Best Yaad Shayari in Hindi | अध्याय 3


Best Yaad Shayari in Hindi

Mehfil mein kuch to sunana padta hai,
Gum chupakar muskurana padta hai,
kabhi ham bhi dost the aapke,
Aaj kal aapko yad dilana padta hai.

मेहफिल मैं कुछ तो सुनाना पडता है,
ग़म छुपाकर मुस्कुराना पडता है,
कभी उनके हम भी थे दोस्त,
आज कल उन्हे याद दिलाना पडता है।



Woh Mousam Pyar Ka Eh Mere Dost,
Na Jaane Kyu Hardam Yaad Aata Hai,
Jab Bhi Hota Hai Akela Kabhi Hum,
Na Jaane Kyu Isko Bahut Rulata Hai.



Dil se dil ki bs yahi duaa hain,
Aaj fir humko kuchh hua hai,
Sham dhalte hi aati hai yaad aapki,
Lagta hain pyar aap se hi hua hain.



Dosti Ka Farz Yun Hi Nibhate Rahenge,
Wakt Bewakt Aapko Satate Rahenge,
Dua Karo Ke Umar Lambi Ho Hamari,
Varna Yaad Ban Ke Aapko Satate Rahenge.



Kash K Wo Lout Aaye Mujh Se Ye Kehne..
..
.K Tum Kon Hote Ho Mujh Se Bicharne Wale.



Din me yaad usko ek baar nahi baar karte the,
Ye jante hue ki uski yaad hi aayegi phir bhi intezar karte the,
Par jab us bekadar garoori se hi chot khai hamne tab hosh aya ki,
Hum to kisi pathar se pyar karte the.



Yeh Mujhse Puchhate Hain Doctor Kyu,
Ki Tu Zinda To Hai Ab Tak,
Magar Kyu,
Jo Rasta Chhod Ke Main Ja Raha Hun,
Usi Raste Par Jati Hai Najar Kyu,
Sunayenge Kabhi Fursat Mein Tumko,
Ki Hum Barson Rahe Hai Darbadar Kyu,
Yahan bhi sab hai begana hi mujhseKahun Main Kya Ki Yaad Aaya Hai Ghar Kyu,
Main Khus Rahta Gar Samjha Na Hota,
Ye Duniya Hai To Main Deedavar Kyu.



Tarsegi Tu Pyar Ke Liye Tamam Umar,
Ab Yaar Tujhe Main Aisi Saja Dunga,
Yaad Karegi Jab Tu Mere Pyar Ko,
Magar Us Din Main Tujhe Bhula Dunga.



Ek Jurm Hua Hai Hum Se Ek Yaar Bana Baithe Hain,
Kuch Apna Sa Us Ko Samajh Kar Sab Raaz Bata Baithe Hain,
Phir Us Ke Pyaar Ki Raah Mein Dil-o-Jaan Gawa Baithe Hain,
Woh Yaad Bahut Aate Hain Jo Hum Ko Bhula Baithe Hain.



बहुत चाहा उसको जिसे हम पा न सके,
ख्यालों में किसी और को ला न सके.उसको देख के आंसू तो पोंछ लिए,
लेकिन किसी और को देख के मुस्कुरा न सके.

Bahut chaha usko jise hum pa na sake,
Khayalon me kisi aur ko la na sake.Usko dekh ke aansoo to ponchh liye,
Lekin kisi auor ko dekh ke muskura na sake.



Sms Bhejne Ka Nahi Tha Shok Hamein,
Teri Yaad Ne Mobile Pakda Diya,


Message Likhte Likhte Space Khatam Huyi,
Humne Overwrite Allowed Chala Diya,


Mere Yaar Sms Ka Reply Dena,
Humne Apna Farj Nibha Diya.



Ham juda hue the phir milane ke liye,
zindagi ki raahon mein sang chalane ke liye,
tere pyaar ki kashish dil mein basi hai kuchh is qadar,
dua hai tera sath mile zara sambhalane ke liye

हम जुदा हुए थे फिर मिलने के लिये,
ज़िंदगी की राहों में संग चलने के लिये,
तेरे प्यार की कशिश दिल में बसी है कुछ ईस क़दर,
दुआ है तेरा साथ मिले ज़रा संभलने के लिये।



Eh Zindagi Jaate Jaate Meri Duaen Leto Ja,
Dil Se Bhula Dena Har Ek Khata,
Saja Jo Bhi Deni Ho Mujhe Woh Bhi Deti Ja,
Ki Ab Toh Teri Yaad Ke Siwa Nahi Kuchh Bacha.



उसकी बातों को बार बार याद करके रोये,
उसके लिये दर पे फरियाद करके रोये,
उसकी खुशी के लिये उसको छोड दिया फिर,
उसे किसी ओर के साथ आबाद करके रोये. 



Maana Ke Mujhse Woh Khafa Rahe Honge,
Ho Sakta Hai Woh Mujhe Aazma Rahe Honge,
Hum Utni Hi Shiddat Se Yaad Karenge Unhein,
Jitni Shiddat Se Woh Humein Bhula Rahe Honge.



Hum Kaise Bhulaye Unko Bhala,
Jo Dil Mein Hamare Rahte Hain,
Jab Unko Apna Samjhte Hain,
Fir Woh Kyu Begana Kahte Hain.



Apni Surat Ka Kabhi Toh Deedar De,
Tadap Raha Hun Ab Aur Intezaar Na De,
Apni Aawaz Nahi Sunani Toh Mat Suna,
Kam Se Kam Ek Miss Call Hi Mar De.



Tere Intejar Me Kab Se Udaas Bethe Hain,
Tere Deedar Me Aankhe Bichaaye Bethe Hain,
Tu Ek Najar Hum Ko Dekh Le Bas,
Es Aas Me Kab Se Bekarar Bethe Hain.

तेरे इंतजार में कब से उदास बैठे हैं,
तेरे दीदार में आँखे बिछाये बैठे हैं,
तू एक नज़र हम को देख ले बस,
इस आस में कब से बेकरार बैठे हैं।



Tu Yaad Kare Na Kare Teri Khushi,
Hum To Tujhe Yaad Karte Rehte Hai,
Tujhe Dekhne Ko Dil Tarsata Hai,
Hum To Intezaar Karte Rehte Hai.

तू मुझे याद करे न करे तेरी ख़ुशी,
हम तो तुझे याद करते रहते हैं,
तुझे देखने को दिल तरसता रहता है,
और हम इंतज़ार करते रहते हैं।



Kaash Koi Hum Par Bhi Itna Pyaar Jatata..
Piche Se Aakar Wo Hamari Ankho Ko Chupata..
Hum Puchte Ki Kaun Ho Tum..
Wo Hans Kar Khud Ko Hamari Jaan Batata..
!


काश कोई हम पर भी इतना प्यार जताती,
पीछे से आकर वो हमारी आँखो को छुपाती,
हम पुछ्ते की कौन हो तुम..
?
?
और वो हस कर खुदको हमारी जान बताती



Sochta Hun Milunga Jab Tujhse,
Tujhe Seene Se Apane Lagaunga,


Chhupa Lunga Dil Mein Main Tujhko,
Kahin Door Na Fir Kabhi Jaaunga.



Raat Ki Tanhai Mein Akele The Hum,
Dard Ki Mehfilon Mein Ro Rahe The Hum,
Aap Hamare Bhale Hi Kuch Nahi Lagte,
Par Fir Bhi Aapke Bina Bilkul Adhoore Hain Hum.

Akele Chalte Chalte Yahan Thak Chuke Hain Hum,
Ab Humko Bhi Kisi Ka Sahara Chahiye,
Aur Ghamon Ka Bojh Hum Utha Nahi Sakte,
Ab Ghamon Ke Sagar Ka Kinara Chahiye.


Muddat se Akele the hum,
ek zamane ke baad kisi ka milna achha laga..
Sagar se gehri lagi apki dosti,
tairna aata tha par doob jana achha laga..



Zindagi Ke Zehar Ko Yu Has Ke Pi Rahe Hai,
Tere Pyar Bina Yu Hi Zindagi Jee Rahe Hai,
Akelepan Se Ab Darr Nahi Lagta Hame,
Tere Jaane Ke Baad Yu Hi Akele Jee Rahe Hai !
!



Zindagi Ki Raahon Par Kabhi Yu Bhi Hota Hai,
Insaan Khud Ro Padta Hai Akele Mein,
Kisi Ko Hausla Dene Ke Baad..
!



Hum wo teer hai Jo Himalaya ko cheer kar,
Apna Rasta badal sakte hai,
Koi Saath hamara de Ya na,
Hum Akele hi duniya hila skate hai.


Paas aakar sabhi door chaley jate hain,
Akeley they hum,
 Akeley hi reh jate hai,
Hum apney Dil ka dard kisey dikhaye,
Marhum lagane wale hi zakhm de jate hai.


Na jeene ki khushi na marne ka gham,
Unse milne ki dua bhi nahin karte hum,
Jeete hain isliye ke shayad woh ek din aayenge,
Marte isliye nahin ki wo Akele reh jaayenge.


Woh Jamana Gujar Gaya Kab Ka,
Tha Jo Deevana Mar Gaya Kab Ka,
Dhundhta Tha Jo Ek Nayi Duniya,
Lotke Apne Ghar Gaya Kab Ka,
Woh Jo Laya Tha Humko Dariya Tak,
Par Akele Utar Gaya Kab Ka,
Uska Jo Haal Hai Wohi Jaane,
Apna Toh Jakham Bhar Gaya Kab Ka,
Khwab Dar Khwab Tha Jo Tana Bana,
Ab Kahan Hai Bikhar Gaya Kab Ka.


Yahi Talak Tha SaathHamara Aur Tumhara Sanam,
Aaj Fir Ek BaarAkele Pad Gayein Hain Hum,
Khud Hi Aakar Let Gaye HainHum Apni Kabar Mein,
Kyuki Apni Zindagi SeAaj Dar Gaye Hain Hum.



Ek aah jo dil ko rula de,
Ek waah jo maan ko bahla de,
Ek raah jo manjil ko mila de,
Aur,
ek SMS jo apno ki yaad dila de.



Kaash Is Dil Ki Aawaz Mein Itna Asar Ho Jaye,
Hum Aapko Yaad Karein,
Aur Aap ko Khabar Ho Jaye,
Khuda Se Maangte Hain Ki Aap Jise Bhi Chaho,
Wo Zindagi Ki Raah Mein Apka Humsafar Ho Jaye.



Sirf Yaad Ban Kar Na Rah Jaye Pyar Mera,
Kabhi Kabhi Kuch Waqt Ke Liye Aya Karo,
Meri Dolat He Jo Sambhal Ke Dil Main Rakhta Hu,
Mere Agar Aap Nahi Aap Sakte To Kuch Yaden Hi De Jaya Karo.



न जाने सालों बाद कैसा समां होगा,
हम सब दोस्तों में से कौन कहा होगा,
फिर अगर मिलना होगा तो मिलेंगे ख्वाबों मे,
जैसे सूखे गुलाब मिलते है किताबों मे.

Na jane saloon baad kaisa sama hoga,
Hum sab doston mei se kaun kaha hoga,
Phir agar milna hoga to milenge khwabon mai,
Jaise sukhe gulab milte hai kitabon mai.



Yaadon ki keemat wo kya jane,
Jo khud ki yaadon ko mita diya karte hain,
Yaadon ka matlab toh unse puchho,
Jo yaadon ke sahare zindagi jiya karte hain.

यादों की किम्मत वो क्या जाने,
जो ख़ुद यादों के मिटा दिए करते हैं,
यादों का मतलब तो उनसे पूछो जो,
यादों के सहारे जिया करते हैं।



Har Pal,
Mujhe Tumhari Yaad Aati Hai,
Baarish Ki Har Boond,
Tumhari Yaad Dilaati Hai,
Meri Parchayi Mein,
Tu Nazar Aati Hai,
Jab Bhi Dakhna Chahun Tumhe,
Tum To Nahi,
Meri Tanhai Nazar Aati Hai.



Aapke Saath Bitaaye Woh Pal,
Hamare Dil Ko Bahlayenge Hamesha,
Aap Bhale Hi Paas Na Ho Hamare,
Magar Yaadon Mein Hamari Aayenge Hamesha.



प्यार कर के कोई जताए ये ज़रूरी तो नहीं,
याद कर के कोई बताये ये ज़रूरी तो नहीं,
रोने वाले तो दिल में ही रो लेते हैं,
किसी की आँख में आसूं आये ये ज़रूरी तो नहीं..



Yaad Aa Rahe Hai Din Or Raat,
Karte The Jab Hum Aapki Baat,
Khush Ho Lete The Gam Bantkar,
Acha Lagta Tha Tab Tera Sath.



Sukh gaye phool par bahar wohi hai,
Door rehte ho par pyar wohi hai,
Jante hain hum mil nahi pa rahe hain aapse,
Magar..
in aankhon mein mohabbat ka intezar wohi hai.

सूख गए फूल पर बहार वही है,
दूर रहते है पर प्यार वही है,
जानते है हम मिल नहीं पा रहे है आपसे,
मगर..
इन आंखो में मोहब्बत का इंतजार वही है!
 



Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Un Ki Yaad,
Dard Ban Kar Chaa Rahi Hai Un Ki Yaad,
Ishq Se Ghabra Rahi Hai Un Ki Yaad,
Rukte-Rukte Aa Rahi Hai Un Ki Yaad,
Wo Hanse Wo Zer-e-Lab Kuch Keh Uthe,
Khwab Se Dikhla Rahi Hai Un Ki Yaad,
Main To Khudari Ka Qayal Hun Magar,
Kya Karun Phir Aa Rahi Hai Un Ki Yaad,
Ab Khyal-e-Tark-e-Rabt Zabt Hi Se Hai,
Khud B Khud Sharma Rahi Hai Un Ki Yaad.



Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan,
Na Karta Kisi Ko Yun Ye Pareshaan,
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Me,
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Sake Bayaan.



Woh Bholi Bhali Si Surat Unki,
Hum Bhool Bhi To Nahi Paaate Hain,
Jab Bhi Yaad Aa Jaaye Unki Kabhi,
Hame Jaante Hain Dil Ko Kaise Samjhate Hain.



Tujhe Chahne Wale Kum Na Honge,
Waqt Ke Sath Shayad Hum Na Honge,
Chahe Kisi Ko Kitna Bhi Pyaar Dena,
Lekin Teri Yaadon Ke Haqdar Sirf Hum Hi Honge.



Paimane Se Nikli Hai Aawaz Teri,
Stati Hai Mujhko Sanam Yaad Teri,
Kisi Gair Ka Daman Tham Na Lena,
Warna Ho Jayegi zindagi Barbad Meri.



Ghar Ki Dahleej Par Meri,
Jab Kadam Woh Rakhenge,
Har Baat Ko Kahne Se Pahle,
Woh Hamein Yaad Jarur Karenge.



Jeevan Ek Bagiya Hai Kaanto Pe Phool Bane,
Sange Mar-Mar Pathar Rahon Ki Dhool Bane,
Ek Patjhad Ka Mosam Aata Hai Bahaaro Mein,
Kuch Sajar Bhi Bagon Ke Vadon Ki Bhul Bane,
Shabnam Hoker Rona Hasna Hai Dhupon Ka,
Barsat Nazro Ki Kuch Pal Ki Jhul Bane,
Har Vaqt Khayalon Mein Chanda Ki Kirne Hain,
Raaton Ke Sitaare Bhi Yaadon Ke Phool Bane,
Kuchh Phool Ukhad Jaate Duniyan Ki Bagiya Se,
Kar Baithe The Hanskar Vaade Na Aasul Bane.



किसी की यादो को रोक पाना मुश्किल हैरोते हुए दिल को मनाना मुश्किल हैये दिल अपनो को कितना याद करता हैये कुछ लफ्जो में बयाँ कर पाना मुश्किल है

Kisi ki yaado ko rok paana muskil hai,
Rote huye dil ko manana muskil hai,
Ye dil apno ko kitna yaad karta hai,
Ye kuch kafzo mein baya kar paana muskil hai.



Logon Ki Bheed Mein To Maalum Nahi Hota,
Magar Tanhai Mujhe Bahut Sata Jaati Hai,
Aap To Aate Nahi Ho Bulaane Par Bhi,
Aapki Yaad Na Jaane Kyu Chali Aati Hai.



In aankho me aansoo aaye na hote,
Woh jo mud kar muskuraye na hote,
Unke jane ke baad ye gam hota hai,
Kash woh jindgi me aaye na hote!


इन आंखो मे आंसू आये न होते,
अगर वो पीछे मुडकर मुस्कुराये न होते,
उनके जाने के बाद बस यही गम रहेगा,
कि काश वो हमारी ज़िन्दगी मे आये न होते।



Mehfil mein kuch to sunana padta hai,
Gum chupakar muskurana padta hai,
kabhi ham bhi dost the aapke,
Aaj kal aapko yad dilana padta hai.

महफ़िल मैं कुछ तो सुनाना पड़ता हैं,
गम छुपाकर मुस्कुराना पड़ता हैं,
कभी उनके हम थे दोस्त,
आजकल उन्हें याद दिलाना पड़ता हैं।



Aankhon me rehne wale ko yaad nahi karte,
Dil me rehne wale ki baat nahi karte,
Hamari to RUUH me bas gaye ho aap,
Tabhi to milne ki FARIYAD nahi karte!



Aaj hum hai,
kal hamari yaadein hongi,
jab hum na honge,
tab hamari baat hongi,
kabi paltoge zindagi ke yeh paane..
to shayad apki ankhon se bhi barsaaten hongi.

आज हम हैं,
कल हमारी यादें होंगी,
जब हम ना होंगे,
तब हमारी बातें होंगी,
कभी पलटो गे जिंदगी के ये पन्ने..
तो शायद आप की आँखों से भी बरसातें होंगी।



Dil Ka Rishta Hai Hamara,
Dil Ke Kone Mein Naam Hai Tumhara,
Har Yaad Mein Hai Chehra Tumhara,
Hum Sath Nahi To Kya Hua,
Zindagi Bhar Pyar Nibhane Ka Wada Hai Hamara.



Udas aankhon mein apani karaar dekha hai,
Pahali baar use beqaraar dekha hai,
Jise khabar na hoti thi mere aane jaane ki,
Uski aankhon mein ab intazaar dekha hai.

उदास आँखों में अपनी करार देखा है,
पहली बार उसे बेक़रार देखा है,
जिसे खबर ना होती थी मेरे आने जाने की,
उसकी आँखों में अब इंतज़ार देखा है।



Tu dil se na jaye to main k‍ya karu,
Tu kh‍yalon se na jaaye to main k‍ya karu,
Kehte hai khwabo mein hogi mulakat unase,
Par neend na aaye to main k‍ya karu.

तु दिल से ना जाये तो मैं क्‍या करू,
तु ख्‍यालों से ना जाये तो मैं क्‍या करू,
कहते है ख्‍वावों में होगी मुलाकात उनसे,
पर नींद न आये तो मैं क्‍या करू।



Aasmaan Hi Nahi Saare Sitare Bhi Humare Hain,
Aap Jo Akele Ho To Hum Aapke Sahare Hain,
Jis Pal Aap Hume Yaad Karte Ho,
Wo Lamhe Saare Jahan Se Pyare Hain.



Tere gam ko apni ruh me utar lu,
Jindagi teri chahat me sabar lu,
Mulakat ho tujhse es tarah,
Tamam umar bas ek mulakat me gujar lu.

तेरे गम को अपनी रूह में उतार लूँ,
जिन्दगी तेरी चाहत में सवार लूँ,
मुलाकात हो तुझ से कुछ इस तरह,
तमाम उमर बस इक मुलाकात में गुजार लूँ।



Bahut udas hai koi shakhs tere jane se,
ho sake to lout ke aaja kisi bahane se,
tu lakh khafaa ho par ek bar to dekh le,
koyi bikhar gaya hai tere rooth jane se.

बहुत उदास है कोई शख्स तेरे जाने से,
हो सके तो लौट के आजा किसी बहाने से,
तू लाख खफा हो पर एक बार तो देख ले,
कोई बिखर गया है तेरे रूठ जाने से।



Bhale Kitna Hi Door Ho Woh Humse,
Magar Dil Ke Kareeb Lagta Hai,


Woh Saath Tha Toh Har Shay Suhati Thi,
Bina Uske Sab Bhi Ajib Lagta Hai.



Dekho fir raat aa gai,
Good Night kahne ki bat yaad aa gai,
Hum baithe the sitaro ki panah mein,
Chand ko dekha to aap ki yaad aa gai.Good Night



Betaab se rehte hain teri yaad mein aksar,
Raat bhar nahi sote teri yaad mein aksar.Bedard zamaane ka bahana sa bana kar,
Hum toot ke rote hain teri yaad mein aksar.

बेताब सा रहते हैं तेरी याद में अक्सर,
रात भर नहीं सोते हैं तेरी याद में अक्सर,
जिस्म में दर्द का बहाना बना के,
हम टूट के रोते हैं तेरी याद में अक्सर।
 



Teri Yaadon Ke Deep Jal Uthate Hain,
Main Jab Bhi Kabhi Tanha Hota Hun,
Maine Rakhe Hain Aaj Bhi Sahej Kar,
Ashkon Se Tere Diye Jakham Dhota Hun.



Jahan yaad na aaye teri,
Woh tanhaai kis kaam ki.Bigde rishte na bane,
To khudaai kis kaam ki.Beshak apni manzil tak jana hai hamein,
Lekin jahaan se apne na dikhein,
Woh oonchaai kis kaam ki!



Aap Ki Dhadkan Se Hai Rishta Humara,
Aap Ki Saanso Se Hai Nata Humara,
Bhool Kar Bhi Kabhi Bhool Na Jana,
Aap Ki Yaado Ke Sahare Hai Jina Humara.

आपकी धड़कन से हैं रिश्ता हमारा,
आपकी साँसों से हैं नाता हमारा,
भूल कर भी कभी भूल न जाना,
आपकी यादों के सहारे हैं जीना हमारा!
 



Khwaish Ho Aapki,
Humne Yaad Kiya,
Jo Tohfa Tha Paas Mere,
Humne Tumhe Ada Kiya,
Pesh Karte Hain Yeh Chhota Sa Tohfa,
Aitraaz Na Ho Toh Kabool Farmana,
Yeh Thoda Sa Dhaar Hai Mere Dil Ka,
Har Saal Ki Tarah Ise Dil Mein Basana.



अंदाज-ऐ-प्यार तुम्हारी एक अदा है..
दूर हो हमसे तुम्हारी खता है..
दिल में बसी है एक प्यारी सी तस्वीर तुम्हारी..
जिस के नीचे ‘आई मिस यू’ लिखा है..



Kitne chehre hain is duniya meMagar humko ek chehra hi nazar aata hai,
Duniya ko hum kya dekhe,
Uski yadon me saara waqt guazar jaata hai.

कितने चेहरे हैं इस दुनिया में,
मगर हमको एक चेहरा ही नज़र आता है,
दुनिया को हम क्यों देखें,
उसकी याद में सारा वक़्त गुज़र जाता है।




Mujhe bhulaye kabhi yaad karke roye bhi,
Woh apne aap ko bikhraye aur piroye bhi,
Shumar hum na huye un chamkne walon meinBadan bhi malte rahe roj kapde dhoye bhi,
Bahut gubar bhara tha dilon mein dono keMagar woh ek hi bistar par raat siye bhi.



Hum Kaise Bataaye Ab Aapko Apni Bebasi,
Kyu Aapko Apne Dil Mein Basa Nahi Sakte,
Kyonki Jiski Yaadon Ke Sahaare Hum Zinda Hain,
Unki Yaadon Ko Hum Kabhi Bhula Nahi Sakte.



Nikli Mohabbat Ki Baat To Tum Yaad Aa Gaye,
Uthe Dil Mein Wo Zazbat To Tum Yaad Aa Gaye,
Garmi Ne Sukha Diya Tha Teri Yaadon Ko,
Hui Jab Pyaar Ki Barsat To Tum Yaad Aa Gaye.



Aankhon me rehne wale ko yaad nahi karte,
Dil me rehne wale ki baat nahi karte,
Hamari to RUUH me bas gaye ho aap,
Tabhi to milne ki FARIYAD nahi karte!



Unki Yaadon Ko Abhi Bhi Seene Mein Chhupaye Baitha Hun,
Haye Main Kis Zalim Se Dil Ko Lagaye Baitha Hun,
Inhi Raahon Se Aayenge Bhale He Baad Mere Marne Ke,
Kitna Nadan Hun Abhi Bhi Dil Ko Samjhaye Baitha Hun!



Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.



Mera Chain Chheen Liya Hai Tere Nain Ne,
Tadpu Bepanah Rahu Bechain Main,
Har Pal Main Tujh Par Jaan Nishar Karta Hun,
Tujhe Pata Nahi Kitna Main Pyar Karta Hun.



Tumhari palkon main bassa huwa ek khawb hoon,
Kahi adhura tutt kai bikhar na jaoon,
Tumhari ankhon mai jalakta hua ek anson hu,
Kahi beh kar raith mai mil na jau,
Tumhare dil mai bassa hua ek arman hu,
Kahi dharkan mai dabb kar kho ma jau,
Tumharae hothon pai bassi hua ek hassi hu,
Kahi kabi gam mai baddal na jau,
Tumhare labbo pai thirk ti hui ek kampkapi hu,
Kahi shoonay sai thirkna na bhul jau,
Mujhe hardam sinnae sai lagai rakhna tu,
Kahi judah ho kai duniya ki bhirr mai kho na jau,
Tumhare jism mai bassi hui ek ruh hu,
Kahi bichhur kai marr na jau!



Woh Shayad Isiliye Rahte Hain Door Humse,
Kyunki Unko Apne Husn Par Gurur Hoga,
Magar Yaad Rakhna Eh Dil Todne Waale,
Ki Tumko Iska Ehsaas Jaroor Hoga.



जब कोई ख्याल दिल से टकराता है!
दिल न चाह कर भी,
खामोश रह जाता है!
कोई सब कुछ कहकर,
प्यार जताता है!
कोई कुछ न कहकर भी,
सब बोल जाता है!


Jab koi khayal dil se takrata hai,
dil naa chaha ker bhi,
khamosh rah jata hai,
koi sab kuch keh ker pyar jatata hai,
koi kuch na kehker bhi,
sab bol jata hai!



Pyar Karta Hun Main Jinko Khuda,
Khush Rakhna Unhe Yeh Fariyad Karta Hun,
Bhale Hi Bhool Gaye Hon Woh Mujhko,
Magar Main Ahr Pal Unko Yaad Karta Hun.



Kash Hum Aapse Mil Paate,
Aapko Apne Gale Se Laga Paate,
Najare Tarasti Hai Aapke Didar Ko,
Kuch Pal Hi Sahi,
Par Kash Hum Aapki Sirf Ek Jalak Bhi Dekh Paate.



Kitne Armaano Ko Dafnaye Baitha Hun,
Kitne Zakhmo Ko Dabaye Baitha Hun,
Milna Muskil Hai Unse Is Daur Mein,
Phir Bhi Deedar Ki Aas Lagaye Baitha Hun.



Beete pal phir la nahi sakte,
Sukhe phul phir khila nahi sakte,
Kabhi kabhi lagta hai aap hume yaad nahi karte,
Par dil kehta hai aap hame bhula bhi nahi sakte..



Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
Pyaas bujhti bhi nahi barsaat guzar jate hai,
Aye jaanApni yadoon se kahoo ke na aaya karainNeend aati bhi nahi raat guzar jati hai..



Kaif Mein Duba Hua Hoon Aalam E Tanhayi Hai,
Phir Teri Yaad Dabe Paanv Chali Aayi Hai,
Shab E Taarik Pe Chhayi Huyi Ranayi Hai,
Yeh Teri Zulf Ke Saaye Hain Ke Parchhayi Hai,
Tere Deevane Ko Itna Bhi Ab Hosh Nahi,
Yeh Tera Aaghosh Hai Ya Ghausha E Tanhayi Hai.



Raat Ko Sapno Mein Dhundta Raha,
Na Mile Tum,
Magar Jab Dil Mein Dekha Toh Laga Paas Ho Tum,


Meri Aankhon Se Yeh Aansu Kyu Chhalak Rahe Hain,
Lagta Hai Aaj Fir Se Udaas Ho Tum.



Yeh Bhi Na Kah Paaye,
Ki Tumse Mohabbat Karte Hain,
Tumhare Liye Hi Jeete Hain,
Tumhare Liye Hi Marte Hain,
Kitni Mohabbat Karte Hain Yeh Toh Dil Hi Jaanta Hai,
Magar Na Kahenge Kisi Se,
Ki Akele Aahein Bharte Hain.



Fir Khamoshi Ne Saaj Chheda Hai,
Fir Khayalat Ne Lee Angdayi,
Kisliye Mahfil Sajayee Jaaye,
Pursukun Ho Gayi Hai Tanhayi,
Ek Se Ek Ghatna Huyi Lekin,
Na Gayi Tere Gham Ki Yatnayi,
Koi Shikwa Na Gham Na Koi Yaad,
Baithe Baithe Bas Aankh Bhar Aayi.



Chaand Sa Yeh Chehra Dekhne Ke Izazat De Do,
Mujhe Ye Shaam Sajane Ki Izazat De Do,
Mujhe Qaid Kar Lo Apne Ishq Mein Ya Fir,
Mujhe Ishq Karne Ki Izazat De Do.

Aankh kholu toh Chehra meri maa ka ho,
Aankh band ho to sapna meri maa ka ho,
Main marr bhi jau toh koyi gum nahi lekin,
Par Kaffan mile to dupatta meri maa ka ho.


Nikalo Apna Chaand sa Chehra..
Agosh-e-Bistar se..
Subha Taras Rahi HaiTera Deedar..
Karne Ko!



Khayal me aata hai jab us ka Chehra,
To labon pe aksar faryaad aati hai,
Hum bhool jate hai us k sare sitam,
Jab us ki thori si mohabbat yaad aati hai.


Aankho me teri hain mera ha Chehra,
Chaahe too ye maane ya na maane,
Teri mohabbat pe hai mera pehra,
Chaahe too ye maane ya na maane,
Tere liye main jate huye lamho ko mod lu,
Tere dhadkano ko chhu lu teraa jism odh lu.


Tera Chehra Jab Samne Aaya,
Mera Dil Dekh Tumko Muskuraya,
Shukr Karta Hu Ma Us Khuda Ka,
Jisne Mujhe Tujhse Milaya.


Toot kar reh gaya hai rishta apna,
Ek muddat hoi dekha nahi Chehra apna.


Madhhosh hum hardam raha karte hain,
Aur ilzaam sharaab ko diya karte hain,
Kasoor sharaab ka nahi unka hai yaron,
Jinka Chehra hum har jaam mein talaash kiya karte hain.


Na Jaane KaiseDard E Dil Chhupa Lete Hain Log,
Na Jaane KaiseGham Mein Bhi Muskura Lete Hain Log,
Meri Zindagi Toh Ek Khuli Kitab Hai,
Na Jaane KaiseChehre Par Chehra Chadha Lete Hain Log.



वो वक़्त वो लम्हे कुछ अजीब होंगे,
दुनिया में हम खुश नसीब होंगे,
दूर से जब इतना याद करते है आपको,
क्या होगा जब आप हमारे करीब होंगे!


Wo Waqt wo lamhe Kuch ajeeb Honge,
Duniya me hum khush Naseeb honge,
Door se jab Itna Yaad karte hai aapko,
Kya Hoga Jab aap humare Kareeb honge?



Yaadon Ke Bhanwar Mein Ek Pal Humara Ho,
Khilte Chaman Mein Ek Gul Humara Ho,
Aur Jab Yaad Kare Aap Apno Ko To Uss,
Yaad Mein Ek Naam Hamara Ho.



Har mulakat par waqt ka takaza hua,
Jab jab use dekha dil ka dard taza hua,
Suni thi sirf ghazal mein judai ki bate,
Ab khud par biti to haqiqat ka andza hua.

हर मुलाकात पर वक्त का तकाज़ा हुआ..
हर याद पे दिल का दर्द ताजा हुआ..
सुनी थी सिर्फ हमने गज़लों मे जुदाई की बातें..
अब खुद पे बीती तो हकीकत का अंदाजा हुआ..
!



Yaad karte hai tumhe tanhai mein,
Dil dooba hai ghamo ki gehrai mein,
Hume mat dhoodna duniya ki bhid mein,
Hum milenge tumhe tumhari parchaai mein.

याद करते है तुम्हे तनहाई में,
दिल डूबा है गमो की गहराई में,
हमें मत ढूंढना दुनिया की भीड़ में,
हम मिलेंगे में तुम्हे तुम्हारी परछाई में।



यादों मैं हमारी वो भी खोये होंगे,
खुली आँखों से कभी वो भी सोए होंगे,
माना हँसना है अदा ग़म छुपाने की,
पर हँसते-हस्ते कभी वो भी रोए होंगे.

Yaadon main hamari woh bhi khoye honge,
Khuli aankhon se kabhi woh bhi soye honge,
Mana hasna hai aada gam chupane ki,
Par haste-haste kabhi woh bhi roye honge.



Eh Sanam Tujhe Kabhi Meri Yaad Aaye,
Aur Milne Ko Dil Bekarar Ho Jaaye,


Toh Ek Baar Mera Naam Dil Se Pukarna,
Teri Khusi Ke Liye Hum Jannat Se Laut Aaye.



Woh Khwabo Mein Aakar Rulate Hain,
Hakikat Mein Na Aakar Tadpaate Hain,
Jinko Hum Samjhaya Karte The Kabhi,
Woh Log Aaj Humko Samjhate Hain.



Din Ho Bhale Hi Raat Ho,
Bas Yaad Teri Hi Aati Hai,


Kaise Kahu Ke Main Theek Hu,
Yeh Hardam Mujhko Rulati Hai,


Ab Toh Yaaro Khud Se Bhi,
Mujhko Wafa Ki Umeed Nahi,


Mohabbat Aisi Shaii Hai Yaaro,
Jise Sakte Kabhi Kharid Nahi.



Woh Bachpan Ki Baatein Woh Bachpan Ki Yaadein,
Hun Ko Hardam Bahut Hi Yaad Aati Hain,
Ab Toh Humko Bas Yeh Dekhna Hain Baaki,
Ki Yeh Zindagi Humko Kahan Lekar Jati Hai.



हस्ती मिट जाती है आशियाँ बनाने मे,
बहुत मुस्किल होती है अपनो को समझाने मे,
एक पल मे किसी को भुला ना देना,
ज़िंदगी लग जाती है किसी को अपना बनाने मे..


Hasti Mit jati hai Aashiya Banane Me,
Bahut Muskil hoti hai Aapno Ko Samjane Me,
Ek pal me Kisi Ko bhula na Dena,
Zindagi lag jati hai Kisi Ko Aapna Banane me.



Ek ajeeb dastan hai Mere afasane ki,
Maine pal pal koshish ki tere pas aane ki,
Kismat thi meri ya sazish jamane ki,
Dur huye itana jitani..
Umeed thi kareeb aane ki..
!


एक अजीब दास्तान है मेरे अफसाने की..
मैने पल पल कोशिश उसके की पास जाने की,
किस्मत थी मेरी या साजिश थी ज़माने की,
दूर हुई मुझसे इतना जितनी उमीद थी करीब आने की.



Main to apni tanhaiyo se tang aa karMahobbat ki talash me nikali thi..
!


Par..


Mujhe to mahobbat bhi aise mili jo aur tanha kar gai!



Kudarat ke karishme mein agar raat na hotiTo khawabo mein yun mulakaat na hotiHar rishte ki wajah ye dil hi haiAgar ye dil na hota to koi baat hi na hoti.



Har Yaado Main Usi Ki Yaad Rehti Hai,
Meri Ankho Ko Usi Ki Talash Rehti Hai,
Kuch Tum Be Dua Karo Yaro,
Dosto Ki Dua Mai Farishto Ki Faryad Hoti Hai.



Dil me aap ki yaaden ne kar liya hai makaam,
Umar bhar aapki yaad rahegi paigham,
Aap ki is dosti ne kar diya hame ghulam,
Are jaathe jaathe usthaadon lelo hamari salaam.



Kya ho agar aapka pyar aapse door chala jaye,
Phir naa kabhi wo zindagi me paas laut kar aaye,
Chhupke sabse chori se fir dil ye bahut rota hai,
Sach hai dosto kisi ko bhulana aasan nahi hota hai.



Aaya hi nahi humko aahista guzranaSishe ka mukkadar hai takra ke gujar jana,
Taron ki tarah shab ke seene mein utar janaAahat na ho kadmon ki is tarah gujar jana,
Nashe mein sambhlane ki ada yun hi nahi aayaIn julfo se sikha hai lahra ke sanvar jana,
Bhar jayenge aankho mein aanchal se bhare badalYaad aayega jab gul par shabnam ka bikhar jana,
Har mod par do aankhe humse yahi kahti hainJisa taraf bhi mumkin ho tum lout kar ghar jana.



Yaad ap ko kuchh is trah karte hain,
Ki ap ki yaado mein hi khoye rahte hain,
Kab gujar jati hain din aur rate,
Fir bhi ap ki khayalo me jagte hue hi soye rahte hain.



साथ अगर दोगे मुस्करायेंगे ज़रूर,
प्यार अगर दिल से करोगे तो निभाएंगे ज़रूर,
राह में कितने कांटे क्यू न हो,
आवाज़ अगर दिल से दोगे तो आएंगे ज़रूर.

Saath agar doge muskrayenge zarur,
Pyar agar dil se karoge to nibhayenge zarur,
Raah me kitne kante q na ho,
Awaz agar dil se doge to aayenge zarur.



Hamaare Toh Kuchh Hi Din Baaki Hain Zindagi Ke,
Aapki Yaadon Ke Sahaare Yeh Kat Hi Jaayenge,
Magar Itna Yaad Rakhna Eh Dagaa Karne Waalon,
Ki Aap Bhi Kisi Se Dhoka Jarur Khayenge.