Showing posts with label Sad Shayari अध्याय. Show all posts

Best Sad Shayari in Hindi | अध्याय 3

March 17, 2022


Best Sad Shayari in Hindi

Aakar Hamari Kabar Par Phool Chdhaye Sabhi Ne,
Na Laya Saath Kante Koi Jinka Hamein Sahara Tha,


Yeh Mante Hain Hum Ki Yeh Dil Tha Hamara Magar,
Is Mein Sanbhala Tha Jo Woh Dard Tumhara Tha.


Chor Di Hum Ne Duniya Bas Teri Khushi Ke Liye..
Jee Sakenge Na Ab Hum Kisi Ke Liye..


Tera Milna Bicherna Ek Khwab Sa Tha..
Teri Kasam Traste Rahe Bas Ek Hansi Ke Liye..


Teri Judai Se Badh Kar Kya Gham Hoga..
Zakham Kafi Hain Yeh Hi Meri Zindgi Ke Liye.


कभी रो के मुस्कुराए,
कभी मुस्कुरा के रोए,
जब भी तेरी याद आई तुझे भुला के रोए,


एक तेरा ही तो नाम था जिसे हज़ार बार लिखा,
जितना लिख के खुश हुए उस से ज़यादा मिटा के रोए.

Kabhi Ro Ke Muskuraye Kabhi Muskura Ke Roye,
Jab Bhi Teri Yaad Aayi Tujhe Bhula Ke Roye,


Ek Tera Hi To Naam Tha Jise Hazaar Bar Likha,
Jitna Likh Ke Khush Hue Uss Se Jyada Mita Ke Roye..


कुछ लोग कहते है की बदल गया हूँ मैं,
उनको ये नहीं पता की संभल गया हूँ मैं,


उदासी आज भी मेरे चेहरे से झलकती है,
परअब दर्द में भी मुस्कुराना सीख गया हूँ मैं|


Agar Aapne Mukh Fer Liya Humse,
Toh Eh Dost Humse Naseeb Rooth Jaayega,


Humse Na Sahi Jaayegi Yeh Berukhi Aapki,
Humara Dil Hai Naajuk Toot Jaayega.


Ishq Karna To Lagta He Jaise,
Mout Se Bhi Badi Ek Saza He,


Kya Kisi Se Shikayat Kare Hum,
Jab Apni Taqdir Hi Bewafaa He..


Ye Nahi Gam Ke Qasam Apni Bhulai Tum Ne,
Gam Te Ye Hai Ke Raqeebon Se Nibhai Tum Ne,

Koi Ranjish Thi Ager Tum Ko To Mujh Se Kehte,
Baat Apas Ki Kyun Sab Ko Batai Tum Ne.


Muddat Ho Gayi Hamein Mile Huye Unse,
Shayad Takdeer Mein Ab Mulakat Hi Nahi,

Aap Ho Pahlu Mein Aur Uthaun Main Parda,
Shayad Mere Mukaddar Mein Aisi Raat Hi Nahi.


Aaj Ke Daur Mein Pyar Ki Kimat Hi Nahi,
Jinda Rahne Ke Liye Kitni Baar Maut Sahta Hai,

Wahi Dete Hain Sada Aakhir Mein Dhokha Usko,
Jinki Khatir Umar Bhar Woh Tadpata Rahta Hai.


Jab Se Is Dil Ko Lagaya Hai,
So Bhi Toh Hum Nahi Paate Hain,


Hansana Toh Kab Ka Bhool Chuke Hain,
Aansu Bhi Toh Ab Nahi Aate Hain.


Chal Mere Humnashi Aaj Kahi Aur Chal,
Iss Chaman Mein Ab Apna Kahi Guzara Nahi,


Baat Hoti Gulon Tak To Seh Lete Hum Bhi,
Ab To Kaanton Pe Bhi Haq Hamara Nahi.


Hasrat Sirf Tumhe Paane Ki,
Aur Koi Khwaish Nahi Is Parwane Ki,

Gham Ki Aandhi Aisi Chali,
Hum Tum Bichhud Gaye,


Aansu Bhi Apne Puchhne Lage,
Aapke Saathi Kidhar Gaye.


Saza Na Do Muje Bekasur Hoon Main,
Tham Lo Mujh Ko Gamon Se Choor Hoon Main,


Teri Doori Ne Kar Diya Pagal Sa Mujhe,
Aur Logon Ka Kehna Hain Ke Magroor Hoon Main.


Dukh Dete Ho Aur Khud Hi Sawal Karte Ho,
Tum Bhi O Sanam Kamaal Karte Ho,


Dekh Kar Puch Liya Hai Haal Mera,
Chalo Shukr Hai Kuch To Khyaal Karte Ho.


Thokar Khate Hai Aur Muskurate Hai,
Is Dil Ko Sabar Karna Sikhate Hai,


Hum To Dard Lekar Bhi Yaad Karte Hai,
Aur Kuch Log Dard Dekar Bhi Bhool Jate Hai..


नफ़रत कभी ना करना तुम हमसे,
यह हम सह नहीं पायेंगे,
एक बार कह देना हमसे,
ज़रूरत नहीं अब तुम्हारी,
तुम्हारी दुनियाँ से हंसकर चले जायेंगे!

Nafrat Tum Kabhi Na Karna Humse,
Hum Ye Seh Nahi Payenge,
Ek Bar Keh Dena Humse,
Jarurat Nahi Ab Tumhri,
Aapki Duniya Se Hass Kar Chale Jayenge.


Na Gila Karata Hoon,
Na Shikwa Karata Hoon,
Tum Salamaat Raho Basyahi Dua Karata Hoon..


Unki Akhon Se Peete The Hum May Ke Pyale,
Suna Tha Woh Bhi He Hamko Chahne Wale,

Haseen Dastan Ki Umer Choti Hoti He Aksar,
Aaj Bethe He Veerane Main Yaddon Ko Sambhale.


Gham Hi Mile Itne Jeevan Mein,
Ki Khusiyon Ko Bulana Bhool Gaye,
Huya Teri Judai Mein Aisa Aalam,
Ki Hum Apna Hi Thikana Bhool Gaye.


Guzar Jayege Aapke Pass Se Hawa Bankar,
Beh Jayege Ankho Se Aansu Bankar,

Aaj To Aapke Pass Fursat Nahi,
Yaad Karoge Jab Reh Jayege Dil Ki Yaad Bankar.


Yaad Aaoon To Bas Itni Si Inayat Karna,
Apne Badle Hue Lehje Ki Wazahat Karna,

Tum Jo Chahat Ka Shahkar Hua Karte The,
Kis Se Seekha Hai Yeh Ulfat Mein Milawat Karna,

Hum Sazaaon Ke Haqdaar Bane Hain Kab Se,
Tum Hi Keh Do Kya Jurm Hai Mohabbat Karna,

Teri Furqat Mein Yeh Aankhein Abhi Tak Num Hain,
Kabhi Aana Mere Ashkon Ki Ziyarat Karna,

Dil Mein Ab Bhi Mohabbat Ke Diye Hain Roshan,
Dekh,
Bhoole Nahi Teri Hasti Ki Sajawat Karna.


Suraj Ko Diya Dikhane Se Kya Fayeda,
Laash Ko Aag Lagane Se Kya Fayeda,
Aye Shahjahaan Mumtaz To Jaa Chuki,
Ab Laash Pe Taj Banane Se Kya Fayeda.


Dil Mein Unke Pyar K Arman To Hai,
Dil Tut Jaye Magar Usmein Jaan To Hai,
Dekh Kar Mujhko Wo Apna Chehra Ghuma Leti Hai,
Shukar Hai Aaj Tak Unhe Mere Chehre Ki Pehchan To Hai.


धरती के गम छुपाने के लिए गगन होता है,
दिल के गम छुपाने के लिए बदन होता है,
मर के भी छुपाने होंगे गम शायद,
इसलिए हर लाश पर कफ़न होता है।


Zindgi Ne Diya Subkuch,
Par Wafa Na Di,
Zakham Diye Sub Ne Pa,
Rkisi Ne Dawa Na Di,
Hum Ne To Subko Apna Mana,
Par Kisi Ne Muje Apno Me Jagah Na Di…

Bs Di To Thokar Di.


Haan Yeh Sach Hai Ke Hum Mohabbat Karne Se Darte Hain,
Kyunki Yeh Pyar Baad Mein Dil Ko Bahut Tadpata Hai,
Apne Chehre Ke Aansu Toh Hum Chhupa Sakte Hain Dosto,
Magar Haal E Dil Duniya Ko Maalun Ho Jata Hai.


Koi Umeed Nahi Thi ..
Hume Unse Mohabbat Ki,
Sirf Ik Shaunk Tha Ki ..
Dil Toote To Unke Haath Se Toote.


Woh Chamkate Bhalvoos Dekho,
Pahan Kar Aaye Hain,

Aaj Fir Kisi Par Fareb Ki,
Bizliyan Girane Aaye Hain,

Woh Husn Gurur Woh Adayein,
Dikhane Ke Liye Aaye Hain,

Woh Nadano Ko Mohabbat Ka,
Khwab Dikhane Aaye Hain.


घुट घुट कर जीना तो
ज़िन्दग़ी नहीं होती,

नफरत से सर झुकाना

बन्दग़ी नहीं होती,

वो ग़ुनाह माफ़ी केलायक नहीं है,
जिसमें शामिल कोईशर्मिन्दग़ी नहीं होती ।


Yeh Ashq Paani Ke Is Tarah Na Ganva,
Ki Yeh Anmol Moti Hain,

Yeh Hayat Nahak Hi Na Ganva,
Ki Yeh Zindagi Bahut Chhoti Hai.


उल्फत का अक्सर यही दस्तूर होता है,
जिसे चाहो वही अपने से दूर होता है,
दिल टूटकर बिखरता है इस कदर,
जैसे कोई कांच का खिलौना चूर-चूर होता है!

Ulfat Ka Aksar Yahi Dastur Hota Hai.

Jise Chaho Wahi Humse Dur Keyo Hota Hai.

Dil Tut Kar Keyo Bikharta Hai Is Kadar.
Jaise Kanch Ka Khilauna Chur Chur Hota Hai.


Jiski Kismat Us Se Rooth Jaaye,
Usko Koi Bhi Kinara Nahi Milta,
Gairon Ki Toh Baat Hi Chhodo Dosto,
Apno Ka Bhi Sahara Nahi Milta.


Jise Guzre Din Ke,
Gham Se Nahi Fursat,
Usko Naye Saal Ki,
Kya Mubarakbaad Dena…


Kitni Ratein Beet Gayi,
Kitny Din Beet Gaye,
Bas Nhi Beeta To Yaadon Ka Wo Pal,
Guzra Hua Wo Kal…

Nhi Beeti To Ankhon Ki Nami Aur Teri Kami..


Hamare Dil Mein Ab Kadwahat Nahi Hai,
Magar Woh Baat Pahle Si Nahi Hai,

Mujhe Maayush Bhi Bhi Karti Nahi Hai,
Yahi Aadat Teri Achhi Nahi Hai,

Bahut Se Faayde Hain Maslehat Mein,
Magar Dil Ki Toh Yeh Marji Nahi Hai,

Har Ek Ki Dastaa Sunate Hain Jaise,
Kabhi Hamne Mohabbat Ki Nahi Hai,

Hai Ek Darwaja Bin Deewar Duniya,
Chhutkara Gham Se Yahan Koi Nahi Hai.


Na Thi Jisko Mere Pyaar Ki Kadar,
Ittefaaq Se Usi Ko Chah Raha Tha Main,
Usi Diye Ne Jalaya Mere Hathon Ko,
Jisko Hawa Se Bacha Raha Tha Main.


Agar Hum Door Ho Jaayein,
Kahin Duniya Mein Kho Jaayein,
Batao Kya Karogi Tum!
Hamain Dhoondogi Ya Phir..
Hamein Bhool Jaogi,
Hamain Awaaz Dogi Ya Phir..
Kisi Guzri Kahani Mein,
Hamara Naam Likh Dogi!
Chalo Aisa Hi Kar Lena..
Tum Khud Bhi Badal Jana

hamein Tum Bhool Hi Jana,
Magar Itni Guzaarish Hai..
Hamara Zikr Jab Aaye..
Thoda Muskura Dena,
Khushi Ka Ho Ya Gham Ka Ho..
Bas Ek Aansu Baha Dena.


Zindagi Tere Bagair Adhuri Si Lagti Hai,
Zindagi Jine Ke Liye Teri Jarurat Si Lagti Hai,
Aa Ja Fir Se Laut Kar Meri Zindagi Mein Tu,
Meri Aannkhen Bhi Pyaar Ke Wo Din Dhunda Karti Hai.


Meri Mahbooba Hum Tumko Salaam Karte Hain,
Fir Bhi Aap Hamein Yun Badnaam Karte Hain,
Pyar Jatakar Dil Tod Dena Pyar Mein,
Janvaron Se Ghatiya Kaam Yeh Insaan Karte Hain.


बेनाम सा यह दर्द ठहर क्यों नही जाता,
जो बीत गया है वो गुज़र क्यों नही जाता,
वो एक ही चेहरा तो नही सारे जहाँ मैं,
जो दूर है वो दिल से उतर क्यों नही जाता।


Tarsegi Tu Pyar Ke Liye Tamam Umar,
Ab Yaar Tujhe Main Aisi Saja Dunga,
Yaad Karegi Jab Tu Mere Pyar Ko,
Magar Us Din Main Tujhe Bhula Dunga.


Subah Juda Hai Raat Juda Hai,
Apni To Her Baat Juda Hai,
Tumse Bichar Ker Aisa Laga,
Jaise Dua Main Haath Juda Hai,
Sab To Aate Rahte Hai,
Tum Aao To Baat Juda Hai.


रहते हैं आस-पास हीलेकिन साथ नहीं होते…
कुछ लोग जलते हैं मुझसेबस खाक नहीं होते|

Rehte Hain Aas-Pass Hi,
Lekin Sath Nahi Hote,
Kuchh Log Jalte Hain Mujhse,
Bas Khaak Nahi Hote.


Woh To Apni Tanhaai Ki Khatir,
Fir Se Aa Mile Humse,
Hum Nadaan Ye Samajh Baithe Ki,
Hamari Duaon Ka Asar Hai….


Na Chalta Hai Dil Par Jor Koi,
Yeh Khud Ki Hi Marji Chalata Hai,
Karta Hai Khatayein Kaisi Kaisi,
Aur Badle Mein Hamein Rulata Hai.

न चलता है दिल पर जोर कोई,
यह खुद की ही मर्जी चलाता है,
करता है खटाएं कैसी कैसी,
और बदले में हमें रुलाता है।


Apne Hisse Ki Zindagi To Hum Kabke Jee Chuke,
Ab To Sirf Dhadkanon Ka Lihaj Karte Hain,
Kya Karen Is Duniya Walon Ka,
Jo Aakhari Dhadkano Pe Bhi Aitaraz Karte Hain.


Dil Ke Jakhmon Ki Dava Mahboob Hi Hota Hai,
Aashiq Ke Labo Ki Dua Mahboob Hi Hota Hai,
Dil Ki Khusiyon Ki Barat Mahboob Hi Hota Hai,
Aashiq Ke Sar Ka Kafan Mahboob Hi Hota Hai.


Kabhi Dard Isne Diyakabhi Dard Usne Diya,
Jakhmon Ko Magarkisi Ne Bhi Seene Nahi Diya,
Aaj Farista Kahte Hainsabhi Mere Yaar Mujhko,
Magar Insano Ki Tarahkabhi Jeene Nahi Diya.


Khayalon Mein Wahi,
Sapno Mein Wahi,
Lekin Unki Yaadon Mein Hum The Hi Nahi,
Hum Jaagte Rahe Duniya Soti Rahi,
Ek Baarish Hi Thi,
Jo Humare Sath Roti Rahi.


Tumhe Mujhse Sayad Ab Koi Wasta Nahi,
Tumhe Mujhse Sayad Ab Koi Wasta Nahi,
Par Tere Hisse Ka Waqt Main…Aaj Bhi Tanha Gujarta Hu.


Main To Apni Tanhaiyo Se Tang Aa Kar
Mahobbat Ki Talash Me Nikali Thi..
Par..

Mujhe To Mahobbat Bhi Aise Mili Jo Aur Tanha Kar Gai!


तू तो हँस हँसकर जी रही है,
जुदा होकर भी..
कैसे जी पाया होगा वो,
जिसने तेरे सिवा जिन्दगी कभी सोची ही नहीं..


Udas Na Baitho Fiza Tang Karegi,
Gujre Hue Lamho Ki Sazaa Tang Karegi,
Kisi Ko Na Lao Dil Ke Itna Kareeb,
Kyonki Uske Jaane Ke Baad Uski Har Adaa Tang Karegi.


Meri Khamoshiyon Mein Bhi Fasana Dhoondh Leti Hai,
Badi Shatir Hai Ye Duniya Bahana Dhoondh Leti Hai,
Hakeekat Zid Kiye Baithi Hai Chaknachur Karne Ko,
Magar Har Aankh Phir Sapna Suhana Dhoondh Leti Hai!

मेरी खामोशियों में भी फसाना ढूंढ लेती है,
बड़ी शातिर है ये दुनिया बहाना ढूंढ लेती है,
हकीकत जिद किये बैठी है चकनाचूर करने को,
मगर हर आंख फिर सपना सुहाना ढूंढ लेती है!


Nadi Jab Kinara Chod Deti Hai,
Tab Raah Ki Chattan Tak Tod Deti Hai,
Baat Choti Si Bhi Agar Chubh Jae Dil Me,
To Jindgi Ke Raasto Ko Mod Deti Hai.

नदी जब किनारा छोर देती हैं,
राह की चट्टान तक तोर देती हैं,
बात छोटी सी अगर चुभ जाए दिल में तो,
जिंदगी के रास्तों को भी मोर देती हैं।


ना दिल से होता है,
ना दिमाग से होता है,
ये प्यार तो इत्तेफ़ाक़ से होता है,
पर प्यार करके प्यार ही मिले,
ये इत्तेफ़ाक़ भी किसी-किसी के साथ होता है।


Udas Na Baitho Fiza Tang Karegi,
Gujre Hue Lamho Ki Sazaa Tang Karegi,
Kisi Ko Na Lao Dil Ke Itna Karib,
Kyunki Uske Jane Ke Baad Uski Har Adaa Tang Karegi.

Mehfil Kabhi Udas Nahi Hoti,
Pyar Ki Manzil Itni Pass Nahi Hoti,
Hota Hai Kabhi Kabhi Aisa Bhi Zindagi Main,
Mil Jate Hai Wo Bhi Jinki Kabhi Talash Nahi Hoti.

Udas Hai Dil Aur Ankho Me Nami Hai,
Jaise Rutha Hai Asman Aur Khamosh Ye Zami Hai,
Yad Na Karne Ki Koi To Waja Batao,
Naraz Ho Ya Waqt Ki Kami Hai.

Udasiyo Ki Wajah To Bahut H Jindagi Me

par Bewajah Khush Rehne Ka Maja Hi Kuch Aur Hai. B Happy.

Thode Se Dil Ko Udas Kar Liya Karo,
Dost Se Dur Hone Ehsas Kar Liya Karo,
Hamesa Ham Hi Yaad Karte Hai,
Khabhi Aap Bhi Yaad Kar Liya Karo !

Udas Tujhe Dekhne Se Phele Ye Ankhe Na Rahe..
Kafa Ho Tu Mujhse To Ye Sanse Na Rahe..
Agr Gum Hi Du Tujhe To Teri Zindgi Mai..
Hum Kya Humari Yadein Bhi Na Rahe..

Udas Ankhon Mein Sabar Dekha Hai

pehli Bar Use Itna Khush Aur Beqarar Dekha Hai

jise Khabar Na Hoti Thi Mere Aane Jane Ki
uski Ankhon Mein Ab Intezar Dekha Hai

Mat Phenk Pani Me Pathhar,
Usey Bhi Koi Peeta Hai,
Mat Raho Yoon Udas Zindagi Main,
Tumhe Dekh Ker Bhi Koi Jeeta Hai..

Phool Khil Kar Bhi Udas Hai

samundar Ko Aaj Pani Ki Pyas Hai

thoda Sa Muskura Do Aap
hame Aaj Duniya Ki Sabse ‘Khubsurat’ Hasi Ki Talash Hai..

Aap Ke Hontho Pe Sada Khilte Gulab Rahe

khuda Na Kare Aap Kabhi Udas Rahe,

Hum Aap Ke Paas Chahe Rahe Na Rahe,
Ap Jine Chahte Wo Humesha Apke Paas Rahe


Junun E Iahq,
Nahi Raas Aaya Hamein,

Jab Bhi Dekha Aaina,
Aks Unka Hi Najar Aaya Hamein,

Tadpate Dil Ke Byaan Karein Kaise ?

Jab Bhi Kureda Ghavo Ko,
Dard Unka Hi Ubhar Aaya.


Ishq Paane Ki Tamanna Mein Sanam,
Zindagi Barbad Banker Reh Gayi,
Jis Surat Ko Dil Mein Basaya Tha Kabhi,
Aaj Woh Surat Ek Yaad Bankar Rah Gayi.


Bahut Ho Chuka Intezaar Unka,
Ab Aur Zakham Sahe Jaate Nahi,

Kya Bayaan Karein Unke Sitam Ko,
Dard Unke Kahe Jate Nahi.


Khud Ko Padhta Hun Chhodh Deta Hun,
Duniya K Dukho Se Yun Muh Mod Leta Hun,
Itne Zakham Hai Meri Nigahon Me Mere,
Dekh Khud Ko Main Aaina Har Roz Tod Deta Hun.


Mujhe Tohfe Diye Har Kadam Khuda Ne,
Bhale Hi Dukhon Se Meri Jholi Bhari Hai,
Na Jaane Kaisi Likhi Hai Meri Takdeer,
Har Mod Par Ek Nayi Musibat Khadi Hai.


Kismat Mein Hamari Likhi Hai Barbaadiyan,
Kab Tak Karayega Khuda Hasino Ki Shadiyan,
Raas Aa Gayi Hai Wirani Mahphil Mujhe,
Ab Dasne Lagi Hai Yeh Hasee Waadiyan.


Iltaja Karta Hun Aapse,
Ab Na Yaad Kabhi Aana,
Aakar Meri Kabr Par,
Na Tun Kabhi Askon Ko Bahana,
Badi Muskil Se Dhunda Hai,
Door Jaane Ka Aapse Rasta,
Kasam Hai Aapko Aapki Meri Rooh Ko Na Tadpaana.


Khayalon Mein Wahi,
Sapno Mein Wahi,
Lekin Unki Yaadon Mein Hum The Hi Nahi,
Hum Jaagte Rahe Duniya Soti Rahi,
Ek Baarish Hi Thi,
Jo Humare Sath Roti Rahi.


एक दिन हम आपसे इतने दूर हो जायेंगे,
के आसमान के इन तारो में कही खो जायेंगे,
आज मेरी परवाह नहीं आपको,
पर देखना एक दिन हद से ज्यादा..
हम आपको याद आएंगे!

Ek Din Ham Aapse Itni Door Ho Jaayenge,
Ke Aasmaan Ke En Taaro Me Kahi Kho Jaayenge,
Aaj Meri Parwah Nahi Aapko,
Par Dekhna Ek Din Had Se Jyada..
Ham Aapko Yaad Ayenge!


Aaina Dekh Ke Kya Se Kya Ho Gaya,
Joh Wafa Tha Kabhi Bewafa Ho Gaya,

Tere Dil Ke Shahar Mein,
Naa Apna Koi,
Pyaas Joh Dikh Gayi,
Dariya Ho Gaya,

Dushmano Se Mile,
Kuch Baat Ban Gayi,
Dost Kam Khush Huye,
Aur Khafa Ho Gaya,

Ah Meri Zindagi,
Ab Mere Saath Chal,
Mout Kya Dikh Gayi,
Kya Nasha Ho Gaya.


Har Shakhs Mujhe Zindagi,
Jeene Ka Tarika Batata Hai,
Unhe Kaise Samjhau Ki,
Ek Khawab Adhura Hai Mera,
Warna Jeena Toh,
Mujhe Bhi Aata Hain !


Har Aag Bujh Jati Hai Barsat Mein,
Magar Dil Ki Aag Na Bujh Saki,

Aansu Ka Paani Girta Raha,
Phir Bhi Dekho Yahan Jalti Rahi.


Zindagi Ki Aise Daud Mein…
Daud Ke Karna Kya Hai!

Jab Yehi Jeena Hai Dosto To Phir…

Marna Kya Hai!


मुझे को अब तुझ से भी मोहब्बत नहीं रही,
आई ज़िंदगी तेरी भी मुझे ज़रूरत नहीं रही,
बुझ गये अब उस के इंतेज़ार के वो जलते दिए,
कहीं भी आस-पास उस की आहट नहीं रही|


Hamari Wafa Ki Kasmein Khata Tha Zamana,
Bewafayi Ki Bhi,
Aap Hi Misaal Banoge,

Har Rag Se Aashikon Ki Ho Wakif,
Dil Todne Mein Aap Kamaal Banoge.


Mere Geeton Ko Jo Sunega,
Tujhko Jaan Hi Lega,

Meri Mehfil Mein Mat Aana,
Tujhko Pahchan Hi Lega,

Teri Surat Jhalkati Hai,
Mere Geeton Ki Lafjon Se,

Zamane Ki Khata Kya Hai,
Tera Naam Hi Lega.


Tamannayein Hamari Bhi Bahut Thi Sanam,
Magar,
Tum Hi Socho Tumne Humse Hai Kiya Kya,
Humne Toh Kiye Shikwe Aapse Laakh Magar,
Sach Kaho Tumne Hamein Koun Sa Hai Sukh Diya.


Zindagi Toh Yun Hi Kat Jaayegi Magar,
Teri Yaad Hamein Bahut Tadpaayegi Magar,

Sabkuchh Hoga Yun Toh Bas Ek Tere Shiwa,
Teri Kami Kami Hi Rah Jaayegi Magar.


अपनो को दूर होते देखा,
सपनो को चूर होते देखा,
अरे लोग कहते हे फ़िज़ूल कभी रोते नही,
हमने फूलोँ को भी तन्हाइयोँ मे रोते देखा!


Dard Ka Ehsas Janna Hai To Pyar Kar Ke Dekho,
Apni Aankho Me Kisi Ko Utar Kar Dekho,
Chot Unko Lagegi Aansu Tumhe Aa Jayenge,
Ye Ehsas Janna Ho To Dil Haar Kar Dekho.


Meri Zindagi Mujhe Yeh Bata,
Mujhe Bhul Kar Tujhe Kya Mila.?

Meri Hasrato Ka Hisaab De,
Dil Tor Kar Tujhe Kya Mila….?

Tere Chaar Din Ke Pyaar Se,
Mujhe Umar Bhar Ka Gum Mila

Main Toot Kar Bikhar Gayi,
Mujhe Tor Kar Tujhe Kya Mila..


समेट कर ले जाओ..
अपने झूठे वादों के अधूरे क़िस्से..
अगली मोहब्बत में तुम्हें फिर..
इनकी ज़रूरत पड़ेगी।

Samet Kar Le Jao..
Apne Jhoothe Waadon Ke Adhure Kisse..
Agli Mohabbat Me Tumhein Phir..
Inki Zarurat Padegi..


आग दिल में लगी जब वो खफ़ा हुए,
महसूस हुआ तब,
जब वो जुदा हुए,
करके वफ़ा कुछ दे ना सके वो,
पर बहुत कुछ दे गए जब वो बेवफ़ा हुए!

Aag Dil Me Lagi Jab Wo Khafa Hue,
Mehsoos Hua Tab,
Jab Wo Juda Hue,
Kar K Wafa Kuch De Na Sake Wo,
Per Bahut Kuch De Gaye Jab Wo Bewafa Hue.


Toota Ho Dil To Dukh Hota Hai,
Karke Mohabbat Kisi Se Ye Dil Rota Hai,


Dard Ka Ehsaas To Tab Hota Hai Jab…

Kisi Se Mohabbat Ho Aur Uske Dil Mein Koi Aur Hota Hai.


Aghosh Mein Lelo Mujhe Tanha Hoon Main,
Basa Lo Dil Ki Dhadkan Me Tanha Hun Main,

Jo Tum Nahi Zindagi Mein Toh Fir Kuch Nahi,
Sama Jao Mujhi Mein Ke Tanha Hoon Main.


Roj Tha Uska Naam Mere Afsane Mein,
Thi Uski Tasveer Mere Dil Ke Aashiyane Mein,
Mangi Thi Khuda Se Dua Jiski Khushi Ke Liye,
Use Khushi Bhi Milti Thi To Mujhe Rulane Mein.


Hum Khud Hi Kar Rahe Hainkhud Ko Door Unse,
Kyun Ki Kal Chale Jana Haibahut Door Unse,
Ashk Kabhi Aaye Aankhon Meinunki Yaad Mein,
Mere Khuda Yeh Nahi Hoga Manjur Kabhi Humein.


Itni Shiddat Se Chaha Use Ki Khud Ko Bhi Bhula Diya,
Unke Liye Apne Dil Ko Kitni Hi Baar Rula Diya,
Ek Baar Hi Thukraya Unhone,
Aur Humne Khud Ko Maut Ki Neend Sula Diya.


Fir Khamoshi Ne Saaj Chheda Hai,
Fir Khayalat Ne Lee Angdayi,
Kisliye Mahfil Sajayee Jaaye,
Pursukun Ho Gayi Hai Tanhayi,
Ek Se Ek Ghatna Huyi Lekin,
Na Gayi Tere Gham Ki Yatnayi,
Koi Shikwa Na Gham Na Koi Yaad,
Baithe Baithe Bas Aankh Bhar Aayi.


Jab Aaina Koi Dekho Ik Ajnabi Dekho,
Kahan Par Layi Hai Tumko Yeh Zindagi Dekho,

Muhabbaton Mein Kahan Apne Waste Fursat,
Jise Bhi Chaho Woh Chahe Meri Khusi Dekho,

Jo Ho Sake Toh Jyada Hi Chahna Mujhko,
Kabhi Jo Meri Mohabbat Mein Kuchh Kami Dekho,

Jo Door Jaaye Toh Gham Hai Jo Paas Aaye Toh Gham Hai,
Na Jaane Kya Hai Woh Kambakht Aadmi Dekho,

Ujala Toh Nahi Kah Sakte Isko Hum Lekin,
Jara Si Kam Toh Huyi Hai Andhkar Dekho.


Nigal Gaye Sab Ki Sab Samandar Jami Bachi Ab Kahi Nahi Hai,
Bachaate Hum Apni Jaan Jismein Woh Kasti Bhi Ab Kahi Nahi Hai,

Bahut Dino Baad Paayi Fursat Toh Maine Khud Ko Palatkar Dekha,
Magar Main Pahchanta Tha Jisko Woh Aadmi Ab Kahi Nahi Hai,

Gujar Gaya Vakt Dil Pe Likhkar Na Jaane Kaisi Ajib Baatein,
Panna Paltata Hu Main Jo Dil Ke Toh Saadgi Ab Kahin Nahi Hai,

Woh Aag Barsi Dopahar Mein Ki Saare Manjar Jhulas Gaye Hain,
Yahan Savere Jo Taajgi Thi Woh Taajgi Ab Kahi Nahi Hai,

Tum Apne Kasbon Mein Jaake Dekho Wahan Ab Shahar Base Hain,
Ki Dhundhte Ho Jo Zindagi Tum Woh Woh Zindagi Ab Kahi Nahi Hai.


Chaha Ke Ye Aasma Humara Hota,
Khwaisho Ka Koi Kinara Hota,

Ye Soch Kar Na Roka Us Musafir Ko Humne,
Dur Jata Hi Kyu Agar Wo Hamara Hota.


Mujse Naraz Hai,
To Chor De Tanha Mujko,
Zindagi Dekh,
Mujhe Roz Tamasha Na Bana.


Tum Banke Dost Aise Aaye Zindagi Mein,
Ki Hum Yeh Zamana Hi Bhool Gaye,
Tumhen Yaad Aaye Na Aaye Hamari Kabhi,
Par Hum To Tumhe Bhulana Hi Bhool Gaye.

तुम बनके दोस्त ऐसे आए ज़िंदगी मे,
के हम ये ज़माना ही भूल गये,
तुम्हे याद आए ना आए हमारी कभी,
पर हम तो तुम्हे भूलना ही भूल गये!


Ranjish Nahi Mujhe Koi Bhi Tujhse,
Jakhmon Ko Tere Sada Sahlaya Hai,

Na Jaane Khuda Ko Kya Tha Sikwa,
Jo Inssan Duniya Mein Aaya Hai.


Mohabbat Hai K Nafrat Hai,
Koi Itna Tou Samjhaye,

Kabhi Main Dil Se Larti Hu,
Kabhi Dil Mujh Se Larta Hai!


Tumhari Yadon Se Koi Nata Nahi Tha,
Pr Tumhe Bhool Jana Hame Aata Nahi Tha,
Yu To Umar Gujri Hai Tumse Pehle Bhi Tanha Meri,
Magar Tab Akelapan Hume Yu Satata Nahi Tha.


Unke Hontho Pe Mera Naam Jab Aya Hoga..
Khudko Ruswayi Se Phir Kaise Bachaya Hoga..
Sunke Fasana Auro Se Merii Barbadi Ka..
Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aya Hoga.


Na Zindagi Mili Na Wafa Mili,
Kyun Har Khushi Hum Se Khafa Mili,
Jhoothi Muskaan Liye Dard Chupaate Rahe,
Sachche Pyaar Ki Kya Saza Mili.


Apne Pyar Mein Woh Hamein Badnaam Samjhate Hain,
Unpar Hum Fida Huye Toh Apna Gulaam Samjhate Hain,
Mann Ke Pujaari Ki Unko Kuchh Bhi Kadar Nahi,
Tann Ke Pujaari Ko Woh Apna Bhagwan Samjhate.


Kore Kagaj Ki Tarah,
Meri Zindagi Veeran Hai,

Gham Ki Duniya Mein Yaaro,
Gham Hi Meri Pahchan Hai,

Khud Gham Sada Hoke Bhi,
Karta Hai,
Khush Logon Ko,

Sach Toh Yeh Hai Sanam,
Ki Dard Hi Jaan Ha.


Mene Kab Dard K Zakhmo Se Shikayat Ki Hai,
Haan Mera Jurm Hai K Maine Mohabat Ki Hai,

Aaj Fir Dekha Hai Use Mehfil Me Pathar Bankar,
Mene Aankho Se Nahi Dil Se Baghawat Ki Hai,

Usko Bhool Jane Ki Galti Bhi Nahi Kar Sakta,
Toot Kar Ki Hai Toh Sirf Usi Se Mohabbat Ki Hai.


Is Kadar Dil Ko Dukhana Achha Nahi Hota,
Har Kisi Se Yun Dil Ko Lagana Achha Nahi Hota,

Kuchh Riste Hote Hain Aise Jinme Behtar Hai Dooriyan,
Itna Bhi Kisi Ke Paas Jana Achha Nahi Hota.


Tag:
Sad Shayari, Shayari, Sad Shayari Status, Sad Shayari Whatsapp Status, Love Shayari, Tik Tok Sad Shayari, Hindi Shayari, Sad Poetry, Sad Shayari In Hindi, Heart Touching Shayari, New Shayari, Tik Tok Shayari, Sad Shadi Shayari, Sad Shayari Urdu, Urdu Sad Shayari, 2 Line Sad Shayari, Shayari Status, Sad Shayari On Love, Sad Shayari To Line, Tiktok Sad Shayari, Nepali Sad Shayari, Gf Shadi Shayari, Shayari Sad, Hindi Shayri

Read More

Best Sad Shayari - गम भरी शायरी | अध्याय 1

March 06, 2022

गम भरी शायरी


Sad Shayari, Shayari, Sad Shayari Status, Sad Shayari Whatsapp Status, Love Shayari, Tik Tok Sad Shayari, Hindi Shayari, Sad Poetry, Sad Shayari In Hindi, Heart Touching Shayari, New Shayari, Tik Tok Shayari, Sad Shadi Shayari, Sad Shayari Urdu, Urdu Sad Shayari, 2 Line Sad Shayari, Shayari Status, Sad Shayari On Love, Sad Shayari To Line, Tiktok Sad Shayari, Nepali Sad Shayari, Gf Shadi Shayari, Shayari Sad, Hindi Shayri
Kabhi Hum Bhi Soya Karte The
Teri Tarha Bekhabar Ho Kar,
Jaan ..
Ab Toh Yeh Aalam Hai,
Ke Neend Ko Taraste Taraste Raat Guzar Jaati Hai.


Dil Ki Awaz Koi Pehchanta Nahi,
Kisko Kya Dard Hai Koi Janta Nahi,
Hum Bhi Nahi Chahte Aapko Pareshan Karna,
Magar Kya Kare Dil Hai Ki Manta Nahi.


Mohabbat Woh Haseen Gunaah Hain,
Jise Har Insaan Khushi Khushi Karta Hain . .

Par Mohabbat Mein Intezaar Wo Saza Hai.

Jo Sirf Wohi Karta Hai . .
Jo Such Mein Mohabbat Karta Hai.


Zuban Khamosh Aankhon Me Nami Hogi,
Yahi Bas Ek Dastan-E-Zindagi Hogi,

Bharne Ko To Har Zakham Bhar Jayega,
Kaise Bhariegi Wo Jagah Jaha Teri Kami Hogi.


Sab Kuchh Milta Hai Duniya Mein,
Magar Ek Pyar Nahi Milta,

Dushman Toh Laakhon Milte Hain,
Magar Sachha Yaar Nahi Milta,


Humne Toh Bas Itna Hi Sikha Hai Dosto,
Raah E Mohabbat Mein Kabhi Kinara Nahi Milta,


Jo Mil Jaaye Is Raah Par Kabhi Yaar Se,
Woh Jakham Fir Kabhi Bhi Dubara Nahi Silta.


एक दिन जब हम दुनिया से चले जायेंगे,
मत सोचना आपको भूल जायेंगे,

बस एक बार आसमान की तरफ़ देख लेना,
मेरे आँसू बारिश बनके बरस जायेंगे.

Ek Din Jab Hum Duniya Se Chale Jayenge,
Mat Sochna Aapko Bhul Jayenge,


Bas Ek Baar Aasman Ki Taraf Dekh Lena,
Mere Aansoo Barish Banke Baras Jayenge.


Aap Ki Yadain Amanat Hain Hamari,
Aap Ki Khushi Chahat Hai Hamari,


Aap Se Wafa Mohabbat Hai Hamari,
Par Aap Se Doori Shayad Kismat Hai Hamari.


Zindgi Se Apna Har Dard Chupa Lena,
Khushi Na Sahi Gam Gale Laga Lena,


Koi Agar Kahe Mohabbat Aasan Hai,
To Use Mera Toota Hua Dil Dikha Dena.

ज़िंदगी से अपना हर दर्द छुपा लेना,
ख़ुशी न सही गम गले लगा लेना,


कोई अगर कहे मोहब्बत आसान है,
तो उसे मेरा टूटा हुआ दिल दिखा देना.


Apni Aadat Hai Ke Dil Khol Dikhata Hun Main,
Yehi Hai Vajah Ke Sabhi Se Dhokha Khata Hun Main,

Bas Ranjish Hai Itni Mujhe Tujhse Eh Khudara,
Tere Logon Ko Kabhi Samajh Hi Nahi Pata Hun Main.


Toote Hue Pyaale Mein Jaam Nahi Aata,
Ishq Mein Mareej Ko Aaraam Nahi Aata,
Ae Bewafa Dil Todne Se Pehle Ye Soch Liya Hota,
Ki Toota Hua Dil Kisi Ke Kaam Nahi Aata.

टूटे हुए प्याले में जाम नहीं आता,
इश्क़ में मरीज को आराम नहीं आता,
ये बेवफा दिल तोड़ने से पहले ये सोच तो लिया होता,
की टुटा हुआ दिल किसी के काम नहीं आता !


Aaj Kisi Duwa Ki Kami Hai,
Tabhi To Hamari Ankho Mein Nami Hai,

Koi To Hai Jo Bhul Gaya Humein,
Par Hamare Dil Mein Unki Jagah To Wahi Hai.


Mujhko Rulane Se Milta Hai Sabko Na Jaane Kya,
Na Jaane Kyu Us Khuda Ko Bhi Raham Aata Nahi,


Maine Kabhi Bhi Na Ki Sikayat,
Bhale Hi Laakh Gham Mile,
Magar Mere Moulal Mujhse Ab Aut Jiya Jata Nahi.


Ik Tum Ho Jise Pyar Bhi Yaad Nahi,
Ik Mein Hu Jise Or Kuch Yaad Nahi,


Jindgi Maut Ke Do Hi To Tarane Hai,
Ik Tume Yad Nahi Ik Mujhe Yad Nahi.


वो जिसकी याद मे हमने खर्च दी जिन्दगी अपनी।
वो शख्श आज मुझको गरीब कह के चला गया ।

Wo Jiski Yaad Me Kharch Kar Di Zindgi Hame.

Wo Hi Shaks Aaj Hame Garib Kahkar Chala Gaya.


Wade Wafa Kar K Kyu Mukar Jate Hai Log,
Kisi Ke Dil Ko Kyu Tadpaate Hai Log,

Agar Dil Lagakar Nibha Nahi Sakte To Fir,
Kyu Dil Ko Dil Se Itna Lagaate Hain Log.


In Aankho Me Aansoo Aaye Na Hote,
Woh Jo Mud Kar Muskuraye Na Hote,
Unke Jane Ke Baad Ye Gam Hota Hai,
Kash Woh Jindgi Me Aaye Na Hote!

इन आंखो मे आंसू आये न होते,
अगर वो पीछे मुडकर मुस्कुराये न होते,
उनके जाने के बाद बस यही गम रहेगा,
कि काश वो हमारी ज़िन्दगी मे आये न होते।


Har Ashiq Ki Ek Ajab Kahani Hai,
Chup Rehna Bhi Pyar Ki Nisani Hai,
Koi Zakhm Nahi Fir Bhi Dard Ka Ehsas Hai,
Lagta Hai Dil Ka Ek Tukra Aj Bhi Uske Paas Hai.


Teri Rahmat Ne Mere Daata,
Mujhko Jeena Sikha Diya,
Na Raha Kisi Se Bhi Sikwa,
Jakhmon Ko Seena Sikha Diya.


Kabhi Aisi Bhi Berukhi Dekhi Hai Humne
ke Log Aap Se Tum Tak,
Aur Tum Se Jaan Tak,
Fir Jaan Se Anjaan Tak Ho Jate Hain..


Unki Chahat Mein Dil Majbur Ho Gaya,
Bewafayi Karna Unka Dastur Ho Gaya,
Kasur Unka Nahi Tha Mera Tha,
Humne Chaha Hi Itna Ki Shayad Unko Gurur Ho Gaya.


Bebas Hai Dil Beraham Hain Niganein,
Marne Se Pahle Thaam Lena Meri Baahein,

Fir Maalum Nahi Manzil Mile Na Mile,
Sambhal Kar Chalna Kanton Bhari Hain Raahein.


Mujhe Rahne Do Eh Dost Paas Apne,
Najron Se Yun Apni Tum Door Na Karo,

Bas Ek Zindagi Hi Baaki Hai Paas Mere,
Isko Bhi Ganvaane Pe Majboor Na Karo.


Auron Ko Bhi Du Main Kya Dosh Bhala Yahan Sagar,
Shayad Gham Sahne Ki Mujhko Hi Aadat Ho Gayi,

Jab Thi Tamannayein Mere Dil Mein Woh Zamane Aur The,
Jisko Khusiyan Chahiye Thi Woh Aatma Toh So Gayi.


Pee Ke Raat Ko Hum Unko Bhulane Lage,
Sharab Mein Gham Ko Milane Lage,
Daru Bhi Bewafa Nikali Yaron,
Nashe Mein To Woh Aur Bhi Yaad Aane Lage.


Aapke Pyar Mein Payi Hain Aisi Sajayein,
Ke Khud Ke Saath Mein Ho Gaye Hum Paraye,

Aapne Toh Apne Halaat Bataa Diye Mujhe,
Magar Hum Kiske Saamne Yahan Aansu Bahayein.


Kaun Kahta Hai Ghamon Mein Jiya Nahi Jata,
Kaunkahta Hai Jeevan Ka Jahar Piya Nahi Jata,
Humko Dekhiye Ji Raha Hai Lakhon Jakham Khakar,
Kaun Kahta Hai Har Ek Jakham Siya Nahi Jata.


गम ने हसने न दिया,
ज़माने ने रोने न दिया!
इस उलझन ने चैन से जीने न दिया!
थक के जब सितारों से पनाह ली!
नींद आई तो तेरी याद ने सोने न दिया!

Gham Ne Hasne Na Diya,
Jamane Ne Rone Na Diya,
Is Uljhan Ne Chain Se Jeene Na Diya,
Thak Ke Jab Sitaaro Se Panaah Lee,
Neend Aayi To Teri Yaad Ne Sone Na Diya.


Abhi Jameer Mein Thodi Si Jaan Baki Hai,
Abhi Hamara Ko Imtehaan Baki Hai,

Hamare Ghar Ko Toh Ujde Huye Jamana Hua,
Magar Suna Hai Abhi Woh Makan Baaki Hai,

Hamari Unse Jo Thi Baat Woh Khatam Huyi,
Magar Khamosh Sa Kuchh Darmiyan Baaki Hai,

Hamare Jahan Ki Basti Mein Aag Aisi Lagi,
Ki Jo Tha Khak Hua Ik Dukan Baaki Hai,

Woh Jakham Bhar Gaya Arsa Hua Magar Ab Tak,
Jara Sa Dard Jara Sa Nishaan Baaki Hai,

Jara Si Baat Jo Faili Toh Dastan Ban Gayi,
Woh Baat Khatm Huyi Daastan Baaki Hai.


Gehri Thi Raat,
Lakin Hum Khoye Nahi,
Dard Bahoot Tha Dil Mein,
Lakin Hum Roye Nahi,
Koi Nahi Hamara Jo Puche Humse,
Jag Rahe Ho Kisi Ke Liye,
Ya Kisi Ke Liye Soye Hi Nahi..


Wo Hum Se Door Hokar Bhi,
Hamare Dil Ke Paas Rahta Hai,

Jise Woh Sabse Pyara Hai,
Use Begana Kahta Hai,

Jo Chaha Tha Woh Kar Dala,
Mujhe Khud Se Juda Karke,

Meri Yeh Jaan Bhi Le Lo,
Bas Yahi Karne Ko Rahta Hai.


Zindagi Se Hume Koi Shikayat Nahi,
Jee Toh Rahe Hai Par Khusi Se Nahi,
Har Shakhs Ne Dukh Bhi Bahut Diye,
Par Hum Kisi Se Naraj Bhi Nahi.


Jiss Dil Pe Na Aayi Chot Kabhi Woh Dard Kisi Ka Kya Jane,
Khud Shamma Ko Maloom Nahi Kyon Jal Jate Hain Parwaane,

Matt Poochoo Kya Guzarti Hai Juda Jab Yaar Hote Hain,
Aansoo Teer Ban Ke Jigar Ke Paar Hote Hain.


Roothe Huye Logon Ko Toh
Main Mana Leta Hun,

Magar Roothi Ji Mujhse Takdeer
Toh Manaun Kaise,

Doston Ne Toh Dekha Hai
Mujhe Sadaa Hansate Huye,

Magar Kitna Gham Hai
Sab Ko Bataao Bataun Kaise.


Kise Apna Banayen,
Koi Is Kaabil Nahi Milta,
Yahan Pattahar Bahut Milte Hain,
Par Dil Nahi Milta,
Yeh Duniya Farebon Ki Basti Hai Aye Dost,
Yahan Sirf Dard Milte Hain,
Humdard Nahi Milta.


Ik Mulaqat Thi ..
Jo Dil Ko Sada Yad Rahi,
Main Jise Umer Samajhta Tha ..
Woh Ik Pal Nikla.


Dil Se Aapka Khayal Jata Nahi,
Aapke Siva Koi Yaad Aata Nahi,

Ji Chahta Ki Aapko Roj Dekhu Par,
Wo Waqt Kabhi Aata Nahi.


Mera Dil Jalane Wale,
Mera Dil Jala Ke Roye,
Mujhe Aajmane Wale,
Mujhe Aajma Ke Roye,
Mere Samane Se Gujare,
Mera Haal Bhi Na Poochha,
Main Yakin Karun To Kaise,
Ke Wo Door Ja Ke Roye.

मेरा दिल जलाने वाले,
मेरा दिल जला के रोए,
मुझे आजमाने वाले,
मुझे आजमा के रोए,
मेरे सामने से गुजरे,
मेरा हाल भी ना पूछा,
मैं यकीं करूं तो कैसे,
के वो दूर जा के रोए।


Hamne Dhunde Bhi Toh Dhubde Hain Sahare Kaise,
In Sharabo Par Koi Umar Gujare Kaise,

Hath Ko Hath Nahi Sujhe Woh Andhkar Thi,
Aa Gaye Haath Mein Na Jaane Sitare Kaise,

Har Taraf Shor Usi Naam Ka Hai Duniya Mein,
Koi Usko Jo Pukare Toh Pukare Kaise.


Kisi Na Kisi Pe Kisi Ko Aetbar Ho Jata Hai,
Ajnabi Koi Shaks Yaar Ho Jata Hai,
Khubiyon Se Nahi Hoti Mohabbat Bhi Sadaa,
Khamiyon Se Bhi Aksar Pyaar Ho Jata Hai.

किसी न किसी पे किसी को ऐतबार हो जाता है,
अजनबी कोई शख्स यार हो जाता है,
खूबियों से नहीं होती मोहब्बत सदा,
खामियों से भी अक्सर प्यार हो जाता है।


Sochta Hun Milunga Jab Tujhse,
Tujhe Seene Se Apane Lagaunga,

Chhupa Lunga Dil Mein Main Tujhko,
Kahin Door Na Fir Kabhi Jaaunga.


Teri Yaadon Ke Sahare Duniya Mein Rah Lete Hai,
Teri Juddai Ka Gam Chupchap Sah Lete Hai,
Samjhaya Dilko Yeh Raaz Chupana Hai,
Par Aansu Banke Wo Sab Kah Dete Hai.


Kya-Kya Na Saha Tere Pyar Ke Liye,
Tu Bhul Gayee Mujhe Begaane Yaar Ke Liye,

Bitaaye The Lamhe Saath Milkar Kabhi,
Tarsate Hain Aaj Tere Deedar Ke Liye.


Aapse Yeh Doori Humse Sahi Nahi Jati,
Juda Hoke Aapse Humse Raha Nahi Jata,
Ab Toh Waapas Laut Aayiye Hamare Paas,
Dil Ka Haal Ab Lafzon Mein Kaha Nahi Jata!


Kitna Khusnuma Hoga,
Wo Meri Maut Ka Manjar,
Jab Mujhe Thukrane Wale Khud Mujhe Pane Ke Liye,
Aansu Bahayange…!


Sari-Sari Raat Naa Soye Hum,
Raato Ko Uth-Uth Ke Khub Roye Hum,
Bas Ik Baar Mera Kasoor Bata De,
Itna Pyar Kar K B Kyu Na Tere Huye Hum.


Thokare Kha Kar Bhiagar Na 
Sambhle To Musafir Ka Naseeb..
Warnaraahon Ke Patthar To..
Apna Farz Adaa Karte Hi Hain.


Phir Se Woh Sapna Sajane Chala Hun,
Umeedon Ke Sahare Dil Lagane Chala Hun,
Anzaam To Mera Bura Hi Hoga,
Phir Bhi Tumhe Apna Banane Chala Hun.


Teri Saja Tab Tak Qabool Hai Mujhe,
Jab Tak Mere Sareer Mein Jaan Hai,

Kaise Dushmano Se Gila Karein Hum,
Jab Apne Hi Hum Par Meharban Hain.


Hanste Huye Zakhmon Ko Bhulane Lage Hain Hum,
Har Dard Ke Nishaan Mitaane Lage Hain Hum,
Ab Aur Koi Zulm Satayega Kya Bhala,
Zulmon Sitam Ko Ab Toh Satane Lage Hain Hum.

हँसते हुए ज़ख्मों को भुलाने लगे हैं हम,
हर दर्द के निशान मिटाने लगे हैं हम,
अब और कोई ज़ुल्म सताएगा क्या भला,
ज़ुल्मों सितम को अब तो सताने लगे हैं हम।


Aye Chand Usey Kehna,
Woh Jo Dur Bohat Dur Basta Hai,
Usey Koi Yaad Karta Hai,
Aur,
Behisaab Karta Hai,
Usey Kehna,
Jab Woh Kisi Aur Ke Sang Hasta Hai,
To Phir Dur Bohat Dur Kisi Ka Dil Darhakta Hai,
Aur,
Jab Woh Udaas Hota Hai,
Pass Uske Na Koi Gham Shanas Hota Hai,
To Phir Dur Bohat Dur Kisi Ki Aankhon Se Lahoo Barasta Hai.


Mera Aitbar Kam Tha Kisi K Aitbar K Samne,
Mera Intzar Kam Tha Kisi K Intzar K Samne,
De Di Usne Apni Chahat Kisi Aur Ko,
Shayad Mera Pyar Kam Tha Kisi K Pyar K Samne.


Teri Mohabbat Ke Pyase The,
Isliye Haath Faila Diya Humne,
Warna Hum To Khud Ki,
Zindagi Ke Liye Bhi Dua Nahi Karte….


Woh Humsafar Ishq Ke,
Uss Dariya Mein Chhod Gaya,
Jis Ka Koi Kinaara Nahi,
Ab Kya Bataun,
Kaise Bataayen Apna Hal E Dil,
Ab Toh Us Ishq Mein Fana Ho Gaya Hu,
Jis Mein Rooh Toh Rahi Par Dil Na Raha.


मज़बूरी में जब कोई जुदा होता है,
ज़रूरी नहीं कि वो बेवफ़ा होता है,
देकर वो आपकी आँखों में आँसू,
अकेले में वो आपसे ज्यादा रोता है।

Majburi Mein Jab Koi Juda Hota Hai,
Zaruri Nahi Ke Wo Bewafa Hota Hai,
De Kar Wo Aapki Aankho Me Aansu,
Akele Me Aapse Bhi Zyada Rota Hai.


Khwab Ki Tabir Thi,
Ya Kuchh Hakikat,

Gham Suda Yaadein Thi,
Ya Mahfil Ki Kadwahat,

Maut Ki Raftar Thi,
Ya Dulhan Ki Sajawat,

Armano Ki Barat Thi,
Ya Khuchal Jane Ki Aahat.


Yeh Manta Hun Main,
Ki Har Koi Bewafa Nahi Hota,
Magar Teri Tarah Har Koi Sab Kuchh Toh Nahi Khota,
Yeh Bhi Sach Hai Ki Agar Mujhko Gham Nahi Milte,
Toh Is Duniya Mein Shayad Main Nahi Hota.


Aap Humse Na Milte Toh Achha Tha,
Humaise Kisi Se Pyar Toh Na Karte,

Yeh Rahta Kambhakt Paas Hamare Hi,
Dil Apne Ko Yun Bekarar Toh Na Karte.


Ab Na Janengey Kabhi Hum Ki Zindagi Kya Hoti,
Tum Hote Agar Sang To Tum Zindagi Hote,
Saath Hote Hum To Kisi Rang Mein Yeh Rangi Hoti,
Tum Khushi Hote To Zindagi Kitni Khush Hoti,
Dil Ko Nahi Koi Aur Phir Aaarzoo Hoti,
Tum Hote Mere Sab Kuch To Tum Sabhi Kuch Hote.


एक अजीब सा मंजर नज़र आता है,
हर एक आँसूं समंदर नज़र आता हैं,
कहाँ रखूं मैं शीशे सा दिल अपना,
हर किसी के हाथ मैं पत्थर नज़र आता हैं|


Na Toh Dua Hi Kaam Aayi Mere,
Na Hi Dawaon Ne Asar Kiya,
Har Zakham Naasur Hota Raha Mera,
Yeh Zeevan Ro-Rokar Basar Kiya.


Tu Bhi Hai Sangdil Bewafa Eh Dost,
Yeh Sochkar Dil Ghabrata Hai,
Ab Karun Bhi Kya Ke Bin Tere,
Mujh Se Jiya Nahi Jata Hai.


Aankhein Roi Padhi Hani,
Na Unka Paigam Aayachale Gaye Humein Akela Chodkar,
Yeh Kaisa Mukaam Aaya

Meri Tanhai Mujhpar Hansi Yeh Keh Kar,
Aur Bolibataa Aakhir Mera Siva Tere Kaun Kaam Aaya.


जीने की ख्वाहिश में हर रोज़ मरते हैं,
वो आये न आये हम इंतज़ार करते हैं,
झूठा ही सही मेरे यार का वादा है,
हम सच मान कर ऐतबार करते हैं ।

Jeene Ki Khwaish Me Har Roz Marte Hai,
Wo Aaye Na Aaye Hum Intezaar Karte Hai,
Jutha Hi Sahi Mere Yaar Ka Vaada Hai,
Hum Sach Maankar Aitbar Karte Hai.


Door Jakar Bhi Hum Door Jaa Na Sakenge,
Kitna Royenge Hum Bata Na Sakenge,
Gham Iska Nahi Ki Aap Mil Na Sakoge,
Dard Is Baat Ka Hoga Ki Hum Aapko Bhula Na Sakenge.


Dard E Judai Sahne Ki Aadat Si Ho Gayi,
Gham Na Kisi Se Kahne Ki Aadat Si Ho Gayi,

Hokar Juda Bhi Yaar Ne Le Liya Jeene Ka Wada,
Rote Huye Bhi Jinda Rahne Ki Aadat Si Ho Gayi.


Yahi Talak Tha Saathhamara Aur Tumhara Sanam,
Aaj Fir Ek Baarakele Pad Gayein Hain Hum,
Khud Hi Aakar Let Gaye Hainhum Apni Kabar Mein,
Kyuki Apni Zindagi Seaaj Dar Gaye Hain Hum.


Ismein Aapki Khata Bhi Kya Bataun Main,
Hamare Naseeb Mein Hi Aapka Saath Nahi Hai,

Varna Sagar Ki Dosti Ko Yun Thukraate,
Aisi Toh Yahan Par Koi Bhi Baat Nahi Hai.


Bharosa Nahi Raha Ise Jab Apni Zindagi Ka,
Bataao Yeh Kisi Aur Ka Aitbar Kare Kaise,

Ek Baar Toh Kha Chuka Hai Yeh Dhoka Pyar Mein,
Ab Aur Kisi Se Batao Pyar Kare Kaise.


दर्द से हाथ न मिलाते तो और क्या करते,
गम के आंसू न बहते तो और क्या करते,
उसने मांगी थी हमसे रौशनी की दुआ,
हम खुद को न जलाते तो और क्या करते!

Dard Se Hath Na Milate To Aur Kya Karte,
Gham Ke Aansoo Na Bahate To Aur Kya Karte,
Usne Maangi Thi Humse Roshni Ki Dua,
Hum Khud Ko Na Jalate To Or Kya Karte


Ankhe Kyu Hui Meri Num Kabhi Sochna,
Kyu Hua Hum Pe Itna Sitam Kabhi Sochna,
Pyar To Hum Dono Ne Kiya Tha,
Lekin Sirf Mujhe He Kyu Mila Itna Gum Kabhi Sochna.


Nafrat Thi Hamsea To Pyar Kyo Kiya,
Dena Tha Jahar To Ikrar Kyo Kiya,
De Ke Jahar Ab Kahte Ho Ki Pina Hi Hoga,
Or Jab Pi Gye To Kahte Ho Jina Hi Hoga.


मोहब्बत कि ज़ंज़ीर से डर लगता हे,
कुछ अपनी तफलीक से डर लगता हे.जो मुझे तुजसे जुदा करते हे,
हाथ कि वो लकीरो से डर लगता हे.

Mohabbat Ki Zanjeer Se Der Lagta Hai,
Kuch Apni Taqdeer Se Der Lagta Hai,
Jo Mujhey Tujh Se Juda Kerti Hai,
Mujhey Hath Ki Uss Lakeer Se Der Lagta Hai!


Rone Ki Saza Hai Na Rulane Ki Saza Hai,
Ye ‘Dard’ Muhabbat Ko Nibhane Ki Saza Hai,
Hanste Hai To Aankho Se Nikalte Hai Aansoo,
Ye Ek Shakhs Ko Itna Chahne Ki Saza Hai.


Koshishen Tmaam Nakam Ho Gayi,
Ankhon Se Ansuon Ki Barish Aam Ho Gayi,
Bewafai Humse Karke Wo Chale Gaye,
Aur Wafa Hamari Badnaam Ho Gayi…


Mera Sahara Toh Sharab Ka Pyala Hai,
Jakhmon Ne Mujhe Dard Dekar Pala Hai,

Thokar Marker Giraya Khusi Ne Mujhe,
Toh Haath Badhakar Ghamon Ne Sambhala Hai.


दिल का हर राज दे दिया उनको मैहरबान समझ कर,
लगाया मौत को गले से हमने,
उनका फरमान समझ,
कर ,
वो नादान क्या जाने मेरी दीवानगी कि हद को,
कि हर सितम को सहा है हमने उसका अहसान समझकर|


Meri Zindagi Bhi Meri Nahi Yehhajar Khano Mein Banti Gayi,
Mujhe Ek Muthi Jamin Deyeh Jamin Kitni Simat Gayi,

Teri Yaad Aaye Toh Chup Rahujara Chup Rahu Toh Ghazal Kahu,
Yeh Ajib Aag Ki Bel Thimere Tan Badan Se Lipat Gayi,

Mukhe Likhne Wala Likhe Bhi Kyamujhe Padhne Wala Padhe Bhi Kya,
Jahan Mera Naam Likha Gayawahin Par Roshnayi Ulat Gayi.


उल्फत की जंजीर से डर लगता हैं,
कुछ अपनी ही तकदीर से डर लगता हैं,
जो जुदा करते हैं,
किसी को किसी से,
हाथ की बस उसी लकीर से डर लगता हैं.

Ulfat Ki Zanjeer Se Dar Lagta Hai,
Kuch Apni Takdeer Se Dar Lagta Hai,
Jo Kisi Ko Kisi Se Juda Karti Hai,
Hath Ki Us Lakeer Se Dar Lagta Hai.


Kab Huyi Pyar Ki Barsat Mujhe Yaad Nahi,
Khof Mein Doobi Mulaqat Mujhe Yaad Nahi,

Main To Madhosh Tha Kuch Itna Uski Chahat Mein,
Usne Kab Chorr Diya Mera Sath Mujhe Yaad Nahi.


Ujadi Hui Duniya Ko Tu Aabad Na Kar,
Behte Hue Lamho Ko Tu Yaad Na Kar,
Ek Qaid Parinde Ka Hai Tumse Yahi Kehana,
Mai Bhool Chuka Hoon Udna..
Mujhe Aazad Na Kar.

उजड़ी हुई दुनिया को तू आबाद न कर,
बीते हुए लम्हों को तू याद न कर,
एक कैद परिंदे ने ये कहा हम से..
मैं भुल चुका हूं उड़ना मुझे आजाद न कर!


Umeed Ka Daman Chod To Diya Hamne,
Apne Hathon Se Apna Dil Tod To Liya Hamne,
Jane Kahan Se Le Aati Hai Uski Yaad In Ankhon Me Pani,
Katra Katra Ansuon Ka In Ankhon Se Nichod To Liya Hamne.


दो कदम तो सब चल लेते हैं पर ,
ज़िन्दगी भर साथ कोई नहीं निभाता ,
अगर रो कर भूल जाती यादें ,
तो हस कर कोई गम न छुपाता .

Do Kadam To Sab Chal Lete Hain Par,
Zindagi Bhar Saath Koi Nahi Nibhata ,
Agar Ro Kar Bhool Jaati Yaadein,
To Has Kar Koi Gum Na Chhupaata .


इस तरह मिली वो मुझे सालों के बाद,
जैसे हक़ीक़त मिली हो ख़यालों के बाद,
मैं पूछता रहा उस से ख़तायें अपनी,
वो बहुत रोई मेरे सवालों के बाद|


Tere Ishq Mein Sab Kuchh Luta Baitha,
Main Toh Zindagi Bhi Apni Ganva Baitha,
Ab Jeene Ki Tamanna Na Rahi Baki,
Saare Armaan Main Apne Dafna Baitha.


Woh Begaano Mein Apne,
Hum Apno Mein Anjaan Lagte Hain,

Hamare Khoon Ki Keemat Nahi,
Unke Ashkon Ke Bhi Daam Lagte Hain,

Kya Bheekh Mange,
Upar Waale Se Ab Jeevan Ki,

Ab Toh Yeh Lamhe,
Chand Dino Ke Mehmaan Lagte Hain.


Mere Aankhon Ke Aansu Kah Rahe Mujhse,
Ab Dard Itana Hai Ki Saha Nahi Jata,
Na Rok Palako Se Khul Kar Chhalakane De,
Ab Yu In Aankhon Mein Raha Nahi Jaata.

मेरी आंखों के आंसू कह रहे मुझसे,
अब दर्द इतना है कि सहा नहीं जाता,
न रोक पलको से खुल कर छलकने दे,
अब यूं इन आंखों में रहा नहीं जाता।


Kya Batayein Aapko Hum Apni Majburiyan,
Ki Kyu Aapko Hum Apna Bana Na Sake,

Bas Samajh Lijiye Ki Badnaseebi Thi,
Jo Aapke Pyar Ko Bhi Hum Pa Na Sake.


Zindagi Ne Kuch Is Tarah Ka Rukh Liya,
Jisne Jis Taraf Chaha Mod Diya,
Jisko Jitni Thi Zaroorat Saath Chala,
Aur Phir Ek Lamhe Mein Tanha Chod Diya.


Duniya Ko Humse Shikayat Yahi Hai,
Ki Uske Usulon Ko Hum Nahi Jaante,
Are Inhi Par Toh Chal Rahe Hain,
Dosto,
Tabhi Kisi Ko Apna Hum Nahi Maante.


Na Kar Mohabbat Aye Dil Ye Tera Kaam Nahi Hai,
Khushiyon Ka Jahan Me Kahi Tera Naam Nahi Hai,
Hamne Bhi Ab Ye Socha Hai K Ab Chain Se So Jayen,
Jeete Jee Hamahi Kismat Me Araam Nahi Hai.


Raj Jab Sine Se Bahar Ho Gaya Apna Kahan
ret Par Bhikhre Huye Aansu Utha Sakte Nahin,

Aadmi Kya Hai Gujrate Wakt Ki Tasveer Hai

jaane Wale Ko Sada Dekar Bula Sakte Nahin,

Sahar Mein Rahte Huye Hamein Jamana Ho Gaya

koun Rahta Hai Kahan Kuchh Bhi Bata Sakte Nahin.


Kaha Koi Aisa Mila Jispe Dil Luta Dete,
Har Ek Ne Dhoka Diya Kis-Kisko Bhula Dete,
Apne Dil Ka Dard Dil Hi Mein Dabaye Rakhe Hain,
Karte Bayan To Mehfil Ko Rula Dete.

कहाँ कोई ऐसा मिला जिस पर हम दुनिया लुटा देते,
हर एक ने धोखा दिया,
किस-किस को भुला देते,
अपने दिल का ज़ख्म दिल में ही दबाये रखा,
बयां करते तो महफ़िल को रुला देते।


उसकी यादों को किसी कोने में छुपा नहीं सकता,
उसके चेहरे की मुस्कान कभी भुला नहीं सकता,

मेरा बस चलता तो उसकी हर याद को भूल जाता,
लेकिन इस टूटे दिल को मैं समझा नहीं सकता|

Uski Yaadon Ko Kisi Kone Mein Chupa Nahi Sakti,
Uske Chehre Ki Muskaan Kabhi Bhula Nahi Sakti,

Mera Bas Chalta To Uski Har Yaad Ko Bhul Jaati,
Lekin Is Tute Dil Ko Main Samjha Nahi Sakti.


आज फिर ए तन्हाई लग जा गले,
के तुझसे लिपट के रोने का बहुत दिल है,
एक तू ही तो है हमसाया जिंदगी का मेरी..
वरना यहां तो हर रिश्ता,
मेरी रूह का कातिल है!


Ae Mout Jara Thahar Ja,
Jara Sa Ruk Ja Tu,
Intezaar Hai Unka,
Jinki Amanat Hai Zindagi,
Jara Unse Rukhsat Le Lene De,
Fir Le Chalna,
Yeh Jaruri Hai,
Unhi Ki Badolat Hai Zindagi.


Kyun Sochte Ho Ki Kuch Bhi Acha Nahi Hota,
Sach To Ye Hai Ki Jaisa Chaho Vaisa Nahi Hota,
Koi Apka Sath De Na De Kabhi Gum Na Karna,
Khud Se Bada Duniya Me Koi Humsafar Nai Hota.


Ek Pal Mein Jo Aakar Gujar Jaaye,
Yeh Hawa Ka Woh Jhoka Hai Aur Kuch Nahi,
Pyar Kahti Hai Duniya Jise,
Ek Rangeen Dhokha Hai Aur Kuch Nahi


Aasuon Ki Bunde Hai Ya Ankhon Ki Nami Hain,
Na Upar Aasma Hai Na Niche Zamee Hain,
Ye Kaisa Mod Hai Zindagi Ka,
Uski Hi Zarurat Hai Aur Uski Hi Kami Hain!


Tum Hi Tum Tadpo Na Hamein Tadpaao,
Do Roohein Milne Do Ek Jaan Ban Jaao,
Deti Ho Meri Bhool Ki Itni Badi Saja,
Thukra Ke Mera Pyar Na Ban Jaao Bewafa.


Nibha Sakata Hun Main Tamaam Umar Sath Tera,
Magar Apni Zindagi Par Visvaas Nahi,
Mere Marne Par Bhi Rahogi Tum Paas Mere,
Magar Honge Us Waqt Hum Tumhare Sath Nahi.


Tag:
Sad Shayari, Shayari, Sad Shayari Status, Sad Shayari Whatsapp Status, Love Shayari, Tik Tok Sad Shayari, Hindi Shayari, Sad Poetry, Sad Shayari In Hindi, Heart Touching Shayari, New Shayari, Tik Tok Shayari, Sad Shadi Shayari, Sad Shayari Urdu, Urdu Sad Shayari, 2 Line Sad Shayari, Shayari Status, Sad Shayari On Love, Sad Shayari To Line, Tiktok Sad Shayari, Nepali Sad Shayari, Gf Shadi Shayari, Shayari Sad, Hindi Shayri

Read More