Best Sad Shayari | अध्याय 2


Kuch Cheeze Hum Purani Chhod Aaye Hain,
Aate Aate Uski Ankho Me Pani Chod Aaye Hai,
Ye Aisa Dard Hain Jo Bayaa Ho Nahi Sakta,
Dil To Sath Le Aaye Par Dhadkan Chod Aaye Hai.



जहां भी देखा गम का साया,
तू ही तू मुझको याद आया,
ख्वाबों की कलियां जब टूटी,
ये गुलशन लगने लगा पराया,
दरिया जब-जब दिल से निकला,
एक समंदर आंखों में समाया,
मेरे दामन में कुछ तो देते,
यूं तो कुछ नहीं मांगा खुदाया|

Jahan Bhi Dekha Gam Ka Saya,
Tu Hi Tu Mujhko Yaad Aaya,
Khwabon Ki Kaliyan Jab Tooti,
Ye Gulshan Lagne Laga Paraya,
Daria Jab-Jab Dil Se Niklaa,
Ek Samandar Aankhon Me Samaya,
Mere Daaman Me Kuchh To Dete,
Yun To Kuchh Nahi Maanga Khudaya.



न पूछो हालत मेरी रूसवाई के बाद,
मंजिल खो गयी है मेरी,
जुदाई के बाद,
नजर को घेरती है हरपल घटा यादों की,
गुमनाम हो गया हूँ गम-ए-तन्हाई के बाद!

Na Pucho Haalat Meri Ruswaai Ke Baad,
Majil Kho Gai Hai Meri,
Judaai Ke Baad,
Najar Ko Gherti Hai Har Pal Ghata Yaado Ki..
Gumnaam Ho Gaya Hu Gam-E-Tanhai Ke Baad.



Chand Ko Dekhe Bagair Aapko Hamari Yaad Aati Nahi,
Akele Baithe Bagair Aapko Hamari Khayaal Aati Nahi,
Kya Aaj Itne Begaane Ho Gaye Hum,
Jo Koi Dard Dekhe Bagair Aapko Hamari Yaad Aati Nahi.



Haay Seene Se Lagaunga,
Bhool Ke Tujhe Main Mar Jaaunga,

Haai Main Mar Jaaunga,
Kiya Sadik Ka Tune Bura Haal,

Laga Ke Mehndi Mere Khoon Ki,
Haay Laga Ke Mehndi Mere Khoon Ki,

Gore Haath Tune Kar Liye Laal,
Laga Ke Mehndi Mere Khoon Ki,

Mere Ashkon Ka Na Mana Sawaal,
Laga Ke Mehndi Mere Khoon Ki.



Daulat Ko Lekar Main Kya Karun,
Mila Na Mujhko Pyar Kabhi,

Bas Itna Hi Jana Humne,
Bewafa Hain Yahan Toh Yaar Sabhi.



Gujarte Hai Meri Saanso Me Tera Naam Aaj Bhi,
Dhalti Hai Tere Intezar Me Meri Shaam Aaj Bhi

Tujko Mujh Se Bichde Zamana Ho Gaya,
Magar Hoti Hao Tere Naam Se Meri Pahchan Aaj Bhi.



तडप के देख किसी की चाहत मे,
तो पता चले के इंतज़ार क्या होता है,
यु मिल जाए अगर कोई बिना तडप के,
तो कैसे पता चले के प्यार क्या होता है…

Tadap K Dekh Kisi Ki Chahat Mein,
To Pata Chale Intzaar Kya Hota Hai,
Yu Mil Jaaye Agar Koi Bina Tadap Ke,
To Kaise Pata Chale Pyar Kya Hota Hai.



Main Is Liye Chhod Aaya Tha Woh Tera Sahar,
Ki Shayad Teri Yaad Na Fir Aayengi Mujh Ko,
Magar Kya Maalum Tha Ki Aisa Bhi Hoga Kabhi,
Pahle Se Bhi Jyada Yeh Tadpayengi Mujhko.



Kuch Cheezein Hum Purani Chhod Aaye,
Aate Aate Uski Aankhon Mein Paani Chhod Aaye,
Ye Aisa Dard Hai Jo Bayaan Ho Hi Nahi Sakta,
Dil To Saath Le Aaye Lekin Dhadkan Wahin Chhod Aaye.



Tut Jaye Khwab To Judne Ki Aash Kya Rakhna,
Palko Ke Bhigne Ka Hisab Kya Rakhna,
Bas Isliye Muskura Dete Hai Hum,
Ki Apni Udasi Se Kisi Ko Udas Kya Rakhna.



Pal Pal Uska Saath Nibhaate Hum,
Ek Ishare Pe Duniya Chhor Jate Hum,
Samundar K Beech Me Pohanch Kar Fareb Kiya Usne,
Woh Kehta To Kinare Peh Hi Doob Jate Hum.



Hamne Bhi Pyar Dekar Sanam Se Pyar Manga Tha,
So Bar Nahi Bas Ek Bar Iqrar Manga Tha,
Jab Giri Bijli Inqar Ki Hum Par Uske To Fir Se,
Khud Ki Numaish K Liye Gham Ka Darbar Manga Tha.



Chhod Do Tanhai Mein Mujhko Yaaro,
Saath Mere Rahkar Kya Paaoge,
Agar Ho Gayi Aapko Bhi Mohabbat Kabhi,
Meri Tarah Tum Bhi Pachhtaoge.



Koi Achi Si Saza Do Mujhko,
Chalo Aisa Karo Bhulla Do Mujhko,

Apne Dil Me Basi Tasvir Meri,
Aisa Karo Jala Do Usko,

Meri Wafa Pe Agar Shak Hai Tumko,
Tu Phir Nazar Se Gira Do Mujh Ko,

Muddat Hogai Hai Tere Hijr Me Jagte Howe,
Apni Sanso Ki Hararat Se Sula Do Mujhko,

Kuch Tu Taras Karo Apne Diwane Per,
Jaam Na Sahi Zeher Hi Pila Do Mujhko,

Tum Se Bichron Tu Mout Aa Jai Mujhko,
Dil Ki Gehrayon Se Aisi Dua Do Mujhko.



Ab Talak Hum Muntzir Hain Jinke,
Unko Hamara Khayal Tak Na Aaya,

Unke Pyaar Mein Hamari Jaan Tak Chali Gayi,
Aur Unko Hamari Maut Ka Malaal Tak Na Aaya.



Do Dilo Ki Dhadkano Me Ek Saaz Hota Hai,
Sab Ko Apni Apni Mohobbat Pe Naaz Hota Hai,
Us Me Se Har Ek Bewafa Nahi Hota,
Us Ki Bewafai Ke Peeche Bhi Koi Raaz Hota Hai.

दो दिलों की धड़कनों में एक साज़ होता है,
सबको अपनी-अपनी मोहब्बत पर नाज़ होता है,
उसमें से हर एक बेवफा नहीं होता,
उसकी बेवफ़ाई के पीछे भी कोई राज होता है!



Dekhte Hi Dekhte Yeh Zindagi Gujar Jaayegi,
Jo Ghadiya Beet Chuki Hain Dubara Nahi Aayengi,
Kah Toh Diya Ke Bhool Jaayenge Tum Ko,
Jaanta Hun Magar Unki Yaad Bahut Tadpayengi.



Jis Dost Ko Samjha Tha Apna,
Woh Dil Ko Mere Aaj Tod Gaya,

Khusiyon Mein Mere Jo Saath Tha,
Aaj Ghamon Mein Akela Chhod Gaya.



बेताब से रहते हैं उसकी याद में अक्सर,
रात भर नहीं सोते हैं उसकी याद में अक्सर,
जिस्म में दर्द का बहाना सा बना कर,
हम टूट कर रोते हैं उसकी याद में अक्सर।

Betaab Se Rehte Hain Teri Yaad Me Aksar,
Raat Bhar Nahi Sote Teri Yaad Me Aksar.


Bedard Zamane Ka Bahana Sa Bana Ke,
Hum Toot K Rote Hain Teri Yaad Me Aksar.



Kyu Teri Khamoshi Mujhe,
Khamosh Kar Jati Hai..

Kyu Teri Udasi Mujhe,
Udas Kar Jati Hai..

Kya Rishta Hai Tera Aur Mera,
Jab Bhi Teri Yaad Aati Hain,
Mujhe Tanha Kar Jati Hai…!



Kya Karein Hamari Fitrat Hi Aisi Hai,
Jo Har Kisi Se Pyar Kar Lete Hain,


Tabhi Toh Dokha Khate Hain Hum Yahan Par,
Jo Har Kisi Par Aitbaar Kar Lete Hain.



Na Jagte Huye Khwab Dekha Karo,
Na Chaho Use Jise Pa Na Sako,


Pyaar Kaha Kisika Pura Hota Hai,
Pyaar Ka Pehla Akshar Adhura Hota Hai.



Ek Nafrat Hi Hai Jise Duniya Chand Lamho Mein Jaan Leti Hai,
Warna Chahat Ka Yaqeen Dilane Mein To Zindagi Beet Jati Hai.



Zinda Hun Jab Tak Tu Aabad Rahegi,
Pyar Ki Woh Chand Mulakaten Hamesha Yaad Rahengi,
Udhar Tum Rahna Sanam Khushaal Hamesha,
Aur Idhar Zindagi Meri Barbaad Rahegi.



Din Ho Bhale Hi Raat Ho,
Bas Yaad Teri Hi Aati Hai,

Kaise Kahu Ke Main Theek Hu,
Yeh Hardam Mujhko Rulati Hai,

Ab Toh Yaaro Khud Se Bhi,
Mujhko Wafa Ki Umeed Nahi,

Mohabbat Aisi Shaii Hai Yaaro,
Jise Sakte Kabhi Kharid Nahi.



याद करते है तुम्हे तनहाई में,
दिल डूबा है गमो की गहराई में,
हमें मत धुन्ड़ना दुनिया की भीड़ में,
हम मिलेंगे में तुम्हे तुम्हारी परछाई में.

Yaad Karte Hai Tumhe Tanhai Mein,
Dil Dooba Hai Ghamo Ki Gehrai Mein,
Hume Mat Dhoodna Duniya Ki Bhid Mein,
Hum Milenge Tumhe Tumhari Parchaai Mein.



Kyun Banaya Mujhe Ae Banane Wale,
Bahut ‘Dard’ Dete Hai Ye Zamane Wale,
Maine Aag Ke Ujale Me Kuch Chehro Ko Dekha Hai,
Mere Apne Hi The Mere Ghar Ko Jalane Wale.



Mile Jo Agar Khuda Toh Puchhenga Use,
Ki Meri Kismat Ko Aisa Kyun Bana Diya,

Jhukna Pada Mujhe Har Chhote Bade Ke Saamne,
Itna Neeche Kyun Mujh Ko Gira Diya.



Jubaa Agar Ashkon Ki Samjho Toh,
Yeh Sab Kuchh Kah Jaate Hain Yaaro,
Dil Ke Bojh Ko Karte Hain Halka,
Khud Sabke Gham Sah Jaate Hain Yaaro.



Aap Toh Chalo Jaaoge Magar Kaise Jiyenge Hum,
Aapki Judai Ka Jahar Kaise Piyenge Hum,
Aap Bhale Hi Bhula Dena Mujko Ko Magar,
Na Bhule Se Bhi Kabhi Apne Gham Siyenge Hum.



Mana Aaj Unhe Hamara Koi Khayal Nahi,
Jawab Dene Ko Hum Razi He Par Koi Sawal Nahi,
Pucho Unke Dil Se Kya Hum Unke Yaar Nahi,
Kya Hamse Milne Ko Wo Bekarar Nahi

माना आज उन्हें हमारा कोई ख़याल नहीं,
जवाब देने को हम राज़ी है,
पर कोई सवाल नहीं!
पूछो उनके दिल से क्या हम उनके यार नहीं,
क्या हमसे मिलने को वो बेकरार नहीं!



Waqt Ka Koi Bhi Manjar Mujhe Ab Raas Ni Aata,
Behte Paani Se Ye Din Bhi Nikal Jayenge,
Guroor Raat Ka Tootega To Jaroor,
Magar Khwab Hajaar Humare Bhi Bikhar Jayenge.



Mat Kar Itni Muhobbat Aey Dil..
Pyar Ka Dard Seh Na Payega..
Toot Jayega Kisi Din Apno Ke Haathon Se..
Kisne Toda Yeh Bhi Kisi Se Keh Na Payega..



Mulakat Toh Huyi Thi Unse Ek Roj Magar,
Hum Haal E Dil Unko Apna Sunate Kaise,
Hamari Takdeer Mein Hi Likha Hai Rona Magar,
Unko Dikhakar Jakham Apne Hum Rulate Kaise.



Zaroori Toh Nahi Jo Khushi De Usi Se Pyar Ho..
Kyunki..
Sacchi Mohabbat Toh Aksar
Dil Todne Wale Se Hi Hoti Hai…!



Yeh Duniya Tum Ko Raash Aaye Toh Kahna,
Na Sar Pathar Se Takraye Toh Kahna,

Yeh Gull Kagaj Hain Yeh Jewar Hain Peetal,
Samajh Mein Jab Yeh Aa Jaye Toh Kahna,

Bahut Khus Ho Ke Usne Kuchh Kaha Hai,
Na Kahkar Woh Mukar Jaaye Toh Kahna,

Bahal Jaaoge Tum Gham Sun Kar Mere,
Kabhi Dil Gham Se Ghabraye Toh Kahna,

Dhuan Jo Kuchh Gharo Se Uthh Raha Hai,
Na Poore Sahar Par Chhaye Toh Kahna.



Mujhse Na Sahi,
Gairon Se Hi Sahi,
Tumhein Dil Ko Lagana Aa To Gaya,
Duniya Mein Kisi Ke Tum Ho To Gaye,
Chalo Tumhein Pyaar Nibhana Aa To Gaya.



हमसे पूछो क्या होता है पल पल बिताना,
बहुत मुश्किल होता है दिल को समझाना,
यार ज़िन्दगी तोह बीत जायेगी,
बस मुश्किल होता है कुछ लोगो को भूल पाना।

Humse Pucho Kya Hota Hai Pal Pal Bitana,
Bahut Mushkil Hota Hai Dil Ko Samjana,
Yaar Zindagi Toh Beet Jayegi,
Bus Mushkil Hota Hai Kuch Logo Ko Bhul Pana.



Saaye Ki Tarha Saath Rahne Wali,
Rista Kuchh Is Tarah Se Tod Gayi,

Hakikat Mein Milna Toh Mumkin Na Tha,
Khwabon Mein Aana Bhi Chhod Gayi.



Kambakht Ye Pyar Kyu Hota Hai,
Kis Vajah Se Dil Ye Rota Hai,
Na Jane Kya Chahta He Uper Wala Humse,
Jiski Chahat Hoti He Mujhe Dil Us Hi Ko Khota Hai.



Khamosh Chehre Pe Hazaro Pahre Hote Hain,
Hasti Huyi Aankho Me Zakhm Gahre Hote Hain,
Jinko,
Sada Ke Liye Bhool Jana Accha Samjhte Hain,
Shayad Unse Hi Dil Ke Rishte Gahre Hote Hain!

खामोश चेहरे पर हजार पहरे होते है,
हंसती आंखों में भी जख्म गहरे होते है,
जिनसे अक्सर रूठ जाते है हम,
असल में उनसे ही रिश्ते गहरे होते है!



Main Bhool Nahi Hoon Kisi Ko,
Mere Bahut Dost Hai Jammane Mein,
Bas Thodi Si Zindagi Uljhi Padi Hai,
Do Waqt Ki Roti Kamaane Mein.



Sab Matlab Se Nata Rakhte Hain,
Matlab Nikalte Hi Chhod Dete Hain,
Samjhate Hain Dil Ko Khilona Koi,
Khel Kar Fir Ise Tod Dete Hain.



Kahan Se Layein Hunar Use Manane Ka,
Koi Jawab Nahi Tha Uske Rooth Ke Chale Jane Ka,
Milni Thi Mujhe Hi Saza Is Mohabbat Mein,
Kyon Ki Juram Maine Hi Kiya Tha Us Se Dil Lagane Ka.



Khula Hai Dar Magar Tera Intezaar Jata Raha,
Pyar Toh Hai Magar Aitbaar Jata Raha,

Kisi Ki Aankh Mein Masti Toh Aaaj Bhi Wohi Hai,
Magar Kabhi Jo Hamein Tha Khumar Jata Raha,

Kabhi Jo Seene Mein Ek Aag Thi Woh Sard Huyi,
Kabhi Nigah Mein Jo Thi Chingari Jati Rahi.



Aag Suraj Mein Hoti Hai,
Jalna Dharti Ko Padta Hai,
Mohabbat Aankhen Karti Hain,
Tadapna Dil Ko Padta Hai.



Apne Aap Ko Toh Hum Samjha Lenge,
Magar Dil Mera Yeh Manta Hi Nahi,

Humne Toh Dekhi Hai Bewafayi Aapki,
Aap Bewafa Ho Dil Jaanta Hi Nahi.



Ab Toh Hansna Bhi Raaas Nahi Aata,
Hanste Hanste Bhi Aansu Chhalak Aate Hain,
Main Khud Nahi Jaanta ,
Kyun Mere Mola,
Mujhe Gham Hi Kyun Sada Itne Bhate Hain.



Woh Chahte Hain Hum Aabad Rahein,
Barbaadi Mein Bhi Kasar Nahi,

Har Dard Hans Ke Saha,
Phir Bhi Un Par Hua Asar Nahi.



हद से ज्यादा खुशी और हद से ज्यादा गम किसी को मत बताओ ॥
जिन्दगी में लोग हद से ज्यादा खुशी पर “नजर” और
हद से ज्यादा गम पर “नमक” जरूर लगाते हैं॥



Mat Karo Tum Vo Wada Jise Tum Nibha Na Sako,
Mat Chaho Tum Use Jise Tum Pa Na Sako,

Pyar Har Kisi Ka Kaha Pura Hota Hai,
Pyar Ka Pehla Akshar Hi Adhura Hota Hai.



आंसुओं की बूँदें हैं या आँखों की नमी है
न ऊपर आसमां है न नीचे ज़मी है

यह कैसा मोड़ है ज़िन्दगी का
उसी की ज़रूरत है और उसी की कमी है



Dil Ki Khwahish Ko Naam Kya Du,
Pyar Ka Use Paigam Kya Du,
Is Dil Me Dard Nahi Yaaden Hai Uski,
Ab Yaaden Hi Mujhe Dard De To Use Ilzam Kya Dun.



Majburi Mein Jab Koi Juda Hota Hai,
Zaruri Nahi Ke Wo Bewafa Hota Hai,
De Kar Wo Aapki Aankho Me Aansu,
Akele Me Aapse Bhi Zyada Rota Hai.



Ye Chahaten ..
Ye Ronaken ..
Paband Hai Mere Jeenay Tak ..
Binaa Rooh K Nahi Rakhte Ghar Waale Bhi Jism Ko..



Ab Wafa Se Mukar Gaya Hai Dil,
Ab Mohabbat Se Dar Gaya Hai Dil,

Ab Saharon Ki Baat Mat Karna,
Ab Dilason Se Bhar Gaya Hai Dil,

Jab Bulate The Zinda Dil The Hum,
Ab Na Aao Ke Marr Gaya Hai Dil.



Koi Pakar To Koi Khokar Juda Hota Hai,
Koi Hanskar To Koi Rokar Juda Hota Hai,
Magar Juda Hone Ka Dard Tab Hota Hai,
Jab Koi Kisi Ka Hokar Juda Hota Hai.



Kabhi Gam To Kabhi Tanhai Maar Gayi,
Kabhi Yaad Aa Kar Unaki Judai Maar Gayi,
Bahut Toot Kar Chaaha Jisako Hamane,
Aakhir Mein Unaki Hi Bbewafai Maar Gayi.

कभी ग़म तो कभी तन्हाई मार गयी,
कभी याद आ कर उनकी जुदाई मार गयी,
बहुत टूट कर चाहा जिसको हमने,
आखिर में उनकी ही बेवफाई मार गयी।



इंसानों के कंधे पर इंसान जा रहे हैं,
कफ़न में लिपट कर कुछ अरमान जा रहे हैं,
जिन्हें मिली मोहब्बत में बेवफ़ाई,
वफ़ा की तलाश में वो कब्रिस्तान जा रहे हैं।

Insan Ke Kandhe Par Insan Jaraha Hai,
Kafan Me Lipta Kar Kuch Arman Ja Rahe Hai,
Jinhe Mili Ho Mohabbat Me Bewafaai,
Wafa Ki Talash Me Wo Kabristan Ja Rahe Hai.



Ansuo Ki Likhawat Ko Padh Na Sakoge,
Gile Kagaz Pe Kuch Likh Na Sakoge,
Yaad Aayegi Tumko Hamari Baate,
Khokar Jab Tum Hume Pa Na Sakoge.



एक दिन हम भी कफ़न ओढ़ जाएँगे,
हर एक रिश्ता इस ज़मीन से तोड़े जाएँगे,
जितना जी चाहे सतालो यारो,
एक दिन रुलाते हुए सबको छोड़ जाएँगे,

Ek Din Hum Bhi Kafan Odh Jayenge,
Har Ek Rishta Is Zameen Se Tode Jayenge,
Jitna Ji Chahe Satalo Yaaro,
Ek Din Rulate Hue Sabko Chod Jayenge.



Aap Sanam Ko Ek Baar Mil Jaaiye,
Is Ki Mout Ke Aane Se Pahle,
Yeh Bhi Ek Baar Dekh Le Zindagi Apni,
Is Zindagi Ko Ganvane Se Pahle.



Dard Mein Is Dil Ko Tadapte Dekha,
Apne Samne Har Rishte Ko Bikharte Dekha,
Kitne Pyaar Se Sajai Thi Khwabon Ki Duniya,
Use Apni Aankon Ke Samne Ujadte Hue Dekha.



Bhahut Roya Tha Jab Mera Janam Hua Tha,
Aur Hans Rahi Thi Ye Duniya,
Magar Doston Ek Din Badala Lunga,
Hansta Hua Jaunga Aur Royegi Ye Duniya.



Oh Hote Nahi Phir Bhi Unke Hone Ka Bharam Hota Hai,
Ye Dile Nadan Yah Kya Karam Hota Hai


agar Mile Oh Ghari Bhar Ke Liye Humse,
To Yeh Unka Hum Pe Raham Hota Hai,


Unke Milne Ki Khushi To Hoti Hai,
Par Mil Ke Bichhar Jane Ka Gaam Hota Hai,


Oh Hote Nahi Phir Bhi Unke Hone Ka Bharam Hota Hai,
Ye Dile Nadan Yeh Kya Karam Hota Hai.



Hum To Tere Dil Ki Mahfil Sajane Aye The,
Teri Kasam Tujhy Apna Banany Aye The.


Kis Baat Ki Sazaa Di Tu Ne Ham Ko,
Bewafa Hum To Tere Dard Ko Apnane Aye The…



Hum Me Tu Abhi Bhi Thoda Baki Hai,
Aankhon Me Najar Aate Aansu Hai,


Hoton Pe Teri Hasi Ki Jhanki Hai,
Tu Chhod Gaya Dil Tod Gaya..


Hum Ji Rahe Hai Ki..
Hum Me Thodi Mohabbat Abhi Baki Hai !



Ab Tak Taaza Hai Zakham Seene Mein,
Bin Tere Kya Rakha Hai Jeene Mein,


Hamein Toh Sanam Tera Sahara Chahiye,
Warna Der Nahi Hai Zahar Peene Mein.



दिल थाम कर जाते हैं हम राहे-वफा से
खौफ लगता है हमें तेरी आंखों की खता से

जितना भी मुनासिब था हमने सहा हुजूर
अब दर्द भी लुट जाए तुम्हारी दुआ से

हम तो बुरे नहीं हैं तो अच्छे ही कहां हैं
दुश्मन से जा मिले हैं मुहब्बत के गुमां से

वो दफ्न ही कर देते आगोश में हमें लेकर
ये मौत भी बेहतर है जुदाई की सजा से



हमें न मोहब्बत मिली न प्यार मिला,
हम को जो भी मिला बेवफा यार मिला,
अपनी तो बन गई तमाशा ज़िन्दगी,
हर कोई अपने मकसद का तलबगार मिला|

Hamain Na Mohabbat Mili Na Pyar Mila,
Hum Ko Jo Bhi Mila Bewafa Yaar Mila,
Apni To Ban Gai Tamasha Zindagi,
Har Koi Apny Maqsad Ka Talabgar Mila.



Main Toh Yeh Bhi Nahi Kah Sakta,
Ki Is Mein Galti Mere Yaar Ki Hai,
Bewafa Bhi Usko Main Kahun Kaise,
Kyun Ki Toheen Yeh Mere Pyar Ki Hai.



Zindgi Mein Pehle Hi Itna Gum Samet Liya He Yaaron,
Ab Aur Aasuon Ki Jagah Baaki Kahan Hai,
Hum To Apni Saanse Sambhal K Baithe The Bas,
Par Kambakth Es Duniya Ko Hi Chain Kaha Hai…



Fat Jata Hai Kaleja Yeh Sochkar,
Ke Aap Humse Kyu Juda Ho Gaye,

Yeh Samajh Nahi Aaya Aaj Talak,
Kyu Aap Humse Yun Khafa Ho Gaye.



Zindagi Ke Safar Ko Lafzon Me Piroya Hai,
Apni Har Ghazal Ko Dard Me Bhigoya Hai.


Plz Aaj Wah Wah Na Kehna…
Qkiaaj Fir Ye Dil Kisi Ki Yaad Me Roya Hai.



Agar Mujhse Mohabat Nahi To Rote Q Ho,
Tanhai Mein Mere Bare Me Sochte Q Ho,

Agar Manzil Judai Hai To Jane Do Mujhe,
Lot K Kab Aoge Puchte Q Ho.



Sanam Tujhse Ki Thi Mohabbat Humne,
Tum Samjhe Nahi Yeh Alag Baat Hai,

Magar Kaise Main Kahun Ke Hun Tanha,
Teri Yaadon Ka Kaafila Aaj Bhi Saath Hai.



Bahut Faltu Se Lagte Hai Mujhe Ab Yaar K Kisse,
Gul-O-Guljar Ki Baate Lab-O-Rukhsar K Kisse.

Yaha Sab K Muqaddar Me Fakat Zakhm-E-Judayi Hai,
Sab Hi Jhoote Fasane Hain Wisal E Yaar Ke Kisse,

Bhala Ishq-O-Mohabbat Se Kisi Ka Pet Bhara H Kabi,
Suno Tum Ko Sunata Hu Main Kaar-O-Baar K Kisse,

Mere Ehbaab Kehte H Yehi Ek Aib Hai Mujhme,
Sar-E-Dewaar Likhta Hu Pas-E-Dewaar Se Kisse,

Main Aksar Esliye Logo Se Ja K Khud Nahi Milta,
Wahi Roz Ki Bekaar Ki Baate,
Wahi Beekar Ke Kisse.



Ek Dard Hai Jo Dil Se Jaata Nahi,
Yahi Wajah Hai Ki Hamain Teri Yaad Aati Hai,
Lo Subah Aa Gayi,
Tu Raatbhar Rulaati Rahi,
Bekhudi Mein Hi Ye Raat Bhi Kat Jaati Hai.Good Morning

एक दर्द है जो दिल से जाता नहीं,
यही वजह है कि हमें तेरी याद आती है,
लो सुबह आ गई,
तू रातभर रुलाती रही,
बेखुदी में ही ये रात भी कट जाती है!
सुप्रभात



Ankhe Ro Padi Unka Na Koi Peigam Aaya,
Chale Gaye Hame Akela Chod K Ye Kaisa Mukam Aaya,
Meri Tanhai Muskara Ke Mujhse Boli,
Bata Mere Siva Koun Tere Kaam Aaya.



Dard Bahut Huya Dil Ke Toot Jane Se,
Kuch Na Mila Unke Liye Ansu Bahane Se,
Wo Jante The Vajeh Mere Dard Ki,
Fir Bhi Baaz Na Aye Wo Mujko Azmane Se.



Wo Aayi Nahi Kabhi Mujhe Yaad Karke,
Wo Gayi Jab Bhi Mujhe Barbaad Karke,
Agar Wo Aaye Meri Maut Pe To Use Keh Dena,
Abhi Soya Hai Tujhe Yaad Karke.



Aaj Tak Hai Uske Lout Aane Ki Umeed,
Aaj Tak Thehri Hai Jindagi Usi Jageh,
Laakh Ye Chaha Ki Usko Bhul Jaayun,
Hosla Apni Jageh Bebasi Apni Jageh.

आज तक है उसके लौट आने की उम्मीद,
आज तक ठहरी है ज़िंदगी अपनी जगह,
लाख ये चाहा कि उसे भूल जाये पर,
हौंसले अपनी जगह बेबसी अपनी जगह।



मिट्टी मेरी कब्र से चुरा रहा है कोई,
मर कर मेरे दिल बहुत याद आ रहा है कोई,
एक पल की ज़िन्दगी और देदे ऐ खुदा,
मायूस मेरी कब्र से जा रहा है कोई|

Mitti Meri Kabar Se Chura Raha Hai Koi,
Markar Bhi Dil Ko Bahut Yaad Aa Raha Hai Koi,
Ik Pal Ki Jindgi Or Dede Ae Khuda,
Maayuse Meri Kabar Se Ja Rahi Hai Koi.



Dil Tutega To Fariyad Karoge Tum Bhi,
Ham Na Rahe To Hame Yad Karoge Tum Bhi.


Aaj Kehte Ho Hamare Paas Waqt Nahi,
Par Ek Din Mere Liye Waqt Barbad Karoge Tum Bhi.

दिल टूटेगा तो फरियाद करोगे तुम भी,
हम न रहे तो हमने याद करोगे तुम भी,
आज कहते हो हमारे पास वक़्त नहीं हैं,
पर एक दिन मेरे लिए वक़्त बर्बाद करोगे तुम भी।



Ishq Ki Taqat Ko Kam Na Samajh Naasamajh,
Ishq Ko Gaali Dekar Kamjor Na Kar,
Ishq To Vo Toofaan Hai,
Jo Kisi Anpadh Ko Bhi Bana De Shayar…



Bheed Hogi Sahar Ke Har Ek Mod Par,
Mujhe Toh Soona Sa Yeh Sahar Lagta Hai,

Main Jee Raha Hun Zinda Laash Ki Tarah,
Unke Bina Har Ek Pal Kahar Lagta Hai.



Jo Vaada Kiya Usne Humse,
Dekhna Nibha Kar Dikhayenge Hum,

Na Naam Uska Aayega Hoton Par,
Magar Bhula Bhi Na Paayenge Hum.



Raat Ki Tanhai Mein Akele The Hum,
Dard Ki Mehfilon Mein Ro Rahe The Hum,


Aap Hamare Bhale Hi Kuch Nahi Lagte,
Par Fir Bhi Aapke Bina Bilkul Adhoore Hain Hum.

Akele Chalte Chalte Yahan Thak Chuke Hain Hum,
Ab Humko Bhi Kisi Ka Sahara Chahiye,


Aur Ghamon Ka Bojh Hum Utha Nahi Sakte,
Ab Ghamon Ke Sagar Ka Kinara Chahiye.

Muddat Se Akele The Hum,
Ek Zamane Ke Baad Kisi Ka Milna Achha Laga..


Sagar Se Gehri Lagi Apki Dosti,
Tairna Aata Tha Par Doob Jana Achha Laga..

Zindagi Ke Zehar Ko Yu Has Ke Pi Rahe Hai,
Tere Pyar Bina Yu Hi Zindagi Jee Rahe Hai,


Akelepan Se Ab Darr Nahi Lagta Hame,
Tere Jaane Ke Baad Yu Hi Akele Jee Rahe Hai !

Zindagi Ki Raahon Par Kabhi Yu Bhi Hota Hai,
Insaan Khud Ro Padta Hai Akele Mein,
Kisi Ko Hausla Dene Ke Baad..

Hum Wo Teer Hai Jo Himalaya Ko Cheer Kar,
Apna Rasta Badal Sakte Hai,


Koi Saath Hamara De Ya Na,
Hum Akele Hi Duniya Hila Skate Hai.

Paas Aakar Sabhi Door Chaley Jate Hain,
Akeley They Hum,
Akeley Hi Reh Jate Hai,


Hum Apney Dil Ka Dard Kisey Dikhaye,
Marhum Lagane Wale Hi Zakhm De Jate Hai.

Na Jeene Ki Khushi Na Marne Ka Gham,
Unse Milne Ki Dua Bhi Nahin Karte Hum,


Jeete Hain Isliye Ke Shayad Woh Ek Din Aayenge,
Marte Isliye Nahin Ki Wo Akele Reh Jaayenge.

Woh Jamana Gujar Gaya Kab Ka,
Tha Jo Deevana Mar Gaya Kab Ka,
Dhundhta Tha Jo Ek Nayi Duniya,
Lotke Apne Ghar Gaya Kab Ka,
Woh Jo Laya Tha Humko Dariya Tak,
Par Akele Utar Gaya Kab Ka,
Uska Jo Haal Hai Wohi Jaane,
Apna Toh Jakham Bhar Gaya Kab Ka,
Khwab Dar Khwab Tha Jo Tana Bana,
Ab Kahan Hai Bikhar Gaya Kab Ka.

Yahi Talak Tha Saathhamara Aur Tumhara Sanam,
Aaj Fir Ek Baarakele Pad Gayein Hain Hum,
Khud Hi Aakar Let Gaye Hainhum Apni Kabar Mein,
Kyuki Apni Zindagi Seaaj Dar Gaye Hain Hum.



Tere Sahar Tera Naam Kyu Teri Baatein Yaad Rakhun,
Jo Hamne Ki Thi Tumse Kyu Mulakatein Yaad Rakhu,
Dil Ko Mere Todkar Ghamon Ka Sagar Hai Diya,
Jo Saath Thi Gujari Kyun Barsaatein Yaad Rakhun.



Aaj Phir Kisi Yaad Ne,
Raat Bhar Hai Jagaya Mujhko,
Kya Saza Di Hai,
Mohabat Ne Khudaya Mujh Ko,
Din Ko Aaram Hai Na,
Raat Ko Hai Chain Kabhi,
Jane Kis Khaak Se,
Kudrat Ne Banaya Mujhko..



Tamanna Jo Puri Ho Khwabon Mein,
Haqikat Ban Jaye To Kya Baat Hai,
Kuch Log Matlab Ke Liye Dhundte Hai Mujhe,
Bin Matlab Koi Aye To Kya Baat Hai.



अब ये न पूछना की..
ये अल्फ़ाज़ कहाँ सेलाता हूँ,
कुछ चुराता हूँ दर्द दूसरों के,
कुछ अपनी सुनाता हूँ|



Aapko Bhulane Ki Koshish Kar Raha Hun,
Varna Baad Mein Mujhko Hi Gham Rahega,
Aapko Toh Laakhon Hai Sahare Duniya Ke,
Baad Aapke Hamein Apna Kon Kahega.



Chup Kar Kahi Kisi Aur Se Dosti Nahi Ki,
Mene Kiya Tha Pyar ..
Pyar Ka Karja Chuka Diya,
Logo Ne Poochha Jab Udasi Ka Sabab

to Kore Kagaj Par Toota Hua Dil Bana Diya



Hum Pyar Aapse Karte Hain Dil O Jaan Se Sanam,
Is Baat Ka Aapko Aitbaar Kyu Nahi Aata,
Na Jaane Kaisa Pather Hai Yeh Dil Bhi Aapka,
Aap Ko Hum Par Kabhi Bhi Pyar Kyu Nahi Hota.



ज़िन्दगी मिलती हैं एक बार
मौत आती हैं एक बार
दोस्ती होती हैं एक बार
प्यार होता हैं एक बार
दिल टूटता हैं एक बार
जब सब कुछ होता हैं एक बार
तो फिर आपकी याद क्यों आती हैं बार बार!

Zindagi Milti Hai Ek Bar,
Maut Aati Hai Ek Bar,
Pyar Hota Hai Ek Bar,
Dil Toot Tha Hai Ek Bar,
Jab Sab Hota Hai Ek Bar,
To Fir Tumhari Yaad Kyun Aati Hai Bar Bar!



Shaam Utri Zindagi Gaane Lagi,
Maut Ko Fir Neend Aane Lagi,
Fir Kisi Ki Yaad Ka Dipak Jala,
Aur Andheri Raat Muskurane Lagi.



Zindagi Ke Safar Ki Manzil Hai Maut,
Milti Hai Zindagi Toh Aati Hain Maut,
Hasna Hai Zindagi Toh Rona Hain Maut,
Chalna H Zindagi To Rukna Hain Maut,
Har Aashiq Ki Zindagi Ki Manzil Hain Maut.



Zindagi Deti Nahi Saath Hamara,
Fir Bhi Jeene Ki Aas Kyu Hai,

Mere Moula Bata De Jara Itna,
Itne Gham Mere Paas Kyu Hai.



Tag:
Sad Shayari, Shayari, Sad Shayari Status, Sad Shayari Whatsapp Status, Love Shayari, Tik Tok Sad Shayari, Hindi Shayari, Sad Poetry, Sad Shayari In Hindi, Heart Touching Shayari, New Shayari, Tik Tok Shayari, Sad Shadi Shayari, Sad Shayari Urdu, Urdu Sad Shayari, 2 Line Sad Shayari, Shayari Status, Sad Shayari On Love, Sad Shayari To Line, Tiktok Sad Shayari, Nepali Sad Shayari, Gf Shadi Shayari, Shayari Sad, Hindi Shayri