Aapne Phir Pyar Se Dekha Hai Mujhe..

Hijar Ki Raaton Main,
Sisak Sisak K Ro Leti Hoon,


Tanhayi K Dinon Main Uss Ki Ek Jhalak Dekhne Ko Taras Jaati Hoon.
Chalte Chalte Raahon Main Uss Ka Rasta Takti Hoon,


Ek Din Insha’Allah Humara Hoga Millan,
Iss Umeed K Sahare Dil Behla Leti Hoon.


Mere Naseeb Ka Khel Niraala Ho Gaya,
Ghar Mera Jalaa Aur Kahin Aur Ujala Ho Gaya.


Nikle Jo Janaza Mera Do Phool Gira Dena,
Milne Ki Tamana Ho Toh Kafan Hata Dene.


Wo Toot Chuka Tha Mohabbat Main,
Mgar Us Ko Mohabbat Se Koi Shikayat Nahi Thi.


Mujhe Neend Ki Ijaazat Bhi Unki Yaadon Se Leni Parti Hai,
Jo Khud Aaram Se Soye Hain Mujhe Karwaton Mein Chhor Kar.


Ungliya Aaj Bhi Ise Soch Mein Gum Hain,
Kya Usne Naye Hath Ko Thama Hoga.


Tu Bhi Auro Ki Trah Mujh Se Kinara Kar Le,
Sari Dunia Se Bura Hun Tere Kis Kaam Ka Hun.


प्यार क्या होता है हम नहीं जानते,
ज़िन्दगी को हम अपना नहीं मानते,


गम इतने मील के एहसास नहीं होता,
कोई हमें प्यार करे अब विश्वास नहीं होता.


Pyar Kya Hota Hai Hum Nahi Jante,
Zindagi Ko Hum Apna Nahi Mante,


Gum Itne Mile Ke Ehsaas Nahi Hota,
Koi Hume Pyar Kare Ab Vishwas Nahi Hota.


मेरी यादें मेरा चेहरा मेरी बातें रुलायेंगी,
हिज़्र के दौर में गुज़री मुलाकातें रुलायेंगी,


दिनों को तो चलो तुम काट भी लोगे फसानों मे,
जहाँ तन्हा मिलोगे तुम तुम्हे रातें रुलायेंगी


Meree Yaaden Mera Chehra Meri Baatein Rulayenge,
Hijr Ke Daur Mein Guzari Mulakaten Rulayenge,


Dinon Ko To Chalo Tum Kaat Bhee Loge Phasaanon Me,
Jahaan Tanha Miloge Tum Tumhe Raaten Rulaayengee


Yeh Zindagi Toh Ghamon Ka
Dariya Banti Jaa Rahi Hai,


Mujhko Yaaro Kahin Bhi
Iska Kinara Najar Nahi Aata,


Jidhar Bhi Dekhta Hun
Kabhi Najar Uthakar Main Sagar,


Mujhko Kahin Par Bhi
Kisi Ka Sahara Najar Nahin Aata.


Woh Hamari Ek Khata Par..
Humse Kuchh Is Kadar Rooth Kar Chal Diye,


Jaise Sadiyon Se Unhe ..
Kisi Bahaane Ki Talash Thi.


Hum Kaise Bataaye Ab Aapko Apni Bebasi,
Kyu Aapko Apne Dil Mein Basa Nahi Sakte,


Kyonki Jiski Yaadon Ke Sahaare Hum Zinda Hain,
Unki Yaadon Ko Hum Kabhi Bhula Nahi Sakte.


Chhod Do Tanhai Mein Mujhko Yaaro,
Saath Mere Rahkar Kya Paaoge,


Agar Ho Gayi Aapko Bhi Mohabbat Kabhi,
Meri Tarah Tum Bhi Pachhtaoge.


Koi Rasta Nahi Dua Ke Siva,
Koi Sunta Bhi Nahi Khuda Ke Siva,


Maine Zindagi Koi Kareeb Se Dekha Hai Dost,
Muskil Mein Koi Sath Nahi Deta Aansu Ke Siva.


कोई रास्ता नही दुआ के सिवा,
कोई सुनता नही खुदा के सिवा,


मैने भी ज़िंदगी को करीब से देखा है मेरे दोस्त,
मुस्किल मे कोई साथ नही देता आँसू के सिवा.



Jinhe Hum Pyar Karte Hain,
Unko Bata Bhi Nahi Sakte,


Dekhiye Majboori Sagar Ki,
Unhe Hum Paa Bhi Nahi Sakte,


Jo Pal Gujare Saath Unke,
Woh Pal Bahut Yaad Aate Hain,


Jab Bhi Hum Tanha Hote Hain,
Yeh Humko Bahut Rulate Hain.


Dil Ka Har Dard Kho Gaya Jaise,
Main Toh Pathar Ka Ho Gaya Jaise,


Daag Baki Nahi Ke Nishan Kahun,
Koi Deevar Dho Gaya Jaise,


Jagta Jahan Gham Ki Dhoop Mein Tha,
Chhav Paate Hi So Gaya Jaise.


मेरी वफ़ा की कदर ना की,
अपनी पसंद पे तो ऐतबार किया होता,


सुना है वो उसकी भी ना हुई,
मुझे छोड दिया था उसे तो अपना लिया होता|


Meree Vafa Kee Kadar Na Kee,
Apanee Pasand Pe To Aitbaar Kiya Hota,


Suna Hai Vo Usakee Bhee Na Huee,

Mujhe Chhod Diya Tha Use To Apana Liya Hota|


Taqdeer Ne Jise Chaha Waise Dhal Gye Hum,
Bahut Sambhal K Chale Fir Bhi Fisal Gye Hum,


Kisi Ne Vishwas Toda Toh Kabhi Kisi Ne Dil,

Aur Logon Ko Lagta Hain Ki Badal Gaye Hum.


Na “Gila” Hai Koi Halaat Se,
Na “Shikayat” Hai Kisi Ki Zaat Se,


Khud Hi Saare “Juda” Huye,

Meri “Zindagi” Ki Kitaab Se.


Is Zamane Ki Baat Mat Karna Humse,
Is Zamane Ke Saath Toh Hum Chal Nahi Sakte,


Yeh Toh Badalta Hai Rang Girgit Ki Tarah,

Magar Hum Iski Tarah Rang Badal Nahi Sakte.


TAG:
dard bhari shayari, shayari, hindi shayari, dard shayari, sad shayari, bewafa shayari, breakup shayari, heart touching shayari, sad shayari in hindi, love shayari, urdu shayari, sad love shayari, dard, hindi sad shayari, romantic shayari, rula dene wali shayari, shayari hindi, shayari video, sad shayari video, daily shayari, pyar bhari shayari, shayari sad, dukh dard shayari, broken heart shayari, heart broken shayari, dard e tanhai