Showing posts with label Bahut Bewafa Shayari. Show all posts

Best Bewafa Shayari | Bahut Bewafa Shayari | Jaani Bewafa Shayari

November 24, 2019

Bahut Bewafa Shayari


bewafa shayari,bewafa shayari status,sad shayari,bewafa shayari video,bewafa,bewafa shayari in hindi,shayari,heart touching shayari,breakup shayari,bewafa shayari song,bewafa shayari hindi,breakup shayari status,bewafa shayari video status,new shayari,bewafa shayari in hindi for girlfriend,hindi shayari,bewafai shayari,sad bewafa shayari,bewafa sad shayari,bewafa shayari urdu,bewafa shayari gana,bewafai ki shayari
Woh kareeb hi na aaye to izhaar kya karte,
Khud bane nishana to shikaar kya karte,
Mar gaye par khuli rakhi aankhein,
Is se zyada kisi ka intezar kya karte.

वो करीब ही न आये तो इज़हार क्या करते,
खुद बने निशाना तो शिकार क्या करते,
मर गए पर खुली रखी आँखें,
इससे ज्यादा किसी का इंतजार क्या करते!


Jaani Bewafa Shayari

Ye Mat Soch Ki ..
Tum Chhod Doge To Tut Jaunga Me ..
Jee To Wo Log Bhi Rhe Hai ..
Jinko Hamne Teri Khatir Choda Tha.


Lakh chaah kar bhi main tujhe bhula nahi sakta,
Saans rahte,
teri tasvir aankhon se hataa nahi sakta,
Aakhiri pal tak oo bewafaa ,
tujehe yaad karta hoon,
Teri yaadon ko seene mein basaa kar chalta hoon.


Bewafa hai dunia kisi ka aitbaar na karo,
Har pal dete hai dhoka kisi se pyar na karo,
Mit jao beshaq tanha ji kar,
Par kisi ke sath ka intzaar na karo.


तू तो हँस हँसकर जी रही है,
जुदा होकर भी..
कैसे जी पाया होगा वो,
जिसने तेरे सिवा जिन्दगी कभी सोची ही नहीं.


too to hans hansakar jee rahee hai,
juda hokar bhee..
kaise jee paaya hoga vo,
jisane tere siva jindagee kabhee sochee hee nahin.


Suna Hai Aaj
Uski Aankho Me Aansu Aa Gaye !
Wo Bachcho Ko Sikha Rahi Thi Ki
Mohabbat ese Likhte Hain !

सुना है आज

उस की आँखों मे आसु आ गये.!
वो बच्चो को सिखा रही थी की

मोहब्बत ऐसे लिखते है


Hath pakad kar rok lete agar,
Tujh par jara bhi zor hota mera,
Na rote hum yu tere liye..
Agar hamari zindagi me tere siwa koi aur hota!

हाथ पकड़ कर रोक लेते अगर,
तुझ पर ज़रा भी ज़ोर होता मेरा,
ना रोते हम यूँ तेरे लिये..
अगर हमारी ज़िन्दगी में तेरे सिवा कोई ओर होता.


Anjaane Mein Hum Tum Se,
Dil Ko Laga Baithe,

Apni Khusiyon Ko Hum,
Khud Hi Ganva Baithe,

Tujh Se Shikayat Nahi Karenge,
Ki Khata Hamari Hi Hai,

Jo Bekadron Ko Pyar Ki,
Murat Hi Bana Baithe.


Vaadein to hazaron kiye the usne,
Kaash ek waada to usne nibhaya hota,
Maut ka kisko pata ki kab ayegi,
Par kaash yun zinda usne mujhe maara na hota.


Jisne kabhi chahton ka paigaam likha tha,
Jisne apna sab kuch mere naam likha tha,
Suna hai aaj use mere zikar se bhi nafrat hai,
Jisne kabhi apne dil par mera naam likha tha.


Woh bewafa hamara imtihaan kya legi,
Milengi nazron se nazar toh nazar jhuka legi,
Use meri kabar p diya jalane ko math kehna,
Woh nadaan hain doston apna haath jala legi!

वो बेवफा हमारा इम्तेहा क्या लेगी,
मिलेगी नज़रो से नज़रे तो अपनी नज़रे ज़ुका लेगी,
उसे मेरी कबर पर दीया मत जलाने देना,
वो नादान है यारो..
अपना हाथ जला लेगी।


Tum Daga Karo Tab Bhi Gaddar Nahi,
Hum Wafa Karein To Bhi Gunahgar Hain,
Khata Teri Nahi O Sanam Mere,
Yeh To Waqt Waqt Ki Maar Hai.


Kaash unhen chahane ka aramaan na hota,
main hosh mein hote hue anajaan na hota,
ye pyaar na hota,
patthar dil se hamen,
ya vo patthar dil inasaan na hota!

काश उन्हें चाहने का अरमान नही होता,
में होश में होकर भी अंजान नही होता,
ये प्यार ना होता,
किसी पत्थर दिल से,
या फिर कोई पत्थर दिल इंसान ना होता!


Taqdeer ke aaine me meri tasveer kho gyi,
Aaj hamesha ke liye meri rooh so gyi,
Mohabbat karke kya mila mujhe,
Woh kal meri thi..
Aaj kisi aur ki ho gyi.


Koi Toh Bataye Itna Mujhko,
Kyu Bewafa Ho Jaate Hain Sab,
Saya Bhi Nahi Hai Saath Rahta,
Gham Ke Badal Chhate Hain Jab.


एक दिन हम आपसे इतने दूर हो जायेंगे,
के आसमान के इन तारो में कही खो जायेंगे,
आज मेरी परवाह नहीं आपको,
पर देखना एक दिन हद से ज्यादा..
हम आपको याद आएंगे!


Ek din ham aapse itni door ho jaayenge,
ke aasmaan ke en taaro me kahi kho jaayenge,
aaj meri parwah nahi aapko,
par dekhna ek din had se jyada..
ham aapko yaad ayenge!


आज तक है उसके लौट आने की उम्मीद,
आज तक ठहरी है ज़िंदगी अपनी जगह,
लाख ये चाहा कि उसे भूल जाये पर,
हौंसले अपनी जगह बेबसी अपनी जगह।

Aaj Tak Hai Uske Lout Aane Ki Umeed,
Aaj Tak Thehri Hai Jindagi Usi Jageh,
Laakh Ye Chaha Ki Usko Bhul Jaayun,
Hosla Apni Jageh Bebasi Apni Jageh. 


Hum to samjhe the ki zakham hai bhar jayega,
kya khabar thi ki rog dil me utar jayega,
Theek likha tha mere hath ki lakero me,
Tu agar pyar karega to bikhar jayega.


Tu Bhi Hai Sangdil Bewafa Eh Dost,
Yeh Sochkar Dil Ghabrata Hai,
Ab Karun Bhi Kya Ke Bin Tere,
Mujh Se Jiya Nahi Jata Hai.


Kabhi aisi bhi berukhi dekhi hai humneKe log aap se tum tak,
Aur tum se jaan tak,
Fir jaan se anjaan tak ho jate hain.


Gam Nahi Ke Tum Bewafa Nikli,
Magar Afsos Iss Baat Ka Hai,
Wo Sab Log Sach Nikle,
Jinse Main Tere Liye Lada karta Tha.


गम इस बात का नही कि तुम बेवफा निकली,
मगर अफ़सोस ये है कि,
वो सब लोग सच निकले,
जिनसे मैं तेरे लिए लड़ा करता था!


आग दिल में लगी जब वो खफ़ा हुए,
महसूस हुआ तब,
जब वो जुदा हुए,
करके वफ़ा कुछ दे ना सके वो,
पर बहुत कुछ दे गए जब वो बेवफ़ा हुए!

Aag Dil Me Lagi Jab Wo khafa Hue,
Mehsoos hua Tab,
Jab Wo Juda Hue,
Kar K Wafa Kuch De Na Sake Wo,
Per Bahut Kuch De Gaye Jab Wo Bewafa Hue.


Bhale Hi Kisi Gair Ki Jaagir Tha Wo,
Par Mere Khwaabo Ki Tasveer Tha Wo.

Mujhe Milta To Kaise Milta,
Kisi Aur Ke Hisse Ki Taqdeer Tha Wo.


Aasuon ki bunde hai ya ankhon ki nami hain,
Na upar aasma hai na niche zamee hain,
Ye kaisa mod hai zindagi ka,
Uski hi zarurat hai aur uski hi kami hain!


Hume mohabbat mein judayi manjoor thi,
Par bewafayi nahi,
Par jab judayi huyi to jana,
Judayi bewafai se jyada dard deti hai.


समेट कर ले जाओ..
अपने झूठे वादों के अधूरे क़िस्से..
अगली मोहब्बत में तुम्हें फिर..
इनकी ज़रूरत पड़ेगी।

Samet Kar Le Jao..
Apne Jhoothe Waadon Ke Adhure Kisse..
Agli Mohabbat Me Tumhein Phir..
Inki Zarurat Padegi.


Unki chahat mein dil majbur ho gaya,
Bewafayi karna unka dastur ho gaya,
Kasur unka nahi tha mera tha,
Humne chaha hi itna ki shayad unko gurur ho gaya.


हम सिमटते गए उनमें और 
वो हमें भुलाते गए,
हम मरते गए उनकी बेरुखी से,
और वो हमें आजमाते गए,
सोचा की मेरी बेपनाह मोहब्बत देखकर 

सीख लेंगी वफाएँ करना,
पर हम रोते गए और वो 

हमें खुशी खुशी रुलाते गए..!

ham simatate gae unamen aur 

vo hamen bhulaate gae,
ham marate gae unakee berukhee se,
aur vo hamen aajamaate gae,
socha kee meree bepanaah mohabbat dekhakar 

seekh lengee vaphaen karana,
par ham rote gae aur vo 

hamen khushee khushee rulaate gae.


अनजाने में यूँ ही हम दिल गँवा बैठे,
इस प्यार में कैसे धोखा खा बैठे,
उनसे क्या गिला करें..
भूल तो हमारी थी

जो बिना दिलवालों से ही दिल लगा बैठे।

Anjane Mein Hum Apna Dil Gawa Baithe,
Is Pyar Me Kaisa Dhoka Kar Baithe,
Unse Kya Gila Kare… 

Bhool Hamari Thi,
Jo Bina Dilwalon Se Dil Laga Baithe.


In Alfazon Se Hum,
Tujhe Ruswa Na Karenge,

Teri Bewafayi Ka Zikr,
Hum Markar Bhi Na Karenge,

Apni Raza Se Hum Gair Bankar,
Chhup Chhup Kar Aahein Bharenge.


Pyar Par Hamare Kabhi Shaq Mat Karna,
Iske Ilawa Humne Kiya Kya Hai,

Mana Ke Gham Hi Gham Hain Paas Hamare,
Iske Ilava Tumne Diya Kya Hai.


Bhool Jana Yaaro Itna Aasan Nahi Hota,
Jakhmon Ke Nishan Mitana Itna Aasan Nahi Hota,
Jisne Mana Ho Yaar Ko Barabar Rab Ke,
Usko Yun Chhod Jana Aasan Nahi Hota.


Ulfat mein aksar aisa hota hai,
ankhein hasti hai aur dil rota hai,
mante hai hum jinhe manzil

apni humsafar unka koi aur hota hai.

उल्फत में अक्सर ऐसा होता है,
आँखे हंसती हैं और दिल रोता है,
मानते हो तुम जिसे मंजिल अपनी,
हमसफर उनका कोई और होता है!


Mujhe maloom hai 
tum bahot khush ho is judai se,
Ab khayal rakhna apna,
Tumhe tum jaisa koi na mil jaaye.


Kaash tum mujhe ek khat likh dete,
mujhme kya kya thi kami yeh to bata dete,
tadapte dil se mere tumne nafrat kyu ki,
nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete.


Hamne Na Jana Tha Yeh Aaj Tak Kabhi,
Ki Koi Raah Mein Aise Bhi Chhod Deta Hai,
Koi Apne Dil Ko Bahlane Ke Baad,
Dusre Ke Dil Ko Aise Tod Deta Hai.


हमने भी किसी से प्यार किया था,
हाथो मे फूल लेकर इंतेज़ार किया था,
भूल उनकी नही भूल तो हमारी थी,
क्यों की उन्हो ने नही,
हमने उनसे प्यार किया था..

Humne Bhi Kisi Se Pyar Kiya Tha,
Hatho Me Phool Lekar Intezarr Kiya Tha,
Bhul Unki Nahi Bhul Toh Humari Thi..
Kyon Ki Unho Ne Nahi,
Humne Unse Pyar Kiya Tha..


Wo apni zindagi main hogaye masroof itna,
Wo kis kis ko bhool gaya use ye bhi yaad nahi.

Phir se nikleingay talash-e-zindagi mein,
Dua karna is bar koi bewafa na miley.

Dhondo ge ujhre rishton main wafa k khazane,
Tum mere baad meri mohabbat ko yaad karoge.

Mat pooch meri mohabbat ki intehaa kaha tak hai,
Tu kar le sitaam teri taaqat jahan tak hai.

Wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,
Dekhoon to zara tu beewafa kaha tak hai.

Ek muddat se mere haal se begana hai,
Jane zalim ne kis baat ka bura mana hai.

Neend bhi mehbooba ban gayi hai,
Bewafaa raat bhar nahin aati…

Tujhe bhulane ki koshish to buhat ki aye bewafa,
Teri yaadain gulab ki wo shaakh hai jo roz mehakti hai.

Na to majburi hai koi na to lachari hai,
Bewafai teri paidayishi bimari hai.

Na raha karo udaas kisi bewafa ki yaad mein,
Wo khush hai apni duniya mein teri duniya ko ujaar kar.


पढ़ रहा हूँ मै..
इश्क़ की किताब ऐ दोस्तों,
ग़र बन गया वकील तो..
बेवफाओं की खैर नही!


Padh Raha Hu Main

Ishq Ki Kitaab ae dosto…
Agar Ban Gaya Waqil To,
Bewafaon Ki Khair Nahi.


Manzil nahi hai thikana nahi hai,
Kahi par bhi mera ashiyana nahi hai,
Maine teer chalana sikhaya ushe,
Ab mere siva uska koi nishana nahi hai.


Chaha tha jise use bhulaya na gaya,
Zakhm dil ka logo se chupaya na gaya,
Bewafai ke baad bhi itna pyar karta hai dil unse,
Ki bewafai ka ilzaam bhi uss par lagaya na gaya.


Ishq karna to lagta he jaise,
Mout se bhi badi ek saza he,
Kya kisi se shikayat kare hum,
Jab apni taqdir hi BEWAFAA he.


Zakham Ki Baat Nahi Hai Jaane Dard Kyon Hota Hai,
Dhokhe Ki Baat Nahi Hai Jaane Ehaas Kyon Hota Hai,
Jante Hue Ki Wo Bewafa Hain,
Na Jane Phir Bhi Pyaar Kyon Hota Hai.


Mujhse Na Sahi,
Gairon Se Hi Sahi,
Tumhein Dil Ko Lagana Aa To Gaya,
Duniya Mein Kisi Ke Tum Ho To Gaye,
Chalo Tumhein Pyaar Nibhana Aa To Gaya.


Sab Kuch Hai Mere Pass,
Par Dard Ye Dil Ki Dawa Nahi,
Dur Hai Wo Mujhse,
Fir Bhi Main Usase Khafa Nahi,
Sau Gam Sahe Hain,
Par Ab Bhi Pyar Karta Hu Usko,
Kyunki Main Thoda Jiddi Hu,
Magar Bewafa Nahi..


Is Daur Me Ki Thi ..
Jisse Wafao Ki Ummeedein ..
Aakar Usi K Haath Ka ..
Patthar lga mujhe ..


हर भूल तेरी माफ़ की..
हर खता को तेरी भुला दिया..
गम है कि,
मेरे प्यार का..
तूने बेवफा बनके सिला दिया|


har bhool teree maaf kee..
har khata ko teree bhula diya..
gam hai ki,
mere pyaar ka..
toone bevapha banake sila diya|


Kabhi usne bhi hume chahat ka paigam likha tha,
Sab kuch usne apna humare naam likha tha,
Suna hai aaj unko humare jikar se bhi nafrat hai,
Jisne kbhi apne dil par humara naam likha tha.

कभी उसने भी हमें चाहत का पैगाम लिखा था,
सब कुछ उसने अपना हमारे नाम लिखा था,
सुना है आज उनको हमारे जिक्र से भी नफ़रत है,
जिसने कभी अपने दिल पर हमारा नाम लिखा था।


Aapne Toh Ki Thi Dillagi Magar,
Hum Toh Dil Apna Tod Baithe,
Aapne Samjha Pyar Ko Khel Magar,
Hum Toh Ghamon Se Nata Jod Baithe.


Bedaag Or Begunah Meri Sarkar Hain,
Humse unki Bewafai Se Waqt Ki Maar Hain,

Woh Bhale Hain Kitne Sitam Karein Hum Par,
Phir Bhi Mere Liye Wo Jaane Bahar Hain.


Ehsaas Duriyo Ka Waqt Ke Sath Bhi Hoga,
Gujarte Lamho Main Yaado Ka Khwab Bhi Hoga,
Ham Honge Ya Na Honge Unke Zindagi Main,
Magar Hamare Na Hone Ka Asar Hamare Baad Bhi Hoga.


उनकी मोहब्बत का अभी निशान बाकी हैं,
नाम लब पर हैं मगर जान अभी बाकी हैं,
क्या हुआ अगर देख कर मूंह फेर लेते हैं वो..
तसल्ली हैं कि अभी तक शक्ल कि पहचान बाकी हैं!


Unki mohabbat ka abhi nishan baki hai,
Naam hothon par hai,
Jaan abhi baki hai

Kya hua agar dekh kar muh pher leti hai wo..
Tasalli toh hai ki Chehre ki pehchaan abhi baki hai!


Kya-Kya Na Saha Tere Pyar Ke Liye,
Tu Bhul Gayee Mujhe Begaane Yaar Ke Liye,

Bitaaye The Lamhe Saath Milkar Kabhi,
Tarsate Hain Aaj Tere Deedar Ke Liye.


Aankhen khuli to nazara Ajeeb tha..
DARD tha magar koi Dil ke kareeb tha..
Jise dhundte rahe hum apne haatho ki lakeero main..
Pata chala WO kisi aur ka naseeb tha.


Taraste The Jo Humse Milne Ko Kabhi,
Na Jaane Kyun Aaj Hamare Saaye Se Bhi Karte Hain,
Hum bhi Wahi Hain Yeh Dil Bhi Wahi Hai,
Na Jaane Phir Kyon Aise Log Badal Jaate Hain.


Koi Bhi Nahi Yahan Par Apna Hota,
Is Duniya Ne Yeh Sikhya Hai Humko,
Uski Bewafayi Ka Na Charcha Karna,
Aaj Dil Ne Yeh Samjhaya Hai Humko.


Chaha ke ye Aasman Hamara hota,
Khwaiso Ka Bhi Koi Kinara Hota,
ye Sonchkar Nahi Roka Us Musafir Ko,
Wo Jata Hi Kyoun Door Agar Wo Hamara Hota.


Shayad Na Rahi Ab Aapko Jarurat Hamari,
Isiliye Ab Aapne Humko Chhod Diya,
Jab Tha Jee Chaha,
Toh Khele Is Dil Se,
Aur Ab Jab Jee Bhar Gaya Toh Ise Tod Diya.


Majburi mein jab koi juda hota hai,
Zaruri nahi ke wo bewafa hota hai,
De kar wo aapki aankho me aansu,
Akele me aapse bhi zyada rota hai.


Aankhon Se Ashq Bahane Se Fayda Kya,
Unko Apna Dildar Banane Se Fayda Kya,

Woh Bhi Toh Hansee Hai De Denge Daga Ek Din,
Dgabaaj Hain Sab Aajmane Se Fayda Kya.


Phool k sath kate bhi naseeb hote hai,
Khushi k sath gham bhi naseeb hota hai,
Yu to majboori le doobti hai har aashiq ko,
Warna khushi se bewafa kaun hota hai.

फ़ुलो के साथ कांटे नसिब होते है,
खुषी के साथ गम भी नसिब होता है,
यु तो मजबुरी ले डुबती हर आशिक को,
वरना खुषी से बेवफ़ा कौन होता है


Wo kehte hain hum badal gaye hain
Koi jakar samjhaye unhe k rang
sookhe hue patton ka aksar badal jata hai.


Dil bhi ..
Gustaakh ho chala tha buhat,
Shukar hai ..
Yaar hi bewafa nikla.


Pee ke raat ko hum unko bhulane lage,
Sharab mein gham ko milane lage,
Daru bhi bewafa nikali yaron,
Nashe mein to woh aur bhi yaad aane lage.


Jis Chehre Ko Dekh Kar Haste The Hum,
Aaj Usine ‘Rula Diya’ Khud Ne To Phone Kiya Nahi,
Humne Kiya To Caller Tune… 

‘Tuje Bhula Diya


Hamain Na Muhabbat Mili Na PyaR Mila,
Humko Jo Bhi Mila BeWafa YaaR Mila,
Apni To Ban Gaye Tamasha Zindagi Ka,
Har Koi Apne Maqsad ka TalabGar Mila.

हमें न मोहब्बत मिली न प्यार मिला,
हम को जो भी मिला बेवफा यार मिला,
अपनी तो बन गई तमाशा ज़िन्दगी,
हर कोई अपने मकसद का तलबगार मिला!


Hamari Wafa Ki Kasmein Khata Tha Zamana,
Bewafai Ki Bhi, Aap Hi Misaal Banoge,

Har Rag Se Aashikon Ki Ho Wakif,
Dil Todne Mein Aap Kamaal Banoge.


Tum Hi Tum Tadpo Na Hamein Tadpaao,
Do Roohein Milne Do Ek Jaan Ban Jaao,
Deti Ho Meri Bhool Ki Itni Badi Saja,
Thukra Ke Mera Pyar Na Ban Jaao Bewafa.


दिल का दर्द एक राज बनकर रह गया,
मेरा भरोसा मजाक बनकर रह गया,
दिल के सोदागरो से दिललगी कर बैठे,
शायद इसीलिए मेरा प्यार इक अल्फाज बनकर रह गया।


Dil ka dard ek raaz banke reh gaya,
Mera bharosa mazak banke reh gaya,
Dilo ke saudagar se dillagi kar bethe,
Shayad is liye mera pyaar mazak ban ke reh gaya.


Afsos Hai Hamein Us Ghadi Ka,
Jab Tumse Dil Laga Baithe,
Tere Pyar Ki Khatir Eh Sandil,
Hum Apni Har Khusi Ganva Baithe,
Agar Tujhe Bhulana Aasan Hota,
Toh Kab Ke Bhula Dete,
Agar Mere Dil Mein Tera Naam Na Hota,
Toh Kab Ka Is Dil Ko Jala Dete..


Taqdir Banane Wale Tune Bhi Had Kar Di,
Taqdir Mein Kisi Aur Ka Naam Likha,
Aur Dil Mein Chahat Ek Farebi Ki Bhar Di.


Mausam ki misaal du..
Ya tumhari,
Koi puch betha hai

Badalna kisko kehte hai.


दर्द ही सही मेरे इश्क का इनाम तो आया,
खाली ही सही हाथों में जाम तो आया,
मैं हूँ बेवफ़ा सबको बताया उसने,
यूँ ही सही,
उसके लबों पे मेरा नाम तो आया।


Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya,
khali hi sahi hathon me jaam to aaya

main hoon bewafa sabko bataya usne,
yun hi sahi uske labon pe mera naam to aaya!


Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunate Rahe,
Humari Tanhayion Se Ankh Churate Rahe,
Aur Hume Bewafa Ka Naam Mila..
Kyunki,
Hum Har Dard Muskura Kar Chipate Rahe.


वो तो अपने दर्द रो-रो के सुनते रहे,
हमारी तन्हाइयों से आँख चुराते रहे,
और हमें बेवफा का नाम मिला..
क्योंकि,
हम हर दर्द मुस्कुरा कर छुपाते रहे!


Meri barbadi par tu koi malal na karna,
bhul jana mera khyal na karna,
hum teri khusi k liye kafan odh lenge,
pr tu meri laash se koi sawal na karna.

मेरी बर्बादी पर तू कोई मलाल ना करना,
भूल जाना मेरा ख्याल ना करना,
हम तेरी ख़ुशी के लिए कफ़न ओढ़ लेंगे,
पर तुम मेरी लाश ले कोई सवाल मत करना!



मेरी वफ़ा की कदर ना की,
अपनी पसंद पे तो ऐतबार किया होता,
सुना है वो उसकी भी ना हुई,
मुझे छोड दिया था उसे तो अपना लिया होता|


meree vafa kee kadar na kee,
apanee pasand pe to aitabaar kiya hota,
suna hai vo usakee bhee na huee,
mujhe chhod diya tha use to apana liya hota|


Hamne Toh Apni Mohabbat Ka Ijhaar Kiya,
Magar Usne Fir Bhi Na Hamara Eitbaar Kiya,
Main Toh Jahan Se Lada,
Ek Uski Khatir,
Us Bewafa Ne Sikwa Fir Bhi Hazaar Kiya.


Daulat Ko Lekar Main Kya Karun,
Mila Na Mujhko Pyar Kabhi,

Bas Itna Hi Jana Humne,
Bewafa Hain Yahan Toh Yaar Sabhi.


Kisi ko pyar itna dena ki had na rahe,
par aitbaar bhi itna rakhna ki shak na rahe,
wafa itni karna ki bewafai na ho,
aur dua bus itni karna ki judai na ho.


Kaha koi aisa mila jispe dil luta dete,
har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete,
apne dil ka dard dil hi mein dabaye rakhe hain,
karte bayan to mehfil ko rula dete.

कहाँ कोई ऐसा मिला जिस पर हम दुनिया लुटा देते,
हर एक ने धोखा दिया,
किस-किस को भुला देते,
अपने दिल का ज़ख्म दिल में ही दबाये रखा,
बयां करते तो महफ़िल को रुला देते।


Ishq-a-bewafai ne daal di hai aadat buri,
Main bhi sharif hua karta tha is zamane mein,
Pehle din shuru karta tha masjid mein namaaz se,
Ab dhalti hai shaam sharab ke sath mehkhane mein.


Nazrein Meri Kahin Thak Na Jaayein,
Bewafa Tera Intezaar Karte Karte,
Yeh Jaan Yun Hi Nikal Na Jaaye,
Tum Se Ishq Ka Izhaar Karte Karte.


Hakikat Ban kar mile aur khwab bankar reh gaye,
Kuch log mile sawalon ki tarha,
or jawab ban kar reh gaye,
Kuch khawab diye kuch Gum dekar vo jane chale gaye kahan..
!
Mere tanha lamhe in baton ka bs hisab Karte reh gaye.


Bhale Hi Raah Chalton Ka Daaman Tham Le,
Magar Mere Pyar Ko Bhi Tu Pahchan Le,
Kitna Intezaar Kiya Hai Tere Ishq Mein,
Jara Yeh Dill Ki Betaabi Tu Jaan Le.


Humne Puchha Yaar Se Itna,
Kaise Woh Bewafa Ho Gaye,
Bole Woh Ki Tumse Kya,
Teri Jeb Se Sikke Kho Gaye.


Jin Siddato Se Koshish Kar Raha Hoon…
Ab Mai Tumhe Bhulane Ki Kabakht,
Kabhi Bahut Dil Se Dua Maanga Karta Tha…

Tumhe Apna Banane Ki.


Toote Hue Pyaale Mein Jaam Nahi Aata,
Ishq Mein Mareez Ko Aaram Nahi Aata,
Ae Bewafa Dil Todne Se Pehle Ye Soch Liya Hota,
Ki Toota Hua Dil Kisi Ke Kaam Nahi Aata.


टूटे हुए प्याले में जाम नहीं आता,
इश्क़ में मरीज को आराम नहीं आता,
ये बेवफा दिल तोड़ने से पहले ये सोच तो लिया होता,
की टुटा हुआ दिल किसी के काम नहीं आता !


Tadap ke Dekh Kisi ki Chahat Me,
To Pata Chale Intezar Kya Hota Hai,
Yu Mil Jaaye Agar Koi Bina Tadap Ke,
To Kaise Pata Chale Pyar Kya Hota Hai.


Log Ishq Karte Hain,
Bade Shor Ke Saath,

Hamne Bhi Kiya,
Bade Jor Ke Saath,

Magar Ab Karenge Thoda,
Gour Ke Saath,

Kyonki Kal Usko Dekha,
Kisi Aur Ke Saath.


Tu Jab Mujh Se Juda Ho Gayi,
Zindagi Meri Mujhko Saja Ho Gayi,

Teri Wafayi Par Mujhko Bada Naaj Tha,
Sandil Aaj Tu Bhi Bewafa Ho Gayi.


Yeh inayatein ghazab ki,
yeh bala ki maharbani,
Meri khairiyat bhi poochhi,
kisi or ki zubani.

Toot k chahna or phir toot jana,
Baat choti hai magar bohut gahree hai.

Jaa tujhe tere haal pe chora,
Is se behter teri saza bhi kya hai.

Tum laut k ane ka takalluf mat karna,
Hum ek mohabbat ko do baar nahi karte.

Toot kar reh gaya hai rishta apna,
Ek muddat hoi dekha nahi chehra apna.

Wo mujh mein ghul mil gayi hai laikin,
Abhi talak mujh se ajnabi hai.


Wo Raat Dard Aur Sitam Ki Raat Hogi
Jis Raat Rukhsat UnKi Baraat Hogi,
Uth Jaate Hain Yeh Soch Kar Neend Se Aksar

Ki Kisi Gair K Bahon Me Hmari Sari Kaynaat Hogi.

वो रात दर्द और सितम की रात होगी,
जिस रात रुखसत उनकी बारात होगी,
उठ जाता हूँ मैं ये सोचकर नींद से अक्सर,
कि एक गैर की बाहों में मेरी सारी कायनात होगी।


Dil todne ka bahana mil gaya usko,
Dil tod ke begana vo muskuraye bahut,
Toote dil me jo dekhi apni tasveer usne,
Ankhon se ro na saka pr Dil he Dil mein Pachtaya bahut.


Insan Bane Hain Is Jeevan Mein,
Bas Humse Yahi Ek Khata Huyi,

Isi Karan Huye Kai Gunah Humse,
Isi Liye Toh Mout Bhi Bewafa Huyi.


Dil ke dariya me dhadkan ki kasti hai,
Khawabo ki duniya me yado ki basti hai,
Mohabbat ke bazar me chahat ka sauda,
Wafa ki kimat se to bewafai sasti hai.


Gulon Ki Khawais Na Karo Kabhi Yaaro,
Umar Bhar Yeh Toh Saath Nibhate Hi Nahi,

Kharon Se Jodo Rista,
Behtar Hai Sabhi Se,
Jo Tham Lein Daman Toh Chhod Jaate Hi Nahi.


हम तो जल गये उसकी मोहब्बत में
मोम की तरह,
अगर फिर भी वो हमें बेवफा कहे…

तोउसकी वफ़ा को सलाम..

Hum To Jal Gaye Uski Mohabbat Mein 

Moam Ki Tarah…
Agar Phir Bhi Koi Humen Bewafa Kahe…
ToUski Wafa Ko Salam.


Dil Ke Sabhi Halaat Mujhe Kehne Do
Behte Hain Ashq To Inhe Behne Do
Bewafai Shamil Na Karo Dosti Ki Raaho Mein
Kam Se Kam Dosti Ko To Dosti Rehne Do.


Fir Khamoshi Ne Saaj Chheda Hai,
Fir Khayalat Ne Lee Angdayi,
Kisliye Mahfil Sajayee Jaaye,
Pursukun Ho Gayi Hai Tanhayi,
Ek Se Ek Ghatna Huyi Lekin,
Na Gayi Tere Gham Ki Yatnayi,
Koi Shikwa Na Gham Na Koi Yaad,
Baithe Baithe Bas Aankh Bhar Aayi.


Ek Apni Hi Baat Kya Main Karu,
Tune Kitno Ke Jaane Dil Tode Hain,
Magar Humse Nahi Hoga Sahan Kabhi,
Humare Din Ab Toh Thode Hain.


Read More