Best Dard Shayari | अध्याय 2

Best Dard Shayari 


Teri Yaadon Ke Sahare Duniya Mein Rah Lete Hai,
Teri Juddai Ka Gam Chupchap Sah Lete Hai,

Samjhaya Dilko Yeh Raaz Chupana Hai,
Par Aansu Banke Wo Sab Kah Dete Hai.



Tu Bhi Hai Sangdil Bewafa Eh Dost,
Yeh Sochkar Dil Ghabrata Hai,

Ab Karun Bhi Kya Ke Bin Tere,
Mujh Se Jiya Nahi Jata Hai.



Woh Hum Se Rooth Gaye,
Ya Aisa Dikhana Chahte Hain,

Woh Humein Bhul Gaye,
Ya Aise Bhulana Chahte Hain,


Lete Hain Khabar Na Meri Kabhi,
Or Na Kabhi Apni Khabar Batana Chahte Hain.



Koi Toh Hota Jo Samjhata Mujhko,
Ki Yahan Kisi Se Na Pyar Karna Chahiye,

Koi Bhi Nahi Banta Kisi Ka Apna,
Yahan Kisi Par Na Aitbaar Karna Chahiye.



Tu Jab Mujh Se Juda Ho Gayi,
Zindagi Meri Mujhko Saja Ho Gayi,


Teri Wafayi Par Mujhko Bada Naaj Tha,
Sandil Aaj Tu Bhi Bewafa Ho Gayi.



Jis Dost Ko Samjha Tha Apna,
Woh Dil Ko Mere Aaj Tod Gaya,


Khusiyon Mein Mere Jo Saath Tha,
Aaj Ghamon Mein Akela Chhod Gaya.



Bazaron Ki Chahal Pahal Se Roshan Hai
in Aankhon Mein Mandir Jaisi Sham Kahan,

Main Usko Pahchan Nahi Paya Toh Kya

yaad Use Bhi Aaya Mera Naam Kahan,

Din Bhar Suraj Kiska Pichha Karta Hai

roj Pahadi Par Jati Hai Sham Kahan,

Logo Ko Suraj Ka Dhoka Hota Hai

aansu Bankar Chamka Mera Naam Kahan,

Dalano Ki Dhoop Chhaton Ki Sham Kahan

ghar Ke Bahar Ghar Jaisa Aaram Kahan.


Saja Sajaya Mera Gahr Kabhi Kabhi Khandar Sa Najar Aata Hai,
Farishto Ki Jubaan Me Bhi Kabhi Jaher Sa Najar Aata Hai,


Tut Jate Hain Sapne Aksar Palkon Se Hakikat Ke Safar Mein,
Jeevan Ka Ye Daur Ab Toh Mujhey Ek Kehar Sa Najar Aata Hai.



Mile Jo Agar Khuda Toh Puchhenga Use,
Ki Meri Kismat Ko Aisa Kyun Bana Diya,


Jhukna Pada Mujhe Har Chhote Bade Ke Saamne,
Itna Neeche Kyun Mujh Ko Gira Diya.



मैंने जिन्दगी से पूछा..
सबको इतना दर्द क्यों देती हो ?

जिन्दगी ने हंसकर जवाब दिया..

मैं तो सबको ख़ुशी ही देती हु,
पर एक की ख़ुशी दुसरे का दर्द बन जाती है !


Mainne Jindagee Se Poochha..
Sabako Itana Dard Kyon Detee Ho ?


Jindagee Ne Hansakar Javaab Diya..
Main To Sabako Khushee Hee Detee Hu,
Par Ek Kee Khushee Dusare Ka Dard Ban Jaatee Hai !



खामोश बैठें तो लोग कहते हैंउदासी अच्छी नहीं,
ज़रा सा हँस लें तोमुस्कुराने की वजह पूछ लेते हैं !


Khamosh Baithe Toh Log Kehte Hai..
Udaasi Acchi Nahi,
Zara Sa Hans Le Tohlog Muskuraane Ki Wajah Pooch Lete Hain..



Ankhe Ro Padi Unka Na Koi Peigam Aaya,
Chale Gaye Hame Akela Chod K Ye Kaisa Mukam Aaya,


Meri Tanhai Muskara Ke Mujhse Boli,
Bata Mere Siva Koun Tere Kaam Aaya.



Saaye Ne Saath Chhod Diya Yaar Ne Dil Tod Diya,
Ab Toh Khuda Bhi Mere Khilaf Ho Gaya,


Jo Pyar Ka Chirag Jalaya Tha Maine,
Usi Chiraag Se Jalkar Main Khak Ho Gaya.



Shaam Utri Zindagi Gaane Lagi,
Maut Ko Fir Neend Aane Lagi,


Fir Kisi Ki Yaad Ka Dipak Jala,
Aur Andheri Raat Muskurane Lagi.



Bheed Hogi Sahar Ke Har Ek Mod Par,
Mujhe Toh Soona Sa Yeh Sahar Lagta Hai,


Main Jee Raha Hun Zinda Laash Ki Tarah,
Unke Bina Har Ek Pal Kahar Lagta Hai.



Kyu Insan Hasta He Rone K Baad,
Jeena Fir Bhi Padta He Sab Kuch Khone K Baad,


Socha Aaj Sabko Yaad Kar Lu,
Kya Pata Aankh Hi Na Khule Aaj Sone K Baad.



Kehte Hai Gam Baatne Se Hota Hai Kam,
Aisa Hi Kabhi Pele Maante The Hum,


Tere Pyar Ki Nishani Tera Gam Hi To Hai Mere Paas,
Wo Bhi Baatdu To Rahega Kya Mere Paas,


Sochta Hoon In Sagar Ki Lehro Ko Dekh Kar,
Kyon Yeh Kinaro Se Takra Kar Palat Jati Hai,


Karti Hai Vo Kinare Se Bewafai Ya Fir Sagar Se Wafa Nibhati Hai.



Ek Dil Mere Dil Ko Zakhm De Gaya,
Zindagi Bhar Jeene Ki Kasam De Gaya,


Lakho Phoolon Me Se Ek Phool Chuna Hmne,
Jo Kaanto Se Gehri Chubhan De Gaya.



Nibhaoge Tum Kasmein Yeh Wada Na Karo,
Mohabbat Humse Itni Jyada Na Karo,


Dekhe Hain Maine Bhi Daur Tabahi Ke,
Aur Hamein Sataane Ka Irada Na Karo.



Mohabbat Ada Hai Uski ..
Aur Mera Emaan Hai,


Usi Ke Dil Me Nahi Hum..
Jo Hamari Jaan Hai.



Jinko Chaha Tha Humne Apna Banana,
Na Jaane Kyun Woh Humse Door Ho Gaye,


Hamne Socha Tha Bitaayenge Zindagi Hanskar,
Magar Ghamon Ko Apnaane Par Majboor Ho Gaye.



Sab Kuchh Apna Ganvakar Socha,
Kya Humne Yahan Paya Hai,


Meri Wajah Se Woh Toh Khush Hai,
Yeh Soch Kar Dil Bahlaya Hai.



Zaruri To Nahi Jine Ke Liye Sahara Ho,
Zaruri To Nahi Hum Jinke Hai Who Humara Ho,


Kuch Kashtiya Doob Bhi Jaya Karti Hai,
Zaruri To Nahi Har Kashti Ka Kinara Ho.



Yeh Meri Thi Tamanna Koi Mera Bhi Yaar Hota,
Jisko Mere Har Ek Gham Ka Ehsaas Hota,


Jo Rahta Hamesha Mere Sukh Dukh Ka Saathi,
Kaash Mere Bhi Koi Itna Paas Hota.



Khyalon Mein Wahi,
Sapno Mein Wahi,
Lekin Unki Yaadon Mein Hum The Hi Nahi,


Hum Jaagte Rahe Duniya Soti Rahi,
Ek Baarish Hi Thi,
Jo Humare Sath Roti Rahi.



Zindagi Ki Aandhi Mein Jahan Ka Ped Tanha,
Tumse Kuchh Sahar Tha Aaj Hu Magar Tanha,


Tum Fijul Baaton Ka Dil Par Bojh Mat Lena,
Hum Toh Khair Kar Lenge Zindagi Basar Tanha,


Ek Khilona Jogi Se Kho Gaya Tha Bachpan Mein,
Dhundhata Fir Ausko Woh Nagar Nagar Tanha,


Jhutpute Ka Aalam Hai Jaane Koun Aadam Hai,
Ik Kabr Par Rota Hai Muh Ko Dhanpkar Tanha,


Jakham Ghayal Lamhon Ko Niti Sambhale Hai,
Anginat Marijon Mein Ek Doctor Tanha.



वादा करके वो निभाना भूल जाते हैं,
लगा कर आग फिर वो बुझाना भूल जाते हैं,


ऐसी आदत हो गयी है अब तो उस हरजाई की,
रुलाते तो हैं मगर मनाना भूल जाते हैं।


Vaada Karake Vo Nibhaana Bhool Jaate Hain,
Laga Kar Aag Phir Vo Bujhaana Bhool Jaate Hain,


Aisee Aadat Ho Gayee Hai Ab To Us Harajaee Kee,
Rulaate To Hain Magar Manaana Bhool Jaate Hain.



Kisko Farebi Hum Kahein Kisko Kahein Hum Bewafa,
Kismat Hi Shayad Aisi Likha Kar Laaye Hain Hum,


Aaj Wakif Hai Yaaro Hamse Sahar Ka Har Ek Aadmi,
Magar Apno Ke Liye Hi Dekhiye Paraye Hain Hum.



Khafa Hokar Humse Fir Maan Jana,
Yahi Ada Toh Humko Bahut Bhati Hai,


Baaki Toh Sabkuchh Bhool Chuke Hain Hum,
Magar Sagar Woh Bewafa Bahut Yaad Aati Hai.



Nibha Sakata Hun Main Tamaam Umar Sath Tera,
Magar Apni Zindagi Par Visvaas Nahi,


Mere Marne Par Bhi Rahogi Tum Paas Mere,
Magar Honge Us Waqt Hum Tumhare Sath Nahi.



Wo Roye To Bohat Par Mujhse Monh Morr Kar Roye,
Koi Majburi Hogi Jo Dil Torr Kr Roye,


Mere Samne Kar Diye Meri Tasveer K Tukray,
Pata Laga Mere Peeche Wo Unhe Jorr Kar Roye.



Apne Aap Ko Toh Hum Samjha Lenge,
Magar Dil Mera Yeh Manta Hi Nahi,


Humne Toh Dekhi Hai Bewafayi Aapki,
Aap Bewafa Ho Dil Jaanta Hi Nahi.



Baad Aapke Samjhata Hai Kon Mujhe,
Mera Dard Badhane Lage Hain Yeh Log,


Kiske Kandhe Rakhkar Sar Main Roun,
Har Pal Hi Rulane Lage Hain Yeh Log.



Lafz Ki Shakal Mein Ehsaas Likha Jata Hai,
Yahan Pani Ko Bhi Pyaas Likha Jata Hai,


Mere Jazbaat Se Waqif Hai Meri Kalam,
Main Pyar Likhun To Us Bewafa Ka Naam Likha Jata Hai



Aarzu Thi Unki Bahon Main Mera Dum Nikle..
Kasur Unka Nahi Badnaseeb Hum Nikle..


Jahan Bhi Jaye Khush Rahe Wo Sada..
Dil Se Mere Dua Sada Yahi Nikle..


Mere Hoto Ki Hasi Unke Hoto Se Nikle..
Unke Gham Ka Dariya Meri Ankho Se Nikle..
Ye Zindagi Sada Unhe Hasati Hue Nikle..



Afsos Hai Hamein Us Ghadi Ka,
Jab Tumse Dil Laga Baithe,


Tere Pyar Ki Khatir Eh Sandil,
Hum Apni Har Khusi Ganva Baithe,


Agar Tujhe Bhulana Aasan Hota,
Toh Kab Ke Bhula Dete,


Agar Mere Dil Mein Tera Naam Na Hota,
Toh Kab Ka Is Dil Ko Jala Dete.



Mana Hum Aapke Kaabil Nahi,
Samne Hokar Bhi Nazar Aati Manzil Nahi,


Ghame Apne Pyar Mein Tadapne Se,
Hoga Sanam Kuchh Bhi Hashil Nahi.



Eh Mout Jara Thahar Ja,
Jara Sa Ruk Ja Tu,
Intezaar Hai Unka,
Jinki Amanat Hai Zindagi,


Jara Unse Rukhsat Le Lene De,
Fir Le Chalna,
Yeh Jaruri Hai,
Unhi Ki Badolat Hai Zindagi.



Hum Kaise Bhulaye Unko Bhala,
Jo Dil Mein Hamare Rahte Hain,


Jab Unko Apna Samjhte Hain,
Fir Woh Kyu Begana Kahte Hain.



जिसने भी की मुहब्बत,
रोया जरूर होगा।

वो याद में किसी के खोया जरूर होगा।

दिवार के सहारे,
घुटनों में सिर छिपाकर ,
वो ख्याल में किसी के खोया जरुर होगा।


आँखों में आंसुओ के,
आने के बाद उसने,
धीरे से उसको उसने,
पोंछा जरुर होगा।


जिसने भी की मुहब्बत,
रोया जरूर होगा।



Raaste Chalna Hamein Hain Sikhate,
Hum Hain Ke Raaste Hain Bhool Jaate,


Humko Manzil Tak Hain Pahunchate,
Aur Hum Unhe Pichhe Hai Chhod Aate.



वो जिसकी याद मे हमने खर्च दी जिन्दगी अपनी।
वो शख्श आज मुझको गरीब कह के चला गया ।

Wo Jiski Yaad Me Kharch Kar Di Zindgi Hame.
Wo Hi Shaks Aaj Hame Garib Kahkar Chala Gaya.



Juda Hone Ki Baat Humse Mat Kijiye,
Juda Hokar Toh Kabhi Jee Na Paayenge,


Are Aap Toh Shayad Ji Lenge Hamare Bin,
Magar Hum Toh Aapk Bina Mar Hi Jaayenge.



Mit Gaye Hain Sab Zakham,
Bas Nishaan Baaki Reh Gaya,


Saza Puri Ho Gayi,
Karna Gunaah Baaki Reh Gaya.



Mujhe Tohfe Diye Har Kadam Khuda Ne,
Bhale Hi Dukhon Se Meri Jholi Bhari Hai,


Na Jaane Kaisi Likhi Hai Meri Takdeer,
Har Mod Par Ek Nayi Musibat Khadi Hai.



Unhe Nafrat Thi Humse
Toh Izhaar Kyu Kiya,
Dena Tha Zahar
Toh Pyar Kyu Kiya,


De Kar Zahar Bole Peena Hoga,
Jab Pee Gaye To Bole
Tumhe Meri Kasam Jeena Hoga.



Woh Raat Dard Aur Sitam Ki Raat Hogi,
Jis Raat Rukhsat Unki Baraat Hogi,


Uth Jata Hu Main Ye Sochkar Neend Se Aksar,
K Ek Ghair Ki Baaho Me Meri Sari Kayanat Hogi



Hum Jaante Nahi Kya Hua Hai,
Aap Khush Rahein Bas Yeh Hi Dua Hai,


Chahat Pal Do Pal Ki Khushi Thi,
Aaj Yeh Saja Hai Saja Hai Saja Hai.



Woh Karte Hai Baat Ishq Ki,
Par Ishq Ke Dard Ka Unhe Ehsas Nahi,


Ishq Woh Chand Hai Jo Dikhta Hai Sab Ko,
Par Usse Pana Sab Ke Bas Ka Baat Nahi.


वो करते हैं बात इश्क़ की,
पर इश्क़ के दर्द का उन्हें एहसास नहीं,


इश्क़ वो चाँद है जो दिखता तो है सबको,
पर उसे पाना सब के बस की बात नही..



Zindagi Ne Kai Sawalat Badal Dale,
Waqt Ne Mere Haalaat Badal Dale,


Main To Aaj Bi Wahi Hun Jo Main Kal Tha,
Bas Mere Liye Kuch Apno Ne Apne Khyalat Badal Dale.



Pyar Hamein Yun Hona Tha So Ho Gaya,
Dil Ko Hamare Khona Tha So Kho Gaya,


Na Tujhse Koi Ranjish Na Koi Shikwa Hai,
Gham Ko Hamara Hona Tha So Ho Gaya.



Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai,
Is Jahan Mein Kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai,


Guzar Rahi Hai Zindagi Imtehan Ke Daur Se,
Ek Khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai.


रोया हूँ बहुत तब जरा करार मिला है,
इस जहाँ में किसे भला सच्चा प्यार मिला है,


गुजर रही है जिंदगी इम्तिहान के दौर से,
एक ख़तम तो दूसरा तैयार मिला है।



Agar Zindagi Mein Judai Na Hoti,
To Kabhi Kisi Ki Yad Aii Na Hoti,


Sath Hi Guzarta Har Lamha To,
Shayed Rishto Mein Ye Gehrai Na Hoti.



Aapki Yahi Adayein Toh Hain Eh Mere Humdam,
Jo Humko Aap Par Marne Ko Majboor Karti Hain,


Magar Yeh Bhi Suna Hai Ke Hote Hain Sabhi Hasin Bewafa,
Aap Bhi Hasin Hain Yehi Baatein Aap Se Door Karti Hain.



Zakham Ki Baat Nahi Hai Jaane Dard Kyon Hota Hai,
Dhokhe Ki Baat Nahi Hai Jaane Ehaas Kyon Hota Hai,


Jante Hue Ki Wo Bewafa Hain,
Na Jane Phir Bhi Pyaar Kyon Hota Hai.



Haskar Jeena Dastoor Hai Jindagi Ka,
Ek Yai Kissa Mashoor Hai Jindagi Ka,


Beete Hue Pal Kabhi Laut Kar Nhai Aate,
Yahi Sabse Bada Kasoor Hai Jindagi Ka.



Sab Kuchh Mila Mujh Ko Zindagi Mein,
Magar Ek Pyar Na Mila Kisi Ka,


Sab Mujhko Samajhte Hain Apna Humdard,
Magar Ek Aitbaar Na Mila Kisi Ka.



Mat Intezaar Karwao Humein Itna,
Ke Waqt Ke Faasle Pe Afsos Ho Jaye,


Kya Pata Kal Lout Ke Ao Tum,
Aur Hum Sada Ke Liye Khaamosh Ho Jaye.


मत इंतज़ार कराओ हमे इतना,
कि वक़्त के फैसले पर अफ़सोस हो जाये,


क्या पता कल तुम लौटकर आओ,
और हम खामोश हो जाएँ.



Nigal Gaye Sab Ki Sab Samandar Jami Bachi Ab Kahi Nahi Hai,
Bachaate Hum Apni Jaan Jismein Woh Kasti Bhi Ab Kahi Nahi Hai,


Bahut Dino Baad Paayi Fursat Toh Maine Khud Ko Palatkar Dekha,
Magar Main Pahchanta Tha Jisko Woh Aadmi Ab Kahi Nahi Hai,


Gujar Gaya Vakt Dil Pe Likhkar Na Jaane Kaisi Ajib Baatein,
Panna Paltata Hu Main Jo Dil Ke Toh Saadgi Ab Kahin Nahi Hai,


Woh Aag Barsi Dopahar Mein Ki Saare Manjar Jhulas Gaye Hain,
Yahan Savere Jo Taajgi Thi Woh Taajgi Ab Kahi Nahi Hai,


Tum Apne Kasbon Mein Jaake Dekho Wahan Ab Shahar Base Hain,
Ki Dhundhte Ho Jo Zindagi Tum Woh Woh Zindagi Ab Kahi Nahi Hai.



Woh Hum Se Rooth Gaye,
Ya Aisa Dikhana Chahte Hain,


Woh Humein Bhul Gaye,
Ya Aise Bhulana Chahte Hain,


Lete Hain Khabar Na Meri Kabhi,
Or Na Kabhi Apni Khabar Batana Chahte Hain.



Tujhe Chaha Bhi To Ijahaar Na Kar Sake,
Kat Gai Umar Kisi Se Pyaar Na Kar Sake,


Tune Maanga Bhi To Apani Judai Maangi,
Aur Ham The Ki Inkaar Na Kar Sake.


तुझे चाहा भी तो इजहार न कर सके,
कट गई उम्र किसी से प्यार न कर सके,


तुने माँगा भी तो अपनी जुदाई मांगी,
और हम थे की इंकार न कर सके।



Kafi Arsa Beet Gaya Jane Ab Woh Kaisa Hoga,
Waqt Ki Sari Kerwi Batain Chup Chap Sehta Hoga,


Ab Bhi Bhegge Barish Mein Woh Ban K Chatri Chalta Hoga,
Mujhse Bichre Arsa Beeta Ab Wo Kis Se Larta Hoga,


Acha Tha Jo Sath Hi Rhete Baad Mein Os Ne Socha Hoga,
Apne Dil Ki Sari Baatain Khud Se Khud Hi Karta Hoga.



Nazrein Meri Kahin Thak Na Jaayein,
Bewafa Tera Intezaar Karte Karte,


Yeh Jaan Yun Hi Nikal Na Jaaye,
Tum Se Ishq Ka Izhaar Karte Karte.



दर्द है दिल में पर इसका एहसास नहीं होता,
रोता है दिल जब वो पास नहीं होता,


बर्बाद हो गए हम उसके प्यार में,
और वो कहते हैं इस तरह प्यार नहीं होता|


Dard Hai Dil Mein Per Iska Ehsaas Nahi Hota,
Rota Hai Dil Jab Wo Paas Nahi Hota,


Barbad Hogae Hain Hum Unki Mohabbat Mein,
Aur Wo Kehte Hain Ki Is Tarah Se Pyar Nahi Hota.



Kanch Ko Chahat Thi Pathhar Pane Ki,
Ek Pal Mein Fir Tut Kar Bikher Jane Ki,


Chahat Bas Itni Thi Us Diwane Ki,
Apne Hazar Tukdo Mein Uski Hazar Tasvir Sajane Ki.



Bas Bahut Sah Liye Hain Julmo Sitam,
Ab Aur Hum Yeh Gham Sah Nahi Sakte,


Aaj Mujhko Na Rokna Eh Mere Dosto,
Ab Aur Is Duniya Mein Hum Rah Nahi Sakte.



Koshishen Tmaam Nakam Ho Gayi,
Ankhon Se Ansuon Ki Barish Aam Ho Gayi,


Bewafai Humse Karke Wo Chale Gaye,
Aur Wafa Hamari Badnaam Ho Gayi…



Shayad Ek Khilona Samjha Hai
Mujhe Sabhi Ne,
Khelta Hai,
Dil Bhar Jaane Tak,


Fir Chhod Deta Hai,
Main Jisko Bhi Basata Hun
Dil Mein Apne Kabhi,


Shayad Kismat Aisi Hai
Dil Ko Tod Deta Hai.



Kitne Sapne Dil Mein Sajaye Tere Liye,
Raahon Mein Phool Bichhaye Tere Liye,


Aati Hai Koi Yaad Teri Chupke Se,
Har Dastak Pe Bahar Aaye Tere Liye,


Jhooti Lagti Hai Har Kahaani Duniya Ki,
Mohabbat Sacchi Nazar Aaye Tere Liye,


Likhe Rakhe Hai Jo Khat Haath Ke,
Harf-Dar-Harf Dard Badhaye Tere Liye…


Intezar Ki Ab To Intahaa Ho Gai Hai,
Kitna Aankhon Ko Ruulaye Tere Liye,


Mitti Ka Khilona Ban Gaya Hai,
Bas Tuut Ke Judhna Aa Jaye Tere Liye.



Pyar Karta Hun Main Jinko Khuda,
Khush Rakhna Unhe Yeh Fariyad Karta Hun,


Bhale Hi Bhool Gaye Hon Woh Mujhko,
Magar Main Har Pal Unko Yaad Karta Hun.



Mere Geeton Ko Jo Sunega,
Tujhko Jaan Hi Lega,


Meri Mehfil Mein Mat Aana,
Tujhko Pahchan Hi Lega,


Teri Surat Jhalkati Hai,
Mere Geeton Ki Lafjon Se,


Zamane Ki Khata Kya Hai,
Tera Naam Hi Lega



Jb Mujhse Mohabat Hi Nahi To Rokte Kyu Ho..
Tanhayi Me Mere Baare Me Sochte Kyu Ho.?


Jab Manzile Hi Juda Hai Toh Jane Do Mujhe,
Lot Ke Kab Aaoge Yeh Puchhte Kyun Ho….?


Zakhm Laga Kar Mere Dil Pe Badi Sadgi Se,
Mere Zakhmi Dil Ka Haal Puchhte Kyun Ho..?


Thukra Kar Meri Mohabbat Ko Es Tarah,
Palat Palat Kar Pyaar Se Dekhte Kyun Ho…?



Woh Chamkate Bhalvoos Dekho,
Pahan Kar Aaye Hain,


Aaj Fir Kisi Par Fareb Ki,
Bizliyan Girane Aaye Hain,


Woh Husn Gurur Woh Adayein,
Dikhane Ke Liye Aaye Hain,


Woh Nadano Ko Mohabbat Ka,
Khwab Dikhane Aaye Hain.



Jitne Bhi Dena Chaho Gham De Do Mujhko Yaaro,
Ab Toh Do Char Lamhon Ka Bas Mehman Hun Main,


Main Apne Kiye Waade Nibha Paya Na Kabhi,
Bas Ek Isi Baat Se Ab Tak Pareshan Hun Main.



Kyo Yaad Aati Ho Dil Dukhane Ke Baad,
Kyo Dur Jati Ho Pass Aane Ke Baad,


Humne To Bahut Chaha Hai Dil Se Tumko,
Fir Kyu Aansu De Jati Ho Yaad Aane Ke Baad.



अपनो को दूर होते देखा,
सपनो को चूर होते देखा,


अरे लोग कहते हे फ़िज़ूल कभी रोते नही,
हमने फूलोँ को भी तन्हाइयोँ मे रोते देखा!


Apano Ko Door Hote Dekha,
Sapano Ko Choor Hote Dekha,


Are Log Kahate He Fizool Kabhee Rote Nahee,
Hamane Phoolon Ko Bhee Tanhaiyon Me Rote Dekha!



Main Karta Raha Tujh Se Pyar Ka Izhar,
Tu Todti Rahi Mera Dil Bar Bar,


Tadapta Raha Main Teri Ek Haan Ke Liye,
Aur Ye Zamana Hansta Raha Mujh Par Har Baar,


Haato Ki Lakiron Ko Bhi Na Tha Gawara,
Meri Kismat Mein Kahan Thi Teri Mohabbat,
Mere Mukaddar Mein Kahan Tha Tera Pyar.



Udas Na Baitho Fiza Tang Karegi,
Gujre Hue Lamho Ki Sazaa Tang Karegi,


Kisi Ko Na Lao Dil Ke Itna Kareeb,
Kyonki Uske Jaane Ke Baad Uski Har Adaa Tang Karegi.



Chodhavi Raat Hai Toh Khidki Ke Gira Do Parde,
Koun Jane Ki Woh Naraj Hi Raat Se Ho Jaaye,


Ek Khusboo Ki Tarah Fialate Hain Mahfil Mein,
Aise Alfaj Ada Jo Tere Lab Se Ho Jaayein,


Na Koi Ishq Hai Baaki Na Koi Parcham Hai,
Log Deewane Bhala Kis Ke Sabab Se Ho Jaayen,


Baat Toh Chhed Mere Dil Koi Kissa Toh Suna,
Kya Ajab Unke Bhi Jajbat Ajab Se Ho Jaayen.



Dilki Dahleej Par Yaadon Ke Deeye Rakhe Hain,
Aaj Tak Hamne Yeh Darwaaje Khule Rakhe Hain,


Is Kahani Ke Woh Kirdar Kahan Se Laaun,
Wohi Dariya Hai Wohi Kache Ghade Rakhe Hain,


Hum Par Jo Gujri Bataya Na Batayenge Kabhi,
Kitne Khat Ab Bhi Tere Likhe Huye Rakhe Hain,


Aapke Paas Kharidari Ki Kuvvat Hai Agar,
Aaj Sab Log Dukaano Mein Saje Rakhe Hain.



Kitna Bebas Hain Insaan Kismat Ke Aage,
Har Sapna Tut Jata Hain Hakikat Ke Aage,


Jisne Kbhi Duniya Me Haarna Nahi Sikha,
Wo Bhi Haar Jata Hain Mohabbat Ke Aage.



Na Samajh Paya Main Aaj Tak Teri Duniya Ko,
Mujhko Zindagi Teri Na Kabhi Raash Aayi,


Jis Kisi Cheej Ko Bhi Kabhi Samjha Apna,
Bhule Se Bhi Kabhi Woh Na Mere Paas Aayi.



Main Toh Yeh Bhi Nahi Kah Sakta,
Ki Is Mein Galti Mere Yaar Ki Hai,


Bewafa Bhi Usko Main Kahun Kaise,
Kyun Ki Toheen Yeh Mere Pyar Ki Hai.



Kuchh Kadam Hum Chale,
Kuchh Kadam Tum Chale,


Farq Sirf Itna Raha,
Hum Chale To Faasla Ghat-Ta Gaya,
Aur Tum Chale To Faasla Badhta Gaya.



Mene Kab Dard K Zakhmo Se Shikayat Ki Hai,
Haan Mera Jurm Hai K Maine Mohabat Ki Hai,


Aaj Fir Dekha Hai Use Mehfil Me Pathar Bankar,
Mene Aankho Se Nahi Dil Se Baghawat Ki Hai,


Usko Bhool Jane Ki Galti Bhi Nahi Kar Sakta,
Toot Kar Ki Hai Toh Sirf Usi Se Mohabbat Ki Hai.



Zindagi Na Milegi Dobara,
Sapne Saare Tod Kar Baithe Hai,


Dil Ka Armaan Chhod Kar Baithe Hai,
Na Kijiye Humse Wafa Ki Baatein,
Abhi-Abhi Dil Ke Tukde Jod Kar Baithe Hai,



Jo Na Hoti Mohabbat Ye Aansu Na Hote,
Dil Bhi Na Khota Aaj Tanha Na Rota,


Diwano Si Apni Ye Halat Na Hoti,
Agar Jahan Mein Kambakhat,
Kaash Ye Mohabbat Na Hoti



Unhe Nafrat Thi Humse
Toh Izhaar Kyu Kiya,
Dena Tha Zahar
Toh Pyar Kyu Kiya,


De Kar Zahar Bole Peena Hoga,
Jab Pee Gaye To Bole
Tumhe Meri Kasam Jeena Hoga.



Mana Ki Tum Jeete Ho Zamane Ke Liye,
Ek Bar Jee Ke To Dekho Hamare Liye,


Dil Ki Kya Aukaat Apke Saamne,
Hum To Jaan Bhi De Denge Apko Pane Ke Liye.


माना की तुम जीते हो ज़माने के लिये,
एक बार जी के तो देखो हमारे लिये,


दिल की क्या औकात आपके सामने,
हम तो जान भी दे देंगे आपको पाने के लिये!



Kuch Aise Log Mile Jo Dil Me Utar Gaye,
Aur Kuch Aise Bhi Mile Jo Dil Se Utar Gaye,


Par Muskil Se Thama Hath Anjaano Ne,
Pehchaan Waale Toh Saaf Mukar Gaye.



Meelon Door Jaakar Bhi Hum Tumse Door Na Jaa Sake,
Dil Mein Kitni Bechaini Hai Yeh Bata Na Sake,


Dard Is Baat Ka Nahi Ke Hum Ab Mil Na Sake,
Dard Is Baat Ka Hai Ke Yaadon Mein Hum Tadpate Rahe,


Kyon Yaad Humein Karte Ho Itna,
Kyon Pyar Humein Karte Ho Itna,


Door Rahkar Ab Tumse Or Jee Na Sakenge,
Gham Se In Aankhon Ke Ashq Ko Ab Bahne Denge,


Kya Pata Kal Tumhe Hum Par Taras Aa Jaaye,
Umarbhar Is Aash Mein Hum Jee Hi Lenge.



Bhale Hi Raah Chalton Ka Daaman Tham Le,
Magar Mere Pyar Ko Bhi Tu Pahchan Le,


Kitna Intezaar Kiya Hai Tere Ishq Mein,
Jara Yeh Dill Ki Betaabi Tu Jaan Le.



Kaash Tu Samaj Pata K Pyar Kitna Hai,
Use Jatane Me Dard Kitna Hai,


Log Ikrar Karke Bhi Aasu Bahaya Karte Hai,
Hum Izhaar Kiye Bina Khoon Se Nahaaya Karte Hai.



Bhale Sadiyan Gujar Gayi Bichhude Huye Tumse,
Aaj Bhi Magar Bahut Yaad Aate Ho Tum,


Kya Kasam Khayi Hai Tumne Sada Gham Dene Ki,
Khwab Mein Bhi Aakar Rula Jaate Hi Tum.



Aap Raho Khus Sada
Yeh Tamanna Hai Hamari,


Chalo Khud Par Humne
Yeh Iljaam Le Liya,


Jakham Gham Ruswaiyan
Yaar Ne Di Humko,


Aaj Wafa Ka Yaaro
Yeh Ilzaam Le Liya.

Ankhe Kyu Hui Meri Num Kabhi Sochna,
Kyu Hua Hum Pe Itna Sitam Kabhi Sochna,


Pyar To Hum Dono Ne Kiya Tha,
Lekin Sirf Mujhe He Kyu Mila Itna Gum Kabhi Sochna.



Is Daur Me Ki Thi ..
Jisse Wafao Ki Ummeedein ..


Aakar Usi K Haath Ka ..
Patthar Lga Mujhe .



Ehsaas Bohut Hoga Jab Chhod Ke Jayenge,
Royenge Bohut Magar Aansu Nahi Aayenge,


Jab Saath Na De Koi Toh Awaaz Humein Dena,
Aasmaan Per Bhi Honge Toh Laut Aayenge.



Meri Mahbooba Hum Tumko Salaam Karte Hain,
Fir Bhi Aap Hamein Yun Badnaam Karte Hain,


Pyar Jatakar Dil Tod Dena Pyar Mein,
Janvaron Se Ghatiya Kaam Yeh Insaan Karte Hain.



सुकून अपने दिलका मैंने खो दिया,
खुद को तन्हाई के समंदर मे डुबो दिया,


जो थी मेरे कभी मुस्कराने की वजह,
आज उसकी कमी ने मेरी पलकों को भिगो दिया.


Sukun Apne Dilka Maine Kho Diya,
Khud Ko Tanhai Ke Samandar Mai Dubo Diya,


Jo Thi Mere Kabhi Muskrane Ki Wajah,
Aaj Uski Kami Ne Meri Palko Ko Bhigo Diya.




TAG:
dard bhari shayari, shayari, hindi shayari, dard shayari, sad shayari, bewafa shayari, breakup shayari, heart touching shayari, sad shayari in hindi, love shayari, urdu shayari, sad love shayari, dard, hindi sad shayari, romantic shayari, rula dene wali shayari, shayari hindi, shayari video, sad shayari video, daily shayari, pyar bhari shayari, shayari sad, dukh dard shayari, broken heart shayari, heart broken shayari, dard e tanhai